10 SEO Terms Jinke Bare Me Har Blogger Ko Pata Hona Chahiye? Website or blog banana bahut aasan hai. Hum aasani se blog bana sakte hai but bahut mushkil hai blog post ko search engine me first ranking me lana. Iske liye hume search engine optimization ki jankari honi chahiye, Tabhi hum blogging me success ho sakte hai. Agar aapko abhi tak blog SEO terms ke bare me pata nahi hai to mai aapko suggest karunga ki blogging karne se pahle blog seo ko ache se samajh le.
Search engine se traffic nahi milne ki sabse badi wajah hoti hai, SEO terms follow nahi kar ke bloggimng karna. Humari wohi post search engine me top ranking me hoti hai, Jo humne SEO ke rules follow kar ke likhi ho. So blog SEO terms ko ache se padh or samajh lena chahiye.
Blogging easy nahi hai. Blogging me kamyabi pane ke liye aapko bahut si SEO terms follow karni padegi. blog par sabse jyada traffic search engine se hi aata hai or agar aapki site search ranking me nahi hai to aap blogging me success nahi ho sakte. So apne ek ek article ko SEO friendly bana akar likhe.
Is post me mai aapko SEO ki un 10+ SEO terms ke bare me bta raha hu jo aapke liye bahut jaruri hai or aapko inke bare me thodi bahut jankari honi hi chahiye .Jisse aapko search engine se acha traffic mil sake. Or aap ek din success blogger me gine jao.
Table of Contents
10 SEO Terms Jinke Bare Me Har Blogger Ko Jankari Honi Chahiye
Mai is post me aapko search engine ke 10 niyamo ke bare me bta raha hu. Abhi or bhi bahut SEO terms hai jinke bare me hum aane wale time me bat karenge.
1. SEM – Search Engine Marketing
Aapko search engine marketing ke bare me basic jankari hona bahut jauri hai. search engine me kis product ki kitni mang hai or kiski kitni jarurat hai. Sabse jyada kya search me kiya jata hai or aapko blog par kya search katrna chahiye. Search engine optimization ko ache se samajh le or users ki jarurat ke hisab se post likhe.
Jo blogger is terms ko follow karna sikh gaya or use ye pata chal gaya ki log search me sabse jyada kya chahate hai to wo user ki icha anusar article likh kar apni site ko search engine me no.1 me la sakta hai.
2. Backlinks
Ye sabse important terms hai. Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai. Is sab kke bare me aapko ache se pata hona chahiye. Jisse aapki website ko other site se backlinks mil sake or aapki site se other site ko, Isse aapke blog ki ranking increase hogi. Kyuki aapke dusre blogger se ache samband banenge. Backlinks sdirect pagerank par effect karte hai isliye backlinks blog SEO ke liye bahut important hote hai.
Upar di post me maine backlinks ke bare me details se samjhaya hai. Backlinks ki or jyada jankari ke liye upar di gayi post pade.
3. Robot.txt
Robot.txt koi file nahi hai. Balki search engine me aapke blog ka kya kya content show hona chahiye ko control karne ka robot hai. Isiliye mai aapse kahna chahata hu ki jab tak aapko robot.txt ke bare me puri jankari na ho ise use na kare.
Ye sirf un blogger ke liye hota hai jo apne blog ki kuch personal post ya pages ko search me dikhana nahi chahate hai. So agar aapko blog ka pura content search me dikhana hai to robot.txt ko disable hi rahne de. Ya fir iske bare me ache se pata karke hi ise use kare. Robot.txt File Blog Me Kaise Add Karte Hai post me iske bare me aapko details se jankari mil jayegi.
4. Keywords
Blog ki search engine me achi ranking ke liye aapki post me jyada se jyada keywords hone chahiye. Agar aapki post me keyword nahi honge to post ki search me ranking better nahi hogi. Isiliye keywords ko ache se samajhe or apni har ek post me jyada se jyada keywords use kare.
Agar aapko keywords ki jankari nahi hai to post me 1000 to 2000 words use kare. Jab post me jyada words honge to usme 10-20 keywords jarur honge. Blogging me success hone ke liye aapko sabse pahle keywords ki jankari honi chahiye.
