Backlinks SEO ke liye most important hai magar kis type ke backlinks sahi or kis types ke backlink galat hote hai. Is bare me bahut kam log jante hai. Aayiye jante hai 20 types ke backlinks ke bare me jo google guidelines ka violation karte hai or SEO ke lyie danger hote hai. Kisi bhi website or blog ko is type ke backlinks par google se penalty mil sakti hai.
Ye backlinks vulnerability and eventually penalty dila sakte hai. In unnatural backlinks ki wajah se aapki site google se remove ho sakti hai. Search engine optimization me backlinks sabse jyada use hone wale words me se ek hia but newbie ko iski jankari na hone par wo galti karte hai.
- 50 Reason Jinse Aapki Site Ko Google Se Penalty Mil Sakti Hai
- Google Ki Unnatural Outbound Links Penalty Se Site Ko Kaise Bachaye
Is article me main aapko 20 types ke unnatural backlinks ke bare me btaunga. In tariko se aap kabhi apni site par backlinks banane ki koshish na kare.
20 Type Ke Backlinks Jo Aapki Site Ko Google Se Remove Kara Sakte Hai
Backlinks har ek website or blog ke liye important hote hai par galat tarike se banaye gaye backlink se aapko fayda nahi ulta nuksan hota hai.
1. Link Exchange
“Main aapki site ko link karunga aap meri site ko link karo” Backlinks banane ka ye very simple (common way) hai.
Website owners or webmasters ne hundred backlink exchange kiye or aakhir me google ko iske khilap action lena pada. Agar aap apne kuch friends tak aesa karte hai to koi problem nahi hai par 100+ bar aesa karne se google samajh jayega ki aap kuch galat kar rah hai.
2. Widget Backlinks
Agar aapke pas koi widgets hai or aap chahate hai ki log use apni website me add kare to unhe link add karne ke liye rel nofollow ke sath provide kare. Kyuki kisi bad content website par aapki widget add hone par aapko bad links milega.
Google iske liye rel="nofollow"
tag recommend kar chuka hai. Example, godaddy site ko isi wajah se google penalize kar chuka hai.
3. Advertorials
Agar aap apni website par kisi product or website ka promotion kar rahe hai or use rel="dofolloow"
backlinks de rahe hai to ye google guidelines ka violation hai or jaldi hi google aapko penalty de sakta hai.
Is reason ki wajah se google ne bahut si news websites ko penalize kiya hai. So kisi bhi site ko promote karte time uske link ke liye nofollow tag ka istemal jarur kare.
4. Paid Link That Pass PageRank
Text links or images links koi bhi paid link ho google nahi chahata ki hum pagerank pass kare. Google aese links ko unnatural links manta hai.
5. Hacking Links
Ye bahut buri bat hai ki aap kisi ki website ko hack kar backlinks bananeki koshish karte hai. Search engine robots ab pahle se kahi jyada evolved ho chuke hai or aasani se ye pata laga lete hai ki wo kis tarah ke backlinks crawl kar rahe hai.
Ye kafi nahi hai hackingwale content share karne wali websites se backlinks build karne se bache or sirf achhi sites se hi backlinks banaye.
6. Hiding Link in CSS and Javascript
Kuch coding expert CSS, Script and other method se link hide kar backlinks banate hai. Ye idea kamal ka hai but afshos ab ye work nahi karta. Google aese expert se jyada expert ban chuka hai.
7. Sidebar and Footer Links
Blog sidebar or footer ko blog important pages, recent posts, most popular, about us, contact us, disclaimer, privacy policy, last updated, and other jaruri pages k liye use kiya jata hai.
But kuch log website sidebar or footer me unwanted product and sites ka link mention karte hai jo ki galat hai. Aap sirf post content me wo bhi details ke sath kisi product ka promotion kare taki aapke users ko uski basic information mil sake.
8. Anchor Text Low Distribution
Anchor text yani link ke liye use kiya jane wala keywords. Click here etc. words wale links SEO ke liye danger hote hai. Agar aap ek hi words ko link kar bar bar repeat kar rahe hai to aapko google se penalty mil sakti hai.
