Blogging Me Success Hona Hai to Ye 10 Galtiya Kabhi Na Kare

Blogging online paisa kamane ka sabse jyada profitable tarika hai. Kuch log, jo iske bare me pahli bar jate hai (sunte ya padhte) hai to wo bina research ke hi blog start kar lete hai. Unhe lagta hai ki ye monthly extra income karne ka achha tarika hai. But blogging me success hona itna aasan nahi hai. Yaha main newbie bloggers se hone wali 10 blogging mistakes ke bare me bta raha hu jo aapko kabhi bhi nahi karni chahiye.

Blogging Mistakes

Agar aap without knowledge, without research ke blogging karoge to aapke blog ka successful hona mushkil hoga or agar aap pahle se hi sabkuch pata karke chaloge to jo safalta aapka blog 1 year me pane wala hai wo aap kuch mahino me hasil ka sakte ho.

Blogging me day by day new blgoger entry kar rahe hai, aapko un sabhi se kuch achha karke top me aana hoga. I know starting me har kisi se galti hoti hai but kuch blogging mistakes aesi hai jo aapko safal hone se roke rakhit hai. Isiliye main kahta hu ki

Blogging Me Success Hona Hai To Ye 10 Baate Humesha Dhyan Rakhe

Blogging ko easy samajhna sabse badi galti hai kabhi bhi ise simply na le, Agar aap serious blogging karoge to hi aapko safalta milegi.

1. Aap Fast Results Chahate Hai

Blogging internet se online earning karne ke most popular tariko me se ek hai but iska matlab ye nahi hai ki aap bina kisi taiyari ke blog banao or income shuru kar do. Maine bahut se aese blogger dekhe hai jo blog banante hai or 5-10 post likhne ke bad earning na hone ka rona rone lag jate hai.

Agar aap ek professional, effective or paisa kamane wala blog develop karna chahate hai to aapko ise online earning ki nazar se dekhna band kar dena chahiye or ise apne business ki tarah dekhna shuru kar dena chahiye. Ye aapka business hai or aapko ise har hal me safal banana hai.

2. Article Likhna Aapka Kaam Nahi Hai

Agar aapka plan hai ki aap ek brand blog banaoge or us par bahut sare author content write karoge to ye galat nahi hai, but agar apa sochte ho ki writing aapka kaam nahi hai to aap 100% galat hai. Jaise ki aapko English nahi aati hai ya fir aap us language me kamjor hai.

Actually, blogging me aapko pure english ki jarurat nahi hai. Aapko bas bat sahi se btana aata ho, or aap practice karke apni writing skills ko improve kar sakte ho.

But agar aap apne blog par likhna hi nahi chahate to ye aapki bahut badi mistake sabit hogi. So jitna jaldi ho sake apne aapko apne blog par content likhne ke liye ready kare.

3. Aap Apni Knowledge Improve Nahi Karte

Aapko kitni bhi knowledge kyu na ho fir bhi aapko study karne ki jarurat padegi. Agar aap professional blogger banna chahate hai to aapko sikhna hoga. I sure aap din me kuch time news paper, magazine read karne me bitate ho, chaho to is time me study kar sakte ho.

Daily work ime table se 1-2 hours sikhne ke liye nilane or apne competitors or apne market ki jankari le. Aap jitna jante hai usse bhi behtar karne ki koshish kare.

4. Aapke Pas Koi Passion Nahi Hai

Blogging ek danger game ki tarah hai or is game ko khelne ke liye aap me junoon hona jaruri hai or agar aapme wo junoon nahi hai to aap kamjor pad jaoge. Agar aapne sirf paisa kamane ke liye blogging shuru ki hai to, aap isme success nahi ho sakte.

Of course, har koi money earn karne ke liye blogging start karta hai but mere kahne ka matlab aapko apne blogging career ke pahle hi din se earning ki ummid nahi karni chahiye. Aap jo bhi kaam kare use passion banaye or use successful banane me lag jaye, aapko koi bhi nahi rok sakta.

5. Aap Lalchi (Greedy) Hai

Oh! aap to already business kar rahe hai, yani aap blogging se extra money earn karna chahate hai, but ye part time work nahi hai, iske liye aapko daily time dena hoga. Lalachi ban kar blogging karna, mujhe nahi lagta sahi hoga.

Aap na to apne work par focus kar paoge or na hi blogging par, aapko jaldi se decision lena hoga ki aapko kya karna hai. Really, blogging ko aap full time chahiye.

Aapko apne blog ke customers ke sath judna hoga or uske liye time chahiye. Mera kahne ka matlab ye nahi hai ki blogging part time nahi kar sakte but safal hone ke liye jaruri hai.

