5 Buri Aadat Jo Aapke Blog Ko Growth Karne Se Rokti Hai

Har kisi me buri aadate hoti hai. Ek blogger me bhi kuch bad habits hoti hai jo uske blog ko growth karne se rokti hai aur audience uske blog ko kam pasand karte hai. Aaj yaha main aapko Top 5 Bad Blogging Habits ke bare me bta raha hu agar aapme inme se koi hai to use sudhar le taki aapka blog aage badh sake.

Blogging ki duniya bahut ajeeb hai yaha bahut se blogger aate hai unme se kuch success hote hai aur kuch apni kamiyo ki wajah se fail ho jate hai. Successful blogger banne ke liye sirf knowledge and experience ki jarurat nahi hoti iske liye aapko kuch jaruri aadat banani padti hai.

Bad Blogging Habits aapke successful blog ko bhi failed bana sakti hai so kaibhi bhi apni galtiyo ko andekha na kare. Blogging ki sabse badi galti hai apni regular routine ko todna. Chalo main aapko aur btata hu jinse aap sabak le sakte hai.

5 Bad Blogging Habits Jo Aapke Blog Ko Aage Badhne Se Rokti Hai

Main ek blogger hu aur mujhe in sabhi habits ka achha experience hai. Isiliye main aapko specially suggest karunga ki ye galtiya kabhi na kare.

1. Sirf Apne Hi Topic Ko Focus Karna

Agar aapko apni industry ka thoda bhi experience hai to aap pahle hi ye samajh gaye honge ki sirf apne aap me khoye rahne se success nahi milti aur na hi audience aapko pasand karte hai.

Aap sirf apni pasand se nahi likh sakte aapko apne readers ki pasand ka bhi kuch likhna hoga jise log pasand kare aur aapke sath judna jaruri samajhe.

Agar aap sirf apni pasand se likhoge to aapke audience aapse dur hote jayenge jaise hi aap kuch naya karoge log aapse judna shuru ho jayenge.

Aap bhale hi 10 posts ki jagah 1 post likho lekin better aur naya likho jo aapke competitors se behtar ho. aapke blog ka traffic apne aap badhne lagega.

2. Readers Ko Jawab Dene Me Fail Hona

Aapke reader ekmatra aesi cheez hai jo aapke blog and blog ke content ko successful bana sakte hai. Agar aap unhe value dene aur satisfied karne me vifal rahte hai to wo na to aapke content ko like karenge aur na hi use dusre logo ke sath share karenge.

Ye aapke liye required hai ki aap unhe satisfied kare aur value de aur unke sath good relation banaye tabhi aapka blog top position me aa sakta hai. Isme aap apne blog posts par comments ka sahara le sakte hai ya apne business ke liye specially community forum bana sakte hai.

3. Regular Routine Ko Bigadna

Aap apne field me tabhi tak safal hai jab tak aap regular routine banaye rakhte hai. Aap jaise hi ise todte hai vifalta ka darwaja khatkhata dete hai. Apni daily dincharya ko tod kar kaam karna aapke blog ko growth hone se rok deta hai.

Ek success blogger ki pahchan hoti hai regular upost share karna, post share karne ka fix time hona. Comments reply time ki limit etc. agar aap ise tod dete hai to user aapke blog par aana kam kar denge. So abhi se apna regular routine banau aur use follow karo safalta aapke najdeek aani shuru ho jayegi.

4. Apni Posts Ko Promote Nahi Karna

Promotion ke bina koi hi website ki halat bilkul wesi hi hoti hai jaise bina baisakhi ke apahiz ki hoti hai. Agar aap sochte hai ki post write karne aur use publish karne ke bad uska safar khatm ho jata hai to aapka blog shayad hi success ho.

Blog par post publish karne kad us par reader aayenge ye jaruri nahi hai aapko use promote karna hoga logo ko uske bare me btana hoga. Iske liye aap social media, related sites, forums, community ki help le sakte hai.

5. Apni Strategy Change Nahi Karna

Content marketing me sabse badi bad habit hai ek hi rananeeti par kaam karna. Ye aadat aapko safal nahi balki asafal bana deti hai. Ye aapke business ko buri tarah se parbhavit karti hai aur success business ko bhi fail kar deti hai.

Ek blogger ko pata hona chahiye ki ek rule humesha kaam nahi karta blogging me aapko time to time google algorithms and readers ki pasand ke anusar work karna hoga tabhi aap top me bane rah sakte hai. Aapko new subject ka pata lagana aur kuch naya karna hoga.

Agar aap apne audience ko attract aur reader ko banaye rakhna chahate hai to aapko upar btayi ye 5 habits chhodni hogi. Aapko achhi aadate dalni hogi jo ki blogging ke liye jaruri hoti hai.

In bad blogging habits ko khatm karne ka sabse achha tarika hai ki aap apne apna time table hi change kar de aur buri aadat ki jagah koi dusra kaam kare. Jab tak aapki aadate puri tarah se badal nahi jati aapko ye ajri rakhna hoga uske bad aap sab normal kar sakte hai.

