Traffic har website owner, blogger ke liye important hoti hai. agar aap in me se ek hai to aapko pata hoga ki hum apne blog ki traffic badhane ke liye kya kuch nahi karte. social network, friends and other blog par comment kare hai. I mean humara 40% time blog ki traffic badhane ke bare me hi west hota hai. is post me hum blog ki traffic drive karne ke kuch important ways ke bare me janenge. jinki help se 100% blog ki traffic badhai ja sakti hai.
Jab maine blogging start ki to mujhe ek best blogger se pata chala ki post likhne ka tarika acha hoga to public aapko apne aap search karegi. mai is bat se 100% agree hu. actully blog ki traffic humare talent par sabse jada depend karta hai. humari post likhne ki style jitni best hogi log hume utna jada like karenge.
In sab se alag important point ki blog traffic increase karna only blogger ke talend par depend nahi hai. balki hume kuch ayse tarike bhi follow karne chahiye. jisse humare bare me un logo ko bhi pata chale jo search karna kam pasand karte hai. blogger ke talend ke bad dusra sabse bada way social network hai. jis par hum apne friens and friend’s friens ke sath apne aapko show kar sakte hai. yakeen maniye aap me kuch acha hoga to log aapko jarur like karenge.
Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Badhiya Tarike
Is post me hum bat karenge ayse ways ke bare me jinke bare me new blogger ko shayad hi jankari ho. i hope old blogger ke liye bhi ye tips helpful ho sakti hai. agar aap mujhse ek shabd me blog ki traffic drive karne ka jawab sunna chahe to mera jawab hoga “Social Networking” kyuki social media par ayse log bahut jada hote hai jo sirf facebook ,twitter, whatsapp tak hi simit hai.
or unhi par career banane ka sapna dekhte hai. in your case aapke blogging dusre topic par hone se social media se kitna traffic milega. ye aapki social network field par depend karta hai. to chaliye aage bat karte hai blog ki traffic badhane ke 50 best tarike ke bare me.
1. Blogger Talent
Blog ki traffic badhane me blog owner ka talent kitna important hai. mai aapko iske bare me upar pahle se bta chuka hu. ye no.1 way hai. agar aap isme 80% bhi success hai to aap ek din success blogger ban sakte hai.
2. Post Quality
post aysi honi chahiye jisse audiense ko lage ki aap ek ache ideal ho. jis se audiense aapke nakshe kadam par chalna chahe. uske andar aapke jaisa banna ki bhavna paida ho. use lage ki aap behtar ho, logo se alag ho. aapko follow kkarna visitors pasand karne lage. iske liye aap post ko is type se likhe ki jaise aap aamne samne audiense se bat kar rahe ho.
3. Guest Post
Guest post ek acha ways hai blog ki traffic badhane ka, isse aapko backlinks milte hai sath hi logo se aapki pahchan badhegi. aap kisi success blogger ke blog par apni site ke bare me guest post kar sakte hai. ye ek bahut hi acha idea hai. jisse ek sath kei sidhiya chadne ka mouka milta hai.
4. Search engines
Google persent me sabse jada populer search engine hai. lagbhag 90% peoples google par hi search karte hai. agar aap google search engine se site ko submit karne me success hote hai to akela google aapko 40% traffic dega. apni site ka SEO optimize ke liye humari site ki baki SEO se related post pade. Google, bing, yahho, ask and other search engine se site ko submit karne ke liye yaha click kare. Agar aap WordPress user hai to yoast seo plugin use kare.
5. Comment on Other Blog
Commenting ek free tarika hai backlinks pane ka agar aap dusre blog par achi comment karte hai to us site ko aapka backlinks jarur milega. backlinks pane ke liye comment kis tarah karni chahiye uski jankari is post me hai. Blog Ke Liye Comments Kyu Jaruri Hote Hai
6. List Post
“top 10” “top 20” “top 100” post list ki post share kare. yani apne blog ki weekly, monthly, yearly posts ki list bana kar share kare jisse aapke visitors ko sari jankari ek jagah mil jaye. apne blog ki old posts ko visitors tak pahuchane ka ye sabse acha tarika hai.
