फेसबुक पर अपना Online Business Promote करने की 7 Tips

Faceboook top popular social media sites me se ek hai. Jiski help se hum apne online business ka promotion kar sakte hai. Agar aap ek blogger hai to aap facebook par apne article share karke apni site ka traffic increase kar sakte hai. But aap agar direct post title ya link ke sath post share karne ki bajaye thoda carefully post share kare to aapko facebook se or jyada traffic mil sakta hai.

7 Tips to promote your online business on facebook

Kya aap nahi chahate ki jab aap facebook par apni koi post share karo to usse aapko jyada se jyada traffic mile? Ya fir aapke online business me facebook ka ahle role ho. Agar ha to aaj mai aapko is post me aysi tricks bta raha hu jinhe follow karke aap facebook se adhik traffic receive kar sakte ho or apne online business ko or jyada bada bana sakte ho.

Jis tarah khana pakane ke liye masale “spice” ki jarurat hoti hai. Masala use karne se khana or behtar ban jata hai. Same wese hi agar aap facebook par post status publish karte time facebook ke kuch or feature use kare to aapka content adhik eye catching ban jata hai or facebook aapke online business me char chand laga sakta hai.

Facebook ne increasing engagement ke bahut se feature diye huye hai. But hum unhe use nahi karte jisse hume facebook se jyada click handle nahi kar pate hai. Iske bina apne status ko viral karna bahut mushkil hai. Agar hum inhe follow kare to humari har post humare friends or other people ke liye top story ban jati hai. Jisse humara content jyada visible banta hai or hume jyada visitors milte hai.

Facebook Par Apne Online Business Ko Promote Karne Ki 7 Tips

Yaha di gayi humari tips padhiye or apne online business status update ko facebook par or viral banayiye. Ye tips na sirf aapki blogging me help karegi balki inhe aap apne kisi bhi online business promoting me try kar sakte hai.

1. Posting Time – पोस्ट करने का समय

Generally, aapne bahut bar dekha hoga ki jis time aapke friends and followers jyada online rahte hai us time post share karne se post ko jyada responsive milta hai. Post par jyada likes or comments aate hai or aapko traffic bhi adhik milta hai. Jabki yasa baki other time par post karne se nahi hota hai

Sabhi facebook user ke liye ek hi time fix nahi hota hai sabke friends alag alag time par online hote hai. But mere experience ke hisab se 6pm to 10pm ke beech post update karne se aapko better result mil sakta hai. Is time sabse jyada user online hote hai. But fir bhi mai aapko suggest karunga ki aap apne friends or apne followers ki activity ka reveiw karke apne liye posting time choose kare.

Yeh tips facebook par adhik promotion pane ka sabse important tarika hai. Agar aapko aysa nahi lagta hai fir bhi aap ek bar try jarur kare. Ho sakta hai ye trikc kaam kare or aapke online business ko iska fayda mil jaye.

2. Tag People in Your Post – लोगों का नाम दर्ज़ करना

Facebook par useless photos ya other status (like fake photos) me sabhi log apne friends ko tag karte hai. But jab apne blog ya website ki post ko share karte hai to bahut hi kam log us post me friends ko tag karte hai.

Tag your friends

As a result, apni post me dusro ko tag karna ab jyada effective nahi rah gaya hai lekin fir bhi post me friends ko tag karna aapke friends of friends ke liye post ko interesting bana sakta hai. Isse jyada se jyada logo ko aapki post updating ke bare me pata chalega or wo aapke online business se judna chahenge. So tagging ko ignore karne se acha hai apne kuch friends ko tag kiya jaye jisse kuch na kuch badiya result jarur milta hai. Ho sakta hai kisi ke liye aapki post important sabit ho jaye.

Mention Pages

Facebook photos and status me logo ko tag karne ke alawa aap important and post se related people and other category pages ko mention kar sakte hai. Iske liye aapko post me “@” ke us pages ke first word likhne hote hai. Upar aap iska screenshot dekh sakte hai. Jisme maine apne faceook page ko mention kiya hai.

