Blogger ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki AdSense se hi humari income hoti hai. AdSense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye AdSense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par AdSense sabse jyada paise deti hai. AdSense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe.
Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?
sabse pahli or most baat aapko AdSense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap AdSense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka AdSense account block bhi ho sakta hai
Yaad rahe aap sirf ek hi AdSense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada AdSense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2. A. Website ya Blog B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.
A. Website ya Blog kaise banaye?
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko AdSense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.
Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se AdSense account banane ki koshish karoge to aapka AdSense account nahi banega.
So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare. blog ki traffic badhane ke liye Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi post padiye.
Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide
AdSense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe AdSense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.
sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.
2. Ab ek new windows khulegi .
1. agar pahle se log in account se AdSense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
2. agar aap kisi dusre ya new gmail account se AdSense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
1. yaha par aap apni website ka url type kare.
(agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
1. aYouTube ke dwara AdSense account banaye
2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
agar aap YouTube ke jariye AdSense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
YouTube ke throw AdSense account banane ke liye yaha click kare
or agar aap apni website banana chahate ho to yaha par click kare.
free website kaise banate hai online paise kamane ke liye)
2. fir Continue par click kar.
Continue par click karte hi aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
1. yaha par aap apni country select kare.
2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
6. apne city ka sahi naam bhare.
7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
8. apne pin code enter kare.
(pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
10. apne mobile number enter kare.
(*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
11. aap kis liye AdSense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye AdSense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kare.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike
ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas AdSense account approved hona baki hai . jab aapka AdSense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.
I hope aap is post ko follow karke aasani se AdSense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.
Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.
ASHWIN
BHAI HUM1 HI MOBILE NO. SE KITNE GMAIL ACOUNT BANA SHAKTE HE
Jumedeen Khan
account to kitne bhi bana sakte ho. but mere hisab se 1 ya 2 se jyada use mat kiya karo. warna aapka account block ho jayega.
prince kumar
bhaiya mere pass googal AdSense ko login karne ka option aagya hai lekin mai eska 3rd step fill nhi kr pa rha hhu …plz meri help kar do bhaiya mujhe ek baar call karo plz mai aapko jabhi bta paunga ku dikat kya aarhi hai yese mai nhi bta paunga aap callkaro mai aapko edhar se back call karunga
Jumedeen Khan
sorry mai no. nahi de sakta hai. aap contact form me mujhe personal message bhej sakte ho. ya yahi commnet me btao.
prince kumar
bhai mai aapna AdSense login nhi kar pa rha hu
yaarjo aapne uper step bye step btaya hai 3rd step ke….. payee name ……..mai kya bharna haiJumedeen Khan
first to aap comment me sahi word use karo. payee name mai aapko apna wo name add karna hai jo aapke bank account me ha.
prince kumar
bhaiya bahi naam dal rha hu lekin ho nhi pa rha hai es liye to aapse madat mang rha hu
Jumedeen Khan
kya error aa raha hai.
prince kumar
bank account koi bhi ho chahesir ek baar call karke samjha do bhaiya
Jumedeen Khan
ha koi sa bhi ho but gramin bank nahi chalega, jaise SBI, HDFC, ICIC and other jinki international branch ho.
saroj narayan
Sir Maine blogger se Google AdSense joda saare kuch ho gya hai par Google AdSense kholta hoon to blank page aa raha hai please btaiye AB mai kya karoon sir please
Jumedeen Khan
blanck page me error kya show ho raha hai wo btao
Ravi Kumar
sorry bhaiya mera template achha nahi hai, aap hame ye bataiye template convert kis software se hota hai please jaldi bataiyega , aur aap thoda kosis karke process bhi bata dijiyega,
kyuki maine kisi se 3hr ke liye pc li hai please
Jumedeen Khan
Winrar software se mai iske bare me details me bta chuka hu ye post pado Blogger Template Ko Zip File Se XML File Me Kaise Badle
dev
bhayi my website me www. example.com is trah se apni site ka name dalna he ya phir bina (www) yani sirf – example.com ya itna plz bataiye.
Jumedeen Khan
bina www ke sirf example.com dalna hai.