Agar aap keywords use kiye bina 500 post bhi likh do to bhi aapke blog par search engine se traffic nahi aayega. Or agar aap keywords use karke 100 post likho to aapko 500 posts se jyada search traffic milega. Isiliye har ek post ko complete SEO friendly banane ki koshish kare.
5. Google Indexing
Goolge world ka no.1 search engine hai or lagbhag sabhi blog par google search engine se hi jyada traffic aata hai. Ayse mai aapko iski achi jankari honi chahiye ki google search engine kis tarah ki jankari index karta hai or kis tarah ki jankari ignore karta hai.
Agar aapko iske bare me pata chal gaya to i promise aap ek month me 100k se jyada traffic recieve kar sakte ho. Ye niche kuch sawal hai jinke jawab aapko aane chahiye.
- Google search engine blog ke kis content ko jaldi search karta hai.
- Google search engine kis jankari ko ban karta hai.
- Google search robot jaldi kaisi post ko index karta hai.
- Google humare blog ki post ko index kaise karta hai.
- Google search engine ki SEO terms kya hai.
- Google search optimization kya hota hai.
- Google post ko index karte waqt sabse pahle kis par focus karta hai.
- Google search engine me fist ranking ke liye kaisi post likhni chahiye.
- Google search ranking low hone ki wajah kya hai.
- Google search engine se jyada traffic kaise ecieve kare.
Inke alawa bhi abhi bahut sare question hai. agar aapke pas inke jawab nahi hai to abhi aap blogging me bahut piche ho. Mei aapko personal advice hai ki search SEO terms ko ache se samajhe warna aapko ek din blogging me nirasha ka samna karna padega. So jitna ho sake search engine ke rules ko follow karo.
In my site aapko is blog par iske bare me kafi jankari mil jayegi. Agar aap real me search engine ko janna chahate ho to supportmeindia ki SEO se related post padiye.
6. High Ranking Content
Aksar blogger mujhse puchte hai ki ye high quality content kya hota hai. Aap hindi blogger ho so mai aapko aapki bhasha me iske bare me bta raha hu. Jo jankari internet par pahle se ho uske bare me fir se post likhne se koi fayda nahi hai. Jaise meri ye post search engine optimization ki 10 terms ke bare me hai.
Agar aap isi post ko tod mod kar apne blog par publish karoge ya fir apne hisab se isi topic par post likhoge to aapki wo post search engine me first ranking me kabhi nahi aayegi.
Or search engine aysi post ko jaldi index bhi nahi karta hai ulta post ko copyright bhi man sakta hai. So high ranking content likhne ka sabse aasan or free tarika hai ayse topic par post likhna jo internet par pahle se available na ho. I promise aapki wo post search me first no.1 par hogi. In my case mai ye sab try karne ke bad hi aapko bta raha hu.
Bahut se blogger meta tags ko ignore karte hai. ButBlog Me Meta Tags add karna bahut jaruri hota hai. Meta tags se hi search engine ko pata chalta hai ki humare blog par kya kya, kis tarah ki jankari, kis language me share ki jati hai or ye blog kis country se hai and ise kisne banaya hai. Suppose karo ye lines SEO ke liye kitni important hai. Or agar aap blog me meta tags add nahi karoge to search engine ko aapki site ke bare me kuch bhi pata nahi chalega. Kyuki meta tags hi search robot ko aapki site or site ke content ke bare me information deti hai. Meta tags aapko blog me HTML section me <HEAD> ke niche add karne hote hai. Iski puri jankari ke liye Blogger Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare post padhiye.
8. SERPs
Search Engine Result Page, Yani jab hum search engine me koi bhi topic search karte hai to result page me kon konse keywords highlight hote hai. Aapne ye dekha bhi hoga agar nahi dekha hai to abhi search engine me kuch bhi likh kar search kijiye. Search result me aapke search kiye gaye topic me ke kuch keywords highlight huye show honge.
