Jab post likhne ke bad use social media sites par share karne ki bat aati hai to aksar log isme laparawahi karte hai. Jiski wajah se unhe social networking site se adhik traffic nahi mil pata hai. Actually, Agar hum article ko social media par share karte time kuch bato ka khyal rakhe to hume social sites se 30% traffic mil sakta hai.
By the way, Social media par post content share karna to har koi janta hai. But uska fayda hi kya jab aap apni ugliyo ko taklif dena nahi chahate ho. My means post ko social sites par share karne par uske sath kuch heading lines share karna bhi jaruri hota hai. Sirf post title se aap logo ko aakarshak nahi kar sakte.
- Hindi Blog Par High Traffic Kaise Badhaye 10 Important Tarike [SEO]
- Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi
In this post, Is post me mai aapko social media sites par blog post share karne ki kuch tips bta raha hu. Jinhe follow kar ke aap social media se or jyada traffic receive kar sakte ho. Iske liye bas aapko post ke sath 3-4 lines share karni hogi.
Social Media Sites Se Adhik Traffic Pane Ke Top 5 Clever Tarike
Mostly, Jab bhi hum apne blog ki post ko social site par share karte hai to uske sath sirf post title add karte hai. But agar hum social user ki choice ko dhyan me rakhte huye content ke sath kuch effactivate words bhi add kare to hume social media se or adhik traffic milne ke chance badh jate hai.
1. Motivational and inspirational quotes:
Motivational and inspirational quotes social media user par sabse jyada asar karti hai, Ye ek important reason hai. Mai ye bat guarantee ke sath ke sakta hu ki agar aap apni post ke sath kuch Motivational lines bhi add karoge to 70% social user aapki post padhna pasnad karenge. Ye tricks mostly facebook user par jyada work karti hai.
Agar aap koi online bussiness handle karte ho to aap Motivational and inspirational quotes share karna nahi chahoge. Ayse mai aap apne bussiness se related visual quotes share kar sakte ho.
Examply, Agar aap ek blogger hai or blogging se related information share karte ho to aap blogging se related visual quotes share kar sakte ho. Aap post title ke sath post ke bare me kuch ayse shabd likhe ki user padhte hi aapki post padhna pasand kare. Iske liye aap kam se kam 3-4 lines me post heading add kare.
2. Add Effective Images:
Maine kei bar dekha hai ki image ka social media sites user par acha parbhav hota hai. Kei users aapki image dekh kar hi aapke content ko read karna chahate hai. Wstav me mai aapse kahna chahunga ki agar aapki post image effective hogi to log use jarur padna chahenge.
In my case, Mere sath kei bar aysa hua hai. “1 image 2000 words ke barabar hoti hai” Is bat se mai 10% agree hu. Agar aapko meri bat pasand aaye to mai aapko suggest karunga ki apni post ke liye badiya se badiya image create kare. Image itni better honi chahiye ki ek bar jo dekh le wo aapke talent ka deewana ho jaye.
3. Ask Question:
Aksar hum post title add karke hi post ko social media sites par share karte hai. Hum ye bhool jate hai ki social sites par sabse jyada sawal puchne wali post ans status share ki jati hai. But post jab adhik effective ban jati hai. Jab hum post me koi question add karte hai. Kyuki social media par log question ke answer dena jyada pasand karte hai.
Iska bahut simple tarika hai. Aap jis bare me post kar rahe ho us bare me 1-2 question post heading me add kare. Isse jin users ko un sawalo ke jawab nahi pata hoga. Wo aapki post ko jarur padhna chahega.
4. Make Highlight Top Keywords:
Post topic me keywords add karna kitna jaruri hota hai. Ye bat aap bih jante honge. Or agar aapko keywords ko highlight karne ka mouka mil jaye to use khona nahi chahiye.
Social media par hum kisi bhi word ke samne (#) character add karke highlight kar sakte hai. Jaise #blogging.
5. Post Sharing Time:
Bahut se blogger post likhne ke bad turant use social media par share kar dete hai. It’s bad work, Ye bilkul galat hai. Agar aapko social media se jyada click chahiye to aap us time post share kare. Jis time log social media par sabse jyada active rahte ho. Or jaha tak mujhe pata hai social media par 6pm to 11pm tak sabse jyada user online rahte hai. I promose aap is time me or baki time me post share karke dekh lijiye. Aapko 30% jyada traffic milega.
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
- Blog Par New Post Content Likhe Bina Traffic Increase Kaise Kare
Inke alawa bhi abhi or bahut si tricks hai. Jinhe follow kar ke aap social media sites se jyada se jyada traffic pa sakte ho. Baki ke bare me hum aane wale time me bat karenge. Abhi aap inhe follow kare or result check kare.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends or other blogger ke sath share jarur kare.
nitesh
Bhaiya yadi hm apni website ki link ko kisi google+ community me reshare krte hai to kya admin ko problem hogi
Jumedeen Khan
No problem.
