Market me bahut sare high-tech software available hai but jaruri nahi hai ki wo sabhi har ek user ke kaam ke ho. Aapke computer / laptop system me jitne kam software honge wo utna hi fast run karega sath hi kam software use karne se hanging or slow work karne ki problem bhi nahi hoti hai. Is post me mai aapko jin 10 desktop softwares ke bare me bta raha hu unse aap bahut sare kaam kar sakenge.
Internet par aapko desktop ke liye bahut sare software mil jayenge but mai yaha aapko un softwares ke bare me bta raha hu jo har user ke kaam aate hai or jinki lagbhag daily work me jarurat padti hai.
- Computer Ki Screen Record Kaise Kare Bina Kisi Software Ke Youtube Se
- Computer Kya Hai – Computer Ki Puri Jankari Hindi Me
Fir bhi aap apni pasand ke software ko try kar sakte ho. Kyuki har kisi ki pasand alag hoti hai koi online game khelna pasand karta hai, koi news, comics padhna pasand karta hai or koi online work karna.
10 Free Software Jo Har Computer / Laptop User Ke Kaam Aa Sakte Hai
1. Free download manager:
Agar aap downloading karne ke bahut jyada shaukin hai to ye software aapke liye hi hai. Actually kei bar downloading karte time bich me internet connection slow ho jata hai ya cut ho jata hai jis wajah se koi bhi software full download nahi ho pata hai or internet connection error show hota hai. Isse user ko wo software fir se download karna hota hai. So is software ki help se aapki ye samsya khatm ho jayegi kyuki ye kisi bhi downloading ko resume or pause karne ka option deta hai.
2. Youtube Downloader HD:
Agar aapko video dekhna ka bahut shok hai to aap aksar apne computer ya laptop PC me YouTube par video dekhna pasand karte hoge. Youtube ek aysi duniya hai jis par aapko lagbhag har tarah ke video mil jate hai. Ye video 3gp, mp4, mpeg, HD me hote hai or ab to isme 4k quality bhi aa gayi hai. Ayse me agar aapko internet connection slow hai to bar bar video buffering problem hogi jisse video dekhne ka maza kharab ho jata hai. Isiliye aap YouTube downloader HD softwares install kare. Isse aap kisi bhi video ko online dekhne ke sath download bhi kar sakte ho.
3. Adobe Reader:
Kisi bhi desktop ke liye adobe reader software bahut jaruri hota hai. Lagbhag 90% laptop / computer me ye adobe reader mil jayega. Kyuki jab bhi user online ya offline koi PDF file ko open karta hai to uske liye adobe reader ki jarurat hoti hai. Iske alawa E-book ya dusri e-files ke liye bhi iski jarurat padti hai.
4. Read It Later:
Ye software un users ke liye hai jo online internet par articles, news, comics padhna pasand karte hai. Wo read it later ki help se kisi bhi page ko save kar sakte hai or use bad me internet connection ke bina bhi offline un pages ko padh sakte hai. Iski important bat ue desktop ke sath sath smartphone me bhi application ki tarah work karta hai.
5. Eraser:
Kisi bhi laptop and computer me anti virus ka hona bahut jaruri hai. Jo aapke PC ko protect karta hai or jisse computer ki security bani rahti hai. Eraser bhi ek aysa hi software hai jo anti virus ki tarah kaam karta hai. Iski help se aap computer me mojood extra and unwanted files ko delete kar sakte hai. Sath hi agar aap apna system kisi or ko use karne ke liye kisi or ko de rahe hai to eraser bahut kaam ka sabit hoga.
6. IObit Toolbox:
IObit toolbox software user ko 20 ayse tool offer karta hai jinki madad se aap apne system me mojud koi bhi problem ko solve kar sakte hai. Iski madad se aap kabhi bhi kahi bhi apne PC ko repair kar sakte ho. Ye software us time bahut kaam aata hai jab computer ke kuch software work karna band kar dete hai.
7. Connectify:
Agar aap pane computer laptop ko Wi Fi hotspot ki tarah use karna chahate hai to ye software aapke liye bahut kaam ka hai. Iski help se aap apne PC ko aasani se wi-fi hotspot me badal sakte ho. Ye other device ke liye internet connection provide karta hai.
8. LogMeIn Hamachi:
Is software ki help se aap apna VPS (vartual private network) generate kar sakte ho. I mean isse aapka internet connection humesha secure rahega or us par koi virus ya hackers attack nahi kar sakega. Internet connection ke sath hi is software se aapka computer bhi safe rahega.
9. Virtual CloneDrive:
Is software ki madad se user apne computer me vartual CDs and DVDs ko hard disk drive me copy kar sakta hai. Yani ki aap kisi bhi CD ka data apne pc ki hard drive me copy kar save kar sakte ho. Iska sabse badiya fayda ye hai ki iski wajah se aap optical clonedrive ko avoid kar sakte hai.