Iska matlab hai ki search engine sirf search kiye gaye topic ke top keywords ko hi focus karta hai. Isse aapko new post likhne ka idea milega. So SERP koache se samajh le uske bad hi blogging start kare.
9. External & Internal Links
External & Internal Links kya hai or ye blog SEO ke liye kyu jaruri hote hai. Iske bare me har ek blogger ko jankari honi chahiye. Bahut se blogger apni post me dusri site ka link add karna nahi chahate hai, Jo bilkul galat hai. Dusri site ka links add karne se aapki traffic kam nahi hogi.
Balki aapke blog ko backlinks milenge or blog ki ranking high hogi. Iske bare me mai hum aane wale time me details se bat karenge. Abhi aapko bta dena chahunga ki post me External Links & Internal Links add karna blog SEO ke liye important hota hai.
10. PageRank
Pagerank kya hai, Iske bare me shayad kuch hi blogger jante hai. Pagerank ka matlab hai ki aapki post ko reader kitne time tak padhte hai or aapki post me kitna content hai. Pagerank badhane ke liye aap apne blog ki ek post me dusri post ka link add kar sakte hai.
Jisse user page A se page B par ja sakenge. Page rank high hone se aapki post search engine me bhi top par hogi. Important bat ye hai ki aapki site ki jitni jyada pageranking hogi. Aapki utni jyada income bhi hogi.
Kyuki pageranking se AdSense CPC high hoti hai. Examply aap alexa me meri pageranking dekh sakte hai. Supportmeindia ki pageranking dekhne ke liye yaha click kare. [ Link… ]
- Blogspot Blog Ko SEO Friendly Banane Ki Puri Jankari
- Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips
I hope aapko is post me search engine ki kuch important SEO terms ke bare me jankari milegi or aap search engine ki policies ko ache se samajh sakoge. Blogging me success hone ke liye ye bahut jaruri bhi hai.
Kyuki jis blogger ko search engine ke rules pata nahi honge wo blogging me success ho sakega, Kahna mushkil hai.So upar btaye gaye step ache se padh kar follow kijiye jisse aapko search engine se high traffic mil sake.
By the way, Post achi lage to share jarur kare, Jisse dusre blogger ko bhi iske bare me pata chal sake.
Rakesh Vishwakarma
Hello sir mujhe kuch tips bataiye blog title se pahle post title wala post maine puri tarah se follow kiya hu fir bhi nahi ho rha hai title search karke maine us code ko delete kar diya tha aur aapke post ke anusar maine wo code paste kar diya save theme karne par dikha rha hai ki save ho gaya lekin back jane par unsaved bata rha hai ab mai kaise fix karu. Plz bataiye hame.
Jumedeen Khan
Aap different theme use karke try kare.
sai charan
OMG , Amazing !! Everything Informative
This Is really Ah Very good post. Taking the time and actual effort to produce a superb article…
Thanks For Sharing
namdev
Sr template zip file se xml me convert krne ka software download kha se kru Winrar ka try ki maine lekin sof. Dwnld nahi hua plz link bhejdo dwnld krna h muje pc softwere
Jumedeen Khan
Aap winrar sofware kisi or ke laptop me se dal sakte ho.
Aman
Bhai maine suuport me india contact forum par aapko contact kiya tha par aapka koi reply nhi aaya…bhai mujhe mere blog ki saari setting karke de sakte ho kya bhai plz.
Jumedeen Khan
don’t worry main jaldi hi aapko reply karunga.
Mahaveer Jain
Sir Me Chahunga Ki App SEM Ke Baare Me detail se ek Post Jarur de.. Isme Mujh Jaise Bahut Blogger Confused hai… thanks
Jumedeen Khan
Thanks mahaveer iske bare me post likhunga.
