SEO Ke Bare Me 10 Jhuthi Bate Jinhe Hum Sach Mante Hai

Aapne SEO yani search engine optimization ke bare me bahut kuch padha or suna hoga. Ho sakta hai aap SEO expert ho but aaj main aapko SEO ke bare me 10 aesi bate btane ja raha hu jo 100% jhuthi (false) hai magar hum unhe sach mante hai. Agar aap chahate ho ki aapko SEO ki achhi information ho to aapko in SEO myths ke bare me jan lena chahiye.

10 SEO Myths

Content marketing and SEO guidelines me bahut se formulas bilkul jhuthe hote hai magar viral hone ki wajah se koi bhi newbie un par yakeen kar leta hai. Actually, In false SEO tips ko follow karne se website owner and bloggers ko search ranking me koi fayda nahi milta hai.

Hum in false SEO tips and tricks par easily believe isiliye bih kar lete hai kyuki is bare me hume TOP SEO sites par content dekhne ko mil jata hai.

Isiliye aaj main ye articles likh kar sabko btana chahata hu ki ye sab kahne ki bate hai jo kuch SEO paid services offer karne wale Self SEO expert ki banayi bate hai. Inka reality se koi lena dena nahi hai. Ab aap soch rahe honge ki aesi konsi bate hai jo 100% false hai.

So chaliye ab main sidhe topic pa aata hu. Ab hum bat karenge Top 10 and Most Popular SEO Formulas Ki Jo bilkul jhuthe hai.

SEO Ki 10 Jhuthi Baatein Jo Hum Sabhi Sach Man Lete Hai

Google jo algorithms banata hai uske bare me bahut hi kam announcement karta hai or sabkuch dibbe ke undar band hota hai. But kuch SEO masters SEO ko le kar kuch tips banate hai jinme se kai aesi hoti hai jinka sachai se koi lena dena nahi hota.

1. Words Limitation: Minimum 250 Words Jaruri Hai

Ye bat bilkul bakwas hai. Google ke anusar aesa ko rule nahi hai ki aap post me 250 words hone hi chahiye. Aap post me utna hi likh sakte ho jitna us post ki jarurat hai. Google kabhi nahi kahta ki aap 100 words ki post ko 1000 words ki or 1000 ki post ko 100 words me likho.

2. Keywords Density: Kitne Percent Keywords Use Kare

Aksar SEO kaha jata hai ki post content me 2% to 3% keywords istemal karna chahiye. Is bare me aapko kai professional blogs and website par information mil jayegi. Yoast SEO jo ki wordpress SEO ke liye sabse jyada better hai ki site par bhi keyword density ke bare me article mil jayenge.

Reality, Google ke anusar keywords density name ki koi cheez nahi hoti hai ye sab logo ka banaya hua formula hai. Main ye Google Seminar (Jaipur) me google SEO expert se confirm kar chuka hu.

Google members ke anusar aapne site ko apne readers ke liye banaya hai na k isearch engine ke liye so aap apne users ki jarurat anusar post content me keywords use kar sakte ho. Iski koi percent limit nahi hai.

3. Long Content: Long Content Ki Ranking Better Hoti Hai

Totally false, isme 1% bhi sachai nahi hai. Ek 500 words ke article ki 5000 words ke article se behar ranking hoti hai. Google member John Mueller ke anusar google me minimum length and maximum length contet jaisi koi terms nahi hai.

Long content likhne se aapki ranking boost nahi hogi. Aapki site ki ranking quality content likhne se boost hogi.

4. Fetch as Google Tool: Post Page Ko Fetch Karne Se Ranking Kharab Hoti Hai

Aksar kuch logo ka kahna hota hai ki apni site ke web pages ko Fetch as Google tool ke istemal se search console me fetch karne se page ki search rank par bad effect padta hai.

Bilkul bakas, Google webmaster tool ka fetch as google feature ye dekhne ke liye hai ki googlebot humari site ke pages ko kis tarah crawl and render karta hai. Iska search rank se koi lena dena nahi hai.

Aap jab koi URL search console me fetch karoge to wo google me index hota hai or google me top me aa jata hai but kuch time bad apni real position par aa jata hai. Isme fetch features ka koi role nahi hai. ye sirf google crawl process ko dekhne ke liye hai.

5. Guest Blogging, Guest Post SEO Ke Liye Jaruri Hai

Shayad aapne bare me suna bhi hoga or kisi blog par guest posting ki bhi hogi. But guest blogging SEO ke liye big influence nahi hai. Agar me 1-2 saal pahle ke waqt me ja kar kahu to main kahunga ki Yes guest blogging SEO ke liye better hai or top tarika hai.

But ab aesa bilkul nahi hai. Kuch log iska galat fayda uthane lage or dekhte hi dekhte google ne decide kar liya ki wo guest blogging ko ab pahle jitni value nahi dega.

