10 Best Tips Jo Aapko Ek Success Blogger Bana Sakti Hai

Blog banana bahut aasan hai but use success banana bahut mushkil hai. New blog bana kar usme article publish karna bahut simple hai but kya aapko lagta hai ki aap real me successful blogger ban sakte hai. Or success blogger banne ke liye aapke kya thoughts hai. In this tutorial, Mai aapko kuch important success blogging tricks bta raha hu. Read carefully.

10 Blogging Tricks To Becoming a Success Blogger

Bahut se blogger blogging se lakho rupees monthly kama rahe hai. Kya aap bhi unhi me se ek hai. Agar nahi to kyu, Aap aysa kyuk nahi kar rahe ho jabki aapko blogging me kei mahine ho gaye hai.

Mostly blogger mujhse puchte hai ki “Aakhir aapne aspne blog ko itne kam time me success kaise banaya“.  Ye question wo blogger jyada puchte hai jinhe blogging me kei years ho gaye hai. Actually, Blogging ek aysi duniya hai jiske bare me puri jankari kisi ko bhi nahi ho sakti same wese hi jaise english language banane wale ko bhi full english nahi aati thi.

Is article me mai aapko or un sabhi blogger ko apni success ke bare me kuch important things ke bare me bta raha hu. Ummid karta hu aap sabhi ko mere thoughts se kuch na kuch new sikhne ko milega. Or aapko blogging me successful hone ke liye kuch tricks bhi pata chalegi.

10 Blogging Tricks Jo Aapko Successful Blogger Bana Sakti Hai

Yaha mai jo bhi bate btane ja raha hu wo mera experience or meri soch hai. Ho sakta hai aapko isme se koi tarika pasand na bhi aaye to aap use ignore kar sakte hai. Kyuki ye mere apne thoughts hai or mai sirf inhe isliye share kar raha hu. Jisse aapko koi na koi help mil jaye. By the way mujhe wishwas hai ki mere vichar aapke liye liye useful sabit honge.

1. Update Regularly:

Maine blogging me jitni bhi success payi hai. Uska sabse bada raj hai regularly update yani daily articles publish karna. Or jaha tak mujhe pata hai mera har ek reader daily meri post ka intjar karta hai. Ye bat meri confirm ki huyi hai. World ke top popular blogger jinke blog par monthlu millions traffic aata hai. Wo is tricks ko use karte hai. Reguaraly update karne se aapko ye fayde hai.

  1. Aapke audience aapke blog par per day visit karte hai. Jisse aapki site ka traffic badhta hai or aapki site or jyada popular hoti hai.
  2. Search engine aapki post ko jaldi index karta hai or aapko search engines se acha traffic milta hai.
  3. Intermet par aapki alag pahchan ban jati hai. Khud aapke visitors dusro se bolenge ki is blog par per day kuch na kuch sikhne ko milta hai.
  4. Aaj ke techniqal jamane me har koi kuch na kuch new sikhna chahata hai. World me 90% person yahi chahate hai. So aapki site par regular update hone se jo blogger ek bar site par aayega wo aapka regular visitor ban jayega. Isse aapki site ki Bounce Rate increase hoti hai.
  5. Maine iske bare me bahut success blogger se bat ki hai. Sabhi ka kahna hai ki wastav me regular update blogging me success ki pahli sidhi hai.

Ji ha, dosto blogging me success hone ka ye sabse acha tarika hai. But iska matlab ye nahi hai ki aap roj kuch bhi publish karte raho. Iske liye aapko apne readers ki pasand ke hisab se post likhni hai. Jisse wo aapko jyada se jyada pasand kare.

2. You Are Willing To Learn More:

Mai manta hu ki aapko bahut kuch aata hai or aap blogging ke bare me sabkuch sikh gaye ho. But apne aap ko bada mat mano. Aap kitne success hai ye bat aapke nahi aapke visitors ke muh se achi lagti hai. Apne aapko learner (Jise abhi bahut kuch sikhna hai) samajho. Aapko humesha kuch na kuch naya sikhni ki koshish karni chahiye.

Har blogger humesha kuch bhi sikhne ke liye taiyar rahta hai. Or aap bhi ek blogger ho, So apne aapko sahi raste se alag mat karo. Khud ko ek blogger mante huye dusro se acha sikhne ki koshish karo. In my case, Mai bhi apne aapko ek learner manta hu. Or mai humesha dusre blogger ke articles padhna pasand karta hu. Kyuki mujhe bhi aapki tarah daily kuch na kuch new sikhne ka shok hai hai.

