Aap google search engine me apni site ki top ranking banane ke liye bahut mehanat (Hard Work) karte ho. Tab ja kar aapko google me achi position mil pati hai. But aaj mai aapko SEO par hard work nahi Smart Work karne ke bare me btaunga. Means is post me aapko apni site ki google search me SEO ranking banaye rakhne ke liye important 5 Tips.
Maine SEO ke bare me bahut post likhi hai but ye post un sabhi se alag hai. Kyuki mai isme kisi or ke thoughts nahi balki SEO ki marketing ke author Columnist Daniel Faggella ki sikhi huyi SEO tips ke bare me bat karunga. Unhone SEO ke bare me website owner and search engine marketer ko bahut kuch diya hai. Maine unki bahut post padhi hai. Or aaj mai wohi sab aapko sikhane ja raha hu.
Mujhe blogging me 10 month ho gaye hai or maine yaha bahut kuch sikha hai. Or apne readers ko sikhaya hai. Jaha tak mujhe pata hai har online business website ko search engine traffic yani organic traffic ki shakht jarurat hoti hai.
Agar aap ki website par organic traffic nahi mil pa raha hai to jarur aapse search engine optimization me koi mistakes huyi hai. Jinki wajah se google search me aapki visibility par effect pada hai or aapko search engine se traffic milna band ho gaya hai ya fir kam ho gaya hai.
But what happens, Aapke SEO guidelines ke follow karne or sabhi terms sahi se follow karne ke bad aapki site ki search rank down kaise ho sakti hai?
Actually, google SEO me changes hote rahte hai. Iski main wajah hai internet par lakho fake websites ka hona. Jinki wajah se google ko apne rules change karne padte hai or new rules lagu hote hai. Or aap abhi tak is bat se anjaan hai. Ya fir ye ho sakta hai ki aapse koi cheez miss ho rahi hai. Or aap shayad us par focus nahi kar pa rahe hai.
Agar aap chahate hai ki search engine me aapki site blog ki SEO ranking bani rahe or aapko regular search engine se traffic milta rahe to aapko hard work karne ke sath sath smart work karne ki jarurat hai. My means aapko google ki algorithm updates, latest ternds ke sath stay up to date rahna jaruri hai.
Now, Ab mai topic par aata hu. Yaha mai aapko btane wala hu ki kiase aap search engine me apni site ki SEO rank banaye (sustain) rakh sakte hai. Iske liye aapko kya kya karna hoga.
Apne Blog Ki SEO Ranking Banaye Rakhne Ke Liye 5 Badiya Ways
Aap sab jante hai ki SEO par work karn aasan nahi hai. Iske liye bahut sari mehanat karne ki jarurat hoti hai. But agar aap thoda sa pahle SEO ko ache se samajh lo or aapko iski achi jankari ho jati hai to mai aapko garantee deta hu ki aapki site ki SEO rank down nahi hogi. Bas aapko iske liye google ki ranking algorithm ki lasted updates par focus karna hai ki google SEO me kab kya badlaw kar raha hai.
1. Update your site:
Ye bat aap shayad bahut bar sun or padh chuke ho or ho sakta hai aapko ab ye bahut simple lagti ho. But aapko bta du ki internet marketing niche me sabse badi mistakes yahi hoti hai. Kyuki Update your site ka asali matlab hota hai apni site par kaise or kya update kare. So ab ise ignore nahi follow karna hai. Ache se samajhna hai or is par hard work ke sath smart work bhi karna hai. Yani ki iski bariki ko pahchan kar apni site ko update karna hai.
Google apni ranking algorithm ke part ke roop me content quality and content freshness dono ko pasand karta hai. Isliye apni site ko SEO rank me bananye rakhne ka bahut acha tarika hai apni site ki achi position banaye rakhna. Apni site par fresh and quality content upload karna.