3. Add A Location – एक स्थान जोड़ें

Apne status update me usse related location add kare. Isse post users ke liye jyada effective ban jati hai. Bahut se logo ne to abhi tak facebook ke is advantage feature ko use nahi kya hoga. Jis tarah humari body par dress kaam karti hai same wese hi location status ke liye kapdo ka kaam karti hai. Ek success online business karne ke liye aapko main location ko tag karna better hota ha.

Add location

Alternatively, Apne business place ke aas-pas (neighborhood) district or city ki location add kare. Isse us place ke people aapki post me jyada interest lete hai. Ya fir aap location me apne khud ke online business store ya office ka name select kar sakte hai. Iske alawa bhi location me or bhi bahut se effective place hote hai.

Example, aap apni party status me kisi hotel ya restaurant ki location add karenge to I sure aapke friends aapki post ko gahrayi se lenge or us par action jarur karenge. Iske alawa agar aap event, area and apne online business ke liye koi bhi status location choose kar sakte hai.

4. Target Specific Locations – विशिष्ट स्थानों को लक्ष्य

Facebook post me location choose karne ka ye ek or acha feature hai. Isme aap ye select kar sakte hai ki aap apni post ko kaha kaha or kis kis se share karna chahate hai. Isme aap status ko public, friends, only me, custom and other place ke sath share kar sakte hai.

Target Specific Locations

For example, Man lijiye aap product sell karne ka online business karte ho or aap apni facebook post ko sirf apne friends, apne business members ya kisi most place ke users ke sath share karna chahata hai to aap facebook ke is advanced feature ko use karke dusre logo se apni post ko hide kar sakta hai.

Ye trick aapke tab kaam aati hai jab log aapke sath facebook par galat behavior kar rahe ho or aapki post par galat comments kar rahe ho ya fir aap apne online business ko sirf apne logo ke sath share karna chahate hai. Is feature ko use karke aap ayse logo se apni post ko hide kar sakte ho. Iske liye aapko upar image me btaye anusar “public” option par click karke privacy location choose karni hai.

5. Scheduling – निर्धारण

Facebok ab pahle se likhi gayi post status ko update karna allow karta hai. Aap apni post ko ek fix time tak update kar sakte hai. Ye aapke liye tab bahut kaam ka ban jata hai jab aapke followers aapki post update chahate hai. Iske liye aap time icon par click kare or apni post ka time and date select kare.

Set date and time of your post

Jab aapke friends or follower aapki past time activities ke bare me janna chaahte hai to aap apne apni facebook status me time or date set kar sakte hai. Ye status me “prime time” ka kaam karti hai or isse aapki post un logo ke liye very interesting ban jati hai jo aapke bare me janna chahate hai.

6. Add Photos or Videos – फोटो या विडियो जोड़ें

Direct facebook par photo publish karna aam bat hai but agar agar aap apni status me photos or videos add kare to aapko bahut jyada effective results mil sakte hai. Mai aapko iske liye suggest karna chahunga kyuki isse aapke online business me logo ka bahut jyada interst badhega.

Add photos or videos on your post

Isse aapki post me jyada se jyada log interest lenge or post ko adhik like, comments and share milenge jisse jyada se jyada logo ko aapke online business ke bare me pata lagega. Aap post me jitni achi photos or vidoes add karoge aapki post facebook par utni hi jyada viral hogi. Aapko utna hi jyada benefit milega.

7. Facebook post advanced Features – फेसबुक पोस्ट उन्नत सुविधाये

Aapne bahut se blog or website ki post me dekha hoga ki unme videos add hote hai. But bahut kam sites par dekha hoga ki log facebook post ko embed karte hai. Mai aapko suggest karunga ki aap apni special post ko apne blog par embed kare. Jisse aapki facebook profile ya page par logo ka jyada interest badhega.

