New blogger se galti ho hi jati hai. aap or humse bhi hoti hai. Magar sabse badi galti tab hoti hai jab hum galti ka pata chalne ke bad bhi usme sudhar nahi karte. Jab maine blogging start ki to mujhse bhi bahut sari mistakes huyi but jab mujhe inke bare me pata chala to mujhe sari mistakes theek karni padi. Aaj is post me main aapko blogging me hone wali aysi hi kuch miskakes ke bare me bta raha hu ho sakta hai aap bhi wo mistakes blogging me kar rahe ho.
Hum jante hai ki blogging aasan nahi hai or iske liye bahut kuch sikhne ki jarurat hoti hai. Is post me hum blogger se hone wali mistakes ke bare me bat karenge jo aapke liye bhi helpful sabit hogi. Jab hum blog par new post publish karte hai to post ko SEO friendly or visitors pasand ki banane ke liye bahut mehanat karte hai. but fir bhi humse kuch mistakes ho jati hai jinki wajah se search engine or visiotrs dono humari post ko ignore kar dete hai jiski hume khabar tak nahi hoti.
Agar aap bhi SEO ke bare me aysi mistakes kar rahe hai to aap blog traffic increase karne ke bajaye disscrease kar rahe hai so aapko success blogger banna hai to ye mistakes aapko solve karni hogi. Jinke bare me main us post me details se bata raha hu aap follow kar sakte hai.
Blog Ki Traffic Loss Karne Wali 10 Big Mistakes
1. Missing Sitemap
blogger ki ye sabse badi galti hai. blog ko search console me to add kar lete hai but blog ke sitemap ko search console me add nahi karte. sitemap blog ko search engine me lane me sabse important hai.
Jisme humare blog ki sabhi posts,pages, images, tags, category ka url hota hai. search engine ko sitemap se aapke blog ko samajhne me aasani hoti hai.
2. Template Customizing
Blogspot blogger jyadatar free template hi use karte hai. Agar aap bhi inme se ek hai to main aapko bta du ke bahut si free templates me template banane wali site ke links jhipe rahte hai or kuch new blogger to dusre blogger se template le kar apne blog me use karte hai. Jisme wo apni site ka link bhi add kar dete hai.
New blogger ke sare visitors unki site par chale jate hai or new blogger ko iska pata nahi rahta or wo bas ye sochta rahta hai ki meri blog par visitors kyu nahi badh rahe. Isliye ek bar apni template ki coding check kar le ki usme kisi or ka link to add nahi hai.
3.Blog Title (Name)
Blog title or details choonte time 80% new blogger galti karte hai. Man lijiye aapne koi aysa title rakh liya jis par internet par pahle se hi bahut sari jankari hai. Jaise aap ne apne blog ka name rakha “Support Me hindi” ab “Support me Hindi” internet par pahle se hai or aapne isme 10-20 post bhi dal diye or visitors bhi aane lag gaye.
Ab aapke visitors jab kabhi aapke blog ko kisi search engine me search karega to use aapke blog ke sath mera blog Support Me Hindi bhi milega. Abhi aap new blogger the or maine aapse bahut pahle se blogging start ki hai or mere blog par post bhi aapse jyada hai or jab wo visitors meri site par aayega to wo aapki site ko bhool jayega.
Kyuki use yaha aapse jyada sikhne ko milega. Bb internet par mere jaise kitne blogger ho sakte hai ye aap bhi jante hai. Is tarah mehanat aap karoge or fayda kisi or ka hi hoga.
Tips: Blog Ka name rakhne se pahle se pahle google search engine me search karke dekhe ki usse related koi or blog to nahi hai. or aysa name rakhne ki koshish kare o sabse alag ho. jise search engine me search karne se kam se kam result show ho.
4. Change Template
Maine bahut bloggers ko dekha hai wo aksar blog template change karte rahte hai or fir puchte hai ki mujhe blog banaye itne day ho gaye fir bhi mera blog search engine me kyu nahi aa raha. Actually search engine yani SEO ke liye blog ki template me meta tags, site verification code add karte hote hai.