Sirf “text only” content likhne se aapki site ki search me achi position nahi ban sakti. So agar aap chahate hai ki aapki site ki SEO position bani rahe to aapko post content me quality images and videos add karne chahiye. Apne articles me images or videos add karna apne reader ke experience ko badhane or other logo ko lubhane (entire) karne ka sabse acha tarika hai.
Site par new content likhte time humesha original content likhna chahiye jitna ho sake clear or apne reader ko pasand aane wali language me likhe. Sath hi layout homepage ko acha design kare or loading speed kam kare isse aapki site ki Bounce Rate kam hogi. Jo ki SEO ke liye better hai.
2. Speep Up Your Site:
Website loading speed google search me achi ranking pane ka important factor hai. Halanki bahut sari website fast load nahi hoti hai. Fir bhi unki search me achi position hoti hai. Ye bat apne dil se nikal do or jaan lo ki duniya me ek day me 2 million se bhi jyada website blog par articles publish hote hai. Or unme se 70% se bhi jyada fast loading site hoti hai.
So agar aapki website fast open nahi hoti hai to soch lijiye aapke reader apni problem ka solution pane ke liye aapki site ki jagah kisi or site par visit karna pasand karenge.
Google ke anusar agar aapki site desktop ke sath mobile me bhi one second se kam time me open hoti hai to ye ek bahut fast loading website hogi. By the way, Agar aapki site 1 second me open nahi hoti hai or aap ise iske liye optimize nahi kar sakte to aapki site 4 second ke under open honi jaruri hai. Tabhi aapko search engine se better traffic mil sakega.
Fortunately, Aapki site fast loading hoti hai to bahut achhi bat hai or agar aapki site slow open hoti hai to ye three step follow karke aap apni site ko fast loading bana sakte ho.
- Fast or bahut jyada popular or apni service ke liye jana jane wala hosting server choose kare.
- Apni website ki sabhi images ko optimize kare.
- Website ki loading speed badhane ke liye content delivery network (CDN) use kare.
Agar iske bad bhi aapki site ki loading speed fast nahi hoti hai to aapko site ko optimize karna hoga. Isme google pagespeed tool, GTmetrix, Pingdom and other tools aapki help kar sakti hai.
Mujhe WordPress platform use karte huye kafi time ho gaya hai. Maine apne blog ka loading time site ko optimize karke kiya hai. So maine iske bare me ek full information wala article How To Speed Up Your WordPress Site – 100% Working Tips likha hai. Isme aapko WordPress blog ko speed up karne ki puri jankari milegi or isme btayi tricks 101% work karegi. Agar aap WordPress user hai to ek bar try kar sakte ho.
Is post ko maine upar di gayi tools ki help se likha hai or WordPress site speed optimize ke bare me working tips di hai. Example ke liye aap mere blog ki speed check kar sakre ho.
3. Expand your link building:
Expand your link building ka matlab hota hai apne link ke nirman ka vistar karna. Yani apni site ke liye bahut sare links banana.
Maine bahut se logo ko dekha hai wo apni site links ki jagah site par backlinks banane par jyada focus karte hai. Mai manta hu ki backlinks SEO ke liye jaruri hai or inse website ki search rank increase hoti hai.
But mai ye bhi manta hu ki agar aapki site par original or keywords ka sahi istemal ki gayi posts hogi to aapke reader and other aapko khud mention karenge. Jisse aapko quality backlinks milega. Isiliye mai is bat ko nakarta hu ki khud ki site par link build karna yani apni site par badiya content likhna chod kar dusro se backlinks pane ki koshish karna.
Example: Last month mujhse ek friend ne kaha tha ki wo ek aysi site bana raha hai jis par wo koi bhi money maker program use nahi karega or sirf other blogger ki hel karega. Or wo chahata hai ki mai usk isite ke bare me post likhu or use backlinks du. Bhai ye to jabardati ho gayi or jab maine uski site ko check kiya to mujhe us par ek bhi article nahi mila. Mere man me us time ek hi khyal aaya ki agar mai is site ke bare me post likhunga to ho sakta hai kal ye apni bat se mukar jaye. Mujhe khyal isliye aaya ki mujhe uski site par koi links nahi mile jinhe mai promote kar saku.