7. Wright Related Posts
20-50 days me aysi post share kare jisme kisi ek subject par posts ki list ho, jaise aap blogging par post karte ho to ek niymit antral me blogging se related posts ki list share kare. isse new blogger ko aapki site ki sabhi post ek jagah search karne me aasani hogi.
8. Link to Post
New post likhte time post me related link add kare. jisse audiense aapki site ki dusri posts bhi pad sake. isse user ye soch kar bhi post ko open karta hai ki isme mere kaam ki koi or bhi post mil sakti hai. har success blogger is tips ko follow karte hai. in my case aap meri sabhi posts me other post ka link dekh sakte ho.
9. Traffic tips
aap kisi bhi topic par post karte ho isse fark nahi padta, “Blog ki traffic kaise badhaye” ye question new blogger sabse jada search karte hai. so aap apne blog par blog ki traffic badhane se sambandhit post share kare. in my case maine ek bar blog ki traffic se related ek choti si post ki thi use ek day me itne views mile jitne mere ghanto mehanat se likhi posts par bhi nahi milte.
10. Start Emailing Services
Old visitors ko fir se site par invite karne ka sabse acha tarika hai email marketing isse aapki new post ki notification old user tak pahuchti hai. or wo fir se aapki site par aa jate hai. email delivery me Feedburner free or sabse better service deta hai.
11. Add image in post
Media blog ki traffic badhane me 40% help karta hai. blog ki har post me 1-2 images jarur add kare. search engine images ko post se bhi jada support karte hai. post me photos add karte waqt photo ka name or description jarur add kare. jisse search engine samajh sake ki image kis bare me hai.
12. Create Blog Page
Blog ke name se facebook, google plus, twitter par page banaye or new post us par share kare. isse social media par active log aapki site par aa sakte hai. sath hi unhe aapki new post ki jankari bhi page ke throw milti rahegi.
13. Create Video
Blog ki post ke bare me details se bta kar video banaye or use blog post me add kare. jisse video ke throw audience aapko follow kar sake.
14. Social Share Button in Post
Blog ki har post ke niche Social share button add kare. isse visitors ko aapki posr pasand aayegi to we post ko share kar sakte hai. ye tricks bahut important hai. agar aap ise ignore karte ho aapko social media se aane wale visitors me se 20% visitors ko bhulana padega.
15. Flating Share Button
Blog ki left ya right side me floating share button add kare. ye post ke niche share button se jada better hai. post padte time visitors ki nazar me rahta hai. Blog Ki Left Side Me Floating Social Media Share Buttons Kaise Add Kare
16. Ask to Sharing
Post ke end me visitors se post ko share karne ke liye kahe. agar visitors aaki post achi lagegi to wo aapki help jarur karenge. sath hi post me apni social id ka link bhi add kare jisse user aapko social media par follow kar sake.
17. Create About Auther Page
site par apne bare me details se btaya hua page banaye. isse visitors aapse impress honge. unhe aapke bare me jankar ye ahsas rahega ki wo kis ki post padte hai. or aap kis bare me unki help kar rahe hai or aage bhi karne wale hai.
18. Advertise Your Blog on Google Adwords
Agar aap blog ki traffic badhane ke liye pay kar sakte hai to google adwords par apni site ka ads bana kar apni site ka promotion kara sakte hai. ye paid service hai but jaldi traffic badhane me help karta hai.
19. Advertise Your Blog on Facebook
adwords ki tarah hi aap facebook par bhi apni site ka ads dikha sakte hai. but ye bhi adwords ki tarah paid hai. aapko facebook par ads dikhane ke liye payment karna padega.
20. Advertise Your Blog on Local TV NEws Channel
agar aapke aas pas koi local TV channel hai to aap us par bhi apni site ka ads de kar promotion kar sakte hai. iske liye aapko apne blog par 100-500 post karni hogi. ske bad hi kisi channel par apne blog ka ads de.
