Hello bloggers, aaj mai aapko aysi jankari dene ja raha hu jiski aapko sabse jada jarurat padti hai. aakhir sabhi blogger success kyu nahi hote. unki fail hone ki wajah kya rahti. aaj hum is post me isi ke bare me sikhenge.
Mai manta hu ki hum paise ke liye mehanat karte hai. par iske liye hume apni soch badlni padti hai. kyuki agar humara pura dhyan paise kamane par hi rahega to hum blogging nahi kar payenge.
Bahut se log shuru se hi galat hote hai. wo sirf paise kamane ke liye hi blog banate hai.
- Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
- Kya Aap Jante Hai Google Chrome Ki Ye Interesting Tricks
Table of Contents
Sirf Money ke liye blogging shuru karna hi sabse badi asafalta ki wajah hai.
agar aap ek success blogger banna chahate hai to aapko apne andar se paise kamane ka lalach khatm karna hoga orn bussness ki taraha bina lalach ke blogging karni hogi. or agar aap ek success blogger ban jate hai. to paisa khud aapke piche bhagega. aap inte paise kama sakte hai ki aap soch bhi nahi sakte.
Agar aap ye sab paiso ke liye kar rahe hai to aap fail bhi ho sakte hai. mai aapko btana chahunga ki duniya ke 90% log isi wajah se blogging chod dete hai.
Paise Kamane Ke Chakkar Me Blogger Fail Kyu Hote Hai?
aap soch bhi rahe honge ki aakhir paise kamane ki soch rakhne se blogging fail kaise hoti hai. kyuki unka sara dhyan to paise kamane par laga rahta hai. wo har samaye paise kamane ke bare me hi sochte rahte hai. mai aapko yaha par iske kuch pahlu bta raha hu. unhe padh kar aap khud samajh jaoge.
- Social Follow Buttan Widget Blogger Me Kaise Add Kare
- Blogger Ki Har Post Me Author Box Enable Kaise Kare?
Blogging Fail Hone Ki Wajah Kya Hai?
1. Paiso ka lalach
agar hum paise kamane ke lalach me blogging start karte hai to humara pura dhyan paise kamane par hi rahega. or hum apne blog me achi post nahi kar payenge. agar aapko ek success blogger banna hai to aapko apna pura dhyan is bat me lagana chahiye ki blog me aysa kya upload kiya jaye jise log jada pasand kare.
2. samay ki barbadi
aap ek post likhne me 2 ghante lagate ho or use promote karne me 4 ghante. agar aap yahi samay koi achi post likhne me lagao to aapka blog khud be khud promote ho jayega.
Kyuki aaj har kisi ko kuch naya chahiye hota hai. so kuch new karne ki soche. aap jo samay paise kamane ke chakkar me lagate ho wo apne blog ko behtar banane me lagaye.
3. Nirasha
agar aap ne paise kamane ke liye blogging shuru ki hai to aap thodi bahut post karne ke bad paise kamane ke chakar me pad jaoge. or humesha yahi sochte rahoge ki aakhir kis tarike se paise kamaye jaye. agar aysa hi chalta raha to ek din aap itne hatash ho jaoge ki blogging hi chod doge.
4. No Hard Work
bahut se log kya karte hai ki blogging shuru karte hi usme idhar udhar se copy ki huyi post dal dete hai. khud mehanat karte nahi hai. natizan unka blog google search engine block kar deta hai.
Aur aysa kon hai jo pahle se internet par mojud post ko fir se padna chahega. har koi new product ki talash karta hai.
to ab aap blogging fail honi ki wajah to jan hi gaye honge ki paise kamane ka lalach hi sabse badi asafalta ka karan hota hai.
Agar aap blog se paise kamana chahate ho to aap apna pura waqt apne blog ya site ko behatar banane me lagao. yani bina lalach ke blogging karo. kuch new karne ki koshish karo.
Fir dekhna paisa kaise aapke piche bhagta hai. paise kamane ka lalach nahi rahna hi paise kamane ka sabse bada tarika hai.
Jab aapke blog par achi or new jankari milegi to blog par jada visitors aana pasand karenge. or jitne jada visitors aayenge utni jada aapki income hogi.
- Apni Website (Blog) Ke Domain Ko Bina www. Ke Kaise Set Kare Aasani Se
- Feedburner Ka Email Delivery Time Kaise Change Kare
To dosto agar aap chahate ho ki aap bhi top success bloggers me gine jao to aap mere btaye in tariko ko follow kar ke blogging kijiye. aapko saflta jarur milegi.
Sath hi humse jude rahne ke liye hume facebook, twitter, google+ social media par jarur follow kare. taki aapko humari new post ki jankari milti rahe.