Yahi bat usne mere jaise bahut se blogger se kahi hogi. Shayad usne is kaam me 2-3 day west kiye honge. So agar yahi time wo apni site par quality content likhne me lagata to 2-3 day me 5-10 badiya-badiya post lik sakta tha. Or mai yakin se kah sakta hu ki agar uski bato me dam hota to uski post padhne wala uska promotion jarur karta. Ho sakta tha mai bhi uske liye post likhta.
So ab aapko samajh aa gaya hoga ki jo time hum backlinks banane ke liye other place par west karte hai. Agar wohi time hum apne work par lagaye to humari site par content bhi badhega or backlinks bhi milenge. Ab aap decide kar sakte ho ki aapke liye kuonsa way better hai or aap kis par work karna pasand karoge.
Un sites par comment karne se bachiye jin par aysi information share ki jati hai jo google search engine allow nahi karta. Warna aapki site bhi unke bad backlinks ki wajah se search engine se banned ho jayegi.
Google chahata hai ki aapki site par user ko helpful information mile or useful content publish ho. So agar aap apni iste par useless content share karoge to aapki site ki SEO ranking down ho sakti hai. Apni site ki SEO ranking ko banaye rakhne ke liye aapko site par quality articles likhne honge or user ke iye jaruri information share karni hogi.
Sath hi aapko apni site ke sabhi various pages par inbound link ka vistar karna chahiye. Is ranniti (strategy) se aapki site par backlinks or or google ki nazar me aapki site ki authority increase hogi.
4. Outbound and Internal Links:
Outbounds link or inernal links add karne se content ki SEO ranking Increase hoti hai. Is bat me koi shaq nahi hai. But isme aapko carefully dusri site ke links add karne hai. Kei bar bad sites ke link add karne se aapki site ki search rank down ho jati hai. Chaliye mai aapki iski wajah ke bare me details se btata hu.
Outbound links:
Apne articles content me dusri good sites ke links add karne se aapki site ki google search me achi ranking banti hai. Isiliye article me dusri achi website ka link add karna achi bat hai. But agar aapne galti se bhi apni site ki post me kisi bad site jaise p*rn site, adult site, fake site and other bad quality sites ka link add kar diya to google search engine me aapki site ki rank gir jayegi. Or ho sakta hai aapki site ko google ban bhi kar de.
Humesha yaad rakhiye ki aap jin bbahari sites ke links apni post me add kar rahe ho wo trust hai or unse aapki site ko koi khatra nahi hoga. Sath hi wo aapke reader ke liye valueable sabit hogi.
Internal Links:
Internal links me to sabhi links aapki hi site ke hote hai. So iska matlab ye nahi hai ki aap apni post me jarurat se jyada or unrelated internal links add karo. Man lijiye aap blogging ke bare me post likh rahe ho or usme YouTube se related post ka link add karoge to ye SEO ke liye bahut bura hai. Isse search engine ko aapke content ko samjhne me problem hoti hai. Ise ek tarah se khichdi pakana kahna buri bat nahi hogi.
So aap jab bhi koi new content likhe to usme sirf usse related internal links hi add kare. Ye aapke reader experience or google search ranking dono ke liye acha hai.
5. Build Your Social Media Presence:
Sab jante hai ki social media ki website ko search engine me achi ranking dilane me major role hota hai or ye har site ke liye most important factor hote hai. However, Search engine social media sites ko ek adhikari ke brand roop me dekhta hai or is bat me koi shaq nahi hai ki Facebook, Twitter and LinkedIn ki google search me high Pagerank hai.
So in social media sites se aapki site ko links milne se site ki google search me achi SEO ranking hone me help milegi. In par apni site ke content ko share karne se or bhi log aapki site par visit karenge jinko aapki site ke bare me pahli bar pata chala hai. Or or bhi jyada traffic tab milega jab log aapki post ko social media par jyada se jyada share karenge. Isse aapki site ko quality backlinks mil sakte hai or ye aapki site ki SEO ranking ko banaye rakhne me aapki help karegi.