Anchor text ke bare me sahi se jan le or uska sahi istemal kare. Isme ye guide aapki help karegi Anchor Text Kya Hai or Iska Istemal Kaise Kare
9. Article Directories
ArticaleBase and EzineArticale or other many article directory website user ko real value provide nahi karte hai. Isiliye google inko devalued kar chuka hai.
Inka maksad sirf itna hai ki same topic par unlimited articles provide karna or niche unka link dofollow tag ke sath add karna. Ye nahi ki kisi website ko inse fayda mile ye sirf apna fayda chahate hai.
10. Low Quality Guest Posting
Ek ttha jab guest posting SEO ke liye most important thi but dheere dheere log iska galat fayda uthane lage or aaj sirf backlink ke liye guest post ki jati hai. Sirf itna hi nahi kuch log to guest post me affiliate links add karne ki koshish karte hai.
High quality guest blogging mar gayi or sirf low quality guest blogging rahe gayi. Finally, google ne action liya or guest posting ab pahl jitni SEO ke liye importance nahi rakhti.
11. Automatically Generated Backlinks
Jab $10 me 10,000 quality backlinks ki bat hoti hai to sabka man karta hai ki itne sare backlinks se kuvh benefits jarur milega.
Reality, ye sare ke sare backlinks automatically generate kiye jate hai.Is type ke backlinks bots, forums and comments ke dwara generate kiye jate hai. or aapki website ko google se penalty dila sakte hai.
12. Unrelated Backlinks
Relevancy important hai, Suppose aapke pas ek site hai jis par aap blogging, SEO ke bare me articles write karte hai. Ab agar aapke pas health topic wali 10,000+ websites se backlinks hai to iska koi matlab nahi hai isse aapko koi fayda nahi hone wala.
Ulta isse aapka nuksan ho sakta hai or google aapki site ko penalize kar de kyuki aesa karna google algorithm ka violation hai.
13. Backlink with Duplicate Content Websites
Google chahata hai ki all webmasters apni website or blog par unique and useful content share kare jo visitors ko real value provide kare.
Google low quality content or devalues websites ko kam pasand karta hai. So duplicate content, copied content wali site se backlinks milne par aapki website ki search rank down ho sakti hai.
14. Low Quality Backlinks
Agar kisi website se backlinks banana easy hai to uska matlab hai ki uska backlink jyada valuable nahi hai. Jis site se backlinks banana jitna mushkil hota hai utna hi valuable uska backlink hota hai.
Question answer forum, free directories, form profile and signature, wiki pages and other similliar platform se backlinks banana google guidelines ka violation hai.
15. Backlinks from Foreign Websites
Agar aapke pas ek ENGLISH language content wali website hai or aapki website par Russian and Indian language wali websites se 100+ backlinks hai to google samajhega ki aapki site par kuch galat ho raha hai.
Relevancy highly important hai. So foreign website se backlinks build karne se bache or sirf apni site se related site se backlinks banaye.
16. Backlinks form Penalize Sites
Aesi website or blog jisko google kisi wajah se penalize kar chuka hai se backlinks banane ka matlab hai ki aap apni website ko bhi google se penalty dilana chahate hai.
Aesi kisi bhi website se linking na kare jo google ke dwara penalize ki ja chuki ho. Us site se backlink banane ki koshish kare jiski google me achhi rank hai.
17. Links for Non-Indexed Sites
Ek aesi website jisko google index nahi karta hai. I mean aesi site jo proper work karti hai but search engines uske sabhi ya kuch pages ko index nahi karta hai se backlinks banana time west karna hai.
New site ta google se penalize ki ja chuki ke sath aesa hota hai. Google aesi sites ke backlinks ko accept nahi karta. Kisi website ko google index karta hai ya nahi ye aap Google Indexed Page Checker tool par check kar sakte ho.
18. Low Quality Web Directories
Directories ek old technique hai jo bahut pahle kaam karti thi. Aaj nahi, Newbie blogger ko jab is bare me pata chalta hai to wo is tarike se backlink banane ki galti kar baithte hai.
Paid ho ta free kisi bhi directory se backlink banana aaj important hai hai. Iski bajaye aap thodi mehanat karke Dmoz and Yahoo direictories se backlink banane ki koshish kare.
