Youtube videos ko aap blog post me add (embed) kar ke bhi views increase kar sakte ho. YouTube video ko blog post me add karna bahut hi simple hai. blog me video kaise add karna hai. uske bare me mai aapko details me bta raha hu. aap post me niche diye gaye step follow kar ke 2 minute me blog post me YouTube video add kar sakte ho.
Agar aapne abhi tak blog nahi banaya hai to pahle aap Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padh kar apna free blog bana lijiye or aapne abhi tak YouTube par koi video upload nahi ki hai to pahle aap YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari post padh kar YouTube par video upload kar le.
Agar aap YouTube se paise kamana chahate hai to aap humari Youtube Ki Puri Jankari Hindi Me – Youtube Full Guide in Hindi post adiye isme aapko YouTube se paise kamane ki puri jankari hindi me mkilegi.
Youtube Videos Ko Blog Post Me Kaise Add (Embed) Kare
Step 1:
sabse pahle aap YouTube par jayiye or aapko jo video blog post me add karna hai us video ko open kijiye.
- Share par click kare.
- ab embed par click kare.
- is link ko copy kare.
Ab aapko YouTube video ka link to mil gaya hai. ab aapko ye link blog post me add karna hai.
Step 2:
blogger par jaye or aapko jis post me link add karna hai. uske edit option par jaye.
- HTML section par click kare.
- ab aapko jaha bhi video dikhana hai waha video ka code paste kare.
Is tarah aap YouTube videos ko aasani se blog ki post me add kar sakte hai. or agar aapko video ka size change karna hai to to aap video ke code me width or height ko change kar video ka size change kar sakte hai. jaise
<iframe width=”560” height=”315” src=”https://www.YouTube.com/embed/DTu-G9T85oc” frameborder=”0″ allowfullscreen></iframe>
Video code ko post me add karte time aap video ki width or height change kar sakte ho. aamto r par allready diya hua size better hota hai. log sabse jyada isi size me apne blog par video add karte hai.
Agar aapko lagta hai ki is post se really aapko help mili hai to post ko socual media par share kare. aap chahe to hume bhi YouTube par subscribe kar sakte ho. agar aapka post ke bare me koi sawal hai to niche commnet me puch sakte ho.
Vipul DIXIT
Bahi Muje mere subscribe bandne hai to me YouTube videos ko blog per kase post karu ye batto
Tarikul Molla
bohot aschi aur bohot helping post hai, is post ko share karne ki liye thanks.
Gayasuddin Ansari
Hello sir ji maine video add kiya magar ye to achha nahi dikh raha hai . But maine you tube me full hd Video dale hai
Iske liye kya kare please help e
Jumedeen khan
Video browser me open karo aur setting icon par click kar quality change karo.
Chandan kumar
Q1. Sir mai domain register karna chahta hoon…
Domain register kaise kare…
Q2. Sir adsense Account ka approval kab milta hai….
Jumedeen Khan
Aap godaddy se domain le sakte hai. Adsense ki jankari ke liye humari adsense wali posts check karo.
Surendra Kumar
Agar Hame Kishi Hard Topic Ko Video Ke Madyam Se Samajhana hain Post me Toh Lekin Video hamari nahi hai or uske liye youtube se Koi video Leke embed kar sakte hain kya ,
Esa karne or copyright hoga ya nahi ,
Agar copyright hoga toh kaise Bina copyright ke kishi bhi Channel ki video ko hamri post me even kar sakte hain .
Jumedeen Khan
Kar sakte ho no problem.
ajay gupta
SIR ME APNE BLOG ME DOMAIN ADD KRNA CHAHTA HU KYA DOMAIN FREE HOTE HAIN
MERE PASS CREDIT CARD NHI HAI KYA ME BANCK ACOUNT NUMBER SE DOMAIN LGA SKTA HU
Jumedeen Khan
Ha aap atm card se domain le sakte ho ye post padho Godaddy Se Rs99 Me Domain Register Kaise Kare
satyam kumar
bhai kya mai video mobile se bankar YouTube par daal sakta hun to vah to copyright nhi hai .but jab kisi aur ke bare me likhe aur usaka video download kar ke apne account me dale to kya yah copyright hogaa . Jaise ki abhi ek khabr thi ek ladki jiska sir to ladki ka hai parntu baki ki body lomdi ka hai ab yah video to kis aur ne liya parntu agar mujhe yah jaankari apne blog par deni hai to kya mai isake video ko use kar sakta hun maine ek baat aur notis ki thi usai video ko sabhi ek jaisa dekha ahi kyoki yah dusare desh ki jaanakri thi
Jumedeen Khan
Aap dusro ki video apne blog me add kar sakte ho. but YouTube par upload nahi kar sakte. Coprighting hogi.
Junaid
Hi sir mera ek blog hai usme mene seo camplete kr rkk h or lagbag 20 day ho gye h me apna pura address se search krta hu to mera tittel ata h pore sare post kyu nhi show ho rhi h kya mere seo me kuch kami h jabki mera dusra blog me 8day me sare post show ho gye thi
Jumedeen Khan
Junaid kuch na kuch kami hai tabhi blog search me nahi aa raha hai. Aap kafi din se supportmeindia par visit karte ho. Ummmid karta hu humari seo se related post padhoge to aapko us kami ka pata chal jayega.
sandeep kumar
Song website ke liye song kaha se upload kare ki copyright na ho please bataye
Jumedeen Khan
Sanddep mai aapko allready kah chuka hu ki hum kahi se bhi songs download kare wo copyroght hi hoga. agar aap fir bhi songs ki site banana chahe to aapko tseries jais songs company se licence lena padega. jo ki kam se kam 1 lakh me milega.
