Is post me aapko jankari milegi blogger blog me meta tag code kaise add kare ke bare me. Is post me main aapko bina kisi meta tag generator tool se code create karne or blogger blog me meta tag code add karne wale tarike ke bare me batane wala hu. Agar aap blogspot blog run karte hai to ye post aapke liye hi hai.
WordPress me aapne yoast seo plugin ka naam to suna hoga. Ye ek essa plugin jisse sabhi WordPress user apne blog me use karte hai. isska sabse jyada use issliye kiya jata hai kyoki ye aapki post ko SEO ke hisab se optimize karta hai or aapki post google ya other search me 1st number par show hoti hai.
Blog or WordPress me bahut difference hai aap blog me plugin use nahi kar sakte lekin WordPress me sab kaam plugin se kar sakte hai. Witohut plugin ke WordPress kuch bhi nahi hai kyoki ye to ek software hota hai jo hosting par install ho jata hai.
Meta Tag Code Kya Hai?
Yaha main aapko ek meta tag type ka code batane wala hu. Isse aapke blog ki traffic increase hogi and aapka blog google, bing, yahoo ya other search engine me jaldi show hone lagega. WordPress me SEO ke liye yoast naam ka ek plugin use kiya jata hai. Blog ko puri tarah control nahi kiya ja sakta.
Agar aap meta tag generator se code create kar ke meta tag description blog me add karna chahate hai to aap ye post padhe Blogger Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare.
Lekin agar aap blogger par hai to aap apne blog me kuch changes karke blog ko WordPress jaisa banane ka try kar sakte hai or iss code ka use karke aap apni post ko search me top par show kar sakte hai ye code puri tarah tested hai issliye isse aap apni site me asani se use kar sakte hai.
Isko use karne ke liye aapko koi risk ya problem nahi hogi or isse aapki site par koi bad effect nahi padega or aapki website ki search ranking bhi down nahi hogi isse aapko koi nukhsan nahi hoga balki aapko fayda hi hoga agar aapki site pahle google par 10 number par show hoti thi vo 5 number par dikhne lagagi. Friend ab aap samaz gaye honge ye meta tag code aapke blog ke liye kitna important hai.
Blogger Blog Me Meta Tag Code Kaise Add Kare
How to add meta tag code in blogger: Aap apne blog me meta tag code ko add karna chahate hai ya lagana chahate hai to iss code ko lagane se pahle aapka blog search console jaise google, bing or alexa me add hona chahiye or aapke pass facebook page or twitter page hona jaruri hai.
Step 1:
Ab aap niche diya code ko copy kare.
<b:if cond='data:blog.pageType == "index"'> <title><data:blog.pageTitle/></title> <b:else/> <title><data:blog.pageName/> - <data:blog.title/></title> </b:if> <b:if cond='data:blog.metaDescription != ""'> <meta expr:content='data:blog.metaDescription' name='description'/> </b:if> <b:if cond='data:blog.pageType == "archive"'> <meta content='noindex, nofollow' name='robots'/> <b:else/> <b:if cond='data:blog.pageType == "index"'> <b:if cond='data:blog.url == data:blog.homepageUrl'> <meta expr:content='data:blog.title' name='keywords'/> <meta content='index, follow' name='robots'/> </b:if> <b:else/> <b:if cond='data:blog.pageTitle != data:blog.title'> <meta expr:content='data:blog.pageName' name='keywords'/> </b:if> </b:if> <meta content='GOOGLE VERIFICATION CODE' name='google-site-verification'/> <meta content='BING VERIFICATION CODE' name='msvalidate.01'/> <meta content='ALEXA VERIFICATION CODE' name='alexaVerifyID'/> <meta content='about your blog' name='distribution'/> <meta content='your site keywords' name='keywords'/> <meta name='author' content='author's name'/> <meta name='email' content='author's email'/> <meta content='all' name='audience'/> <meta content='general' name='rating'/> <meta content='noodp,noydir' name='robots'/> <meta content='author's language' name='language'/> <meta content='author's country' name='country'/> <meta content='Facebook id' property='fb:admins'/> <meta content='Twitter id' name='twitter:site'/> </b:if>
Step 2:
Ab apne blogger account me login kare.
