Ek Sath 200 Logo Ko Free Call Kaise Kare, 100% Free Service

Jab koi important fuction shadi, tyohar ka samay ho to apne friends or rishtedaro se bat karne ka man sabka karta hai. Or agar ayse time par aapko koi aysi service mil jaye jissse aap ek sath ek hi time me 200 logo se bat kar sako, wo bhi bilkul free to kya kahna. Ji ha dosto is post me mai aapko aysi hi ek free call service ke bare me bta raha hu. Jisse aap ek sath 200 person ko free calls kar sakte ho.

Free Call With 200 Person in One Time

Line android apps ke bare me to aapne suna hi hoga.  Messaging service line ek aysa shandar feature le kar aayi hai jo real me kamal ki hai. Kyki isse hum 200 logo ke group ko ek sath free call kar sakte hai.

Ab Ek Sath 200 Logo Ko Free Call Kare Line Apps Se, 100% Free Service

Line mobile app par aap is service se ek sath 200 friends ke sath group calls kar sakte hai. Iski sabse achi bat ye hai ki line app par ye service bilkul free hai.

Is waqt ye service android or apple iphone users ke liye hi available hai. Windows me ye service only desktop version me hi work karti hai. Windows mobile me aap is service ko use nahi kar sakte.

Line apps par group ke sabhi members ko voice call karne par uske all members ko ek notification message jata hai. Agar koi aapke sath call par bat karna chahata hai to is message par click kar aapke calls group se jud sakta hai.

Aapko ek sath 200 dosto se bat karne me problem hogi. Isliye is feature me iska bhi solution hai. Call ke doran jo member bolta hai uske name ki side me ek icon dikhega ki si stime ye member bol raha hai. Isse aapki ye confusing dur ho jayegi ki kab koun bol raha hai. Or group se jude baki logo ko bhi iska pata chal sake. Agar aapke phone me line apps nahi hai to aap yaha click karke line apps downlaod kar sakte hai. LINE: Free Calls & Messages – Android Apps on Google Play.

Friends aapko is post me btayi tricks pasand aaye to ise apne friends ke sath social sites facebook, twitter or other par share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (30)

  1. Sir me bhi apaki tarh kam karna chahta hu to kya karu

    • शुरुआत

  2. Bhai bahut smart ho yar aap, Bahut hi jabardast post likhte hai, samazne me bhi bahut aasani hoti hai, no koi confusen

    Aap se ek sawal tha mera, dally 500 + pageview aa rahe hai, 17000 ke karib pageview ho gaye hai, ab adesense ke liye apply karu, ya wait karu..

    Muze AdSense ken bare me jyada kuch malum nahi hai, kya aap muze kuch salah dena chahoge.

    • BItna traffic hai to kar sakte ho. Jyada jankari ke liye humari AdSense wali post check kar lena.

      • Lekin Bhai, kuch blogger bolte hai ki 25000 pageview ke bad hi AdSense apply karna chahiye, jisase cpc ka best result milta h.. kya ye sahi h.

        • My dear friend, aapko bta du ki google ne kahi bhi traffic ke bare me nahi btaya hai. Jo aesa kahte hai wo galat hai bas aapki site par google se 300+ traffic ho kafi hai.

  3. Sir JI
    Mere pass YU yureka AO5510 mobile hai ,air lollipop update hai ,isme dial pad attractive nahi lagta ,launcher se bhi BOLD meter ka dial pad nahi as raha hai ,pls sir koi tarika bataye ki Dail pad Bold letter me dikhe

  4. Bhai ye line apps me kya chat history backup kar sakte he kyaa….

    • Nahi kar sakte.

  5. Sir ayesa koi app he jisse java phone ko andriod me convet kar sakte he ????????
    batao sir plz plz…

    • Nahi

  6. bhai you tube pe vedeo editor edit me kya hota hai

    • Usme aap apna video edit kar sakte ho.

  7. bhai you tube video me aapne descraption me jo facebook, aapki site kh jo link add ki he wo kaise add karte hai uspe click karke us site par aa shake

    • Aap direct link paste kar sakte ho.

  8. Nice post. Thanks bro.
    Bhai mere blog ko India se traffic kam mil raha hai koi solution bataye.

  9. Badiya post ha

  10. Bhai mene bhohat se top blogger pe comments kiya he but mere blog ko backlink kyu nahi bad rahe be Please bhai help karo kya koi idea mil sakta he….
    Thanks in advance…

  11. Bro jab ham WordPress install karte time one ka backup ko select karte hai. Vo backup kaha jata hai

    • Aapki hosting par file manager me save rahta hai.

  12. Very nice trick ek comment to banta hai bhai.

  13. Bhayi to WordPress par backup lekar blog me import karna h blogger par ane ke liye iske alawa koi or setting to nhi blogger par wapis ane ke liye WordPress se

    • Nahi.

  14. assalamu alikum bhai…bhai mujhe ek information ye chaahiye the jab me apne website ke liye post likhta hun direct admin panel me…to kabhi kabhar mera net band hojata hai slow hone ke wajh se time out hojaata hai jiske wajh se kayi baar mere post ka data delete hojaata hai wo save nahi hopaata hai…..bhai mujhe yahi information chahahiye ki agr me wo post apne google drive ke document me likhun aur waha se direct copy paste kardun wo file jo mene word document me likha hai to koi problm to nahi hogi..googl e AdSense aesa allowed karta hai kiya plz reply den bhai…

    • Aap note pad par post likha karo. Ya fir aap post likhne ke bad post ko publish karne se pahle use copy kar lo. Isse agar aapko network problem aayi to aapka data lost nahi hoga.

      • thankyou bhai….notepad pe likhta hun…google document me bhi likh sakta hun kiya bhai

  15. Maine aapka post padhkar line app install kiys hai line app aur aapko post dono bahut accha hai

  16. Nice Trick Jumedeen Khan bro