Jo template change karne par fir se add karne padte hai. so bar bar template change karne se blog sabhi webmaster tools se discannent hota rahta hai. so aap ek bar deside kar le ki aapko konsi template use karni hai. ya kabhi change bhi karo to usme meta tags or baki setting fir se karo.
5. SEO Changes
Blog title ya descripation ko bar bar change karne se search engine par bura asar padta hai. isse search engine ko confusing bani rahti hai ki aapke blog par kya hai or is par kiski jankari share ki jati hai. jis tarah apna name change karne se aapki pahchan par fark padta hai.
Same wese hi blog par padta hai. but iska matlab ye bhi nahi hai ki aap kabhi blog ka name change hi nahi kar sakte ho. kar sakte ho but pahle ye soch lena ki iska aapke visitors or search engine par kitna fark padta hai.
6: Post Title
Blog traffic me post title kitna important hota hai. ye bat aap bhi ante ho. but post title kaisa ho jise visitors or search engine dono pasand kare. aha tak mera experience hai to post title me question word arur add kare aise kyo, kaise, kab, kaha or bhi bahut ho sakte hai.
Dusri bat post title me minimum 30 characters or maximum 70 characters hone chahiye. post title aysa ho ise dekhte hi visitors padna chahe. or is par internet par pahle se bahut kam jankari ho.
7. Template Design
Maine ayse kei blog dekhe hai jinki template same ek jaisi hoti hai. Jisse aysa lagta hai dono ek hi founder ki banayi huyi hai But check karne par wo alag alag logo ki hoti hai. So mera experience to yahi kahta hai ki aapke blog ki template sabse alag or aysi honi chaiye o visitor ka dil jit le.
In my case mai mythemeshop ki ribbon theme use karta hu. ab mai kisi or ko to ribbon theme use karne se mana nahi kar sakta. so maine ise usse bilkul alag design kiya hai.
8. Copyright Content
Blog ki traffic me darar ka kam karta hai kisi or site ka content copy karke apne blog par share karna. aap jo bhi likho jiske bare me bhi post karo usme sirf aapko talent hona chahiye. jaha tak ho sake koi aysi jankari share kare jo pahle internet par na ho.
Yakin maniye 1 originol or new jankari ki post 10 old jankari wali post se jyada traffic hasil kar sakti hai. becoz search engine me aysi post ki no.1 ranking hoti hai.
9. Error 404 Redirect
New blogger se hone wali sabse badi mistakes hai error redirection page nahi banana. Ye page lagbhag sabhi free or paid templates me hota hai. But jaruri hota hai use edit karna. Same ye btana ki aapko ye page kaha par milega.
Ya fir redirection set karna. agar aap hindi blogger hai to “error 404 page not found” page hindi me hi banaye. jisse visitor confuse na ho. or wo samajh sake ki ye blog ki problem nahi balki usne hi galat url search kiya hai.
10. No Blog Backup
Finally or sabse jaruri bat aapko bta raha hu blog ke backup ki, kyuki ho sakta kabhi aapse blog damage ya delete bhi ho jaye. isliye weekly ya monthly apne blog ka backup jarur bana le.
In my case har 5-10 post share karne ke bad blog backup bana liya jaye to sabse brhtar hoga. so agar aapko lagta hai ki aapse bhi galti ho sakti hai to is message ko abhi se follow karna shuru kare.
- Website Banane Ke Liye Kin Kin Chijo Ki Jarurat Padti Hai
- Apne Android Phone Me 2 Whatsapp Account Kaise Use Kare
I hope aapko ye article pasand aaya hoga or aapko isme kuch new sikhne ko mila hoga to comment kar ke bataye ki isse aapne kya sikha or aap blogging me kya kya change karne wale hai.
Sath hi agar aapko ye post achhi lago ho to is post ko apne sabhi friends ke sath social media par jarur kare taki wo bhi is post ko padh sake.