Yaha mai aapko kuch important tips bta raha hu jinhe follow karke aap socila media ki help se apni sire ki search rank ko sustain kar sakte hai.
- Apni site ke sidebar me social media share buttons add kare.
- Articles ke last paragraph me apne readers ko content share karne ke liye kahe. (e.g., “If you liked this content, be sure to share it on social media.”).
- Apne friends or apne reader ko kah kar apni post ko share karwaye. Aap chahe to iske liye unhe kuch offer bhi de sakte hai.
- Blog par floating social share button use kare.
- Apni site ki har post ke pahle ya bad me share button add kare.
Finally thoughts, Search engine optimization ek long terms process hai jise follow karna aasan nahi hai. Typically, Aapko bahut sari hindi or english sites ya blog par SEO ke bare me information mil jayegi. Or shayad unme bhi aapko upar is post me btaye topic par bhi jankari mil jaye. But yaha maine jo mention kiya hai wo shayad na mile.
Kyuki yaha maine aapko SEO par work karne ki nahi SEO ranking ko bananye rakhne ke bare me information di hai. Or har points ko alag tarah se samajhya hai. So agar aap wakai is post ko padh chuke ho to aapko better anubhav hoga.
I hope aapko is article me helful information mili hogi. Or SEO ranking ke bare me new tips pata chale honge. So plz is article ko social media par share karke humari bhi help karna na bhoole.
Binteazam
Bhai meri web p traffic nai hai.usk liye koi tareeqa btao.bht acha article likha ap ne.meei site adsterra p approve ha
Sanjay
Hello Sir mera naam sanjay h mene apse bahot kuch sikha hu ar ab mai. Seo bhi thik se kr leta hu par sir meri ek prblm h pls solve Kare
Meri prblm ye h ki meri site PR ek bar violence create hua tha tb se. Mujhe organic traffic milna bahot kam ho gya sir meri ye prblm kese solve hogi pls btaye
Jumedeen Khan
Aap mujhe us violation ke bare me details se btaye.
Deepika
thanks admin
ab ja k samajh aagya ki kaise karna h
अक्षत जैन
बहुत ही Best Article था
Sekh Jasimuddin
Google par ek post search kar raha hu to dusra koi blog ka link me mera post title araha hai. ispar click kar raha hu to ek p*rn site open ho raha hai. main to mera koi post me kisi blog ka link add nehi karta hu. kaise ye ho raha hai ? mera blog ka koi nuksan to nehi hoga ? iss problem ko kaise solve karu ? please advice me.
Jumedeen Khan
Kisi aapka title copy kiya hai. Isilyie aesa ho raha hai agar usne aapa content copy nahi kiya hai to koi problem nahi hai.
mamta singh
aap bahut useful likhte hai thank you for supporting us
Swapnil
Great article written bro. agar aapne sirf site bana ke rakh di aur seo maintain nahi kiya toh koi matlab nahi he. isliye seo maintain karna bahot jaruri he. Thanks for sharing this beautiful article for readers. 🙂
Vivek Darji
Really Important For All Blogger…Aaapki Ye Trick Dekhke muje achha laga
Sahil kumar
Bhai main bhi Ribbon theme use karta hu, par mere blog par Agar main Table coding use karu to Verticles Lines show nahi hoti, koi CSS ka link do na jis ko main theme me add kar saku.
Jumedeen Khan
Actually, Maine abhi tak tabel use hi nahi ki hai. Bro free theme hai sabkuch work nahi karega. Is theme me bahut se plugin bhi sahi se work nahi karte hai.
Nadeem
S/w
jumedin bro
Kyaa aap bta sakte hai ki kitne visiter hone par AdSense ko aplly karna chahiye!