Mostly blogger apne blog par apna experience share karte hai. Mai bhi unhi me se ek hu. Kyuki jab logo ki help karni hai to dil se karo. Aap bhi apne thoughts blog post, commenting and socail media sites par share kar sakte ho.

3. Publish Everyday Something New:

Aap or hum sab jante hai ki duniya ke 90% log new sikhna chahate hai. Or yaha hum bat kar rahe hai blogging ki me to har koi koi na koi new tips sikhna chahata hai. So ayse mai agar aap ek hi tarah ki post karte rahe to aapki site ka traffic kam ho jayega. Or user aapki site par visit karna band kar denge.

Sabse important bat aap dusro ko tabhi sikha sakte ho jab aapko kuch aata ho. So aap sabse pahle to up to date rahna shuru kar do. Yani aapko daily ki har most news ka or aapke wok ki last update ka pata hona chahiye. Example: agar aap blogger blogspot ke bare me information share karte ho to aapko blogger ki har last update ka pata hona chahiye.

In my case, Mujhe blogging me jitni bhi saflta mili hai. Usme is tricks se mujhe kafi help mili hai. Mere readers mujhse humesha kuch na kuch new tips pane ki ummid rakhte hai. Meri humesha hi koshish rahti hai ki mai apne reader ke liye koi new jankari publish karu.

Agar aap is tricks ko follow karne me kamyab ho gaye to agle kuch hi mahino me aapki site top ranking me hogi. Or aap syccess blogger kahlaoge.

4. Become a Good Communicator:

Agar aap ek ache  Communicator (सन्देश वाहक) hai to aap bahut kam samay me successful blogger ban sakte ho. Mera kahne ka matlab hai ki agar aap articles likhne me, apne visitors ko dil jitne me expert ho to aapko success hone me koi pareshani nahi aayegi.

Log usi ko jyada pasand karte hai jo unke liye wo kar sake jo wo chahate ho. Kuch log sochte hai ki jo hum likhenge log use jarur pasand karenge. But ayse log galat hai. Jo aap likhoge log use pasand nahi karenge. Balki aapko wo likhna chahiye jise log pasand karte hai. Jiske bare me sabhi janna chahate hai.

Internet par achi pahchan banane ke liye aapko sabse alag or sabse hatke kuch naya karna hoga. Jo internet par pahle se na ho.  Fir dekhna aap kitne ache Communicator ban jaoge. Yaha mai aapko recommend karunga ki aap apne blog par sabse alag pahchan banane ki koshish kare.

5. What do you want your visitors:

Aapke visitors aapse kya chahate hai. Unhe aapse kya chahiye or wo aapse kya ummid karte hai. Is bat ko jo samajh gaya uska blogging me success hona tay hai. Kyuki jab aapke visitors ko aapki site par unke kaam ki janakri milegi to wo aapke blog par sirf per day visit hi nahi karenge. Balki wo aapki site ka dusre logo ko bta kar promotion bhi karenge.

Agar aap visitors ki pasand ki ek post bhi likhte ho to or visitrs jise pasand na kare wesi 10 post likhte ho to aapko same result milegi. Or ho sakta hai aapki ek post das post se better page views recieve kar le.

Examply mujhe supportmeindia ko banaye kafi time ho gaya hai or mera har old reader janta hai ki “Blog kaise banate hai?” . Ab mai is topic par articles likhunga to koi bhi use padhna nahi chahega. Fir chahe us post me mai kitn i hi achi janakri share kyu na kar du.

6. Write For Your Readers:

Maine bahut bar apne visitors ke kahne par unke pasand ke topic par artivles likhe hai. Shayad iske bare me aap bhi jante hoge. Aaj tak maine jiske liye bhi post likhi hai wo mujhe mera regular reader ban jata hai. Or kuch logo ko to unke liye mera post likhna itna pasand aaya ki unhone meri site ke bare me apne friends ko bta kar bahut promotion kiya hai. Ye mera confirm kiya hua hai.

Agar aap chaho to meri is trick ko follow kar sakte ho. Mai humesha yahi karta hu. Apne har readers ke liye post likhne ki koshish karta hu. Yaha mai aapko iske kuch fayde bta deta hu.

  1. Aapko nrew post likhne ke liye topic mil jata hai. So aapko new post likhne me problem nahi hoti or new title search karne ki jarurat nahi hoti hai.
  2. Ek bar aapke readers ko iske bare me pata chal jaye to aapko daily new topics milne lag jayenge. In my case, Mujhe daily itne topic mil jate hai ki sab par post karne ke liye mujhe post likhne ke liye extra members ki jarurat padegi.
  3. Aap jab kisi ke liye articles likho to usme us visitors ka name bhi add kare. Isse wo aapki post ko 101% share karega. Jisse aapko double promotion milega.
  4. Aap jiske liye post likh rahe ho uske sath aapke ache relation banenge or wo aapka regular reader ban jayega.
  5. Agar future me use ya uske kisi friends ko koi information chahiye hogi to wo fir se aapke pas aayega.