Yogendra
Sir aapne batya ki blog ka regularly backup lena chahiye . Me 4 -5 din backup leta hu par mere backup se related kuch question.
1. Me hosting cpanel se – files _ file manager_ public html ka backup leta hu.
2. Database me Php my admin ka backup leta hu.
Mera question hai – kya ? is tarike (primary domain + add-on domain) dono ka (full backup) ban jata hai. Kyonki meri ek hi hosting par do domain add hai.
* Par kuch log cpanel se (backup aur wizard) se backup download karne ke suggest karte hai.
Dono tariko me se kis trike se sahi backup ban jata hai. Aap suggest kare.
Aur aap in dono me se kis tarike se backup lete hai.
Jumedeen khan
Aap sub domain aur domain sabke alag se wp-content file aur database ka backup lo, ye better hai, confusing nahi hogi.
Saad Jamil
sir mein premium theme use kar raha houn tou es mein jab coding check ki tou aus mein template author ka name aur website bhi thi tou kya ye theek hai yaa sahi nhi hai muje kya karna chahiye.?
Jumedeen khan
Aap theme se template aur author name change kar sakte ho.
Rashmi Dubey
Meri website par bilkul traffic nahi aata, kya karu? Blogs likhte huye six months ho gaye. Pata nahi earning kab shuru hogi?
Jumedeen khan
Aap 2 sabse badi galti kar rahe hai.
1. Short and Adhura content
2. Multiple language content.
Traffic badhane ke liye traffic pane ke raste par chalo jaldi hi aapki site par traffic hoga.
ajay
bhayi is Q ka answer jarur dena
1.bhayi meri alexa rank 50k par aane par hai lekin trafic bilkul nhi aisa kyo?
2.me bilkul b earn nahi kar paa raha hu kyo ki traffic hi nhi hai jabki mere se jyada alexa wale log acchi income kar rahe hai ..mujhe lagta hai ki online earn karne ka spna kahi sapna hi bankar na reh jaaye..
plz meri website check kijiye or jo kami ha wo bataiye..plz
3. agar me alexa ko 10k par le aaun to kya mujhe traffic mil skta hai?
Jumedeen Khan
1. Alexa rank real nahi hai. Movies ki tarah ek dhoka hai.
2. Internet par 99% fraud hai aap sahi tarika apnao.
3. Alexa koi search engine nahi hai jisse aapko traffic milega.
Alexa ko chorho or google ki or dhyan do sath hi site ko sahi se promote karo. Aapki site ko SEO se jyada promotion ki jarurat hai.
Akshat Jain
बहुत अच्छी और बढ़िया जानकारी दी है। इसके लिए धन्यवाद। शायद ये एक नए ब्लॉगर के लिए सबसे महत्वपूर्ण जानकारी हो सकती है।
Anand Kumar
6 number wale point mein aapne likha hai ki Blog Post ka Title 30-70 Words tak hona chahiye. Mere khyal se yahan Words ki jagah par 30-70 characters hona chahiye. Yadi Tiltle ko 30 word mein likha jayega aur each word mein ausatan 3 characters bhi ho to kul milakar 90+ characters se bhi jyada ho jayega.
Jumedeen Khan
Its typing mistake, Thanks.
DHANI bhatt
evening me mera traffic kam kiyu rehta hia jabki aur sites ka evning me high rehta hai…
Jumedeen Khan
Check karo kahi evening me aapka blog down to nahi rahta.
Avinash Chauhan
Nice Information Jume Deen Ji, Main jab bhi anpne post ke url me kuchh change karta hu to mera traffic kam ho jata. ab mujhe ab mujhe samajh aaya ki kya vajah hai.
thanks for sharing useful information.
Manoj Sahu
Hello Bhai Mujhe 4 – 5 Din se achank Traffic Me Bhut Loss Ho Raha hai Wo pta Nahi Kaise Ho raha hain .
Ex : – 5000 , 4500 , 4000 , 3500 ab 3200 hi reh gaye hai .