Aur is samay main ek earning websites ka use kar rahaa hu jisse meri earning bhi ho rahi hai ! But AdSense ko apply karne se pahle dysre ads hatane chahiye !
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips
mohd shariq
bro aap mere blog ko ek baar check karke ye bata de ki mere blog me homepage par post puri kyu show ho rahi he.. apke jaisi kyun nahi nahi aa rahi.. jaise apki post per read more aata he. jab apki post per click karenge tab hi khulegi. lekin meri post me ye sab nahi he.. pls aap meri site ek baar check kar lijiye isme kya kami he…meri site ka name clickmeworld.blogspot.com
Jumedeen Khan
Aap blog ki template change karo. Sabhi problem khatm ho jayegi.
Harpreet Kumar
Kaafi achi baatien batayi hai apne bhai. New bloggrs ke liye bahut kaam a skati hai. Hum sab ko inhe follow karna chahye apne blog ki seo ranking banye rakhne ki liye
Haidar khan
Featured image ko full width pe karne ke liye kya code use karna hoga aur kahan?
jaise Aapke Blog me show hota pahle Post title phir photo aur phir post words.
Mere blog me nahi ho raha h main theme bhi apki batayi hui use kar raha hu. mere blog me side me chota image show raha h.
help me please
Jumedeen Khan
Haider mai aapki coding me koi help nahi kar sakta.
jeet makwana
Agar aapne click kiya tha to usme kyu nahi dikha raha ki click hua he usme to 0 Hi aa raha he
Jumedeen Khan
Jeet maine aapke blog par ja kar click karke dekha hai. Ab aapko click dikh raha hai ya nahi isse mujhe koi matlab nahi hai.
Haidar khan
Apne bhi kiya hai na Ye bata do kaise hoga full width pe
Jumedeen Khan
Maine WordPress coding editing karke kiya hai.
Haidar khan
Han to bhai wo hi bata do please kon si coding edit hogi?
Jumedeen Khan
Haudar aapko already kah chuka hu ki mai aapki coding me help nahi kar sakta kyuki comment me coding show nahi hoti hai.
mohd shariq
jume deen bhai agar hum apne phone ke screenshot se liya gaya photo blog per dale to kya bo copyright hoga.. agar us photo me kuch text kar de to bhi bo copyright mana jayega.. pls help me bro
Jumedeen Khan
Shariq aap ek bat ache se samajh lo man lo aap mere hi photo ka screenshot le kar apne blog par add karo or mai ye nahi chahata ki koi mere photo ko use kare to copyright ho sakta hai. So plz jaha ta kho sake apna photo use karo.
jitu kaiwart
bhai blogspot me CATEGORIES kaha se add hota h
Jumedeen Khan
ye post padho Blogger Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye
surendra rsdp
maine cloudflare me account banaya mujhe waha se 2 Name sarver mile hai unko Kha Set karna hai Hosting cpanel me yaa domian site par
Jumedeen Khan
Aap jaha se domain liya hai. waha par domain dns setting me add karna hai.
Agha Hassan
Bhai keywords kiya hai mene apka post para tab bi samj nhi ah raha keywords kiya hai please ap yahan comment me ais ke bareme guide karden please
Jumedeen Khan
Hassan jis tarah post me details se btaya hai usse better comment me nahi bta paunga. Aap post ko dhyan se padho.
jeet makwana
Sir mene apne blog me chitika ke ads lagaye he lekin us par koi click karta he to error aata he to me kyã karu please help me
Jumedeen Khan
maine aapke blog me footer me lage chitika ads par click kar dekha hai. Sahi click ho raha hai. fir bhi aap mujhe error message btao.
shashank
bro agar mere article ki length 1000-1500 hai to kya mjhe backlinks ki jarurat hai kya?