21. Advertise Your Blog on Local Television Station
aap najdiki kisi tv station par apni site ke bare me news ads dila sakte hai. isme jada paise bhi nahi lagte. aap apne kisi pahchan wale ki help se ye kaam saste me karwa sakte hao.
22. Always Use Tags inPosts
post likhte time tags jarur use kare. search engine ko isse aapki post ko samajhne me aasani hoti hai. sath hi visitors ko bhi tags se related post padna easy ho jata hai.
23. Wright a Post Features
future me aap kya karne wale hai or aapke aane wale time me kya kya plans hai iske bare me ek post kare. jis se audiense ko aapki next activity ka pata rahe. or wo iski ummid se aapse ache rishte banane ki koshish kare.
24. Question-Answer Forum
Apne blog par ek sawal jawab forum banaye. jis se visitors aapse direct sawal puch sake. isse visitors fir se aapki site par aayenge. or dusro ko bhi btayenge ki unhe aapki site par help mil sakti hai.
25. Contact Other Success Blogger
Internet par bahut se blogger active hai. aapko jiska bhi talent acha lage. usse blog ki traffic badhane ke bare me help le sakte ho. isse aapo bahut kuch sikhne ko milega.
26. Advice Other Blogger
apne blog ke bare me dusre blogger se advice le ki aapka blog kaisa hai or aapka post likhne ka tarika kaisa hai. wo aapko jo bhi salah de. uske bare me soche or aapko jo acha lage wo change kare.
27. Connect Google News
Google news par apni site ki post or comment karte rahe. lagbhag har internet user online news padta hai. isse aapko backlinks milega. or aapki site par news post se visitors bhi aa sakte hai.
28. Choose Most Keyboard
Blog post me important keyboard add kare. search engine un keyboard ko jada support karta hai jo internet par populer ho. post title me 1-2 keyboard jarur hone chahiye.
29. Write Post in Relation
Populer celebrities ke birth day ya most people ki jayanti par jaise “Mahatma ghandhi’s 10 ideal” par post kare. ayse time par user unke bare me jada search karte hai. jisse wo aapki post bhi pad sakte hai. or unhe aapki site ka pata chal jata hai.
30. Great Post Title
ayse topic par post karte rahe jo intewrnet par viral ho. jaise make money, blogging, paise kamane ka tarika internet par kafi viral topic hai. aap ayse topic par weekly post karte rahe. jisse search engine se aapko acha traffic mil sake.
31. Do Something That Has Never Been Done
Blog par aysi post kare jo pahle kabhi na ki gayi hai. kuch na kuch aysa kare jo pahle kabhi na hua ho. aysi jankari dekh kar visitors use sabse jada padna pasand karte hai. kyuki har koi kuch ajeeb karna chahata hai.
32. Plz Don’t Read This
Apne blog par ek do aysi post kare jisme plz don’t read this ka msg ho. kyuki log ayse messages ka jarur padte hai. jis par jane se mana kiya gaya ho. log us par jana jada pasand karte hai.
33. Submit Blog Niche Social News
Blog ko sphinn or bizsugar jaisi social news sites se submit kare. jisse aapko unse backlinks mil sake. or social news site aapko kuch visitors de sake.
34. Fast Reply
Puranevisitors ko wapis site par aane ke liye fast reply sabse acha tarika hai. agar aap visitors ko jaldi jawab doge to wo fir se aapki site par aana pasand karenge. or apne dosto ko bhi aapki site ke bare me btayenge.
- Youtube Se Video Download Kaise Kare (Bina Kisi Sofware Ke)
35. Create Product
snapdeel, amazon jaisi bahut si sites hai. jin par online shoaping ki jati hai. in sites par old product bhi saste damo par sell kiye jate hai. mai aapse kahna chahunga ki aap ek product ads banaye or usme contact ki jagah apni site ka link dal kar in sites par share kar de.