Jabki piche 2 mahine se mera traffic 5k+ chal raha hai or maine kahi par kuch change bhi nahi kiya hai . 7 din me 3 din post bhi dalta hu .
Jumedeen Khan
Iski wajah SEO mistakes or badhta hua competition hai.
anila singh
Reply karne k liye shukriya yakinan aap bahut aage jaenge aap help bhi karte ho aur mehnat bhi
Sir 300+ organic traffic ka matlab kya hai?
Jumedeen Khan
Thank you, 300+ traffic google se hona chahiye.
anila singh
1-Sir mera traffic aur page views sirf Facebook par share karne se 300 se zyada h to kya mai apply kar sakti hu google AdSense ke liye google search engine se page view or traffic zero hone par koi prblem to nhi hogi na?
2- sir view web version jo blogger me show hota h usko kaise remove kru template change karne k bad bhi remove nhi ho rha
Jumedeen Khan
1. Nahi AdSense ke liye aapki site par search engine se traffic hona jaruri hai. 300% organic traffic hona chahiye.
2. Aap blogger template option par jao or mobiel preview ko band karo.
huba buba
Many thanks for sharing this good post. Very inspiring! (as always, btw)
Anant singh
clicable sitemap link ko footer per kaise add karu
Jumedeen Khan
Aapke blog me footer ka option hai. Uske keywords template me search karo or unke sath sitemap ka link add karo.
Nickolas soni
Achi jankari sir isi liye mera blog serach engine me nhi aata hai.. ya to m un website se jyada visitors btoru ya fir jo chal rha hai use chalne dun.
Alan Wilkins
Hello. excellent job. I did not expect this. This is a impressive story. Thanks!
Simon James
Hi! Someone in my Facebook group shared this website with us so I came to check it out. I’m definitely enjoying the information. I’m book-marking and will be tweeting this to my followers! Terrific blog and brilliant design and style.
devraj
lekin wo mughe mil nhi rha he kya dalke search karu aaap plz mughe bata dijiye
Jumedeen Khan
Admin mc3 or this is demmy likh kart search karo.
devraj
bhayi mughe post ke niche posted by author jo ata he use hide karna he ya hatana he kese hatau?
Jumedeen Khan
simple hai. blog ki template me jao or jo delete karna hai wo search karke delete kar do.
devraj
Thanks bhyi your great..
kumar saurav
agar main abhi WordPress nahi leta hu to blogger se earn kar sakta hu ki nahi? free download kia templetes main add laga sakta hu ki nai?
Jumedeen Khan
Ha laga sakte ho or paise bhi kama sakte ho.
kumar saurav
sir main chahta hu ki mere blogger ka templetes change karke dusre free templetes download karke use karu aur domain bhi lena hai to kya hosting bhi lena jaruri hai ya bina lia hi profftional look dia ja sakta hai.
Jumedeen Khan
Blogger ke liye liye hosting ki jarurat nahi padti, aap WordPress par hodting le kar blog bana sakte ho. Chahe jaise design kar sakte ho.
sharjeel
sir apnay ek post ki thi godaddy say 99 mein domain register karnay ki kya uskay sath space bhi khreedni paray gi??
Jumedeen Khan
Nahi,domain ke siva kuch bhi kharidne ki jarurat nahi hai.
dharmsingh
thanks for hindi me jaankari
वकील
Mujhe ye btao Syntex highlight KAISE bnate hai blogger me ..
Jaise mal lo bhai koi code poste karna h to
वकील
Verry helpfull post thanks sir, Is post se hame kafi shikhana mila Sir templet me jo link hoti he vo site pe to show hogi? Make a gif name ki site se me. Gif images banata hu to coppiright to nahi honga na or pic ko blog me use karata hu. Visiter vo site pe to nahi chale jayenge na
Jumedeen Khan
aap post ki html coding me ja kar uska link change ya remove kar sakte ho.
वकील
हेलो भाई बेस्ट imformation है thanku very much !
Kartik suman
very nice details sir really very use full sir. you solve so many problames. So thank you very much sir .