6. Aapke Pas Koi Plan Nahi Hai

Ek blogger ki lifestyle me kai difficulties aate hai. Internet distractions se full hai or online work time to time easy to hard hota ja raha hai. Agar aapke pas plan nahi hai to aap apne PC par sirf time waste karoge or blog par kya likhna hai isi ke bare me sochne me aapka time nikalta rahega.

Aap apne blog par wohi sab share kar rahe ho jo dusre log karte hai to aapke blog ko pasand karne wale visitors kam honge, or agar aap kuch naya karoge to sabhi aapko like karenge.

For example, aap aaj hi apne blog par ek aesa article write karke dekho jisme nayi jankari ho. Aapke blog par traffic 100% increase hoga.

7. Aapke Pas Patience (धैर्य) Nahi Hai

Blogging me success pana slow process hai, or 99% aap blogging me jaldi success nahi ho sakte. Agar aap sochte hai ki aapko blogging me 1-2 week me success ho sakte hai to ye aapki galatfahemi hai, aapko apni ye soch badalni hogi.

Blogging ek slow process hai but aap ise apne smart work se fast bana sakte hai, Kitna ye aapke talent par depend karta hai. Agar aap iske liye sabr nahi kar sakte to I am sorry, blogging aapke liye nahi hai.

8. Kuch Naya Nahi Karna

Aap jis topic par likhne wale ho ho sakta hai uske bare me bahut se log already likh chuke ho. Aese me aap kya karoge. Agar aap same wesa hi content likhte ho to aapko kabhi safalta nahi milne wali.

Aap apne tarike se likho or aapki likhne ki kala is type ki honi chahiye ki wo kisi or se match na ho. Second aapko pahle se likhe ja chuke content ki bajaye kuch new karna hoga. Aap apne readers ko jitni nayi jankari provide karoge wo aapko utna hi jyada like karenge.

9. Galat Tarike Se Blogging Karna

Blog write karna bahut aasan nahi hai but aap ise aasan bana sakte hai, iske liye agar aap wrong ways follow karte ho to aapko yaha dhyan dena chahiye. Other bloggers ka content chori karna, wrong and fake information share karna aese kai galat tarike hai.

Blogging me success hone ka koi shortcut nahi hai aap 3-4 day me safal blogger nahi ban sakte. So kisi bhi shortcut ko apnane se behtar hai ki aap slowly achha work karo or pane blog ko aage tak le jao.

Blogging me daily update karna better hai but iska matlab kuch bhi share karna nahi hai. Bekar ka content likhne se bacho, chahe aapko weekly 2-3 articles hi kyo na likhne pade.

10. Sirf Article Likhna Hi Blogging Hai

Blogging sirf content write kar publish karna nahi hai balki apne lbog ko manage karne ke liye aapko bahut se important work karne hote hai. Like blog ko google search engine me top me lana, bad links ko remove karna, duplicate content, copyright content problem ko fix karna.

Iske alawa aapko apne content ka promotion bhi karna hota hai, Study karni hoti hai. Aese bahut se jaruri kaam karne hote hai. Warna aapke blog ko spam hote time nahi lagega.

Conclusion

Ye thi 10 blogging mistakes jo aapke blog ko fail banane ka reason ho sakti hai, Agar aapko successful blogger banna hai to aapko in mistakes ko avoid karna hoga or future me aesi galti karne se bachna hoga. So ab aapko upar btayi bato ko follow karna shuru kar dena chahiye.

Agar aap sirf article read karte hai to isse kuch hone wala nahi hai. Agar kuch hoga to wo hoga aaj or abhi kaam shuru karne se, Aap abhi shuru karoge to kuch time bad aapki income bhi badh jayegi or aapki ginti successful bloggers me hogi.

Finally ek bat kahunga Take Action Now. Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (77)

  1. Avatar for Ramanand mehtaRamanand mehta

    sir numebr 8 mere liye bahut jyada helpfull hai…. thanks.. main kuchh puchhna chahta hu, genesis theme me last updated post ka list kaise show karun?

  2. Avatar for Duni ChandDuni Chand

    bahut achha article hai sir thankiu

  3. Avatar for yogendra kushwahayogendra kushwaha

    jumedin sir main aapka bahut bada fan hoon, maine aapka mobile number khoj kar aapke pass phone bhi kiya tha. aap se baat karane ke baad hi maine bhi ek blog shuru kiya hoon.
    lekin mai aap se ek baat jananaa chahata hoon

    #ki sabhi blogger blog ko wordpress par hi host karane ki salah kyo dete hai, blogspot par kyo nahi.