Iske alawa bhi readers ke liye post likhne ke bahut sare fayde hai. Ye apne visitor ka dil jitne ka sabse acha or aasan tarika hai. Jise koi bhi follow kar sakta hai.

7. Don’t Repeat Stupid Mistakes:

Agar aapke readers ko aapka koi tarika, tips, trick ya aapki share ki gayi koi information buri lage. Ya fir aapne aysi koi janakri share ki hai Jisse aapke reader ka nukshan hai to aapki site bahut jald fail ho jayegi. So agar aapse aysi koi galti ho bhi jaye to use bar bar repeat mat karo.

“Excuse me for my word” Ye bat ek bar hi achi lagti hai. Ise bar bar dohrana pade aysa koi bhi kaam mat karo. Aapke blog se bahut sare readers jude huye hai. So post likhne se pahle ye tay kar le ki aapki post se kisi ka nukshan to nahi hai.

Agar aapko kisi topic ke bare me jankari nahi hai to aapke liye behtar hoga ki aap uske bare me jankari share na hi kare. Mai to aapse kahna chahunga ki agar aapko kisi question ka answer pata na ho to readers ko uske liye saf mana kar do ki aap ye sawal kisi or se puch le mujhe iske bare me jyada jankari nahi hai.

8. Make Yourself a Creative Person:

Article likhne ke liye writer ki creativity bahut important hoti hai. Creative content humesha viral hote hai or humesha hi inse better result milta hai. Or sabse achi bat creative articles reader ko sabse jyada pasand aate hai.

Har koi creative person (रचनात्मत्क व्यक्ति) nahi ban sakta hai. But lekin ye impossible bhi nahi hai. Bas aapko post likte time ye dhyan rakhna hoga ki aapki post ko reader easily samajh sake or unhe aapki post padhne me koi problem na ho.

Koi bhi reader jab aapki post padhta hai to wo chahata hai ki use har point ki clear or dusro se better information mile. Jise wo aasani se samajh sake or follow kar sake. Shayad aap bhi aysi site par jyada visit karte honge. Jis par aapko clear information milti hai.

Examply, Jab do person ek hi topic par post kare or ek ki likhi post me achi information na ho or extra words use kiye ho or dusre ki post clear likhi gayi ho to koi bhi extra words wali post ko pasand nahi karega.

9. Write All About and Everything

Jab bhi aap kisi topic par article likhe to uske bare me adhuri jankari share na kare. Balki aap jis post par articles likh rahe ho uske bare me details se full information likhne ki koshish kare. Fir chahe iske liye aapko post me kitne bhi words use karne pade.

Maine ayse bahut se blog dekhe hai jin par only 1o to 20 articles hai or unki ranking 100k se bhi kam hai. Important bat ye hai ki wo blogger sirf 10-20 post se lakho kamate hai. But unki ek post me 5000 se bhi jyada words hote hai or har topic ke bare me full jankari hoti hai wo bhi ekdam clear. Jiski wajah se unke ek articles par per day 2,00,000 se bhi jyada pageviews hote hai.

Maine unse bahut kuch sikha hai or mai manta hu ki ye possible hai. Aap 10 to 50 top list high quality articles se monthly 1,00,000 kama sakte ho. Isi tricks ki wajah se aaj mai apne blog se achi earning kar raha hu. Or inhi ki help se meri income har month increase hoti hai.

10. Make Good Relationship With Google:

Sab jante hai ki internet par google sabse jyada popular hai or pichle kei salo se ye world me no.1 raha hai. Aaj bhi google puri duniya me sabse jyada popular hai.

Google search engines humari site content ko index kar search result me dikhata hai. Jisse hume 50% traffic milta hai. My means agar google aapki site ko ban kar de to aapki site ka traffic 50% down ho jayega. Lagbhag har website or blog google ki help se success banta hai. In my case, Mere blog par bhi sabse jyada traffic google search engines se aata hai.

Google ne website ko search result me show karne ke kuch niyam bana rakhe hai. Jaise Google Webmaster Guidelines, Google terms and other policy. Jo website google ki terms ko follow karti hai. Uski search engine me no.1 ranking hoti hai.