19. Backlinks Generators
Agar aap google search engine me “backlinks generators” type kar search karoge to aapko millions result mil jayenge jo minutes me high quality backlink generate karne ki service provide karte hai.
Ye sirf kahne or dekhne me achha lagta hai baki isme 1% bhi sachai nahi hai. Ye spammer hote hai jo aapki site ke link ko kahi bhi kisi bhi site par add kar dete hai. Jo link aapke kisi kaam ke nahi hai. So is tarike ko avoid kare.
20. Linking with Google Guidelines Violation Sites
Internet par aaj aapko aesi bahut si websites mil jayegi jo google webmaster guideline follow nahi karti or google se achha traffic pana chahati hai. Aesi kisi bhi website jo google guidelines koa violation karti hai backlinks banana better nahi hai.
So kisi bhi website se backlink banane se pahle uski search history check kar le or sirf aesi sites se backlins banaye jinhe google pasand karta hai.
Conclusions,
Backlink banane ke bare me sochna bahut aasan hai or banana bahut mushkil. Main upar kah chuka hu ki jis site se backlink banana jitna aasan hai uske backlink ki value utni hi kam or jis site se backlink banana jitna mushkil uske backlink ki value utni hi jyada hoti hai. Halanki ye har bar sahi nahi hota.
So bekar me thousands backlinks banane se jyada behtar hai aap mehanat karke apni site ke liye kuch achhe backlinks banaye.
- SEO Kya Hai – Search Engine Optimization in Hindi
- Image Optimization Kaise Kare – Image Optimize Karne Ki 15 Tips
Agar aapko ye article achha lage to ise dusre blogger and webmasters ke sath share jarur kare.
JITENDRA SINGH
Sir Maine WordPress Par New Blog Banaya Hai . Koi Bhi Free Theme Mujhe Batao. Mai Ek dam New Hu wordpress Par . Koi Bhi Theme Jo Thik Ho
Jumedeen Khan
Mythemeshop ki free themes use karo.
विनोद
Sir क्या एक पोस्ट में एक से अधिक subheading लिख सकते हैं
Jumedeen Khan
Yes likh sakte ho.
Ajay
Bhayi aaj mughe pura din ho gaya me post title se date remove karna chhahta hu blogger html se but ho nhi paa rahi aisa lag rha h ki post ke neeche date chipak gayi ho.. ab aap hi kuch karo thoda coding likhkar send kardo me use delete kar du plz bro..
Jumedeen Khan
Blogger par aap date ko remove nahi kar sakte. Iski koshish karna time west karna hai. Iske liye aapko wordpress par site banani hogi.
Suraj
Thank you sir apne bahot achhi jankari di hai mujhe eske baare me nhi pata tha. Thank you
Er. Abdul Razique
Bad backlinks Ko remove kaise kare this is the most important question of this article
Jumedeen Khan
Very good question, Ye first post hai is sabke bare me post karunga aap humari new post check kar sakte hai.
Krishna Kant
wow..good information. now i will aware before making any backlink. thank u sir
Sarik Ansari
Sir, mai jab bhi post likhta hu to seo friendly post bnane ke liye Wikipedia website ke post ka link de deta hu, to kya ye google se hisab se galat hai.
Jumedeen Khan
Achhi site ko link karna humesha achha hota hai lekin related link hi add kiya karo.
Sarik Ansari
Acha sir, long term blogging krne vale ke liye backlinks bnana jaruri hota hai ya nhi ?
Jumedeen Khan
Yes jaruri hai.
jawad
hi sitr..
meri ek site hai jis ke sid bar me maise apni dosri site ka (image with link ) add kya hai (backlinks keliye)is par koe problem to nahi hai..
help please
Jumedeen Khan
Ye tarika log bahut pahle aajma chuke hai. Avoid it.
Pravin Kharade
Bahot achhi information aapne provide ki hai sir..
Maine ek bar Google Webmasters ka Live join kiya tha. Us Live me unhone kaha tha ki Backlink Manually banana Google Policy ke khilaf hai ?
Agar Backlink manually banana Google Policy ke khilaf hai to kya hme Backlink banane nhi chahiye ?