    #kya adsense se earning wordpress par jyada hoti hai, agar hoti hai to aesa kyo hai.

    mujhe ummid hai ki aap mere in prasho ke uttar jarur denge

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. In short words, wordpress par aap sabkuch kar sakte ho but blogger par nahi.
      2. aesa kuch bhi nahi hai, jis ghar me aap freedom usme aapki life better hi hogi.

  4. Avatar for arti mauryaarti maurya

    you shared nice article thank you sir

  5. Avatar for shubham jainshubham jain

    Hello sir
    Mjhe aapka blog bhut pasand aaya but me aapse y puchna chahta hu ki blog pr kya content likhe? Me apna career as a blogger banana chahta hu lekin mjhe samajh nhi aarha ki aakhir blog m kya likhe kha se starting kre?
    Please mjhe btaiye

    Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Us topic par likho jisme aapka interest or knowledge ho.

  6. Avatar for VanshVansh

    Jumedeen sir, main aapke articles se bhot impress or motivate hota hu, main bhi ek blogger hu or kabhi kabhi demotivate bhi ho jata hu… par aapke articles and tech. help mujhe humesha charged up karti rahti hai……. Thanks a lot

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thanks and welcome always.

  7. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    यदि पूरे पोस्ट में कोई कीवर्ड एक ही बार इस्तेमाल होता है तो क्या उसका फायदा हमें मिलता है? या फिर उस कीवर्ड को कम-से-कम पूरे पोस्ट का 2% इस्तेमाल करना ही होगा?

    मैंने क्लाउड होस्टिंग के बारे में पता किया लेकिन उसका रेट 10000 रुपया/साल पड़ रहा है. जबकि मेरा बजट 4000 रुपया ही है. क्या इतने में मैं सही होस्टिंग नहीं ले पाउँगा? क्या मुझे लगभग 10,000 खर्च करने ही पड़ेंगे? यदि कोई समाधान या कोई ट्रिक हो तो जरूर बताइयेगा.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thoda or search karo.

  8. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    1000 words ke ek post mein maximum kitne word/keyword ko bold kiya ja sakta hai? Ya unlimited keyword ko bold kiya ja sakta hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jitni jarurat ho.

  9. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    1. Coding se ya fir kisi se karwa sakte ho.
    2. google insights tool jo kamiya bta rahi hai unhe fix karo.

  10. Avatar for Satendra kumarSatendra kumar

    Hello jume deen bhai ek baat batao.
    humne ek website banaya hai. Jo songs se related hai.
    or main hostgator ka unlimited shared hosting plan use kar raha hun.
    usme 4-5 website hai.
    ek website songs wali. uspar kabhi to 100 users online hone lagte hai. Daily ke 8000-10000 users ho jate hai. Or fir 1-2 din ke baad 1-2 user online hone lagte hai. 2-days ke baad fir high traffiq 90-100 user online. or traffiq google se hi aata hai.

    is baar ye mere sath 3 baar ho gaya hai. ye kya problem hai.
    ye images dakho webmaster ka hai.

    me ye samaz nahi paa raha kya karu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hosting upgrade karke dekh lo server down ki problem ho sakti hai.

  11. Avatar for tapantapan

    hello sir aapki har post best or inspiration hoti hai. sir mujhe aapse help chahiye.

    # sir meri Email id or domain name alag – alag naam se hai kya adsense apply karne mai kya koi problem hogi.. kya domain name me email id name convert kiya ja sakta hai. agar ha to kya process hai…

    # sir me apni post ko search karta hoon par wo search engine me kyun hahi aati. kya reason ho sakta hai.

    # sir meri blogger site par kya kami hai sir please ek baar dekh kar bataye taaki me improve kar saku.

    # sir mujhe lagta hai meri adhiktar post spam me chali jaati hai kya me inhe delete kar du ya inhe phir se modify karu.
    sir please reply jarur kijiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. No problem, yes kar skate ho.
      2. blog link ko aese search karo site:example.com
      3. logo size kam karo.
      4. modify karo.

  12. Avatar for pradeep tripathipradeep tripathi

    Nice post. Thanks for sharing. Bhai ji amp page se kya traffic badhata h

  13. Avatar for vijay patelvijay patel

    thanks bhut achchi jankariya he ap ki

  14. Avatar for anoopanoop

    great article bro.. mai ek newbie hu blogging mai… so aapki is post ko read kar ke kafi motivate v huwa hu or kafi kuch sikhne ko v mila,,, thankuuu so muchh broo..