36. Alexa
alexa amazon ki service hai jis par aap apni site ki ranking ke sath sath apne blog ki ranking ko increase kar sakte hai. jo aapko kafi ache sites ke backlinks deta hai. but yad rahe alexa is paid service.
37. Submit Blog Post To Digg
kis type ki post kitni populer hoti hai. digg se blog submit karne ke bad aapko is ke bare me janne me help milti hai.
isme aap jan sakte hai ki aapko kis ke bare me post karni chahiye.
- Kisi Bhi Color Ka Code Pata Karne Ka Generater
38. Say Your Friends to Share Your Blog
aapke 10-20-50-100 jitne bhi friends hai. unhe aapki blog ko share karne ke liye kahe. isse aapko kam se kam 10% blog traffic badhane me help milegi.
39. Interview to Big Blogger
apne se bade blogger ke sath blogging ke bare me bat kare. uski bato se aapko kafi kuch sikhne ko milega. or aap apne blog par kuch new kar sakoge. yakeen maniye aapse kam janne wala bhi aapko aysi trick bta sakta hai. jiske bare me aap soch bhi nahi sakte.
40. Post on Most Festival
India me wese bhi sabse jada tyohar aate hai. aap inki help se bhi blog ki traffic badha sakte ho. festival time se pahle uske bare me post kare. us tyohar se judi kuch bate share kare. is time par us tyohar se related jankari internet par share ki jati hai. isse aapki post bhi logo ko search engine me mil sakti hai. or ayse logo ko aapki site ka pata chalega jo iske bare me janna chahate hai.
41. Sure Your Email Service is Active
Lagbhag 40% blogger e ye galti hoti hai. wo blog ko email marketing se connect kar is bat par dhyan nahi dete ki unki new post ki jankari visitors tak ja rahi hai ya nahi. jisse hume 20% se jada traffic ghatne ka nkshan uthana padta hai. so aap check kar le ki aapki post ki notification aapki visitors tak pahuch rahi hai ya nahi.
42. Translate Friendly Post
Posting ki wrighting aysi honi chahiye jise dusri language me translate kar ke bhi aasani se pada ja sake. jaise aap hindi blogger hai to aapko sirf india se hi jada visitors milenge. but agar aapki post wrighting translate able hogi to aap other countries se bhi visitors pa sakte hai.
43. Many Domains
Main domain ke sath aap koi short domain register karke use apne blog me add kar sakte ho. jisse visitors ko aapki site par aane me aasani ho. ek bar aapki site fomus ho jaye fir other domain ki jarurat nahi padegi.
44. Add Useful Tool
Blog me hindi typing tool, SEO tool and other tools add kare. ye aapke blog ko or jada links deti hai. jisse aap 20% se jada blog ki traffic badha sakte ho.
45. Guest Post on Your Blog
jab aapke blog par 200-300 posts ho jaye or ache visitors aane lag jaye to aap bhi apne blog par guest post service start kar sakte hai. is se aapko post or backlinks ke sath sath other blogger ka sath bhi milega.
46. Continue Blogging
apne visitors ke sath jude rahne ke liye continue blogging kare. or apne visitors ke sawalo ke jawab de kar unki help bhi karte rahe. jisse wo aapki blog se regular connect rahenge.
47. Make Custom Design
apne blog ki alag pahchan banane ke liye blog ko sabse alag tarah se design kare. jise visitors ko aapke blog ko dekhne bhar se pata chal jaye ki ye aapka blog hai. or wo aapko sabse alag samajhe. isme aap kisi blog designer ki help le sakte hai.
48. Connect Every Post to Reddit
post publish karne ke bad use reddit par share kare. reddit par aap apni sire ke posts ka celection bana sakte ho. jisse aapki blog ki post ki search engine me achi ranking hogi. or reddit ke throw visitors aapki site par aa sakenge.