Jumedeen Khan
shashank post ko dhyan se padho yaha post lenth se nahi post ke original content ki bat ki gayi hai. Agar aapki post me original or quality content hoga to log use sabse jyada share karenge.
vijay panara
jdk sir aaj mai aap se kus sawal pucana cahta hu in ko lekar bahot paresaan hu
1] sir mera koi bhi post sirf 3 ghnte mai Google mai show hota hai in ka kaya secret hai
2] mere blog ko 3 month se bhi jayda time huva hai par ek bhi visitor nahi aata hai mai ne sitemap bhi add kiya seo bhi karta hu kaise google mai laye
3] sir mera koi post.image, Comment, etc kus bhi google+ mai share nahi ho raha hai google + ke apps ko bhi try kiya hai or browser se bhi nahi ho raha hai ..
help me sir plz..
.
Jumedeen Khan
1. Bro iske bare me to aapko hi pata hoga.
2. aap apne blog ka alag name choose karo. Jo kisi se match nahi hota ho. Examply anytimehelp, anytimeinfo jaise kei logo ne blog banaye huye hai. Jinse aapko traffic ka nukshan ho raha hai.
3. Aap ek bar kisi or gmail id se log in karke dekho. Ho sakta hai google plus ne aapko block kar diya ho.
vijay panara
2 number me aap ne bataya hai ki traffic ka nuksaan ho raha hai to kaya muje fir se dusra blog banana hoga or fir se muje sub kus new trike se karna hoga ..
Jumedeen Khan
Nahi aap sirf blog ka name change karo or koi acha domain lo.
vijay panara
thnks sir to kaya mai blog ka address bhi badal sakta hu e.x ANYTIMEHELP hai to kaya mai ANYTIMEINFO rakha sakta hu pura address he badal jayga ki sirf title badalega ager address badalta hai to wo kaise badle..
Jumedeen Khan
Vijay mai aapko advice de raha hu ki aap agar apne blog ka name address change karo or custom domain use karo to aapko traffic me fayda hoga. Aage aapko hi karna hai. Anytechhelp ko anytechinfo karne se koi fayda nahi koi alag aca name choose karo.
surendra rsdp
Jumeeden bhai Aaj Maine Robot.txt file Add karne ke liye Apne Google search console open kiya than lekin Waha Par Robot.txt file kuch iss traha add thi
#Begin Attracta SEO Tools Sitemap. Do not remove sitemap: cdn.attracta.com/sitemap/4736417.xml.gz #End Attracta SEO Tools Sitemap. Do not remove
Ab Mai Isko Remove Karke Dusra Robot.txt Use Karna Chahata hu Lekin Yeh remove Hi Nahi Ho Raha Hai .
Q.1
Yeh kya hai Kyu ki Mujhe toh yeh robot.txt file nahi lagta .
Q.2
Agar Yeh Robot.txt File hai toh seo ke liye sahi hai yaa nahi.
Q.3
Agar Mai isko Change karna chahunga toh isse remove kaise kare
Jumedeen Khan
Aap yoast seo plugin ke sitemap option ko sahi se use karo. Google search console me sitemap apne aap change ho jayega. Setting aapko SEO plugin ki karni hai.
veerendra
jume deen jee ham post me featured image ka size kaise chang kar sakte hai yaha se direct nhi ho rha hai
Jumedeen Khan
Aap css coding se kar sakte ho.
jitender singh
Sir apki jo duari heading hai speed up your site wali usmein Gt martix mai click karne per alag link open ho raha hai usko thik kar de
kiran pawar
Jumedeen Khan ji meri alexa rank achanak se 5 lakh badh gayi hai kya problem ho sakati hai. kya aap bata sakate hai.
Jumedeen Khan
Kiran mai aapko iska jawab kei bar de chuka hu. Plz question ko repeat mat karo.
saurabh
Hello Sir ..
Meri Job Se Related Website Hai Mai Jab ve Koi Naya Post Dalta hu to wo 3 ya 4 Number pe aa jata hai lakin phir wo dhire dhire down hone lagta hai , kaise wo down Nahi hoga . please help kijiye
Jumedeen Khan
Job se related post search me ek time ke bad down honi hi hai. Becouse kuch time bad use koi search hi nahi karega.
