Main daily blogging karta hu or har roj kai logo ko dekhta hu jo blogging start karna chahate hai. Wo blogging ke bare me kuch aesi bate karte hai jo 99% galat hoti hai. Ye blogging myths or false things bahut se newbie blogger ko misguide kar deti hai. Is post me main blogging ke bare me 10 aesi bate btaunga jo puri tarah se sahi nahi hoti hai.
Har field ki tarah blogging ke bare me bhi aesi afwah faili huyi hai jo sirf logo ko bevkoof banane ke liye hai. Ye un bloggers ki kahi bate hoti hai jo kisi wajah se blogging me success nahi ho paye ho or new blogger in par aasani se wishwas kar leta hai.
Mujhse har roz kuch user blogging ke bare me aese sawal puchte hai jo bilkul gaalt hote hai. Ye post main siliye lik raha hu taki is post ke jariye blogging ke bare me jhoothi bato ko samne la kar new bloggers ko misguide hone se rok saku.
Table of Contents
- 10+ False Things About Blogging That Misguide Blogger in Hindi
- 1. Blogger Platform Par Success Nahi Ho Sakte
- 2. Free Platform Se Earning Nahi Kar Sakte
- 3. WordPress SEO Ke Liye Jyada Better Hai
- 4. Hindi Blogger Ka Koi Future Nahi Hai
- 5. WordPress Blogger Se Better Hai
- 6. Free Theme Bahut Hai to Paid Theme Ki Kya Jarurat Hai
- 7. Bahut Sare Plugin Blog Ko Barbad Kar Sakte Hai
- 8. Blogging Se Paise Kamane Ke Liye Invest Jaruri Nahi
- 9. Daily Article Publish Karna Jaruri Hai
- 10. Blog Ki Alexa Rank Jitni Kam Hogi Wo Utna Hi better Hoga
- 11. WordPress Par Traffic Jyada Milta Hai
- 12. Blogging Har Koi Kar Sakta Hai
- Conclusion
10+ False Things About Blogging That Misguide Blogger in Hindi
Blogging myths par believe na karke uski sachai pata kare or galat bato me aa kar apna blogging career barbad na kare. Is post ko carefully read kare taki blogging ke bare me aapki bhi misunderstanding dur ho sake.
1. Blogger Platform Par Success Nahi Ho Sakte
Kuch log sochte hai ki google ke free blogging platfrom blogspot par successful nahi ho sakte or success hone ke liye aapko wordpress par blog banana hoga tabhi aap serious blogging kar paoge.
Wrong, ye bilkul galat hai. Aapki success platform par nahi aapki jarurato par depend karti hai. Agar aapki jarurate blogspot free blogging platform se puri ho jati hai to aapko wordpress par jane ki jarurat nahi hai.
Main is bare me already bta chuka hu. Iske liye aap humari ye post check kare, Blogger Platform Par Blogging Me Success Ho Sakte Hai Ya Nahi.
2. Free Platform Se Earning Nahi Kar Sakte
Maine ye bahut bar suna hai ki blogger jaise free platform par google adsnese ad placement sahi se nahi kar sakte isiliye aap blgoger par ra kar jyada earning nahi kar sakte.
Wrong, aesa kuch bhi nahi hai haa blogger par ad placement sahi se karne ke liye aapko basic coding knowledge ki jarurat padegi. Agar aapko basic HTML, CSS aati hai to aap ye aasani se kar sakte ho.
3. WordPress SEO Ke Liye Jyada Better Hai
Bahut se logo ka manna hai ki wordpress SEO ready hota hai or us par aapko search engine optimizing karne ki jarurat nahi hoti, aapko sirf content likhna hai.
Wrong, aesa bilkul bhi nahi hai SEO platform se jyada aapke experience par depend karta hai. Agar aap ek hi post me 500 tags add kar do to kya aapka content SEO friendly hoga. I think bilkul nahi aapko maximum 3-5 tag add karni chahiye. I hope you understand.
4. Hindi Blogger Ka Koi Future Nahi Hai
Bahut se english blogger ko aesa kahte huye suna hai. Inme se kuch log to hindi blogger par haste hai shayad unhe hindi blogger bevkoof lagte ho.