- template par click kare
- edit html par click kare.
Ab template editor me kahi bhi click kare or keyword se ctrl + f key dabaye or search box me <head> ye likh kar search kare.
Step 3:
Ab aapne jo code copy kiya tha vo <head> ke niche paste kar de.
Step 4:
Abhi aapko code me kuch changes karne hai Niche btaye step follow kare.
- google verification code ki jagah aapke google search console ki id dale serach console me jab aap apne blog ya site ko add karte hai to aapko ek id milti hai vo dale
- bing verification code me bing search console ki id
- alexa verification code me alexa ki id or
- facebook or twitter id me facebook or twitter page ki id add kare.
- Ab save template par click kar de.
Iss tarah aapke blog me seo plugin code add ho jayga. Friends agar aapko ye post accha lage or aap essi or bhi post padhna chahate hai to aap smi ki blogspot category wali post padhe, aapko blogger ki puri jankari mil jayegi.
Last words,
Aap chahe to meta tag generator tools ki help se blogger blog ke liye meta tag code generate kar sakte hai, jiske bare me smi par already ost likhi ja chuki hai, aap ye post padhe.
Is post me aapko meta tag generate tool milega jisse aap meta description code create kar apne blogger blog ke </head>
section me add kar sakte ho.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par other blogger ke sath share jarur kare.
Sanju Rauth
Sir, mera blog mei meta code save karne k bad, job back karke phirse edit HTML par jaa raha hu, mera blog meta tag show nahi ho raha hai.
Keya kare? Plz help
Jumedeen khan
Iska matlab setting save nahi ho rahi hai aap sahi se meta tag code add kar setting save karo uske bad blog ke source code me meta tag code confirm karo.
shivam verma
Nice and fabulous Post Bhai
Suresh Bukeliya
is meta code add karne ne baad sir hamne jo pehle se code add kiye hai use remove karne hai ya fir rehne dene hai
jaise hame google bing site ka jo code hai rehne dena hai ya remove karna hai
Jumedeen khan
Pahle wale code ko remove karna hai.
suraj
sir maine aapse bahut kuchh sikha hai thx..
Kamal
very important post for all blogger thanks . Boss mughe fb account ke id he lagane he ya fir fb page ka url laga sakta hu. And mere pas twitter ka account to h but twitter ka page nahe hai wo kaise banta h.
And maine alexa me account nahe banaya because apke kise post me mane padha that ke ye paid service h around $6/month . To kya mai ye niche diya code cut karke laga sakta hu
(2)- Ya fir es aise he laga du because I have no alexa id
Jumedeen Khan
1. twitter par site ke name se account bana lo.
2. Yes laga sakte ho.
Harsh Gogia
Sir Aapne Uper 2 Ideas Bataye Hai..
1 Code Ko Generate Karke
2 Aapne Jo Code Diya Hai wo use karke..
To Dono Me Best Kya Hai.. Generate Karne waala Option Ya Aapne Jo Code diya hai wo use karna ??
Jumedeen Khan
Dono tariko me same code hai koi bhi use karo.
Goswami mayur
Bhai mene meta tage submit kiya but wrong tha to use delete kar sahi meta code Kaise submit Karu
Help me
Jumedeen Khan
First aap meta tag ko achhe se samajh lo uske bad add kar sakoge.
Suresh Kirdoliya
sir mene esko add kar diya meri site m, esse koi aage koi meri site ko problem to nhi hogi kya sir ?
Jumedeen Khan
No problem.
Arjun Dk
Very helpful article. Thanks for sharing.
Tejasvi Singh
Thank you so much JDK bro for the help.
rovin singh
sir wordpress me meta tag code nahi karna hota hai kya agar nahi hota hai to hum meta contact kaise or kaha add karte hai seo k liye.
Jumedeen Khan
Nahi wordpress me yoast plugi nse sabhi meta ata add ho jat hai.
Rohit
Sar mere thempalnt me maine ctrl+f dabaya Vaha koi head search box nahi khula sar plz help sar
Jumedeen Khan
Aap template >> html editor me ja kar search karo mil jayega.