Suny jaan
Sr kia mn notepad mn articals likh kr usa apna blog mn past kr skta hn koi problam to ni?
Jumedeen Khan
No problem kar sakte ho.
Utpal Konwar
Blog me post dalne ke bad social sites mei kaise auto post kare…. jaise google+ fb linkedin twitter pinterst
Jumedeen Khan
http://www.bufferapp.com/ use karke
adish
sir kya aap mujhe bata sakte he ki apne khud ke FB group se jyada trafic LA sakte he. targeted kitne member sufficient hote he content or support badane ke liye
Jumedeen Khan
Adsih traffic jitna jyada ho utna hi better hai. Affiliate markeitng ke liye aapke pas logo ka support hona chahiye. I mean ki aap par wishwas karke kitne log product buy karte hai.
Deepak choudhary
Hello sir maine apna ek blog bnaya h usme kuch artical bhi likhe h keyword bhi ache use kiye hai but google se traffic nhi mil rha h uske liye mai kya kru pls help
Jumedeen Khan
Deepak humari SEO se rerlated post padho or unme btaye tarike follow karo.
yash
Sir me jab google p apni site search krta hu to kuch bi ni show hta…… But jab apni site k age. .com lagake search krya hu to hi site show hti h.. .. Jese m apki site sirf supportmeindia search krta hu to bht sare option show hte h apke google par lekin mere nhi hte mere bass ek hi option show hta h upar la bass vo bi .com lagane k bad plz btaiye m kya karu
Jumedeen Khan
Yash aap is bare me kei bar comment kar chuke ho but apni website ka link btate nahi ho fir mai kya check karke aapko reply karo.
Kuldeep Vishnoi
Ek post aap ad injection plugin ko kaise use kare post ke beech me aapki tarah 3-4 ads kaise lagaye iss baare me likho screenshot ke sath. or please jaldi likhna.
Jumedeen Khan
Mai is bare me already post likh chuka hu. Ye post padho WordPress Blog Par Ad Injection Plugin Kaise Use Kare in Hindi
Md Arshad Noor
aap social sharing ke liye aur social following ke liye kon sa plugin use karte ho
Jumedeen Khan
Mai social sharing ke liye jetpack plugin use karta hu usme iske alawa or bhi bahut sare features hai.
mohd sharik
sir agar me apni site par sirf hindi story ko original hindi me likhu aur baki sab jankari ko hinglish me likhu to kya isse meri site ya visiter ko koi nuksaan hoga kya.
and meri site abhi new hai plss aap ek baar check karke bata de ki mere artical sahi hai ya nahi aur mujhe abhi isme kya kya karna he. meri rank 2 carode hai. kaise kam karu
my site is www. clickmehindi.com
plss suggest full answer of my question
plss
Jumedeen Khan
Haa kar sakte ho. blogme widget sahi se use karo.
Amit
जुमेदीन जी बहुत अच्छी पोस्ट है, सोशल मीडिया को बिलकुल भी Ignore नही करना चहिये, मेरे ब्लॉग में अभी सबसे ज्यादा Traffic सोशल मीडिया से ही आता है और अभी मैंने हाल में ही एक हिंदी ब्लॉग देखा है जिसमे रोजाना 1 लाख से ज्यादा विजिट्स आते है जिसमे से सबसे ज्यादा सोशल मीडिया से ही है
sanju dangar
Sir mera experience hai ki social media par Sunday and Saturday me shar ki gayi post se bhi bahut jyada traffic milata hai,
thakornaresh
Shi bat hai sr social media pe aap shar
Karte Samay kuch sath 2 line effect likh ne se hmare blog ka traffic kafi jyada bdhata hai ye new blogger ko kafi sikhne
Vali bat hogi sr thenks adpne is post ko
Share kiya
sopan sonwane
sir uneefree.com ye meri site hai isko open karte hi home ke uper me kuch number aate hai usko muze hatana hai to plz tell me sir how to remove this number
Jumedeen Khan
Aap jo template use kar rhae hai usme bahut jyada javascript code add hai. Ye java script show ho raha hai. Agar html problem hoti to mai aapko guide akr sakta hai. Iske bare me mujhe jyada jankari nahi hai.
Suraj Barai
Ye tricks ko me follow karta hu lekin kuch kuch kam karta tha but ab puri taraha se clear ho gaya..
Qais
Sir yeh mere blog ka adress Hai Maine design kr Lea Hai ap plzz check krke btao ke design kaisa Hai aur kiya ab mujhe post karni chahye
knowledgebaseday.blogspot.com
Jumedeen Khan
Acha design hai. Yes ab aap post likhne par dhyan do or badiya badiya post likho.