Rajeev
ब्लॉग को sitmap करने के बाद google search engine में submit कर दिया है अब हम जो पोस्ट sitemap करने के बाद ब्लॉग पर publish करेंगे वो पोस्ट index या google उनको सर्च में ला रहा है य नही कैसे पता करे
सर मेने 7 पोस्ट ब्लॉग में publish कर दी पर अभी तक मुझसे theam और पेज layout करना नही आया
Please help me
जुमेदीन खान
आपके पोस्ट पब्लिश करने के बाद कुछ समय बाद जब गूगल उसे इंटेक्स कर लेगा तो आप गूगल में सर्च करके देख सकते हैं
VISHAL
bhai abhi 3 error aa rahe hai mere blog par .please f12 karke aap check karke bataye ab kya changes karna chahiye
Jumedeen Khan
Mixed Content error ko fix karo or adsense ads ke error ko avoid karo.
VISHAL
Vo kaise karna honga bhai mujhe kaise pata chalenga ki kis url me abhi bhi http hai
Jumedeen Khan
Aapni site ko chrome browser me open karke F12 key button press karo uske bad page reload karo jo error aayega samne aa jayega.
VISHAL
bhai mere blog par visitors nahi aa rahe hai.kya aap kisi SEO report site par mere blog ka url
dal kar check kar sakte hai kya error hai
Jumedeen Khan
Aapki site par mixed content ki problem hai. Matlab aapki site me abhi bhi http:// wale url hai aapko un sabhi ki jagah https:// set karna hoga.
Pankaj
Bhaai adsense ke liye kya kya jaruri hota hai mere blog pr 500 view hote hai bs ek din me
Adsense ke liye main main baatein btaye bhaai plz..
Jumedeen Khan
Iske liye aap humari adsense wali dusri post or padhe.
Ranvir Raushan
Love you sir
badal
thanks for share this , ek dam sahi bataya h aapne visit my new site hindimejaaniye.in , sir muje bataye ye domain kaisa h , ek dam perfect h ya aur choose kro
Sagar Chauhan
Jume deen bhai aapne jo reasons bataye hai vo ek dum sahi hai. kyuki iski information new bloggers ko nahi hoti vo Blogging ke Carrer ko ek game Ki tarah handle karte hain unhe lagta hain ki ek blog create karke vo bina hard work kare kafi paise kama lenge. Par aisa nahi hain mujhe lagta hain aapki is post se unhe kuch samjh me aa jayega.
Vishal
Bhai aapke blog par jo Follow on social site ka option add kiya hai jisme sabhi social site ke follower diye hue hai
Use hum apne blog par kaise add kar sakte hai
Jumedeen Khan
Wo widget maine html coding se banayi hai. Aapko coding aat iha it oaap bhi bana sakte ho.
Devendra
Hi my name is Dev jaiswal nd want to start blogging business bt m thoda ensecure hu ise kse start kru kuch smjh ni aa rha. . Plss help me!
Jumedeen Khan
Aap first blogger par free blog banao.
vijay panara
Jamudeen bahi kaya aap ek shath 3 blog ko kaise handle karte Ho humse to ek salane mai bhi problem ho rahai hai , kaya koi secret trick hai….?
Jumedeen Khan
Koi secret trick nahi hai aap bhi mehanat karo kar sakte ho.
anna
Many thanks for your post. Best regards:-)!
Harshit Raikwar
Sir vo site open nhi ho rhi he to aap uska reson batayiye kyu ? or kese jya problem he usme….
Jumedeen Khan
ye domain godaddy se liya gaya hai. or abhi active nahi hai. godaddy costomer care me bat karo.
HARSHIT Raikwar
Sir yadi kisi website ki fully information chahiye to kya karein ?
Meri ye website check kraein or batayein …
Jumedeen Khan
Us website ka about us form pado. usme uski puri jankari milegi. aapki site open nahi ho rahi hai.
dev
bhayi mene tamplete change kiya he to kya mughe google search console me phir se apni site add karni padegi ya phir sirf site verify krni padegi or agar verify karni padegi to me kese karu. plz bhayi jaldi batana.
Jumedeen Khan
site fir se verify karni padegi. google console me jao or setting ke icon par click karo usme verify details ke option par se kar sakte ho.
sanjay
or ek baat a hai ki bogging chodene ki wajah part time blogging me samay na milana… sir apane is back month ka earning report nahi batya… o batya karo… acchya lagata hai…
Jumedeen Khan
thoda wait karo jarur karunga.
Vivek Roy
1 number ka post bhai sahi bola aapne lalach ke karan bande blogging chhod dete hai aur mera ek question hai bro sitemap mein 500 posts pure ho gaye ab main kaise sitemap submit karu
Jumedeen Khan
sitemao me hum 500 page submit kar sakte hai. or ek page me 1 hazar post ho sakti hai. ek bar sitemap search console me add karne ke bad bar bar submit karne ki jarurat nahi hai.