Abhijeet
Bhai AdSense account ek baar disprove ho chuka hai dubara approve karna hai kaise kare
Jumedeen Khan
Aap mujhe AdSense disapproved ka message dikhao. Mai aapko report check karke hi bta sakta hu.
riya shah
sir jab alexa rank me apni site check karte hai to… vaha pe “Bounce Rate”, “Daily Pageviews per Visitor” & “Daily Time on Site” aisa batata hai vo kya hota hai….
Jumedeen Khan
1. Bounce rate ki jankari ke liye ye post padho Website Me Bounce Rate Kya Hai or Iska Kya Matlab Hota Hai
2. Daily pagevies per visitor ka matlab aapke visitor daily aapki site par kitne pages ko open karte hai.
3. daily time on site ka matlab hai ki aapke visitors daily kitne time tak aapki site ko use karte hai. site par kitne time tak post padhte hai.
rahmat
Sir ji AdSense me pay name aor bank name me sapling todi alag h to kya payment aa jaegi
Example
AdSense me name h = adrish khan
Aor bank me name = adarish khan
Sir plz info me
Jumedeen Khan
Aa jayegi aap AdSense par payment address change kar lo. ye post padho Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare
ravi kumar
kya bhaiay isse aisi jankari dena chahiye, kyuki us time mere visitor khus to ho jate hai, but future me nahi, kyuki usse likhne ke liye time dene se achha , wo post likh sakte hai, jiska use all time ho, aap kya kahenege?
Jumedeen Khan
Ravi aapne mere man ki bat kah di. Yakinn aysi post likho jo aapke aane wale time me bhi kaam aaye.
Agha Hassan
Bhai new blogger ko AdSense se pehli pehli dafa month me kitna income hota hai aur bhai ye bhi btaye 1click pe kitne $dollar milte hain please btaye bro
Jumedeen Khan
Hassan, Adsense se kitni earning hogi ye aapke post content par depend karta hai ki aap post me keywords kaise use karte hai. Ek click par AdSense $0.01 se le kar $50 tak pay karta hai. Ab aap kitne earn kar pate ho ye aapke kaam par depend karega. Iski jankari ke liye aap Top 20 High Paying Keywords in Google Adsense – Adwords Advertising post padho.
ravi kumar
achha bhaiay aisi post se search engine pe koi effect bhi padti, Jaise offer bagairah, jaise SIM,lapto,mobile top 10 laptop aisa aisa , kyuki ye post kuchh time ke liye hi hoti hai, uske bad is post se kisi ko koi lena dena nahi
Jumedeen Khan
Ravi aap bhi jante ho ki ye post aapke kuch din hi kaam aayegi humesha nahi. Jab tak market me inka jor rahta hai. Aapko traffic milega. Uske bad nahi.
Abhinav Mishra
Bahut Badhiya Jaankari Jume Deen Bro , Waise Kya Mai Jaan Sakta Hu, Ki Adsense PIN Aane Me Kitna Time Lagta Hai, Mai New Delhi Se Part Time Blogger Hu, Aur Kuch Dino Pahle Maine Adsense Me 10 $ Pure Kiye Hainn.
Again Thanks For Sharing Such A Useful Post.
Jumedeen Khan
25-3- day ke aaspas aa jata hai. Or ahar aap kisi city me rahte ho to isse bhi jalid. Mai aapko suggest karunga ki aap apne postman ko pahle se bta de ki aapke name ki ek post aayegi.
kiran pawar
Jumedeen Khan aapne badhiya information di hai. aapki website ek din india ya ki no.1 website banegi. kyu aap bhut bahiya information logo ke sath share karate hai. aapki website me jo muze information mili hai wo kisi dusare website me bhi nahi mil hai. thanks Jumedeen Khan ji
Jumedeen Khan
Thanks kiran,
Aap mere liye itni achi soch rakhte ho. Upar wale se dua karunga ki aap mujhse bhi aage jaye.