Maine apni pichli post Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Submit Kaise Karte Hai me aapko btaya tha ki kis tarah hum apne blog ko Yandex Webnaster Tools se submit karte hai. Agar aapne abhi tak yandex me apni site ko add nahi kiya hai to pahle aap apni site ko yandex me add kare uske bad is pot ko follow kare.
Is post me mai aapko bta raha hu ki blog ke sitemap ko yandex webmaster tolls me kaise add karte hai. To chaliye niche post me diye step follow kijiye or apni site ke sitemap ko yandex se submit kar lijiye.
Blog Ke Sitemap Ko Yandex Webmaster Me Kaise Add Kare
Blog sitemap yandex me kyu karna chahaiye uski jankari ke liye aap humari Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare or Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Submit Kaise Karte Hai padiye. Inme allready iske bare me details se btaya hua hai.
Option 1:
Sabse pahle aap apni site ka sitemap bana le. Sitemap banane ke liye aap Apni Website (Blog) Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye post follow kar sakte ho.
Option 2:
Ab Yandex Webmaster Tools site par jaye, [ webmaster.yandex.com/sites ].
- My site par click kare.
- Ab aapko jis site ka sitemap add karna hai uske URL par click kare.
Option 3:
- Indexing options par click kare.
- Sitemap files par click kare.
Step 4:
- Apni site ka sitemap url add kare.
- CHeck option par click kar ke check kare ki aapki site ka sitemap sahi kaam kar raha hai ya nahi.
- Sitemap ok ho to Add button par click kare.
Ab aapki site ka sitemap yandex webmaster tools se submit ho chuka hai. Ab ek bar yandex me check kar le ki sitemap me koi error to show nahi ho raha hai.
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
I hope aap is post ko like karoge. or social media par share bhi karoge. Jisser mai aane wale time me bhi aapke liye aysi hi post likh saku. Kyuki jitna meri site par traffic badhega, Mera manobal bhi utna hi badhega or mai aapki jyada help kar paunga. So plz post ko share jarur kare.
Mirza
nice bhai g accha post likha aap ne aap bahot aage jaayenge yahi dua hai mera …..
neelesh
Sir maine yoest plugin se bna sitemap yandex me submit kar diya hai par 2 error aa rhai
Isme likha hai
Source url
63 error hai
Aur. found in robots.txt me bhi 63 error hai. Inhe kaise fix karu please sir batate
Jumedeen Khan
Error URL open karo or check karo wo aapke blog me kaah par add hai use fix ya remove karo.
Sadhan
Best post, Kya Ham wpxhosting.com SE hosting lekar WordPress install Karke money Earn Kar Sakte he
Jumedeen Khan
Kyo nahi ye achhi hosting provide karte hai. Kai blogger iska review bhi kar chuke hai.
Pramod Kharkwal
Bahut kaam ki information hai… thanks for sharing
Jandail
sir ek problem hai 10 – 12 din se mere post google me index nahi ho rahe hai pata nhi kyo mene unko fetch as google bhi kiya tha or sitemap bhi perfect hai. fir bhi nhi huye plz aap koyi help kare. site dekhkar i am so sad.
Jumedeen Khan
Aap same dusro ke post title wali post likh rahe ho jo ki google ko pasand nahi hai.
Jansail
to kya bo post kabi index nahi honge ?? or sir aise to every post me kuch na kuch same hota hi hai bilkul same to nahi hai mene check kiya hai. 🙁
Jumedeen Khan
biklu honge but unki ranking kam hogi.