So ayse mai agar aap google ki terms ko follow karke blogging karte ho to google aapko bahut kam samay me success nahi most successful blogger bana sakta hai. Kuch blogger google ko ignore karte hai .But mai is bat se 1% bhi agree nahi hu. Meri soch se usi ko follow karna chahiye.

Jo real me pahle se success ho. Kyuki jo khud success nahi hota hai wo aapko success nahi bana sakta. Now time, Google sabse no.1 hai isliye ise ignore karna sabse badi murkhta hogi.

Post Summary:- Is articles me maine apne blogging experience or apni success ke hi tips btaye hai. Ummid karta hu aapko inse bahut help milegi. Yaha maine aapko jo 10 advices btayi hai. Wo sab mai already follow karta hu or in tricks se mujhe bahut help mili hai. Maine inhe follow karke hi apne blog ko yaha tak pahuchaya hai. Agar aapko inme se koi tricks achi na lage to use ignore kar sakte hai. Ya fir comment section me uske bare me mujhse bat kar sakte hai.

Agar aapko is article me share ki gayi information pasand aaye or aapko lage ki ye jankari aapke liye helpful hai to is spost ko social media par apne friendss and other blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (99)

  1. Avatar for Anil GuptaAnil Gupta

    मैंने पहली बार राजनीति पर ब्लॉग बनाया है उसमें संसद में जो बढ़ रहा है उससे संसद की प्रासंगिकता बहुत कम होती जा रही है इससे सारे नेताओं पर जनता का विश्वास उठाता जा रहा है क्योंकि संसद पर आप हमारे टैक्स का करोड़ो रूपया लगता है परिणाम शोर ही शोर इनको हम चुनकर इसलिए भेजते है कि हमारे हित मे कानून बनाये और अपने क्षेत्र की जनता की समस्याओं को सुलझाने का काम करें मैं एक सीनियर सिटीजन हूँ पहली बार ब्लॉग लिखा है कृपया गाइड करें कि ज्यादा से ज्यादा लोगों तक कैसे पहुँचगा धन्यवाद

  2. Avatar for Himanshu sainiHimanshu saini

    Jumedeen sir yeh kehna koi bdi baat ni hogi ki apki har post always lajawab hoti or es post ne to wakai dhamal macha dia hai apki.. esse new Bloggers ko ek alg he motive or mistakes ko sudharne ka shandar moka mila hai.. thank yuu sir..

    ( 1 ) or bhai meri choti sie problem hai ek baat btao bhai mera custom domain ke liye AdSense approval pending pda hai 4 months se.. apse bht baar pucha maine ki ab tak approval kyu nhi mila apne har bar suggest kia meko jo apne kaha mne wo sb kia but fir b approval nahi mila.. ab aap ek baat btao ky ham kisi or site ke ads lga kar earning kar sakte hai apni Website par. ya nahi kyuki AdSense blogspot.com domain par approve ho gya tha but .com domain par approval pending hai 4 month se to approval pending rehte hua bhi kisi or site ki ads lga sakte hai ky ham apno Website par itna hamko custom domain par AdSense ka approval nhi milta…. btao please…

    (2). or ho sake to eska koi best solution bta do ki kaise jld se jld approval mil jye AdSense ka already bro 4 months ho gye pending pde hua ko..

    (3). or ek br website check karke ke bhi bta do ki koi kami hai ya nahi Website meh please bro…

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Laga sakte ho lekin adsense better hai, kar sako to domain change karke apply karo, approval mil jayega.

  3. Avatar for Yadav Pravin KumarYadav Pravin Kumar

    Bahot hi important tips jumedeen Sir aapki yeah conservative article reader ko bahot hi benefits degi thank you so much jumedeen Khan…..

  4. Avatar for RajendraRajendra

    Hello guide gear good morning my name is Rajendra from Rajasthan Jaipur aap K blog Ko many Ne Pehli Baar visit Kiya Hai Mujhe Kafi knowledge mila hai aapke article se Mysore se Prathna Karta Hoon aap ko Sa Dev kamyabi Hasil hoti Rahe blog mai aur Hame guide line dete Rahe Jeevan Mein Aage badne ke liye dear main Abhi Tak apni side Ja block nahi Banaya Hai Pichle Kahi Dino Se Mai vichar kar raha hoon Apna Ek blog banane ke liye par mujhe Uske baare mein jyada knowledge nahi hai isliye mai Pichle Kahi article on ko padhta aa raha hoon aur knowledge late aa raha hoon Taki Mera Jab blog jab mai likhu request block kar ki tarah likho Jiska article ko padne wala vyakti phir se read karne ka man Banaye Mujhe Umeed Hai Aapse ki Aap Mujhe Achche se guide Karenge Ek blog Banane mein Forex successful blogger Banane Divyang Rajendra dear Mera Sapna Hai Ek accha blogger banne ka my qualification only for 3 class but my Hosla blend hai Jiske Chalte main kuch bhi kar sakta Hoon kissing Vishay par search karke aspartic likhne ki Kala Ishwar Ne Mujhe god gift Mein Di Hai dhanyavad knowledge wale article available karwane ke liye.