Wrong, ye bat bilkul galat hai ki hindi blgoger ka koi future nahi hai haa aap ye kah sakte ho ki kuch hindi bloggers ka future nahi hai. Kisi ek ki galti ki wajah se hum sabhi ko doshi nahi thahra sakte.
Important: Iski wajah hindi bloggers se hone wali mistakes hai agar aap chahate ho ki duniya hindi blogging ko bhi achhi nazro se dekhe to aap aesi galtiya na kare.
5. WordPress Blogger Se Better Hai
Aap ye sawal kisi se bhi puch lo uska ek hi jawab hoga ki wordpress blogspot se better hai. Actually, mostly expert is question ka answer samne wale ke bare me jane bina hi anwer dete hai.
Wrong, ye bat 100% sahi nahi hai. I know wordpress blogger se better hai lekin har person ke liye nahi. Agar samne wale ko personal blogging karni hai to use wordpress suggest karna galat hoga.
6. Free Theme Bahut Hai to Paid Theme Ki Kya Jarurat Hai
Bahut se blogger ka kahna hai ki wordpress or blogger ke liye internet par thousands themes / template available hai fir wo paid theme kyu use kare.
Wrong, ye bat bhi galat hai. Paid theme ke apne benefits hote hai jo aapko ek free theme se milna mushkil hai. Iske bare me hum already explain kar chuke hai.
7. Bahut Sare Plugin Blog Ko Barbad Kar Sakte Hai
I hope ye to aapne suna hi hoga, agar nahi bhi to main aapko bta du ki bahut se blogging expert aesa kahte hai but unka kahne ka matlab ye nahi hota hai user uska galat matlab nikal lete hai.
Wrong, Ye bat 100% galat hai. I sure aapne ye kisi professional blog par padha hoga but uska matlab bahut sare plugins se nahi hota unka matlab hota hai bad plugins se.
Yani aapki site ko bahut sare plugin nahi bad plugins barbad kar sakte hai. Agar aap sahi plugins use karte ho to koi problem nahi hogi.
8. Blogging Se Paise Kamane Ke Liye Invest Jaruri Nahi
Aaop blogger par free blog bana sakte ho or google adsense or affiliate marketing programs etc. ke liye apply karne ke liye bhi aapko koi charges nahi dene padte. Is wajah se hum ye kah sakte hai ki blogging se paise kamane ke liye investment jaruri nahi hai.
Wrong, Agar aapko blogging se lakho, croro kamane hai to aapko blogging me money invest karni hogi. Aap apni site par jyada audience lane ke liye advertising kar sakte hai etc.
9. Daily Article Publish Karna Jaruri Hai
Ye sabse bada blogging myth hai. Aksar logo ko kahte huye suna hai ki blogging me safal hone ke liye aapka daily post share karna jaruri hai.
Wrong, Nahi dear aesa kuch bhi nahi hai. Har roj post likhne se jyada jaruri hai quality content likhna. Aapki favorite SEO blog backlinko.com par 40 se bhi kam posts hai.
10. Blog Ki Alexa Rank Jitni Kam Hogi Wo Utna Hi better Hoga
Aksar newbie people websites or blogs ko alexa rank se dekhte hai. Unhe lagta hai ki jis site ki alexa rank jitni achhi hogi wo site bhi utni hi achhi hogi.
Wrong, Ye bat 100% galat hai. Agar aap alexa plan buy kar site certify kar lete ho to aapki site ki alexa rank 50% ya isse bhi jyada improve ho jayegi.
11. WordPress Par Traffic Jyada Milta Hai
“Sir agar mai blgoger se wordpress par move karu to mera traffic badh jayega” ye sawal mujhe kai user puch chuke hai. New blogger ko ye confusing rahti hai ki agar wo blogger se wordpress par jayenge to unka traffic badh jayega.
Wrong, Ye to 101% galat hai. Aapki site ka traffic blog platform par par nahi aapke content ki quality or aapke work par depend karta hai. Aap jitna achha content likhoge aapko utna jyada traffic milega or utni adhik income hogi.
12. Blogging Har Koi Kar Sakta Hai
Aaj kal yahi chal raha hai. Kuch logo ko lagta hai ko koi bhi aaya or blogging me success ho gaya. Unhe ye sab bahut hi aasan kaam lagta hai.