Ritik kadole
hello, me aapko guest post apne mobile se bheji hai isliye usme image ki numbering idhar udhar he aap sahi kar l
Jumedeen Khan
Ritik aapko chahiye ki pahle aap supportmeindia ke guest post policy ache se padh lo.
vakil shaikh
hello jumedeen bhai bahut dinse comment nahi ki kaise hai aap mai kaam pe tha abatak or night me post ko share kiya karta tha kya aap ghar pe aa gaye hai muje domain kharidkar de sakte hai muje ek problems aa gayi hai maine to mere site ki property google webmaster me verified ki thi magar firse veriefied karne ke liye kahah ja raha hai magar jab mai us code ko ya ke neeche below uper paste karta hu to aisa massage show ho raha hai kya problems ho sakti hai bhai ……..We were unable to save your template.
Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure that all XML elements are closed properly. XML error message:
More than one widget was found with id: HTML12. Widget IDs should be unique. or ha maine template bhi change kiya firbhi aisa massage shoiw ho raha hai or verified nahi ho pa raha hai maia kya karu bhi please help me bhai.
Jumedeen Khan
i am fine nahi 5 tarikh ke bad. aap html code se verify karo or code ko head ke niche paste karo. Aap sahi step follow karoge to koi issue nahi aayega.
Manish
Sir aaj muje 5 fake click mile pehle to uss fake click kse earning hui lekin thode der bad wo gayab ho gaya to iska matlab ki wo fake clicks tha.To sir plwase muje batayenge ki mai ab kya karu.
Jumedeen Khan
Sabke sath aysa hi hota hai.
Aryan
Bhai ji ap muje thoda sa detail me bata dijiye mai template ka color change kaise karu, ribbon ka option kha pe ayega thoda sa details me bata dijiye
Jumedeen Khan
Aryan aap blogger user ho or ribbon WordPress theme hai fir aap ise kyo use kar rahe ho. plz koi blogger template use karo. blogger me aapko html template me ja kar iska code search karna hoga.
Murari Kumar
sir mene colormag ka theme use kar raha hu isme mere ko about us contact us privacy policy ko add karna hai kese use karu koi html ka option hai
Jumedeen Khan
Aap mujhe theme ka link btao mai check karke bta sakta hu.
Murari Kumar
sir mene YouTube se dekh ke kar liya sir apko thanx
Rohit
hindimehelpline.com ne meri 10 posts copy karke apne blog me dali hai. Tab bi iska AdSense block ni hua. Aisa kyu hai
Jumedeen Khan
Ho jayega. Just wait
ravi kumar
achha bhaiya maine help form me post ki, Agar usme koi mujhe reply karta hai, to uska message kaha jayega mere mail pe ya kahi aur,
agar reply message wahi jata hai, to waha koi na koi us category me post karte rahega, jisse meri post niche chali jayegi, hume reply messages Kaise milega
Jumedeen Khan
Aapke email par message aayega.
Mahendra
blogger ke liye koi esi template btao Jo bilkul SMI jesi ho mene bohat template LGA kr Dekhi lekin sab bikar thi…
Jumedeen Khan
Sorry Mahendra bro aysi koi template nahi hai kyuki maine ise khud design kiya hai.
ravi kumar
maine feedback kar di hai, hai uska message bhi mai aapko proof ke Taur pe De deta hu, ab rahi bat wait karne dekhta hu, iska bhi reply aata hai ya nahi.
Thank you for your feedback. We value every piece of feedback we receive. We cannot respond individually to everyone, but we will use your comments as we strive to improve your Google experience,
Jumedeen Khan
Ravi itne din wait kiya hai ab iska bhi wait kar lo.
Aamir Ali
Salam bhai ,me Blogs Posts me AdSense ke ads nhi lga pa rha hun,aapke btaye hue tarike par bhi work karke dekh liya magar show nhi ho rhe hain.aap meri help kren ki me kaise sbhi posts me adsens ke ads lga sakta hun.
Jumedeen Khan
Thoda wait karo AdSense ke fully approved hone me time lagta hai. Ads show hone lag jayenge.
riya shah
jumedeen khan aapki site pr daily min. kitne visitor aate hai…
Jumedeen Khan
Riya ji aap supportmeindia ki alexa rank check kar lo.
riya shah
sir me everyday check karti hu but aap kahonge to acha honga….kyoki alexa sirf rank batati hai…visitor nhi…
Jumedeen Khan
riya shah,
Actually, daily time per visitor ki report alexa par hi show hoti hai. Mai daily article likhta hu. Ab mera har reader meri new post to padhega hi so mere blog ka daily time per visitor 10 minutes se jyada hai. Aap hi laga lo per dai support me india ko kitne time use karti ho.
riya shah
sir i think aapke site me every day organic visitor 4000-5000 ke bich me honge and return visitor 1500-2000 aate honge may be……… so every day minimum 4500 visitor to honge…..