Mo Aziz
JUMEDEEN BHAI
sidebar me hum kitne ads use kar sakte hain
post aur sidebar dono me total kitne ads use karu
Jumedeen Khan
3 links ads or 3 display ads 3 search engine jyada jankari ke liye ye post padho Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
dev
bhayi mughe smgh aa gaya mughe ye bata dijiye ki image to me bana luga par edit html me us umage ke link add karni padegi phir wo logo set ho jayega ab itna bata dijiye ki meri banayi hui image ki link kese recieved karu yani agar me us link ko kholu to wo image dikhyi de jaye phir me kar lunga
Jumedeen Khan
aap jab image ko blog me upload karoge. to image ki coding me 2 link honge ek href=”” or dusra src=”” isme se src wala link image ka link hota hai.
dev
bhayi mere template me header me logo sath me tamplate me set hoke aya he plz use htane ka koi upay bataiye.. plz bahyi
Jumedeen Khan
aap blogger layout par ja kar header par click karke apni site ka image upload karo. template logo change ho jayega.
Ravi Kumar
ek aur question bhaiya maine apne blog pe 40+ post kiye,aur 1.5 month hua, Adsense ke alawa mai kon sa add use karke paise kama sakta, aap apne experience ke hisab se hame suggest kare
Jumedeen Khan
hindi blog par sabse best AdSense hi hai. agar aapka AdSense account approved na ho to aap chitika, bidvetiser or infolinks ke ads laga saktwe ho. ye post padho Blog Se Paise Kaise Kamaye 5 Popular Tarike
Ravi Kumar
sabse pahele good morning bhaiya,
maine Adsense sing in kiya, mera pura address bhi liya gaya,
Q…..jub mai term&condition padh raha tha, to usme age 18 year bata raha tha, but mere mail account pe to 18 hai but real ke koi proof me nahi, chahe aadhar card, ya college proof,
kya iske liye 18 year hona chahiye
Jumedeen Khan
Nahi wo koi problem hone par aapko ID verify karni padti hai. aapki gmail id hai to aap AdSense account bana sakte ho.
sandeep kumar
Kaise Jane ki spam comment hai
Jumedeen Khan
akismet plugin use karo.
Aalam
Google search console ke home pe mere blog ka do
URL ek www ke aur ek
Bina www ke aur dono
Ka report , endex vagarah
Alag alag chalta hai kya
Yah sabhi ke sath hota hai
Ya mere me kuch fault ya
Over hai . agar hai to
Kaise sahi kare
Jumedeen Khan
aap search console par jao or right side me setting icon par click karke site settings par click karo. ab sabse fist me Don’t set a preferred domain par tick karke setting save kar do.
Sahil kumar
lekin yadi aap ke readers mobile se bhi padhate ho to video ke link bhi sath me de dena chahiye, ye feature sabhi browsers ko sport nhi karta hai.
prakash
sir
aap apne image me arrow ka nissan us par 123 no lagata hai woh photo kaise edit karte hai jaise isi post me me step 1 ke baad photo hai
Jumedeen Khan
WordPress me iska allready option hota hai.
swapnil jambhale
Jumedeen Khan YouTube jaha apna video hota hai $ ka option hota hai vaha pe click karne ke bad vaha ham jo ads dikhana chahte wo tin option hote hai wo tino select kare to koi problem hogi kya.
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai. 3no hi select karte hai.
sandeep kumar
Aaj 223 comments aaye hai. me kaya sabhi ke answer du. Lagbhag 70 % nice blog , nice post aate to me kaya karu
Jumedeen Khan
wo sab spam comment hai unhe approved mat karo. delete karo warna roj jyada se jyada comment aane lag jayenge.
Ravi Kumar
sorry bhaiya ek aur question,
jaise maine aaj tak jo post ki hai, supposed maine rat me domain change kar diya, kal jub hum apni site pe naya post dalenge, kya sabhi post jaise pahele dikhte the waise hi dikhenge, na kuchh aur confused ho raha hu
Jumedeen Khan
sawal ka jawab bahut simple hai bas aap samajhne ki koshish karo. domain change karne se aapko blog ki sari post ke link change karne padenge.
Ravi Kumar
ok oh chang kar sakte hai, thanks but kya post to delete nahi na hogi,
Q….domain change karne se post delete to nahi hogi,
Q.2….naya post dalenge to uska url automatic change hi na banega,
Jumedeen Khan
1, nahi aapki koi post delete nahi hogi.
ha new post me new url automatic banega.
Ravi Kumar
bhaiya site ke liye domain lene se sirf url me changing aati , hai ya fir uske post,ya widget chang ya delete, thoda hame aisa bataye ki mai jaldi samjh saku
Jumedeen Khan
domain change karne se aapko apni site par post, page me jaha bhi old domain add hai sab change karna padega.