  15. Avatar for Ajay DharaiyaAjay Dharaiya

    You are right

  16. Avatar for RashvinderRashvinder

    Nice info. Keep it up

  17. Avatar for Akshat jainAkshat jain

    धन्यवाद भी ऐसे ही लिखते रहिये… ओर हमे गाइड करते रहिए

  18. Avatar for Radhe gourRadhe gour

    Sir ab google hinglish se jyada Hindi blog ko top search me la raha hai jaise jab bhi ham kisi keyword ko search karte hai to Hindi blog top me aa rahe hai kya ye seo ka kamaal hai ya fir google Hindi ke liye seo ki sharte change kar raha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aesa kuch bhi nahi hai google hindi or hinglish ko ek hi manta hai

  19. Avatar for Dev RathoreDev Rathore

    maine aaj adsense ads me kuchh change karke ad code lagaya hai kya isme koi problem hai kyonki jisne mujhe ye code diya hai usne bola hai ki ye adsense allow karta hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense ad code ko edit karna allow nahi karta. that is clear.

  20. Avatar for Yash chauhanYash chauhan

    sayd main bhi aisi hi galti kar raha tha isliye meri koi bhi post rank ni kar rahi..thnx sir ab thoda idea ho gya hai mjhe kya hai..

  21. Avatar for Neeru BatraNeeru Batra

    Namaste Jumedin Bhaiya.
    Maine apke blog ke MargDershan se mera blog shuru Kiya hai. Kripaya Mera MargDershan Kare Ek Baar Mera Blog Dekh ke. Or Jo bhi Kamiya please mere Ko bataye Taaki Mai Unko Sudhar Saku.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog me koi kami nahi hai,

  22. Avatar for Rohit PatelRohit Patel

    मै blogger का उपयोग करते हू। उसके हर पोस्ट के url के अंत मे . html लगा होता है और साथ मे date भी रहती है। ये कैसे हटेगा? please help me…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blogger me ise remove nahi kar sakte.

  23. Avatar for Adarsh chauhanAdarsh chauhan

    sir mujhe ek baat bataiye kya youtube par sabse pahle movies upload karne par copyright hoga kya plz sir reply dijiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi but movies owner uska certificate dikha kar bad me bhi copyright ka dawa kar sakta hai.

  24. Avatar for JITENDRASINGH RAOJITENDRASINGH RAO

    Hiii Jumedeen Bro

    You share a great deal of knowledge So Thank You

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Welcome bro

  25. Avatar for Rushikesh SonawaneRushikesh Sonawane

    hello,
    Bro,
    me aapse poochana chahata hun. ki aap kuch din pahale table of content use karte the. Abhi aapne kyon nahi use kar rahe? pls
    reasons batayiye?

    Aur kafi samay se income report kyon share nahi kar rahe?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Table of contents ki wajah se user direct scroll karte hai jisse ad click km ho jate hai. I hope you understand.

      • Avatar for Rushikesh SonawaneRushikesh Sonawane

        ok i understand par bro, latest income report share karo na!

  26. Avatar for Bipin YadavBipin Yadav

    Is Article ko Padh ke Blogging me Aur man bad gya mera bro

  27. Avatar for Sharuf KhanSharuf Khan

    sir main apne blog par lagbhag post karta hu aur google search console me sabhi post index ho jati hai lekin problem ye hai ki meri post google search result me me nahi aa rahi hai
    sir aap please bataye aisa kyu ho raha hai mera blog search result me show kyu nahi hota hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap post ke title ke dono taraf ‘”‘ comma laga kar search karo like “post title”

      • Avatar for Sharuf KhanSharuf Khan

        thanks sir, mere question ka answer dene ke liye

  28. Avatar for Akshat jainAkshat jain

    Bahut Badhiya Post likha hai sir aapne… Ise Likhne ke liye Dhanywaad

  29. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    Maine ek baat notice kiya hai ki mere blog se related search karne par Google mien mera post top par aata hai lekin mere post se pahle wikipedia ka post aata hai. Saath hi youtube ka kuchh video bhi mere post se pahle aa jata hai.

    Jabki wikipedia ke post aur youtube video mein se koi bhi result, search kiye gaye topic se barabar match nahin karta hai. Lekin mera post puri tarah se search kiye gaye topic se matched hota hai lekin fir bhi top par wo sab kyon aa jata hai?

    Kya blogger mein iska koi solution hai ya fir WP mein jane ke baad hi iska solution mil payega?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      SEO dono ke liye same hai.