Jumedeen Khan
Wao aap wakai intelligent ho. Bahut aage jaogi.
riya shah
mujhe pata hai aap daily kitni traffic aati hai vo batayenge nhi..but ye mera anuman tha….ki kitne rank pe kitne visotor hote hai…so….
and sec. question.
sitemap kaise generate karte hai…jab ham online sitemap generate karte hai to vo 500 pages hi allowed karta hai… n big site (databse) ho to uska sitemap kaise generate kare…
Jumedeen Khan
Riya ji mere blog par is time 10,000 to 15,000 pageviews hai. 500 se jyada ya unlimited page ke liye bhi sitemap generate kar sakte hai. Aap ye post padho sitemap kaise banaye or agar aapko 500 page se jyada page ke liye sitemap banna hai to google me search karo kei site mil jayegi
riya shah
godaddy ka server kaisa hai….main 2 yr se godaddy hosting plan liya hai.. kabhi bhi koi bhi prob. nhi aaya…but kuch din se meri site par 1-2 min tak response nhi deti hai browser me…. jiski wajah se visitor pe prob. aati hai… “connection time out” aisa msg aata hai… so kya karu….
Jumedeen Khan
Riya mujhe blogging me 10 month ho gaye hai. Aaj tak kisi blogger ya website owner ne mujhe “godaddy achi hosting provide karti hai.” aysi advice nahi di.
ravi kumar
bhaiya aapko to pata hai, na aaj kitne week ho gaye add lagaye, ab aur bhi wait karu, bahut sare blogger ka approved ho gaya, jiska trafic, seo mere blog ke samne low hai, aur mere sath kya mai wait karu ya AdSense ka bahrose chhod ke blogging band kar du, Kyuki abhi meri life start hui, hai mai 7 month iske pichhe time diya. jiska results hame mil raha,
Jumedeen Khan
Ravi aapki bat 100% sahi hai. Aapke blog ko mai check kar chuka hu traffic bhi acha hai or blog me koi kami nahi hai. Adsense par bhi koi kami nahi hai. Wakai abhi aapki earning ka time hai. Adsense ko iska reply karna chahiye Aap ek kaam karo AdSense par ja kar feedback send karo ki mujhe ads code blog me lagaye kafi time ho gaya hai fir bhi ads kyu show nahi ho rahe. Ummid hai ki AdSense team reply karegi. Second aap AdSense help form me ek question publish karo. Ho sakta hai koi AdSense member aapko iska sahi solution bta de.
Aryan
Bhai ji goggle index hone me kitne days lag jate hai aur bhai kya mai template ka color change kar sakta hu jaise apki template me Red color aa rha mai usko blue ne kar sakta hu
Jumedeen Khan
Aryan ji google me index karane ke liye aap apne new domain ko googe, bing yahoo par submit karo or social site par apni post ko share karo. kar sakte ho ribbon option me ja kar color change kar lo.
Surendra rsdp
Mujhe Kaise pata chalega ki Mera clouldflare site me active ho gaya hai .
1 din phele Maine clouldflare par account banankar Iske name server ko Godaddy me set kar diya tha aor Aaj Mujhe Wordsense security se sms mila hai ki Aapke name server change ho gaye hai .