For example, aap bina time ke weekly 3-4 post karte ho to usse behtar hai ki aap iska fix time bana lo taki aapke users ko pata ho ki aapki new post kab aane wali hai.

Agar aapko mera ye article pasand aaye aur to ise social media par dusre blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (29)

  1. Avatar for Nitish SharmaNitish Sharma

    Sir event blogging kya hota hai

  2. Avatar for ROHITROHIT

    nice information sir…….thanks a lot

  3. Avatar for pawanpawan

    Sir mere blog ki content web scraper ke through copy ho rhi hai. mai kya karu iske regarding. Bas wo 30 se 40 word copy karte hai aur mere website ka link daal dete hai.wo mere article ka main keyword wala linehi copy karte hai. aur wo sabhi spam sites hai. help me

  4. Avatar for Vikash kumar singhVikash kumar singh

    Thanks for sharing such a great article with nice illustrations.

  5. Avatar for Kiran GuptaKiran Gupta

    Jumedeeb bhai aapne to the point bad habits explain kiya hai…ye hamarey jaise naye bloggers ko apne Blog ko improve karne main bahut help karega….aap aise hi blog ko improve karne ke liye tip dete rahiye….

  6. Avatar for VishwajeetVishwajeet

    mera problem 3 ra or 4 tha h.

  7. Avatar for Sameer AliSameer Ali

    बहुत ही जबरदस्त जानकारी दी है सर Really दिल से Thanks.

  8. Avatar for nimai pradhannimai pradhan

    Bhai ka blog mai dam hai ,jo baat likhte hain woh bahut hi fayde mant hota hai

  9. Avatar for Vikas jadhavVikas jadhav

    Thanks for sharing such a good points

  10. Avatar for Sachin DhrangdhariyaSachin Dhrangdhariya

    Bahut achhi baate Kahi hain jume Deen bhai

  11. Avatar for Rakesh GuptaRakesh Gupta

    गुड बहुत ही बढ़िया पोस्ट ……..ब्लॉग को सक्सेस बनाने में इन बातो का जो ख्याल रखेगा उसे ही कही न कही फायदा जरुर मिलेगा … थैंक्स जुमेदीन फॉर A पोस्ट…………..

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Thanks rakesh bro.

  12. Avatar for manjeet singhmanjeet singh

    Very nice information thanks for sharing

  13. Avatar for आनंद कुमारआनंद कुमार

    Bahut hi uttam jankari. Bahut samay baad SMI par is tarah ka post padhne ko mila hai.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Welcome bro and keep visiting.

  14. Avatar for sultan singhsultan singh

    Bahut badiya tarike se bad habits ke bare me bataya hai bhy….Ek blogger ka blogging routine hona bahut jaruri hai…….Tabhi sahi tarike se kaam kar sakte hai. nhi to time best hota rahta hai aur samay ka pata bhi nahi chalta hai

  15. Avatar for AMAN KUMAR SINGHAMAN KUMAR SINGH

    Google algorithm updates ke baare mein pta kaise chalega…

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Google blog read kiya karo aur SEO blog par iske bare me update mil jati hai.

  16. Avatar for dharmesh rajputdharmesh rajput

    bhai aapne sahi bat likhi hai , iske bare me har blogger ko sochna chahiye

  17. Avatar for shrawan swamishrawan swami

    Hi jumedeen sir abhi jo blogger me https ka option aaya hai mene pehale use YES Kar diya to usse mera pura traffic chala gaya baad jab meko malum hua ki 10-15 din me traffic wapis aa jayega usse pehale hi mene wapis se Https ko No kar diya to mera question hai ki kya ab mere blog ka traffic wapis aayega ya nahi please sir help karo bahut tension me hu kuch samjh nahi aa raha kya karu.
    Thanks in advance

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap fir se http enable karo or search console me https version submit karo and next question forum par puchna.

  18. Avatar for Hajari prajapatHajari prajapat

    Bhai please help me

    Meri adsense ki 1st earning 121$ 21 march ko adsense ne bank me transfer kar di thi but aaj 6th april tak wo mere sbi bank account me nhi aayi hai.

    Mene apni home branch me contact kiya but kuch khas response nhi mila aur adsense se main contact hi nhi kar pa rha hun, please bhai help me, abhi muje kya karna chahiye.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Dear hajari unrelated question ke liye special ask.supportmeindia.com forum banaya hua hai aap us par apna sawal puche.

  19. Avatar for Rupendra KumarRupendra Kumar

    bhai agar ham ek topic target na karke trending topic target kare to koyi problem nahi hogi na.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      No problem lekin, isse aapki site ko kuch hi tim rank milegi jab tak keyword trend me hoga tab tak uske bad down ho jayegi.

  20. Avatar for Aasif AliAasif Ali

    Sir Kya Aajke Time Mai Blogspot Par SucceSS Ho Sakte Hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes bilkul ho sakte hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...