Rohit
Lekin search kaise ctrl+f tipe kiya Vaha pe search option nani Aa raha
Jumedeen Khan
First aap edit html par ja kar coding box me kahi bhi click karo fir ctrl+f key press karo. Search option only desktop me show hota hai mobile me aap wese hi coding me search kar sakte ho.
Mahendra
Hello sir mera blog hindi me hai or me chahta hu ki me apna blog hinglish me likhu
me ne abhi tak apne blog par ads nahi lgaye hain
Kya isse mere blog par kuchh fark padega?
Jumedeen Khan
Yes thoda farjk padega but aap likh sakte ho.
Shreyans
Sir. Mujhe ek jankari chahiye ki jis type ki themes ap use krte hai wordpress me, usko kaha se install karu. Any option to buy premium theme for free? And how to reduce loading timf for my Site?
Jumedeen Khan
Nahi ye free nahi milegi. Ye child theme hai jiske liye apako genesis framework lena hoga.
Deepak Prajapati
But sir ye tamplate to apne hi create ki hai na
Jumedeen khan
Haa! lekin aesi bahut saari template hai jinme SMI jaise features hai.
izhar ansari
assalam alekum bhaijaan mein aapka blog roj read karta hoon mujhe yeh janna hai ke mein jo post publsh karte hoon woh meri google plus id par google search engine par jaldi aa jaati hai par blog website kyn nahi index hoti please bataye
Jumedeen Khan
Aap blog ki seo setting sahi se karo or google plus profile me ja kar search egnine walie option ko disable kar do.
OMPRAKASH SINGH SIKARWAR
Good article thanks for help
NOMAN
very help full post. sir maine blogger pe ek games wali site banai hai lakin os ki posts khud index ni ho rahi post kab tak khud index hony lag jay gi? or kitny dino main meri site google pe any lag jay gi??
Jumedeen Khan
Aap post likh kar social media par share karo 1-2 day me index ho jayegi.
Dinesh Sangwan
Thanks for sharing great post and its impressive to see such posts in hindi. Amazing work, best of luck for your future 🙂
aasha varshini
Got a creative information. Understand well in this. This gives the easy technique of
experiment. New technologies are developed more. so techniques are also improved. Thank you for
this information.
Md Sakil Ansari
Nice and useful content. Good going keep it up.
vivek
Hello bhai,Mera blog ka cantent me title ke saath full article aa raha hai.Main chahta hun ki blog me kewal title aaye and click karne ke baad full article opene ho.Ye jankari aap mera (gmail-pkdksatya@gmail.Com)par send kar den.Kyonki jaldi jaruri hai. Please
Jumedeen Khan
Aap blog ki template change karo.
amit kumar
Sir mane aapki ye post “blogger me meta tags code kaise add kare” pdh kr meta tags add kr diya tha to ab aapki is post me jo code diye hue hai vo bhi add krna jruri hai ??
Jumedeen Khan
Nahi ye sirf example ke liye hai.
Sanjay Singh Rawat
Bro! How to Add Meta Keywords in Yoast WordPress ???
Jumedeen Khan
Yoast SEO plugin me apa keyword add nahi kar sakte. Koi bhi blogger aad nahi karta.
n.k detruja
Bro hot hi accha post mera ek sabbal hai ki maine Google search console me account banya hai par code temmplet me add nahi kiya hu yo kya Google mera post kum show hoga aur organic traffic kum milega kya Google search console ka code temmplet add karna blot hi jruri hai uske buna salega
Jumedeen Khan
Nahi bina template me verify code add kiye aapki site GWT me submit nahi hogi or aapko achha traffic nahi milega.
Mahtab
bhai mai bhi webmastet me site submit kiya hu kya koi code bhi template me add kiya jata hai search console me site submit hone ke bad agar aaisa kuch hota hai to us post ke link de do
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
Manish
jume deen sir maine aapki meta tag code wali post read ki thi lekin ye code puri tarah meta code nahi hai maine aapko title me bhi blogger blog me seo plugin code kaise add kare ye send kiya tha issliye mujhe laga ki aapki site par ye post nahi hai. aap title thoda defferent rakh sakte the mujhe pata hai ki meta tag code ki bhut si post bhut si site par hai. lekin iss code ko aap seo meta code bhi kah sakte hai ye code 2 meta code ke equel hai……
Jumedeen Khan
Mainsh koi SEO plugin code nahi hota. jo code hota hai use wohi kaha jata hai hum use alag se name nahi de sakte.