10. Battcursor:
Ye softaware mostly laptop ke liye hai jo aapke laptop ki battery time ko increase karne ke kaam aata hai. Isse jab aap laptop me koi free software use kar rahe hote ho to ye use customize karta rahta hai.
- Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe
- Computer Ki Top 10 Cool Tricks Jo Aapko Bana Degi Power User
Agar aapko inke alawa kinhi or softwares ke bare me pata ho jo laptop / computer user ke kaam aa sakta hai to aap comment me uske bare me bta sakte ho. Aapki wajah se humare reader ki help ho sakti hai. Sath hi is post ko social media par share jarur kare.
Bhagat
Wash Khan bhai, aapne to kafi acchi list di hai, mai to 2 salon se free download manager use kar raha hoon, kafi acchi speed se download hoti hai.
rohaan
aap kaise no follow karte ho ? plugins se ya htnl se agar plugin se to koi achha sa plugin baitaiye jiska use kar sake
Jumedeen Khan
Mai aysi site ke link post me add hi nahi karta jin par mujhe lagta hai ki ye bad site ho sakti hai. Aap google me search karo jis par jyada downloads ho wo use karo.
rohaan
Wordpreas me kisi bhi post me agar internel aur externel link add karte hai to wo dofollow ho jata hai aur kahi nofollow ka option bhi nahi hota, links ko nofollow karne ka kuch upay hai ??
Jumedeen Khan
Aap manualy link me nofollow code add karo ya iske liye plugin use karo.
kassim
Ek post me kitne add laga sakte hai, that mins kitne link add aur kitne tex & display
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
Mo Aziz
Good Info Bro I am Impreese
Bahut hi badiya Software hai Inme se Kuch Soft Mai use karta hoo
Ravi Rajan Sonvane
good evening Sir…
sir.. kya mai jan sakta ki hum Jo bhi blog ,YouTube AdSense website others kamo me
Question 1– kya me paise kma sakta hu agar paisa to mujhe kese pay hoga
or
Question 2– but mai khan se shuru karu kam ko blog se ya website
Question 2– kese jaldi successful hounga plzzzz plzzz bataiye
Jumedeen Khan
1. ha kama sakte ho paisa direct aapke bank account me aa jayega. aapko sirf AdSense me apna bank account number add karna hota hai.
2. aap blog se shuru karo. Sabse pahle aap blogger.com par blog banao.
Md Saban
Great list of softwares…. mai apne laptop par connectify use karta hu
sir mere blog par “www.mydomain.com/sitemap_index.xml” par page not found bta raha hai… please help
Jumedeen Khan
Aap yoast seo plugin me sitemap option ko enable karo.
Md Saban
sir maine enable kr rkha hai….. maine plugin delete karke dubara install krke bhi try kiya… lekin same problem
Jumedeen Khan
Aap sirf sitemap option ko disable karke fir se enable karo ho jayega.
rohaan
bro aapne cloudflair ke bare me bataya tha pahle mera sawal usi se related hai , mera doamin godaddy se hai aur cloudflair setup karne ke last stage me name server change karne bol raha par mera godaddy ka domain me name server change nahi ho raha ab mai kya karu? sab try kar ke dekh liye
Jumedeen Khan
Aap godaddy site par jao or domain ke samne dns setting par click karo yaha sabse niche aapko name server ka option mil jayega.
jamal
Sir Bahut Badhhiya Article hai.. 4. Read It Later: ke bare ma jyada jankari do .. software ka name ya link do
Jumedeen Khan
Jamal aap is software ko google me search karo iska link mil jayega.
Kabir
Bahut hi acchi tips hain. Har kisi ke desktop mein yeh software hone hi chahiye. Thanx Bro.
vakil shaikh
thank you jumedden aap nahi help karte to mai blogging chodne wala tah or fir kabhi start karne waala tha magar thank very much bhai . hamare yaha line ka problems bahut hai isliye post nahi kar pata abhi barsat ka time haina isliye. magar mai roj post karuga na to humkhas traffic badega so thanks you so much jumedeen bhai
chenaksha dhomane
Achi information btayi hai apne..
mera ek sawal hai ki .. mere
blog me add lgane ke bad maine
domain name
lgaya hai to webside me add kyu
show nahi ho rahi hai…
pls help me…
Jumedeen Khan
Aap apna domain AdSense me add karo tab ads show honge ye post padho Google Adsense Me Website URL Kaise Add Kare
Umesh Chavan
Hello, Bro Maine Hosted account me site add ki thi to mujhe ye mail aaya hai. Koi bhi specific reason nahi diya hai kya karu.
Jumedeen Khan
Report ke anusar aap google terms ko follow nahi kar rahe ho. Ab aa[p check kar lo ki aapne kaha google guidelines ka ullaghna kiya hai.
Umesh Chavan
Ye kaise check karu. Meri site pe to copyrighted content nahi hai. na hi koi hacking ki post to kya karu.