Facebook post advanced Features

Iske alawa aap apni post ko edit kar sakte hai uska time change kar sakte hai. Facebook ke in advanced features se bhi aapko kafi fayda mil sakta hai or aap badiya tarike se facebook ke in feature se apne online business ko or jyada effective bana sakte ho.

As you can see, aap upar di tips par ek bar ache se focus kijiye. Mujhe yakeen hai ki aapko inse better results milenge. Yakinn aap aysa kar sakte hai jisse aapko hi nahi aapke follower ko bhi iska fayda hoga or aapse facebook par adhik se adhik people contact karna pasand karenge. Ye na sirf aapke content ko viral banata hai balki aapko bhi social media par famous kar sakta hai. Log aapki har latest status ko special nazar se dekhna pasand karenge. Jisse aapko apne online business ko promote karne me help milegi.

I hope aapko ye article pasand aayega. So agar aapko ye jankari sachmuch useful lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (93)

  1. Avatar for sidharthsidharth

    bahut behtarin post hai. is jankari ka use mai bhi apne blog ko promote karne ke lie use karuga. thanks bhai.

  2. Avatar for NandiniNandini

    Hello Sir Mai Ye Janna Cahti Hu Ki FB Page Ko Main Account Se Kaise Chalaye Kyu Ki Jab Bhi Mei Kahi Bhi Comment Karti Hu To FB Page Ka Logo Show Hota Hai Mai Ye Cahti Hu Ki Profile Pic Show Ho

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      कमेंट करते वक्त दाईं साइड में प्रोफाइल बदल ले

  3. Avatar for Zaheer KhanZaheer Khan

    Sir Mera Name Zaheer Khan H Main Ek Facebook page chalata hoon mere page par 160000 followers hain phir bhi ads kyun nhi aa rha h Maine apna page promote nhi kraya h

  4. Avatar for JannatJannat

    Sir, aapne bahut achche se bataya thank you so much. Sir, fb par ek din me kitne baar link share kar sakte hai.

  5. Avatar for rutvi chawlarutvi chawla

    kya facebook post ko boost karne se fayeda hota hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes fayda hai aapki post ko jayda se jyada log padhenge. Apa jitna paisa kharch karoge aapki post utni hi viral hogi.

  6. Avatar for KavyaKavya

    Hi sir mey apny blog mey images use krti ho har post key under kyaa aap bta skty hai ki assa kya kro jis seh vo image copy na kehlaay.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Image khud design karo ya fir free stock sites se free images use karo.

  7. Avatar for NiteshNitesh

    Hello sir

    Me ek problem face kar raha..ab iska javaab aap hi de sakte hai..
    Mene 6-7 din pahle ek costum domain name blog me add kiya .. ab me Google par mere blog ki post search karta hun, to old domain me wo post show hoti hai. I mean free subdomain show hota post par google ke page me..

    Aur mere post ke kuch title hindi me Google par show hote hai. Balki mene wo hinglish me rakhe hai…mujhe ummid hai aap iska koi solution dege..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Old post 1-2 week me gogole e remove ho jayegi or new post index ho jayegi.
      2. Aap jis post me “in hindi” keyword ya hindi letter use karoge google use hindi me kar dega. So inka istemal kat karo post hinglish me hi show hogi.

  8. Avatar for sameersameer

    bro pl pl pl help me, me 1 website banvani hai

  9. Avatar for awari simanchalawari simanchal

    sir mera website paar 150 post likh chukahu kya me adsense Apply kardu. kyuki mera sare posts original post he. thoda mera website visit karke batayiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi first aap blog ka design sahi karo or traffic badhao.

  10. Avatar for awari simanchalawari simanchal

    sir i am created A blog olease see it and tell me how is it. i am share tios about make money online blogging. seo . technology tips please visit my website sir thanq

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Good blog abhi aap blog ko achhe se design kare.