49. Advertise Your Blog on Local News Paper
apne blog ki traffic badhane ke liye aap kisi local news paper par blog ka ads de kar help le sakte hai. agar aap high payment larne me able hai to aap foumus news paper par bhi apni site ka ads de sakte ho.
50. Create a Twitter Account
twitter aaj facebbok ki tarah populer networking site hai. facebook to har koi use karta hai. but twitter par bhi account banaye or apne blog ki new post twitter par share kare.
51. Create Mobile Apps
ye bat aap bhi jante hai ki 60% visitors mobile use karte hai. agar unhe aapki site ka apps mil jaye to kitna acha rahe. jise wo apne phone me install kar le. isse wo day me ek do bar aapki site ko jarur open karenge.
52. Make Fast Loading Blog
Ye trick mujhe aapko pahle hi bta deni chahiye thi. kyuki har koi fast loading site ko pasand karta hai. site ki speed slow hogi to koi bhi aapki site par aana pasand nahi karega. so blog me fast loading template hi use kare. blog ki better loading speed 10 second se kam honi chahiye.
I hope aapko ye post pasand aayi hogi. agar aapke pas bhi blog ki traffic badhane ki koi or tricks hai to comment me btaye ya mujhe Contact Forum me message send kare. agar aap bhi humari help karna chahe to is post ko share kare or humari new post ki jankari ke liye hume Facebook, Twitter, Google Plus, Youtube par follow kare.
Sanjeev Ojha
Apne bahot achche se meri problem ka solution kiya he. Apka ye post naye aur blogging karne walo k lie bahot upayogi he.
Afreen
Aap na sabhi batein bahut achche se samjhayi hai jiske liye thank you so much
Sujit Kumar
Mujhe aap jaisi hi degsin banana hai ! Kripya mujhe btaye ki kya kya kare iske liye
Sirf mujhe aapka jo latest post , popular post , trending post , subscribe now button copyright aur little about blog jaisa design bata dijiye
Mahjabeen
Sir, hamare blog ka traffic bahut kam hai, Kya ham iski help se apna traffic badha sakte hai.
Jumedeen Khan
Bilkul aap apply karke dekh sakte ho.
aman
Mujhe blogging me aana hai waise toh free hosting acha nhi hota but mai free hosting se start krna chahta hu
Aur baad me ise migrate kar ke kisi ache hosting se host kar lunga
Soo aap koyi acha free hosting btaye
Ya blogger use kru
Infnityfree
Profreehost
Freehosting
Googiehost
Ye sab unlimited bandwidth de rhe hai but phir bhi konsa sahi hoga jo mere website ko band na kare koyi acha suggest kare apne trah se pta kar ke
Aur kya hosting change krne ke liye sabse behtar traqah konsa hai
Jumedeen Khan
DigitalOcean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
DigitalOcean Se Cloud Hosting Kaise Kharide – 2 Month Free
Aashi
thank u …..this articles is very useful …..recently maine apna blogn banaya hain ….ye article isme kafi helpful so… thank again …thank you so much
Paresh Bhoi
bro mera blog blogger pe hai to kya pura blog mujhe wordpress pe transfer karna hoto kaise karu aur usme muje hosting karna hoga ki nahi
Jumedeen Khan
Aap blogger blog pa backup le kar use wordpress blog me import kar sakte ho.
puran mal
sir aap ka samjhane ka trika bhut
hi badhiya hai
Manoj
Thanks Great post.
Ajay Jain
Hello JDK mujhe apki yah post kafi pasand ayi mene bhi ek blog banaya hai. me use kal adsense ke submit karne wala hoo. me chahta hoo ki aap mere blog ka review karke mujhe uski kamiya bataye. or kya mera blog adsense ke liye apply karne ke liye teyar hai.
please fast reply and suggest me.