Confuse ho gaya hu ?
Jumedeen Khan
Bannae chahiye kis tarah banane chahiye uska tarika next post me btane wala hu.
Anand Kumar
Backlinks ke baare mein ye aapka bahut hi best article hai, lekin mere man mein ek confusion aa gaya hai…
1) Aapne kaha hai ki sirf achchhe blog se hi Backlinks banane ke liye, lekin meri samasya ye hai ki mujhe yadi kisi bhi blog ka koi bhi post achchha lagta hai to main wahan comment jarur karta hoon. Comment karte waqt main backlink ka lobh nahin rakhta hoon, lekin fir bhi backlink to ban hi jata hai. Lekin yadi wo blog achchha nahin hoga to kya mujhe wahan par comment nahin karna chahiye? Ye kaise pata chalega ki kaun se blog par backlink banana hai aur kaun par nahin?
2) Mera blog http://www.abc.com type karne par hi open hota hai, yadi abc.com karke open kiya jaye to http://www.abc.com par redirect nahin hota hai. Iska solution kya hai?
3) Jab tak meri achchhi earning start nahin ho jati, main Blogger par hi rahunga. Lekin main apne blog ke theme se saatisfy nahin hoon. Main ek Blogger Theme purchase karna chahta hoon. Theme attaractive, Without Bad codings, fast loading, SEO optimized aur Mobile Friendly honi chahiye. Sath hi mere blog ke matter par fit bhi baithna chahiye. So please is matter mein bhi aap hamari help kar dijiye aur mujhe sahi rasta dikhaiye.
4) Domain lagane ke baad blog ki value 0 ho gai thi lekin ab blog par lagbhag 150 views daily aur Google se 20 click per day aa raha hai. To kya abhi Adsence ke liye apply karna sahi rahega? Yadi nahin to Blog ke kis position par pahunchne ke baad Adsence ke liye apply kiya ja sakta hai?
5) Maine notice kiya hai ki mere blog par Google se jo bhi visit aata hai, wo mere post mein use kiye gaye English Word ke badaulat hi aata hai. Lekin English mein post main likh nahin sakta hoon aur Hinglish mein isliye nahin likh sakta kyonki main readers ko pure Hindi me post dena chahta hoon taaki unhein meri har ek baat achchhe se samajh aaye.
Dusri taraf, GoDaddy ke domain mein Sub-Domain ka option hai. Iske tahat yadi hum chahe to ek hi domain ke ek se jyada child domain bana sakte hin. For Example, http://www.abc.com ka child domain hinglish.abc.com, hindi.abc.com aur english.abc.com banaya ja sakta hai.
To kya aisa ho sakta hai ki main bhi isi tarah se 3 child domain banakar ek hi post ko tinon language mein publish kar doon? Kya is tarike se kisi tarah ki koi problem bhi aayegi? Ya fir main domain par hi ek hi post ko sabhi language mein publish kiya ja sakta hai?
Mere sawal important hain lekin bahut long bhi hain, isliye aap reply denemein thodi deri jarur karein lekin reply jarur de dijiyega. Main aapke email id par ek message kar raha hoon, Usey bhi jarur padhiyega.
Jumedeen Khan
1. Comment karo no problem but apni site ka link add karna jaruri nahi hai.
2. non-www ko www par redirect karo. Is bare me google search karo kai articles mil jayenge.
3. Iska simple solution hai paid theme use karo.
4. Jab aapki blog par daily 500+ traffic ho.
5. No worry ek time ke bad aapki site ke hindi keyword bhi rank karenge.
6. Yes bana sakte ho.
7. Yes kar sakte ho no problem.
Anand Kumar
Thanks, 2 confusion abhi tak door nahin huye hain.
1) Jaisa maine bataya hai thik waisa hi ek Theme main jabhi just purchase karna chahta hoon. Iske liye aap mujhe kisi achchhe se website/seller ke baare mein bataiye. Jis tarah ka Template SMI ka hai, yadi thik isi tarah ka Blogger ke liye bhi kisi website par milta ho to jarur bataiyega.