  11. Avatar for Amit kumarAmit kumar

    Sir mujhe apna fb page bachna hai
    Jab mai promote karta hu to cradit card no mangta hai……aap or koi raasta btaa do….PayPal mai account hai mera…. Ab page ko kese sell karu kuch btao do

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Amit aap iske bare me google me search karo. Iske bare me post mil jayegi.

  12. Avatar for junaid siddiquijunaid siddiqui

    jumedeen bhai mere Facebook page per pehle 450 like the mene like planet per like badane ke liye 1 hafte pehle add dala tha or point bhi add kiye the jab mere pas 80 like hi the magar uske bad like tezi se bade or 450 tak pohoch gae or aaj me dekhta hun page open karke to 450 like ke bajaye 136 like hogae to me iske bare me apse jankari Lena chahta hun ke kyu like ghat gae

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bad work bad result.

  13. Avatar for Areeb khanAreeb khan

    Bhai aap mujhey bta sakte hain k ye guest post kaise kia jata hai aapki Website pr to kahin bhi guest post nhi dikh rha hai aur ye jo humko guest post krna hai usme kitna lamba likhna hota hai aur Issey humko paise kis trha se miltey hain?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Areeb aap google me supportmeindia guest post likh kar search karo iske bare me post mil jayegi.

  14. Avatar for VikashVikash

    Good information for promoting and branding..
    this post definitely help newbies to some extend who are weak in marketing or SMO.

  15. Avatar for Mahesh YadavMahesh Yadav

    बहुत बढ़िया भाई, Thanks for sharing the great tips !!

  16. Avatar for Mahaveer JainMahaveer Jain

    Bhai Facebook pr promotion karna Apne Business ko famous karna hai… Facebook jitni popular Social site hai Uska fayda hmare business ko milega…. thanks

  17. Avatar for Moti sutharMoti suthar

    Sir mera post Office gav me he or city se bhut dur he or uska khud ka koi parsnol pin code nhi he show kabhi kabhi post pahuch hi nhi pati .
    Bro agar 3 bar bhejne ke bad bhi post nhi mile to tab kaisa hoga ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Uske bad aap AdSense par documents verify kar sakte ho.

  18. Avatar for Moti sutharMoti suthar

    Pts kiya bro postman ke pass jakar abhi tak mail nhi aaya ab kya kru me ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ab aap apne postman ko already bta do ki aapki google se ek post aayegi uske bare me mujhe pbta dena. or AdSense par fir se post send karo. Bro aapki pahli post bhi aayi thi but postman ne wo aapke kisi jankar ya kisi or ko de di or use shayad yaad nahi. So wo kabhi nahi kahega ki aapki post aayi thi. Aajkal har jagah yahi problem hai. Aap abki bar use pahle se bta dena ki post sirf mujhe hi dena.

  19. Avatar for Moti sutharMoti suthar

    Mera AdSense verification pin 16 april ko bna tha lekin abhi tak muje post office me nhi mila he kya me dobara nye pin ke liye aply kru ya fir wait kru help plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Wait mat karo post office me ja kar ache se pata karo google ka mail jarur aaya hoga. Postman se ache se pata karo.

  20. Avatar for Amit tripathiAmit tripathi

    Thanks jumedeen bro, achhi information di hai apne, mujhe abhi apne blog me sabse jyada traffic FB se hi ata hai.

  21. Avatar for vivekvivek

    sitemanagmant me blog ko esse phle add kiya tha ads code Bhi blog par laga liya par 7 din tak koi mail nhi mila mujhe to mai remove kar diya …or YouTube ke adsense account ke ..I will show add ..is box me blog ko sumit karne par ..URL not ublabile likhata hai .mai dusre nam se AdSense ke liye Aplly kar sakta hu kya.

    or Maine ye vivekvihaan2@gmail. s es apply kiya uska application reject ho gya ab mai kya ads blog par se hata du kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dusre gmail id se kar sakte ho but uske liye aapko address change karna hog.a Ek bar socho agar usme bhi yahi problem aayi to kya karoge. Problem AdSense me nahi aapke blog me hai. Aapke blog par ya to traffic nahi hai ya fir aapne cop pasting ki hai.