Wrong, Blogging koi bhi kar sakta hai lekin blogging har koi nahi kar sakta. Iske liye aapko blogging ke bare me basic information or experience hona jaruri hai tabhi aap serious blogging kar paoge.
Conclusion
Ye thi blogging ki top 10 false things jinki wajah se new blogger ko misguiding hoti hai. I think ab aapko inke bare me pata chal gaya hai or aap ye sab galtiya na karke serious blogging karoge.
Ye bhi padhe,
- Blogging Karne Ke Fayde or Nuksan (Blogging Pros and Cons)
- Event Blogging Kya Hai – Event Blogging Se Paise Kaise Kamaye
I hope aapko ue article pasand aaya hoga agar ha to ise other blgogers ke sath share jarur kare. Agar aapko inke alawa koi or blogging myths ke bare me pata hai to comment box me jarur btaye.
Juhi Rani
Good, inme se maximum chijen hamne bhi suni hai. But kabhi dhyan nahi diya. Or apne ek baat sahi kahi ki blogger ke jarurat ke hisab se platform hona chahiye. Chahe blogger ho ya WordPress.
Sir mere new blog ke liye hame template me ek chhota sa change karna hai bas. Post ke h2, h3, h4 heading font ko bold karna hai, top margin badhana hai or font color change karna hai. Hamne bahut tarah se coding kar ke try kar liya. But nahi hua. Ap suggestion dijiye. Ki ham ise kaise edit kar sakte hain.
Jumedeen Khan
Ye code use karo.
h1,h2,h3,h4,h5,h6{font-color:red;margin-top:10px;font-weight:bold!important}
Manu Kumar
hello sir apne kaha blogger best hai but apne is article me to wordpress better batay … its confusing https://www.supportmeindia.com/new-blogger-blogging-mistakes/
Jumedeen Khan
Dear kya best hai wo main ya aap nahi balki user ki needs and budget par depend karta hai.
Chandan
nice bhai
kya jyada backlinks banane se blog rank hoti hai, ya quality content likhne se???
Jumedeen Khan
Dono se.
Rupendra kumar
bhai kya gmail par 2 step verfication lagane ke bade koyi bhi hamari blog hack nahi kar sakta hai, i mean ki 2 step verfication se gmail 100% secure hai
Jumedeen Khan
Nahi kar sakta. Password hack karne ke bad bhi wo log in karega to 2 step OTP code ki jarurat hogi.
Anand
Sir, Mere blog me visual editor show nahi ho raha… M WordPress 4.9.1 use kr raha hu….
Jumedeen Khan
Sabhi plugins ko disable karke check karo or dath hi user profile setting me ja kar visual editor wale option ko untick karo.
IndrasiNh Solanki
Bahut badiya post….
Aapne bahut acche se explain kiya hai… Realy help full Post. …
krishna
sir har new blogger focus keyword kaise use kare ye nhi janta yadi ham hindi me title use karte hai to kaise pata kare ki iska sahi focus keyword kya hoga iske bare post likhe please
Sarik Ansari
Sir, maine aap droplet liya hua h aur aap dvara 10$ bhi mila pr ssl certificate kaise activate krte hai digital ocean se..
Jumedeen Khan
Iske bare me digitalocean par article mil jayega ya fir aap cloudflare use karo.
anoop bhatt
thanx sir aapke is article ko pad kar maza aa gya
kunal jadhav
aur ye bhi kaha jata hai ki koi bhi post 1000 se kam word ki hogi to search me index nahi hoti..meri to kuch 50 word ki post search me top pat hai..
Jumedeen Khan
Ye bat 100% galat hai. Post unique ho chahe 300 words hi kyo na ho.
Sahil Kumar
जुमेदीन भाई, आपकी सभी बताई बातें बिलकुल सही है, हांलाकि मेरे भी कुछ विचार थे।
मै ये मानता हुँ कि अगर हमें हिंदी ब्लॉगिंग से कमाई करनी है तो ब्लॉगर की जगह वर्डप्रैस ब्लॉग बनाना ही पड़ेगा, क्योंकि इसमें कई सारे फीचर होते है।
भाई Theme वाली बात आपसे Clear करना चाहता हुँ। मैं पिछले 2 साल से अपने ब्लॉग पर वही Ribbon theme use कर रहा हुँ फ्री वाली जो आपने शुरू में की थी। क्या ये सही है, अगर नही, तो मुझे कौन सी थीम उपयोग करनी चाहिए?