Jumedeen Khan
Aapke blog me koi kami nahi hai but adsense ke liye apply karne ke liye aapke blog par traffic hona chahiye. Agar aapko daily 300+ click google search se milte hai to aap apply kar sakte ho.
vaishali sharma
sir g
aapne kafi acchi jankari di
mari website jo ki finance se related hai me INDIA se kam or united state se jyada vews aa rah ahi
abhi tak mene 5 blog likhe hai or 4-5 vews daily aa rahe hai plz muze help kare.
Jumedeen Khan
1. Aap blog ka design sahi karo or extra features ko remove karo.
2. Aap SEO friendly post likha karo.
vaishali sharma
sir g mis Tarah ke extra features plug in ya features of blog topics like saving investment and other plz visit my website and suggest me.
Bhanu Dewangan
Hello … Main Apne website ki Traffic /visitor kaise badhau..?
Jumedeen Khan
Please read my SEO content.
Aman Morwal
Bhai jaise mai blogger par mera ek blog hai..www.onlinehelpinhindi.in.toh bhai mujhe new blog banana hai usi par.toh bhai kya mujhe dusra domain lena padega ya phir onlinehelpinhindi.in se kam chal jaayega bhai.Matlab bhai new blog ka option aata hai na uspar.
Jumedeen Khan
Dusra domain lena padega.
Gangaram jamre
Very good khan sir
Apki site ek new blogger ke liye vardan hai sir
Sir mai ap ki site se hi bahu sari jankaree sikhi hai aur blogger par ek free blog start kiya hai
Thanks sir
Kumar Mritunjay
Sahi btaya apne Iss BlogPost me Bhai @jumedeen ,wakahi bahut hi badiya suggetion hai Blog Ki SEO badahne ke liye ,
yasmeen khaja
Mujhe aap ki posts achchi lagti hai aur bahot kuch janne ko bhi mila hai
THANKS
Jumedeen Khan
Thanks and welcome yasmeen
Raj Mishra
Sir avi mai Internet ki duniya mai naya hu mujhe avi bahut kuch sikhana hai. Sir mai apka har post read kar raha hu fir v man mai kuchh aise aise sawaal aate hai jinka answer dene k liye har waqt apka saath chahiye sir plzzzz sir help me mera whats app number 9198076698 hai aur email id = rajm076698@ gmail.com hai sir plzzzz mujhe mai kariye ya message kuchh v karke sir aap apna contact number de digeye taaki ager mujhe kuchh puchhana ho Blogg banate time ya kuchh v internet se related koe doubt puchhna ho to mai aasaani se apko contect karke puchh lu plzzz Sir plzzzzzz Request hai mera apse mai wait kar raha hu apke responses ka.
Jumedeen Khan
Aap mujhe contact forum me contact kar sakte hai.
mohit ra
Mene promote bhi kiya fb Whatsapp PR bhi share kr RHA hu but koi fayda nhi aa ho RHA me khud bhi paresan hu ki Etna karne ke baad bhi result 0 hi he av aap hi kuch kr sakte he help kro koi to solution hoga
Jumedeen khan
Mohit promoting to aapk ohi karni hogi.
mohit ra
Hi jume deen khan mujhe apki help chahiye mene ek blog banaya he or usse banaye huye 4months ho gye he me us PR sayari SMS stories jokes status bagerah dalta hu PR mere blog PR traffic nhi aa rhi he mene sav karke dekh liya av aap hi kuch solution batao ki me kya kru ki traffic aane lage
Jumedeen khan
Aap jitna ho sake apne blog ka promotion karo.
Abhiahek Meena
PageSpeed Insights
63 / 100Speed
Should Fix:
Eliminate render-blocking JavaScript and CSS in above-the-fold content
Your page has 2 blocking CSS resources. This causes a delay in rendering your page.
None of the above-the-fold content on your page could be rendered without waiting for the following resources to load. Try to defer or asynchronously load blocking resources, or inline the critical portions of those resources directly in the HTML.
Optimize CSS Delivery of the following:
Jumedeen Khan
Aap blog ki template change karo or uska mobile preview band kar do aapki sari problem dur ho jayegi