  5. Avatar for PratibodhPratibodh

    Jume deen ji bohat hi badhiya article likha hai aapne. Hum jaise new blogger ke liye bohat hi helpful hai. Thank you so much.

  6. Avatar for Kavi rajKavi raj

    Dear Khan Shab
    Me kavi raj charan mene bhee bloging abhee abhee start kiya meri website hai currentindiagk.in jis par aap ek baar visit kar ke bataye ki isme kami kya hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mujhe lagta hai site kuch jyada hi colorful hai.

      • Avatar for KAVIRAJ CHARANKAVIRAJ CHARAN

        colorful nhi honi chahiye kya
        aap mujhe advise kro kasi honi chahiye
        khan shab

        KAVIRAJ CHARAN

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Site ka design jitna simple hoga utna hi achha hoga.

  7. Avatar for SantoshSantosh

    Thank you sir. aapne bahat achha article likha hai. maine bhi aapse inspired hoke blogging karna suru kiya hu. bass aapka aasirbaad chahiye. Dhanyabaad.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Why not bro bilkul kar sakte ho. Main aapke sath hu.

  8. Avatar for Priyanshu RajPriyanshu Raj

    Hi, I am thankful to you for sharing this awesome article with this helpful knowledge. this is the blog that provide the lots of good information thanks for provide such a good information.

  9. Avatar for Faizan SiddiqueFaizan Siddique

    Hello sir Maine ek blog bnayi h par vo Google par nhi aa rhi h, plz sir mujhe btaiye ki mujhe usme Kya Kya improvement Karni hogi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne blog ko google search console me submit karo.

  10. Avatar for niteshnitesh

    Thanks sir mene jab seo quake ka use kiya to usme alt tag ni dikh rha is liye pooncha tha Sir

  11. Avatar for niteshnitesh

    Sir kya google AdSense aur chitka ko ek sath use krna safe hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi nahi kar sakte.

  12. Avatar for niteshnitesh

    Sir blogger me image ki property me title text aur alt text me kis tarah likhe aur ve kitne word ke hone chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap kiske liye image add kar rahe ho wo likho jaise is post me maine blogging trick btayi hai to mai image alt tag me blogging tricks likhunga.

  13. Avatar for AbdullahAbdullah

    Bhai bahut badiya information deto hain aap…. Mujhe bhi apni site ki traffic aapke jitni badhani hai…. aur please mujhe suggest kijiye ki backlinks kaise banayein.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye aap supportmeindia ki SEO se related post padho.

  14. Avatar for Suraj BaraiSuraj Barai

    Jabardast article hai. Mujhe bhi ab success blogger banna hai.. Kya aap help karenge….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jarur karunga bro.

  15. Avatar for pappupappu

    Nice information sir ji u r great

  16. Avatar for jeet makwanajeet makwana

    Sir maine chitika aur infolinks me apna account banaya lekin usme maine apna neak name dala he jeet makwana jabki mera asli name he jitendra makwana to muje paise lene me koi dikkat to nahi hogi na me check se payment lena chahta hu please help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha hogi aapko asali name se account banana tha.

      • Avatar for jeet makwanajeet makwana

        Name change to ho gaya ab paise kaise milege?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          aap pahle kuch earning to karo jab aapki earning $19 dollar ho jaye to apna bank account add karna aapke bank account me paise aa jayege.

  17. Avatar for jeet makwanajeet makwana

    Me apne blog se bina AdSense ke ads lagaye earnings kaise karu?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko ads to lagane hi honge. AdSense nahi to affiliate marketing ya infolinks ke ads use karo.

  18. Avatar for jeet makwanajeet makwana

    Hi sir aap muje ye bataye ki me mobile se blogging karta hu to me mobile se code kaise search karu? Muje powered by blogger hata na he aur me Facebook like box stylish banana sahta hu please help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      mobile se search nahi kar sakte. wese hi dekh kar search kar lo.