2) Ek hi post ko ek hi blog par 3 alag-alag language mein likhkar publish kiya ja sakta hai ya alag blog par? Google ab bahut hi advance ho gaya hai, wo aasani se samajh jayega ki main ek hi post ko ek se jyada baar publish kar raha hoon. Iska bhi solution bata dijiyega.
(Abhi main is matter mein searching aur practicle kar raha hoon, ho sakta hai aage aur bhi sawal ho)
Jumedeen Khan
1. Sorry ye aapko hi karna hoga.
2. Google ek hi post ko multiple language me likhna allow karta hai. Aap likh sakte ho.
Anand Kumar
Thankyou, but ek request hai. Aap Premium Theme wale Website ke bare mein bhi post jarur likhiyega. Isse kafi Bloggers ko fayda hoga aur wo galat jagah se theme kharidne se bach jayenge.
Jumedeen Khan
Why not, thanks for suggestion.
fawad ch
thanks for sharing .
muje buhat time se backlink se related aise impomation ke talash te…
backlink par ya post sub se achi hai..!!! i have some questions about backlinks sir
1.real backlink cheacker site kon se hai, different site par different backlink show hoti hai (2,12,80). ap kon se tool use karte hai
2.badbacklinks (spam score kaise cheak kare).
3.meri blog ke post last me ek (link to this site) option hai ya dangerous to nahi hai seo ke liye.
Jumedeen Khan
1. Semrush use karo.
2. Moz rank tool par
3. Source link add karna galat nahi hai but kisi ki post ki char line copy kar uska link add karna galat hai.
DHARMENDRA KUMAR
Agar hun auto generate backlink site se back link banate hai to kiya yah hamare liye sahi hoga???
Jumedeen Khan
Auto generated backlinks website ke liye danger hote hai.
Pramendra
Backlink se related Achi jankari di hai bhai.
Isi tarah achhi achhi post likhkar ham sabhi ki help karte rahiye.
Deepak sahu
sir maine website me widget area me adsense ad lagana chahta hu aur jab ad code ko add karta hu to ad ki jagah code show ho raha hai.. aisa kyu?
jabki ki mai adsense se code ko copy kar ke bilkul sahi tarike se code ko paste kar raha hu fir bhi.
Jumedeen Khan
Aap text widget use kar rahe ho Custom HTML widget use karo.
Shahadat khan indian
Thanks you so much dear very useful post likhne ke liye thanks
Bhai 1 baat bataen jaisa ki aapne kaha ki backlink releted se honi chahiye matlab mein health2hindi par content likhta hun to kya mujhe only health and fitnees ke hi backlink lena chahiye i mean ki mujhe dusri website se backlink nuksan de sakte hain
2_ mein apne site par same aapke jaisa font chahta hun to isko kaise use krun filhal jo font hai mujhe kuchh jam nahi raha hai 1 baar mere font aur site ko dekh kar bataiye _ thanks again dear
Jumedeen Khan
1. yes relevant site se hi backlink banao.
2. Aap fauna one font use kar sakte hai.
akhilesh kumar
very nice
khan ji mere site par automatic backlink generat ho rahe hai maine ek web reporting batane wale site par apni blog submit ki par wah har 2 din baad 4 backlink deta hai kisi disre url se jo dofollow bata hai mai kya karu
Jumedeen Khan
Aap site owner se request kar links ko remove karwao or bad backlinks ko Disavow karo.
akhilesh kumar
bahut adhik snkhya me uske backlink hai kya koi saral tarika bataye
Jumedeen Khan
Jyada problem hai to aap spam backlinks ke IP address or URL ko block kar do.
Rakesh
Helpful Article For Backlinks
Anuj Kumar
Bhaur bhai thanks.. .Jummedeen Khan Bhai ye btao kya mai apne youtube channel k liye social bookmarking kar sakta hun.. Jase reddit, tumblr, folkd, scoop it, stumble upon, diigg, etc sites par Iska fayda aur nuksaan kya hai please bhai reply dena thnk you
Jumedeen Khan
Kar sakte ho but google ise like nahi karta. I mean SEO ke liye sahi nahi hai.
Aryan
bahut hi achi tarike se bataya hai nice.
RAJKUMAR MEENA
bahut hi badiya post hai bhai aapne bahut se mere daut clear kar diye