6. Paid Search: Paid Search Se Ranking Improve Hoti Hai

Kya AdWords PPC aapki site ki ranking boost kar sakti hai, No, Never.

Google ne clear kaha hai ki koi use chahe kitna bhi pay karne ke liye kah wo kisi ek normal pwerson ki site (jisme abhi 1 page bih nahi hai) ki search rank down nahi kar sakta hai. Fir chahe use iske lyie kitni bhi keemat kyu na mile.

or agar aesa hai to AdWords use karne se aapki site ki search rank boost hogi iska sawal hi nahi uthta.

7. First Page Ranking, Google Page Me Ek Site Ko Nahi Dikhata

Aksar kaha or dekha jata hai ki google me koi bhi keywords search karne par first  page, second page, and third and other me different site ke apges show hote hai. Aese me kuch logo ka kahna hai ki google sabke liye results show karta hai.

Aesa bilkul nahi hai aapki site par achha content hona chahiye google total results me aapki hi site ke pages bhi show kar sakta hai.

8. Multi Lnaguage: Same Content Ko 2 Sites Par Different Language Se Duplicate Content Issue Hoga

Bilkul jhuth bat hai. Aap apne content ko chahe jitne bhashao me likh sakte hai. Iske liye aap chahe to ek site ya multiple sites ka istemal kar sakte ho. Bas aapko Hreflag tag use karke apni site ke bare me btana hai ki content ek hi hai bas language me different hai.

Isse google ki or se aapko koi duplicate content ki problem ya koi SEO problem nahi hogi.

9. Maximum Upload Limit: YouTube Par Maximum 128 GB or 12 Hours Ki Videos Hi Upload Kar Sakte Hai

Pahle youtube par iski koi limit nahi thi or aap kitne bhi size or hours ki video upload kar sakte the. But ab aap maximum 128 GB and 12 hours and usse kam length ki video youtube par upload kar sakte ho.

Ab 15 minute se jyada longer video ke liye aapko kuch step follow karne honge iske bare me aap Upload Videos Longer then 15 Minutes page check kare.

10. SEO Service: Aapki Site Ko Top Page Par Lane Ka Dawa Karna

Kuch SEO expert jo ki SEO service provide karte hai or $10, $50 ya fir $100 price me aapki site ki search engines me top par lane ka challenge karte hai. Bilkul bakwa hai koi bhi aesa nahi kar sakta.

Because google search engine me hone wali updates secret hoti hai jinke bare me kisi ek google member ko bih pata nahi hota to in SEO expert ko kaise pata hoga. Or agar aesa hai to aapki site ko top me lane wale bat ek dhoka hai. Earning karne ka ek tarika matra hai.

Abhi or bahut baki hai but abhi ke liye itna hi ummid hai aap inke bare m jan kar inko follow nahi karoge. Kuch bad SEO expert ke dwara banayi gayi in bato ka SEO se koi lena dena nahi hai. Main already is bare me SEO Ki 10 Myths Jin Par Work Karne Se Sirf Time West Hota Hai me bhi bta chuka hu.

Agar aapko ye psot pasand aaye to share and comment jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (37)

  1. Avatar for vijayvijay

    Hi, kya me ek 500 words k article ko 2 ya usse jyada article sites pr promote kr sakta hu,
    keyoword ki rank ko improve karne k liye ??

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      yes kar sakte ho.

      • Avatar for vijayvijay

        but mujhe lagta hai k wo copy content count hoga. kyunki kuch seo experts bolte hai k ek article content ko only 1 site pr hi publish krna chahiya and uski approved link ko social sites pr promote krna chahiya ????? apki advice do sir please.

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Mai google SEO expert se confirm kar chuka hu same content ko multiple language me likhne se koi problem nahi hai bas dono site aap hi ki honi chahiye. Ye nahi hai ki aap kisi aur ke content ko translate karke likho. Bas problem hai to google multi-language content ko kam ran kdeta hai aur adsense allow nahi karta.

  2. Avatar for Md AlfaazMd Alfaaz

    Jumedeen bro please mujhe batao ke kaise hum ek hi Content ko multiple language me post kar sakte hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Different method se kar sakte ho same to same nahi.

  3. Avatar for alok kumaralok kumar

    Behtrin jankari di hai.Ab se pahle main in sabhi baato ko sahi manta tha lekin ab in baato par dhyaan kam dunga khaspar length of post.

  4. Avatar for hemahema

    जानकारी के लिए आपका बहुत बहुत धन्यवाद सर मै ब्लॉग लिखती हु मेरे साइड का अलेक्सा इंडिया में १६०००० है और आल वर्ड में ५०००००० मै मेरे को कब तक अद्सेंसे अकाउंट मिलेगा मेरे कंटेंट 4% हैं और मै कॉपीराइट उसे नही करती हु

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense ka alexa se koin lena dena nahi hai. Aap sire adsnese terms follow karti hai to aap adsense use kar sakte ho.