  22. Avatar for vivekvivek

    to mujhe ab kya karna Chahiye.or AdSense walo ko ye kaise pta chala hoga ki mera ek AdSense account hai.ek AdSense to YouTube wala hai na..

    mai dusra nam se blog ke liye AdSense account bna sakta hu na kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko pichli commet ke reply me iska solution btaya hai.

  23. Avatar for vivekvivek

      

    Thank you for your interest in Google adsense. While reviewing your application, we noticed that your account information matches a currently approved AdSense account associated with vivekvihaan49 @gmail.com.

     

    Since our AdSense Program Policies do not permit multiple accounts, we’re unable to accept your new application at this time.

     

    If you can’t access your approved account with vivekvihaan49@ gmail.com, please follow the steps in our login troubleshooter. In case you aren’t able to regain access to your account in the process, you’ll find an option to contact us. We’ll then work with you to access your account with your desired login.

     

    If you need more than one AdSense account please see this help article for more guidance on trying to submit multiple applications.

    If you’d like to add vivekvihaan2@ gmail.com as a login to your approved account, you can do so by following these steps.

    bhai ye AdSense ka mail mujhe abhi mila hai maine vivekvihaan2 @gmail.com se AdSense ke liye Aplly kiya ..mujhe mail Bhi ese par mila hai to upar ek or email hai vo Bhi mera he hai uska AdSense to YouTube pe kb ka laga hua hai ..aap plz es mail ka matlv bataye is mail me kya hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iska matlab hai ki aapke pas pahle se approved AdSense account hai to aap dusra kyo bana rahe hai AdSense 1 se jyada account banana allow nahi karta. Vivek aapke pas jo YouTube wala AdSense hai na aap usi se apne blog me ads laga sakte ho. Iske liye aap site management me apne blog ka link add karo uske bad ads bana kar apne blog me lagao.

  24. Avatar for vivekvivek

    mob me ye option nhi aata hai aap pc se karte ho kya bhai.

    maine Facebook share button par click kiya.uske bad share you timeline ke alawa kuch option nhi aata hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha ye option sirf desktop me aata hai.

  25. Avatar for Amit kumarAmit kumar

    bhaut hi acchi jankari hai , Jumedeen

  26. Avatar for Mo AzizMo Aziz

    Intresting Trick Kya Baat hai bro
    Maan gaya
    Follow jarur kare Mai Bhi karta hoo

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thanks bro.

  27. Avatar for vivekvivek

    post ke end me se post ko share to kar sakte hai par vo Facebook par share hoga na ki Facebook Grup me .bhai …yesa kaise ho hua aap post ke end me se kaise direct Facebook Grup me post share kar dete hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ok mai aapko step btata hu.
      1. Share btoon par click karo.
      2. ab Share on your own Timeline par click karo or share in a group par click karo.
      3. ab group select karo or post share karo

  28. Avatar for vivekvivek

    bro aap jab koi Bhi post ka link apne Facebook grup me post karte ho to us post ka image Bhi show karta hai …yesa kaise post ka link share karte ho ap.

    ham yesa karte hai to bas link show hota hai ..post nhi dikhta

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai meri post ke end me lage facebook share button se post share karta hu bina link ke aap bhi ek bar try karke dekh sakte hai.

  29. Avatar for abhiabhi

    sir mujhe ek dikat bhut sta rhi hai.sir mai jab bhi AdSense create krta hu to apni website or language select krne ke bad kuch nhi aata. continue ke bad kuch nhi aata. plz.help me sir .YouTube ko bhi AdSense se jodte time bi yhi dikat aati hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap browser ki history delete karke try karo and fast internet connection use karo. 2gh se jyada time lagta hai.