धन्यवाद।
Jumedeen Khan
Ye theme sahi hai but jaisa ki maine kaha haui paid theme ke apne benefits hai. try genesis.
Hajari prasad
Bhai blogger par sahi ad placement kaise krna hai main samjha nhi. Ish se aapka matlab kya hai ?
Please aap check karke btao na ki mere blogger blog par ads sahi se place hai ya nhi, and kuch changes krna chahiye kya
Jumedeen Khan
Iska matlab aap wordpress par easily plugin se ad laga sakte ho but blogger par thoda mushkil hai. Please use contact forum for unrelated question.
Rajat Das
Thank you sir, aaj se me bhi apni site par hindi me likha karunga… Sir ek Question hai mera english keyword to aasani ke mil jaate hai lekin hindi keyword ko kaise use kare?? Big Confusion!
Jumedeen Khan
Need researching.
Deepesh Pandole
Jumedeen sir bahot badiya jaankari share ki hai aapne
Radhe Gour
aapne achchi baat batai hai….sir aapse ek sabaal hai mere purane sabhi post me google adsense ke ads show ho rahe hai. mene do naye post likhe hai lekin dono post me kisi bhi tarah ki ads show nahi ho rahi hai kya aap bata sakte hai kya problem ho gayi hogi please sir jabaab jarur dijiyega
Jumedeen Khan
Kuch time bad show hone lag jayenge.
aslam
bahut accha jankari hai bhai, mera ek sawal tha adsense ko lekar kya aap bata sakte ho jab blog ke kisi page par adsense Violation hota hai tab wo adsense police center me kitna din raheta hai review submit karne ke liye, mujhe ek mail aya tha 7 din pahle but kal hi wo dekhamain 7 din bad to mujhe Adsense violation ka mail aya tha but adsense dashboard par kisi tarha koi notifition nahi mila tha nahi police center me kuch hai…. plz ans
Jumedeen Khan
Its adsense bug aapko jis page par violation mili hai us issue ko fix kar lo.
aslam
thanks bhai but mujhe kuch bhi nahi bataya hai kosa page me problem hai kuch bhi nahi bataya just ek email aya aur kuch bhi nahi mila adsense dashboard ke under… plz last iska jawab dijiye plz
Jumedeen Khan
Fir tension mat lo ignore this.
Mahipal m
Bhai Jaisa ki Maine notice kiya Hai Agar koi person internal aur external linking bahut karta Hai to uski Alexa improve ho jati Hai. Apka is par Kya khayal Hai ??
Jumedeen Khan
Wrong.
Vishnu Singh
Sir, i think aapko ak post esa likhna chahiye jisse newbie bloggers ko moyivation mile.
Jese ki jo newbie blogger hosting or domain afford nhi kr skte hai vo blogger platform pr blog bna kr km se km itni earning kr skte hai ki vo wordpress hosting or domain le skte.
Agr aap esa post likhoge to newbie bloggers ko thoda confidence aayega jiski unhe jrurat hai.
Kyuki aap jese proffesonal bloggers ka motivational newbie bloggers ke liye bhut mayne rakhta hai.
Jumedeen Khan
Ok vishnu bro jarur likhunga.
Manoj Yadav
Kya mai themes ka blog bnakar AdSense se earning kar sakta hu…
Jumedeen Khan
Yes.
Deepak kumar
Really sir ye article har beginner ke liye jaruri hai…..
isse mind me hone wale 90% confusion door ho jayege….
Thanks sir is post ko padkar bahut accha laga
Dev rathore
Wao….ye baat.
agar aapki ye baate sab newBie samajh jaaye to shayad Hi uNKo problem aaye
achhi baate batayi Bhai aapne
Sandeep
Bhut hi badiya post hai bhai ….aapse request hai ki aap seo se related myths ke baare me batao …plz
Jumedeen Khan
Look here SEO Ke Bare Me 10 Jhuthi Bate Jinhe Hum Sach Mante Hai
Hussam Ansari
Aapne Bahot important information diya hai Specially ye new bloggers ke liye bahot useful post hai.
dharmesh rajput
Help full article
Umesh Ninawe
Great share sir
Aapne jitne bhi baate batayi hai sab boht hi usefull hai