      • Avatar for Anand KumarAnand Kumar

        To kya is samasya ke samadhan ke liye mujhe SEO ko 100% follow karna hoga?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Yea

  30. Avatar for Saim KumarSaim Kumar

    आपकी ज्यादातर posts bloggers को motivate करती है… जब कभी मेरा मन ब्लॉग्गिंग में नहीं लगता तो मैं आपकी posts पड़ता हूँ और फिर एक अच्छी blog post लिखता हूँ.. आपका बहुत – बहुत धन्यवाद जुमेदीन जी.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      welcome

  31. Avatar for Arun KumarArun Kumar

    Sir help full blog per hum absence approval ke liye kaise apply kare plz help

  32. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    adsense me maine bank details add kar diya hai but jab mai usko edit kar ke ye confirm karna chahta hu ki ifsc code, swift code wagaira sahi se dala hai ki nahi. but usme mera naam aur bank ka naam edit karne ka hi option aata hai. to kya hum swift code wagaira change nahi kar sakte ek bar add karne ke baad?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      kar sakte ho new bank account details add karke.

      • Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

        kya hum 2 bank details add kar sakte hai? jaise ki ek SBI ka aur ek Allahabad bank ka.

        Agar hum 2 bank account add kar dete hai to isse kya hoga?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          yes kar sakte ho but payment usi par milega jo aapke address se match hota ho.

  33. Avatar for DeepeshDeepesh

    Sir purani post Ko update kr ke kya kya changes kiye ja sakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      jo information change huyi ho.

  34. Avatar for Yash chauhanYash chauhan

    Sir kaisa Kya Kar ki Mera blog first page par as jaye…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Write quality content.

  35. Avatar for Hussam AnsariHussam Ansari

    Aapne kaha hai 10 point me bad link ko remove karna, dublicate aur copyright content ko fix karna ye kaise kare.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nazar rakho koi aapka content copy to nahi kar raha hai agar ha to uski google ko report karo taki aapki site ko problem na ho.

  36. Avatar for Santosh kumarSantosh kumar

    Sir Please Help me Aur bataiye ki aap related post ke liye kon sa Plugin use karte hai. Mere blog me related post me post ka thumbnails aadhaa kat jata hai, jo dekhne me achha nahi lagta hai.

    Sir aapka thumbnail pura aata hai recommended post me. Maine bahut search kiya par pata nahi lag raha hai. Aapke jawab ka intajar karunga….

    Aapka ye post mere jaise new blogger ke liye bahut jaankari ke layak hai. Mai aapka har post 1 mahine se padhta raha hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main jaldi hi iske bare me details se post karunga.

  37. Avatar for shubham singhshubham singh

    bro main chaahata hu ki ek blog banaow jo ki bade brand ki jaise uspar india k sabhi bade blogger post kare jaise ki harsh aggrawal rohit aap aur aur bhi bade blogger kya ye sahi hai . please sir apni raay jarur den

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Why not but big bloggers aapke blog par post kyu karenge unhe kya benefit hoga ye bhi soch le.

      • Avatar for shubham singhshubham singh

        jumedin bhaiya maine aap se bahut kuchh sikhaa hai isliyemain aapki har baat maanta hu bhai agar aap taiyar hon to sabhi taiyar ho jaayenge agar aapko ko buraa lage to sorry main dubaara aise comment nahi karunga

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Main, meri taraf se tension mat lo. Main har blogger ka sath dene ke liye taiyar hu.

          • Avatar for shubham singhshubham singh

            jitna bhi thanks bro likhu utna hi kam hai you are grate bro . main pehle hi jaanta thaa ki aap naa nahi karoge par bhai kuchh fayde ke batayen jisese ki rohit ji harsh ji sabhi log taiyaar ho jaayen

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            abhi main jouerney par hu. after 8-10 bat katte hai.

  38. Avatar for fawad chfawad ch

    sir waqi ya sub hamari blogging je ghlatia hai..

    jiss ke waja se na hamari blog popular hoti hai, aur na blogging me dil lagta hai
    Thanks you for this helpful post sir….

  39. Avatar for Himanshu RajHimanshu Raj

    Sir please supportmeindia ka income report share kijiye.

    sir kab se request kr RHA hu.
    please sir share kijiye.
    ham kaphi inspire hote hai.

    Thank You

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Good Idea, but sorry.

  40. Avatar for Gautam KoliGautam Koli

    Aapne yeh sari baate ek dum sahi btayi hai. Maine bhi kai aise blogger dekhe hai jo earning earning karte hai.
    But mujhe lagta hai ki aapki yeh post sabhi newbie ke liye useful saabit hone wali.
    Thanks sir ji

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...