  19. Avatar for Mahaveer JainMahaveer Jain

    Very nice Again , Apke Is tech blogger par kuch motivational Topic bhi milte hai hai jo har blogger ko Ek Confidence dene ka kaam karte hai… Ese hi Motivational Article apke Blog Ke liye Bahut jaruri hai.. Likhte Rahiye ..
    Thanks sir

  20. Avatar for DipankarDipankar

    Jume deen sir mere blog me abhi 4000+ p.v hota hai magar click 4-5 aa rahi hai, Or kuch din pahale 1500+ p.v hota tha tab 20-30 click ata tha kya prblm h? or kyu yesa ho raha h? Plzzz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      bro aaoke blog me koi kami nahi hai. aapne ad bhi sahi lagaye hai. ye aapke visitors par depend karta hai ki wo ad par click kare ya nahi.

  21. Avatar for chaitanya yadavchaitanya yadav

    Sir blog me direct adress kaise jodte hai jaise ki koi post ye hai
    Aap ka swagat hai mai yha aapko blo k bare me bta rha hu blogger acount bnaane ke liye yha clic kre ,,blogger ,,
    Tab is par clic krte hi blogger khul jata hai kaise

  22. Avatar for Amit tripathiAmit tripathi

    Thank you so much Jume deen bro for this post.
    i am a regular visitor of your blog and also share your blog with my friend too.
    aapki post me kafi achhi jankari di gyi hai jisme se mai kafi already follow kr raha hu or jo nhi kr raha jaldi hi unhe bhi karunga.

    kuch bate jo mai janana cahta hu or apki site me jo maine notice kiya hai unhe personal message me send kar raha hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Welcome amit kyo nahi aap contact form me message karo.

  23. Avatar for Pradeep TyagiPradeep Tyagi

    bahut hi achhi jaankari di apne ye sare hi points bahut important hai successful blogging ke liye. Thanx

  24. Avatar for niteshnitesh

    sir ji jab mera blog blogger pr hai jab me post likhtaq hu jab me kisi peragraph ko heading aur subheading bnata hun to uske word door door ho jate hai jisse read karne me paresani hoti hai kya karna chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      nitesh aapki template problem hai. aap ya to template change karo ya font style.

  25. Avatar for niteshnitesh

    bahut hi badiya jankari sir kisi word ki cpc ka matlab kya hota hai jaise
    Arduino-$0.25

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      cpc yani aapko ek click se kitne paise milte hai.

  26. Avatar for arvind chauhanarvind chauhan

    good morning bhai,
    bhai meri site jaankari4u.com ko banana hai. bhai meri site dekhakr mughe suggest karo ki mughe kya karna chahiye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Apne blog ki template change karo or blog me post likho.

  27. Avatar for PrincePrince

    Bahut hi badhiya post ki hai aapne
    Is post se sabhi bloggers ko ye pata chal jaayega ki unhone ab tak kya kya galti ki
    Aur ab ise kaise sudhare

    Ye baat to hakeekat hi hai ki jis blog me daily article nahi post hote us par visitor kam hote hain
    Maine SMI se bahut kuchh seekha h
    Isi tarah SMI ko aage badhate rahe

    Taaki ham bhi aage badhe

  28. Avatar for prashantprashant

    hlo sir
    mene 1and1.com se domain purchase kiya or blogger par redirect kiya 2 days ho gaye abhi tam site oprn nahi ho rahi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap domain setting me ja kar check karo ki forward hua hai ya nahi.

  29. Avatar for PrabhjitPrabhjit

    Mera blog check kare post ke niche comment box nahi show ho raha

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      apke blog par comment box show ho raha hai. Maine ache se check kiya hai.

  30. Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

    Bahut bdya jankari di ha apne bhai.
    Bhai google search results me kush results me discription 2 line ki hoti hai kuch me 4 lines ki.. aisa kiu hota hai..balke me discription seo ke hisab se likhta hu fer bhi fer bhi 1.5 line ki ati hai ya fer 2 lines ki hoti hai . Jayada discription show hone ka koi fyada h kya agar hai toh kasie full discription show kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google search engine apne hisab se 2 ya 4 lines show karta hai. Aysa sabhi ki post me hota hai.

  31. Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

    Jumedeen Khan ji blog post title ko h1 heading kaise banaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blogger ki template me editing karo. usme pahle see h1 tag hota hai.

      • Avatar for vikashvikash

        mera Samsung galaxy gts7562 4.0 ice cream sandwich hai usko kitkat ya lollipop me badalne ke liye kya karna padega bina computer pc ke upgrade karna hai ya computer se hi upgrade karna hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Vikash mai teck related post kam write kartahu. Isliye mujhe iske bare me jyada jankari nahi hai. So mai aapko iske bare me nahi bta sakta.

      • Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

        lekin mere blogger template me nahi hai. h1 heading kaise add kar sakate hai, kya aap bata sakate hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Comment box me coding show nahi hoig jo mai aapko bta saku. Aapko agar blogger kicoding aati hai to aap blogger template me .h1 {yaha font size colr code add karna hai} type se add kar sakte ho.

  32. Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

    Sir, Kya aap bata sakte hai ki mai hosting kahan se khridu. mai esi site Banana chahta hu uske liye blogger mere hisab se thik nahi rahega mera jo blog pehle blogger par hai use bhi sabhi WordPress par import karne ki salah De rahe hai to mai aapna dream project kaise bana sakta hu mujhe esa platform chahiye jispar mai lakho post kar saku maine team banai hai mai teamwork karna chahta hu mai har roz 100 post bhi karu to koi dikat nahi honi chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai aapko bluehost.com or hostgator.com se hosting lena suggest karunga.

  33. Avatar for rohaanrohaan

    Hy bro maine ek post ki thi jise or use crawl bhi kiya tha 1st page me show hota tha par google ne use remove kar diya

    Kyu remove kiya bhai??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko google ne iska message send kiya hoga. Ya fir kisi ne aapki post ki report ki hogi.

  34. Avatar for dilipdilip

    jab me comment karta hu to koi us comment se mere blog par aata hai to use profile show hoti h me hide karna chahta hu aap khud dekh le

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap kaha par hide karna chahate ho mere blog par ya aapke blog par.

  35. Avatar for priyapriya

    Jume Deen ji aap mere ek Doubt clear kare plz, man lijiye mene ek facebook page ko like kiya or us facebook page me daily kisi na kisi ka kahani share karte hai or us page me jo bhi kahani bagera share karte sab bo khud likh kar sahre karte hai, agar me avi un kahaniyo ko copy kar ke apne blog me post karti hu to kya ye copyright content hoga ??? isse google mere blog ko delete to nagi kar degi ???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha bilkul ho sakti hai. Aap kahi se bhi kisi ka content copy mat karo. khud original content likho.

  36. Avatar for arun yadavarun yadav

    hum ek hi bar AdSense ads code set kare har bar html me paste na karna pade ,matalb mere hisab se ek template me or el layout me AdSense me aap batao kaise set karu

    sportskeeda.com ka template bata do muje wahi template ads karna hai

  37. Avatar for jitendra shahjitendra shah

    Excellent site, thanks! I’ve bookmarked it

  38. Avatar for satyam kumarsatyam kumar

    brother maine bhi ek blog aapki help se creat kiya hai karib 6-7 mahine se me usko update kar rah hun lekin mai yah dekh rah hun ki mere vistter nhi jyada ho paa rahe hai aap ek baar mere is blog ko dekh le aur dekh kar usame kya kami aur mujhe vistter grith karne ke liye kya karu mujhe usake liye achchha sa domain naam bhu bataye .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapse bas ek cheez miss ho rahi hai. Aap SEO par dhyan do SEO friendly post likho.

  39. Avatar for vijay panaravijay panara

    Sir muje bata o ke Google search console ke settings kaise karte hai

  40. Avatar for Shaikh munnirShaikh munnir

    Aapne di jankari bhut hi sarhaniy hai bhai, jaise ki aapka khena hai ki us topic par post mat likho jispar phele se kisine post likhe ho. Isse aapke blog par kam traffic aayega lekin mera manna hai internet par kai sare new visitors aate rahete hai or untak hume vo jankari phichani chahiye jisse unki help ho.
    Sorry bhai kuch galat lage to maf karde actually mai aapka old visitors hu.

  41. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    sir agar mai apna blog ko WordPress me tranfr krunga to mujhe fir se webmaster me submit krna padega,,, aur jo mera traffic hai, low ho jayega ,,, kyunki sare post ka adress to change hoga na ya fir waisa hi rahega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes biklu ho jayega. But aap old domain ko new domain par reidrect kar sakte ho.

  42. Avatar for anuj godaraanuj godara

    jume deen bhai aap ne accha btaya hai. main bhi ek learner hu..

  43. Avatar for pravinpravin

    Thank you sir me ap use karte hai vahi templete me use karta hu dikat ye hai ki post mobile adhi hi dikhti adhe sabd kat jate hai post body border ko change kese karte hai vesa koi trick post kariye na.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Pravin aapne blog ki coding chedi hogi. isliye ye error aa raha hai. Bro mai post kar bh idunga. But aapko WordPress ki coding ki jankari honi chahiye. tabhi aap ye sab kar sakte ho.