  30. Avatar for vijay panaravijay panara

    Hello jdk sir aap se mai ek sawal puchna cahta hu ke

    * maine godady se domin liya hai or blog mai bhi add kiya hai or last step mai jub blog mai dessbord mai save karta hu to kus nahi ho raha hai koi dusra page bhi open nahi ho raha hai sirf save likha ataa hai kaya domin add ho gaya hai ke kaya problems hai..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ap ek bar apne domain se site ko open karke dekho agar koi error aaye to mujhe btao.

      • Avatar for vijay panaravijay panara

        Sir mai apne blog ka url open kar raha hu to godady ke site open ho rahi hai..

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Domain ko active hone me time lagta hai thoda wait karo.

  31. Avatar for Abdul RazzaqAbdul Razzaq

    Assalam.o.Alaikum sir apki website check ki me ne bht perfect website hai

    mjhy ye btaye keh blogger pe Pakistan me absence ke kitne ad views hone pe 1 $ milta hai plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      W/A bro AdSense earning aapke blog ki post me use kiye gaye keyword par depend karti hai.

  32. Avatar for Sumit SharmaSumit Sharma

    meri website ki theme SEO friendly hai kaise pata kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Theme ki details me check karo.

  33. Avatar for RusheekRusheek

    संर आप जो थीम का इस्तेमाल करते हैं वह फ्री है ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ha free hai. Aap theme site par ja kar check kar sakte ho.

  34. Avatar for Amit kumarAmit kumar

    Hi bro
    Nice & smart tips

  35. Avatar for PalashPalash

    Excellent tips regarding Facebook for promoting online business.
    Thanks to Jume..Great job

  36. Avatar for QaisQais

    Chitika ke add click kaisy kare add click karne ka sahi tareeka?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blogger me aapko bar bar ads code post me paste karne honge.

  37. Avatar for RusheekRusheek

    संर क्या आप बता सकते हैं कि आप अपनी वेबसाइट के लिए होस्टगेटर का कौन सा प्लान यूज़ करते हैं

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      business plan

  38. Avatar for arun yadavarun yadav

    hinglish or हिंदी me konse me blog likhane se jayda incame hoto hai ya kiske cpc high hoti hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Arun AdSense earning post language par nahi post me use kiye keywords par depend karti hai. Plz aapko jo behtar lage wo language select karo. हिंदी or hindi ek hi bhasha hai. Sirf font ka difference hai.

  39. Avatar for Vishnu Kant MauryaVishnu Kant Maurya

    Apane comment box me website ka column kaise add karate hai jaisa ki aapke comment box me hai.
    kya ye WordPress me hee hai ya blogger me bhi hota hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye comments box sirf WordPress ke oiye hai. Blogger par aap aysa comment box use nahi kar sakte.

  40. Avatar for Vishnu Kant MauryaVishnu Kant Maurya

    Hum apane post ko kitani baar update kar sakte hai jisase koi problem na ho.

    Aur H1 ,H2 etc inn sab ka kaha aur kaise use karate hai ??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ost ko sirf jarurat padne par hi update karna chahiye. jaise aapne AdSense ke bare me post likhi hai or future me uske rukles change ho jate hai to aap post ko update karo bina wajah update karna SEO ke liye bad effected hota hai. H1 tag ki janakri ke liye aap ye post padho H1 tag post me kaise or kaha use kare.

  41. Avatar for Ashu JackAshu Jack

    hello jummedin bro mai aapse janna chahta hu ki mera facebook id ek baar block ho chuka tha lekin bahut mehnat karne par phir se open hua hai mera fb account lekin ye jo fb account hai wo mere blog se connected hai mai ye janna chahta hu ki block kyo hota hai maine kuch kiya bhi nahi tha

    aur mai ye bhi janna chahta hu jo mera fb account hai usper bahut hi friend requist aate hai agar mai sab ko accept karu to bhi block ho sakta hai

    aur last ne ye bataeye ki mera fb par group me sirf mere friends hi add ho sakte hai ya other bhi pls jaldi bataeye ga