Jumedeen Khan
Google ki report me aysa kuch nahi diya gaya hai aap google webmaster guidelines padho. ye post bhi padho 50 Reason Jinse Aapki Site Ko Google Se Penalty Mil Sakti Hai
sandeep tak
sir. maine 10 din pahle payapal a/c banaya sab add kar diya profile 100% complit but abh bhi ye notifiction aaTo receive payments as per Indian regulations, please complete your tasks rha hai plz help
Jumedeen Khan
Aap check karo ki abhi or kya baki hai or use pura karo ya fir uske bare me mujhe btao.
zishan ali gulzar
Sir google webmaster me Warning diya hai aur ye msg show kr rha he —When we tested a sample of the URLs from your Sitemap, we found that some URLs were not accessible to Googlebot due to an HTTP status error. All accessible URLs will still be submitted.,,,, kaise thik kare
Jumedeen Khan
Aapne blog me se kisi post, page ya coategotry label ka link change ya delete kiya hai isliye ye error aa raha hai aa psearch console me us error par click karo uska URL mil jayega. ye problem ek do din me apne aap solve ho jayegi.
Arvind Kapoor
Sir mere paas ek blogger ki bahut best template hain aur main chahta hu ki wo main apni WordPress site main lagau kya blogger template WordPress per convert karke lag jata hain ???
Please tell me sir ???
Jumedeen Khan
Nahi aa pblogger template ko WordPress me use nahi kar sakte.
Arvind Kapoor
Sir question aur hain Webmaster tools main kitney domain add ho sakte hain
Jumedeen Khan
Aap jitne chaho kar sakte ho.
Saeed Saiyad
Hi, Jumme deen bhai
Mere blog pe ek problem he google jitna traffic aana chahiye utna nahi aaraha he .
social media or google ka traffic harroj sem hi rahta he.
google se jyada traffic q nahi aaraha he.
plz mera blog dekh ke bataiye.
Jumedeen Khan
Aapka blog hinglish me hai or ab google hindi ko jyada support kar rhaha hai sabhi hinglish blogger ke sath aysa ho raha hai mere sath bhi.
pramod
achhi jankari dee aapne is post me
thanks
Shahadatsherani
Masha allah very important information agar inke link saath mein dedete to aur bhi achha hota sir fir bhi laptop ke liye best softwaer downlod kahan se karen isska link bhejden meharbani hogi thanksgiving
Jumedeen Khan
Aap web store or google me inka name type karo software mil jayega.
vivek choudhary
jumedeen ji mere sath ek bohot badi samasya ho gayi hai please ignore mat karna.
mere blog me 28 posts hai aur search console me 25 post submittef dikha rahi hai. index hone ki to chhodo submit hi nahi ho rahi hai. aur wo post google me poora title aur apni site ka naam likhne me bhi search me nahi aa rahi hai.
Jumedeen Khan
Aap site:example likh kar search karo or pata karo ki konsi post index nahi ho rahi hai fir unse optimize karke unki kamiya door karo.
vivek choudhary
1. Wo google search me aaye chahe na aaye. search console me submitted to dikhati.
2. kya me search console me 1 hi site ko 2 baar add kar sakta hu ek www. ke saath aur ek www. ke.
Jumedeen Khan
1. Search console me wohi post sumbit dikhegi jo search me aa rahi hai.
2. Nahi aap ek sitwe ko do bar add nahi kar sakte.
vakil shaikh
thank you jumedeen bhai site ki trafffic nahi bad rahi hai mere site me kuchna kuch problems jaroor hai jumedeen bhai aap check karke bataiyena bhai
Jumedeen Khan
Koi problem nahi hai aapne domain change kiya hai so traffic badhne me time to lagega.
shah aalam
Bhaiya mai shah aalam bhaiya ji hamara website hai (shah aalam.786blogspot.com ). Hair isme ham apna post lagana chahte hai to kaise kya kare bgaiya plaza
Jumedeen Khan
ye post padho Blog Par New Post Kaise Upload Karte Hai Hindi Me Jankari
zishan ali gulzar
SIR kripya ye dono ka matlab samjhayenge aur ise kaise use kare ,, 1. 45% of the sentences contain more than 20 words, which is more than the recommended maximum of 25%.Try to shorten your sentences.
2. 0% of the sentences contain a transition word or phrase, which is less than the recommended minimum of 30%.
Jumedeen Khan
Aap google translater se hindi karke inko samjh sakte ho.
Anas khan
Hello sir Aapka Blog website jaisa kaise hai Mera Blog to Bhout he bekr Sikh rha hai Main aap ko screenshot send kro But kha FB ya whatapp pr
Jumedeen Khan
Aap blog ki template change karo.
Agha Hassan
Bhai mene blog bana liya ab me blogging ki full technolagy knowledge sikhna chahta hun. Ab blog to bana liya ab mojhe aghe kiya kiya konsi chizen blogger se jode sikhne chahiye. please guide me.
Jumedeen Khan
Hassan sabse pahle aap ye pata karo ki aapko interest kisme hai fir usi topic par post likho.