  44. Avatar for Rahul yadavRahul yadav

    Sir, mai ek cheez jo bahut achche tareeke se janta hu ki yadi humne kisi vyakti ko dekha na ho aur usse humari bat ho to uski image humare andar jarur ban jati hai aur wo image bato se banti hai to mai sir aapse ye janna chahta hu ki aapki nazro me meri kaisi image banti hai vaise meri age 15 year 7 month hai. Sir btana jarur kyoki isse mujhe manovaigyanik taur bahut achcha clue milne wala hai. Sir please aapse request karta hu ki please btana jarur kyoki iske peeche mera koi swarth nahi hai balki meri soch hai aur mai ye aapse isliye puch raha hu kyoki aapke liye mai sabse jyada ajnabi hu. Please sir mai wait kar raha hu aapke jawab ka

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      @Rahul,
      Mai apne har visitor ko apna friend manta hu. Aapko bhi aap mere liye bhai ki tara ho. Or bhagwan ne chaha to akbhi mil bhi jayenge.

  45. Avatar for Manish SharmaManish Sharma

    Sir Ye Jankari Acchi lgi Traffic increase ke liy bhi batter hai.kya sir domian lene se bhi Seo Per kuch effect padta hai

  46. Avatar for Sahil kumarSahil kumar

    Aaap ke bare me main apne dosto se bhi baat karta hu jumedin bahi.

    Main jab 16 saal ka tah tab se hi blogging shuru kar di thi aur ab 19 ka hone tak jari hai. aap ki is post se mujhge apni kuch galtiya malum hui hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      @Sahil
      Mujhe isi bat ka afsos hai. kash ki mai 17 july 2015 se pahle blogging ke bare me jan pata.

  47. Avatar for Amar BanshiwalAmar Banshiwal

    Blog ki traffic badhane ke super tips hai. Thanks

  48. Avatar for Rahul yadavRahul yadav

    Sir ek bat to aapne bahut hi keemti likh di hai ki readers ke kahne par post likho jisse bahut sare fayde hai. Ye to mera hi practical kiya huaa hai ki jis din se aapne mere kahne pe wp dns wali post likhi hai. Us din se mai aapka fan ho gya hu. Ha ek bat aur aapki post ka wakai me purn din intzar rahta hai. Mujhe us din ka intzar hai jab aap india ke no. 1 blogger banoge aur hum iske liye apne freinds se kahe ki ye wahi hai jinki site ka mai shuru se hi regular visitor hu. Ab post ke bare me kya kahna vakai me unique hai aur sir 5 minute me search me aa gai thi. Bas sir margdarshan karte rahna. Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      @Rahul
      it;s my pleasure bro. aap jaise dosto ki wajah se hi aaj mai yaha tak pahucha hu. Aap sabhi ko 1000ro bar thanks.

  49. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    Bhai 95% blogs comments ko nofollow karte hai toh hamein unn comments se backlinks nahi milta, kya koi solution hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ankit aap comment me kam se kam 4 lines use karo or post ke bare me jarur likho. Blog Ke Liye Comments Kyu Jaruri Hote Hai post me jo tarika btaya hai. use follow karke comment karoge to backlinks jarur milenge.

  50. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    Nice tricks waise bro aap ek post me kitne words use karne ki koshish karte ho ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai ek post me kam se kam 1000 words to use karta hi hu. is post me 2700+ words hai.

  51. Avatar for Ravi Kumar sahuRavi Kumar sahu

    bahut achhi, bhaiya please aap aise article ko share kabhi share na karne ke bare me sochna, aapne upar bataye the, isme kuchh aisi point hogi, Jo aapko pasand nahi bhi aayegi,
    but maine wo point dhundha mila hi nahi, kahi as bhi nahi, aap apne bare me bhi kuchh -kuchh batate rahe

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      @Ravi,
      Thanks bro, maine isliye kaha ki kya pata kisi ko mere thoughts pasand nahi aaye.

  52. Avatar for Ajay kumarAjay kumar

    Hello sir mein aapki sari blogging jankari ko padha aur blogging mein kuch karna chahta hoon but mere pass koi computer nehi is haul mein Abhi mein kya Kar sakta hoon aur blogg Jo post hoga WO kya hum kisi dusri site se copy Na karke use follow karke hum daal sakte kya ? Jaise ki kuch naya information ko use copy Na karke use note karke apni blog post bana skate kya ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi dal sakte, bina PC ke kuch nahi kar skate. aapko computer ki jarurat padegi.

  53. Avatar for sandeep Kumarsandeep Kumar

    Brother apki post acchi hoti hai. Thanks for sharing.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...