  5. Avatar for manish mishramanish mishra

    sir agar hum daily post karte hai par comment nahi aate ye kyu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Achhi post likho log comment bhi karenge.

  6. Avatar for Rahul DasRahul Das

    Bohot acha laga aapka post. But, Kya aap ye bhi batayenge k, daily new post karne se rankings me sudhar hote Hai? Aur, daily update na karne se traffic loss hoti Hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes hota hai.

  7. Avatar for amarjeetamarjeet

    sir confuse ho gaya ab kis ki sune, thank you useful jankari ke liye

  8. Avatar for SureshSuresh

    Mujhe SEO se related kuch problem aa rha tha jo ki aapke Post padhne ke bad Sab clear ho gya, Aur jis step ke bare me aapne btaya wo ab krne se bachunga Bahot hi accha Post share kiya hai
    Thanks

  9. Avatar for Vikas rathoreVikas rathore

    Hiii sir. Meri ak website he usme kahi sari post he par meri website ke name ke alawa koi bhi post google me show nahi kar rahi he asa kyu ho rahe mene sabhi post ko 1 month pele published kiya tha mene sab kar liya par tabhi show nahi ho rahi he mere template me problem he kya dek kar bataona plz.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Vikas aap site:example.com se check karo apaki site ke kitne page google me index hai pata chal jayega.

  10. Avatar for Neha BhatiaNeha Bhatia

    Thank you so much ji. mujhe article ki length ko le kar tha ke shyd 300 words se jyada ka hi likhna hota hai. par aapne mera wehm clear kar diya
    Really Thanks 🙂

  11. Avatar for Mukesh GuptaMukesh Gupta

    Oh love it
    Ye post bilkul kamaal ki lagi

  12. Avatar for Neeraj kumarNeeraj kumar

    Thank you for sharing such Owesome article and very informative.

  13. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    Great post sir.. kaafi sari confusion dur ho gayi is post ko read karne ke baad

  14. Avatar for Kamran ZaidiKamran Zaidi

    Nice article,boohat se confusion door ho gye is article ko padkar !!

  15. Avatar for mukesh sainimukesh saini

    sir aapka artical bahut hi accha hai. me daily visit karta hu.

  16. Avatar for Ankit AnandAnkit Anand

    hello sir,
    1. blogger se wordpress par shift hone se seo par koi bad effect v parega?
    2. hostgator se baby plan buy karne ke liye kya mai per month Rs 222/-payment kar sakta hu ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. No, aap bas wordpress ko blogger se jyada SEO friendly bana sakte ho kyuki isme features jyada hai.
      2. Yes kar sakte ho.

  17. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    Yadi aap regular apne post ko Mobile mein search karte hain to ek Ads Blocker Browser jarur install kar lein. Us browser mein Ads show hi nahin honge.

  18. Avatar for Deepak kumarDeepak kumar

    Pahle mujhe bhi kuch topics per doubt tha lekin ab apki is post ko padkar sare doubt clear ho gye.
    Very Nice Post

  19. Avatar for Sarik AnsariSarik Ansari

    Sir, mai godaddy ka ssl certificate use krta hu, mai apna website ka Name server change kr cloudfare cdn lgana chahta hu. Kya mera active ssl https url (green lock) me show krega ya ht jayega?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes karega aap cloudflare crypto me full ssl choose karna.

  20. Avatar for Surendra RsdpSurendra Rsdp

    Ek baat Jo Abhi Clear Nahi hain ki Aajkl Copy paste ka system Jayada Chal raha hain Toh Agar Ham Koi new Post blog pr Public karen or usko koi turant copy karke apni website par public kar deta hain or uska pata hame nahi chal pata . Toh isme copyright bhi ho sakta hain kyu ki google new Post ko turant index nahi karta .

    Kya Iss traha ki copyright se bachne ka koi tarika hain ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No worry google hum sabki activity track karta hai. Kon kab kiski post copy kar raha hai. Sabka pata hota hai.

  21. Avatar for SonuSonu

    Aaj me apni site ko mobile me dekh rha tha to galti se ad par click ho hya ab me kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No worry next time mat karna.

  22. Avatar for AfrideeAfridee

    Bahut hi achhi post share kiye hai but Kya guest post se backlink Nahi Milta hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes milta hai.

    • Avatar for anish ahiranish ahir

      bhai aap jis blog website ke liye aap guest post likhte ho us per nirbhar karta hai aagr vo banda apne guest post wale content ko update kare ga to back link
      long time varna ……….

  23. Avatar for Rudra BhartiRudra Bharti

    nice jankari di hai sir thank u sir

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...