Dilip Poddar
bhi may apka blog ko parke ek blog banaya. apka blog se humko bahut help mila thanks bhi.
bhi may indian hu.but abhi saudi may hu.
ek bat puchna tha- may to saudi may hu but may indian adress may AdSense aproved kar sakta hu?
our agar aproved hoga to future may payment may koi problem nahi hoga na? pls apka answer chaiye…
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hogi. Aapke address par pin code aayega. Aap wo pin code apne family member se puchh sakte ho.
abhi
Jumedeen Bro Aj Blog Par Kafi Spam Comments A Rhe Hai Mene Askminet Lga Diya Comments Se Website Option Hta Diya Tab Bhi Spam a Rhe Hai Aap Koi Traika Btye Jiise Ki Spam Comments Ana band Ho Jaye
agr Coding Bhi Ho To Aap Facebook par Bhej De ya Mail Kar De
Jumedeen Khan
Is bare me aap ye post padho.
1. WordPress Spam Comments Ko .htaccess Method Se Stop Kaise Kare
2. WordPress Blog Par Spam Comment Rokne Ki 10 Important Tips
Manish
thanks jume deen sir meri guest post publish karne ke liye. aapne post me acche changes kiya hai jisse ye post or bhi acchi dikh rahi hai or post jaldi publish karne ke liye aapka fir se thanks….
Jumedeen Khan
Its ok manish, but next time post likhne se pahle pana topic blog me search kar lena.
shashank
hosting or server me kya antar hai maine hosting website me dekha hai ki alag alg plan hote hai jaise WordPress site plan linux, or VPS. kya VPS lene se hosting ki jarurat nahi padti ya Hosting ke sath VPS bhi lene se jyada trafic me fayda hota hai ? i am confused.
Jumedeen Khan
hositng me aapki site ke sath other site bhi host hoti hai or server me only aapki akeli site host hoti hai. Nahi shared hosting or VPS dono alag alag hai ,Aap iske bare me humari ye post read kare. Web Hosting Kya Hai Aur Hosting Kaha Se Kaise Kharide
shashank
1.- Mai WordPress blog banana chahta hu mujhe kon si company ki hosting or hosting ka kon sa plan lena chahiye jisse future me jyada visitors hone par bhi problem na ho.
2.- aap hosting ke liye kon si company ka kon sa plan use karte hai.
3.-hosting buy karte samay sitelock or ssl certificate bhi lene ka option ata hai jisse bill ka amount badh jata hai, agar mai site lock or ssl certificate na lu to meri website me koi problem to nahi hogi.
4.- YouTube se AdSense account banate samay meri website nahi bani ho to baad me YouTube ke AdSense account se apni website ko kaise jode.
5.-Youtube se AdSense approve hone ke baad jab website ko usse jodenge tab website ko bane hue minimum kitne din hone chahiye or visitors kitne hone chahiye.
Jumedeen Khan
1. Starting me aap shared hosting hi use kare to better hai, kyuki VPS and other plan ke aapko minimum 3,000 per month pay karne hote hai.
2. Mujhe hostgato.com or bluehost.com pasand hai.
3. Nahi aapko iski koi jarurat nahi hai .Aap inhe aovid kar sakte hai.
4. iske bare me mai article likh chuka hu ye padhe how to add site to AdSense
5. Aapki site par daily 500+ traffic hona chahiye.
Nidhi Thakur
Sir Aap hmesha newbie k help krte hn or M apki site pr daily visit krti hun.
Last posts ki trh yh post b kafi helpful h.
Muje aapki help chaiye, mera blog nidhithakur.com open ni ho rha. why?
Jumedeen Khan
DNS record change karne ki wajah se ye error aa raha hai. Agar apane iska dns record change kiya hai to ise proper work karne me 1-2 day lag sakte hai or agar aapko isse jyada time ho gaya hai aap domain setting me ja kar dns record check karo or sahi dns code add karo.