Lekin Website ki speed me koi increase nahi huaa . Aor clouldflare me development mode On/Off Nahi ho raha hai
Jumedeen Khan
Aap gtmetrix par check karo or yeslow score me dekho CDN increase huyi dikhegi. Mai iske bare me post karunga. Aap wo follow kar lena.
abdul khan
assalamu alaikum bhai, aapne bahut hi information post share ki har baar ki tarah, bhai aapse ek information chahiye tha aap ki wajh se aapki batayi huyi guidelines se mera AdSense approve hua tha aur aaj 10dollor bhi hogaye hain, mujhe notification aaya hai ki your payment is hold because your address not verify katke mene waha pe jaake aapke baataye post ke hisaab se action pe click karke apna address save kiya hai usme 19may ko pin generate bata raha hai to mere ghar par AdSense ka pincode kab tak aajayega, plz reply karen, me mumbai me raheta hun to AdSense mumbai me kitne din me address pe bhejta hai pincode…aur aapka kitne din baad aaya tha aapke address pe pin generate hone ke baad
Jumedeen Khan
w/a bro mera pin 30 day se pahle aa gaya tha. Aapne sabkuch sahi kiya hai 25-30 day me pin aa jayega .Aap city me rahte ho jaldi bhi aa sakta hai so pahle se hi apne postman se bol do ki google ki ek post aayegi. Wo mujhe bta dena. or beech bech me try karte rahna.
abdul khan
thankyou so much bhai, bahut bahut sukhriya
Aryan
Bhai maine domain name bhi le liya hai aur usko active bhi kar liya kya ab hum apne blog me adsene ke ads laga sakte hai aur mera AdSense approve ho gya lakin active ni hai aur mai ye bhi janna chata hu suruwat me blog me kitne ads lagaye aur kha kha lagaye
Jumedeen Khan
Achi bat hai. Ha mujhe pata hai.Bro abhi aapne domain liya hai. Use google me index hone do or usme kuch backoinks banne do. Uske bad AdSense ke ads lagana. Plz thode din or wait kar lo.
Mahendra Kumar
Hello sir, kya aap bata sakte hain aisi sites jo hame free me backlink provide karwati hain aisi sites par apne blog ki link dena sahi hain ye froud ya spam me toh nahi aata.
Jumedeen Khan
Nahi aap bhool kar bhi aysa mat karna. Warna aapka traffic bahut kam ho jayega.
ARUN YADAV
mai jab bhi title ke niche ads lagata hu to mere ads home page par post description me show hote hai
Jumedeen Khan
Aap ye trick kuse karo Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye
zishan ali gulzar
sir kya kare page view k liye,,,facebook pe screenshot diye the sir aap bole the facebook per reply karenge but nahi bataye hai,,,sir kaise thik kare
Jumedeen Khan
Mujhe facebook par aapka koi message nahi mila. Meri id par send karo.
Umesh Chavan
jumedeen bro WordPress ki tarah blogger pe comment on karane ka koi option hai kay. Jaise Name, Website Name, Message. Etc.
Aapne jo 2 din pahale disquess comment apne blog pe on kiya tha wo blogger pe kaise on kare iski 1post dalo
Jumedeen Khan
Bro maine wo WordPress plugin se kiya tha.
nitesh
sir meri post ka title -“What is an Arduino in Hindi ” ko search karne pr vo google ke page 6 pr aa rha hai to ise me aage lane ke liye kon kon se factor kam karenge sir
aur ek aur bat mere isi post pr internal link 160 hai jinme 110 no follow aur external link 40 hai jin me 1 nofollow hai to ye link seo ke liye sahi hai ya galat
Jumedeen Khan
nitesh aap plz name se comment karo. Maine seo ke bare me kei post ki hai. Aap wo padho or seo ko follow karo.
dharmendra
thanx reply ke liye
dharmendra
mere kuch post search me nahi aa raha iski jagah google+ par share kiye gaye sharch me aa raha hai esa kyu ho raha hau
Jumedeen Khan
Kei bar internet par pahle se mojood jankari wali post ko search engine index karne metime leta hai. Don’t worry kuch time bad search me aa jayegi.
Tyny
Hello, I enjoy reading through your article. I wanted
to write a little post to support you.
Mo Aziz
bahut acchi post hai muhe isse bahut help mili aur mere hisab se agar koi bhi blogger isko dhyan se padhega aur follow karega to usko bhi ye pasand aayegi aur usko help bhi milegi
THANKS JUMEDEEN BHAI