  42. Avatar for Agha HassanAgha Hassan

    bhai mene kal rat AdSense ke liye apply kiya to rat 12 baje ye mail aya AdSense ki taraf se please btaye ye kiya keh raha hai

    AdSense Google AdSense Payment contact information
    changed Hello, Your contact information
    associated with Google
    AdSense was changed on May
    28, 2016. For your security, please
    contact us if you didn’t make
    this change. To review your contact
    information: Sign in to your AdSense
    account.
    Click the gear icon in the upper
    right corner of any tab, then,
    from the drop-down list,
    select “Payments”. Google AdSense Help Help Center Self help Support Contact Us Live support

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      28 may 2016 ko aapke AdSense account ka payment change kiya gaya hai. Ye uska message hai.

  43. Avatar for ManishManish

    jume deen sir swagbucks site kya sach me paise deti hai aapne 25$ withdraw kiya hai kya iss site se or mere pass ek guest post hai pakistani social site incomeon ki kya aap apni site par approved karege…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sorry bro mujhe iske bare me pata nahi hai or nahi maine ise try kiya hai.

  44. Avatar for Yashvant SharmaYashvant Sharma

    sir hum kon konse topic par blog start kar sakte hai…..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bahut sare topic hai. Google me search karo or jo aapko pasand aaye us par blogging karo.

  45. Avatar for Navjyot KumarNavjyot Kumar

    Bahut hi acchi tips hain. Facebook sach mein content ko promote aur business ke promotion karne ka accha platform hain. Thanks….

  46. Avatar for sankritsankrit

    Apke is article se hume bahut kuch sikhne ko mila hai, thankyou so much, apse motivated hokar hame bhi blogging me success milne lagi hai. Thank you Support me India

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thank you bro mujhe khushi huyi ki aapko mere blog se help milti hai.

  47. Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

    nice post hai bhai.
    me janana chahta hu ki post me focus keywords ko chhodkar baki dusre words ki keyword density ki bhi dhyan rakhna padta hai ya nahi bhi.
    mera ek swaal or bhi hai bhai. apki post or comments me mene dekha hai apne keyword density ko 2% – 5% tak rakhne ko kaha hai.. jabki WordPress Youst seo plugin me0.5% – 2.5 % maximum recommend karte hai. muje bahut confusion hoti hai isme.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes target keywords ke alawa baki keywords density ko bhi dhyan rakhna jaruri hai.
      hum target keyword ko maximum 2-5% use kar sakte hai and other keywords ko maximum 2 to 5 presentr use kar sakte hai. Ye maximum hai. Noemally keywords ko 2-3 present hi use kare to behtar hai.

  48. Avatar for mohd shariqmohd shariq

    bro aap kon si template use karte ho apni site par.. air uska siza kitne mb ka he..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mera blog WordPress par hai or WordPress par template nahi theme use karte hai mai ribbon theme use karta hu.

  49. Avatar for Vishnu Kant MauryaVishnu Kant Maurya

    Agar koi aisa aadami jisako hum jante hee na ho aur vo hamara ads par bahut baar click karata ho to kya google AdSense member ise samjhenge ki jo ads par baar baar click kar raha hai vo blogger ka dost ya relative hai aur isaka kya prabhav padega hamare blog par
    Agar bura effect padega to hum to isake liye jimmedar to nhi hai kyoki hum usee janate hee nahi.
    Aise condition me kya kare.

  50. Avatar for aamiraamir

    Nice post for all jume deen bro keep writing.

  51. Avatar for Saeed SaiyadSaeed Saiyad

    Hi, Jumme Deen Bhai hamari likhi post kon kon copy kar raha he ye hum kese pata laga sakte he plz is ke bare me Bata ye .

  52. Avatar for ManishManish

    Thank you sir nahi mai to directly apne post ko share karta tha ab mai tag bhi karunga.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...