Ravi Kumar
bhaiya sabse pahele mai aapko thanks kahunga, kyu aapki wajah se hi mai template change kar paya,
Q….bhaiya jaise ki site ke title ke niche jo ek box (go to ya home) uspe click karne ke bad site pe jo category rehti hai wo dikhai deti,
but,
mere site pe template ki category dikhai de rahi hai aur menu bar bhi usi ka,
mai layout me dhudha but usme aisa koi option nahi tha removed karne ka koi dusra tarika hai aapke pass
Jumedeen Khan
ye options blog template me hote hai. aap koi dusri template try karo.
prince kumar
sir mujhe Adsense ka 3rd step fill karne mai meri madat kar do plz bahut kosis kiya lekin ho nhi paa rha hai plz mere no pe call karke mujhe samjha sakte hai sir mai aapka bahut abhari rahunga 9971318387 ye mera no hai sir
Jumedeen Khan
aapko problem kya aa rahi hai btao. mai aapko comment me na samajha paya to call karunga.
sahil
maine AdSense account banaya h approvel ka msg email se aya h
main gagets me jakar rigth side add kiya h, par site khol raha hu waha blank square aa raha h waha add show nahi kar raha h, ek baar dekh le.
Jumedeen Khan
thoda wait karo jab AdSense aapki site ko colplete riew kar lega to ads show hone lag jayenge.
sally
This particular blog is obviously cool and besides diverting. I have discovered many useful advices out of this blog. I’d love to return again and again. Thanks!
suraj kumar
bhai my ads ke bad new ad ka option hai hi nhi.
Jumedeen khan
AdSense par ads banane ke liye ye post pado Adsense Par Ads Kaise Banate Hai or post me btaye step follow kare.
lalu yadav
bhai mera AdSense account hai lekin mai usme puri jankaari nahi daal paya lekin account ki id hai mere paas mail me message hai sing in karta hu lekin samajh nahi aa raha kaha se kya karu maine YouTube se account banaya hai kya karu bhai
Jumedeen khan
Aap AdSense par logcin karcpa rahe ho ya nahi.
Suraj Kumar
Brother Maine sign up kar diya hai. Bt ab kya karu kuch samjh nhi AA RHA H mujhe ye bs ye ek mail aaya hai. Google AdSense ki taraf se.
Hello,
Your contact information associated with Google AdSense was changed on Dec 21, 2015.
For your security, please contact us if you didn’t make this change.
To review your contact information:
Sign in to your AdSense account.
Click the gear icon in the upper right corner of any tab, then, from the drop-down list, select “Payments”.
Google AdSense
Jumedeen khan
aapne 21 dec ko AdSense par apna address change kiya hai. ye uska message hai. aapne AdSense account bana liya hai to ab AdSense par ads banao or ads code blog me lagao. ye post pado Adsense Par Ads Kaise Banate Hai or Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagate Hai
suraj kumar
account type me individual lena hai ya comapny.??? dono me kya diffrence hai. mai ye question isliye puch rha hu kyuki shoutmehindi ke AdSense guide me individual lene bola gya hai. mujhe clearly samjhaye.
Jumedeen Khan
agar aap ek aadmi ke liye AdSense account banana chahate hai to individual select kare. or agar aap apni koi company ke liye banana chahate hai to company select kare.
Suraj Kumar
Maine company select kiya h us se kuch problem nhi hogi na. Aapne account banate time kya select kiya tha
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hogi. maine bhi company select kiya hai.
Honey
Sir mein aap se milna chahta hu or bhut si baatein puchana chahata hu kirpaya aapna mobile no baatain
Jumedeen Khan
Sorrt bro mai abhi mil nahi sakta, mobile no. Facebook par mil jayenge
Jumedeen Khan
Website ki google search result me lane ka tarika janne ke liye ye posr pado Blog Ko Google, Bing, Yahoo Jaise Search Engines Se Kaise Submit Kare
Ravindra Singh
meri web site google per search nho ho rehi bhai tarika send karo mujhe
suvas
Thanks sir good ninght
Jumedeen Khan
ab do tin din wait karo jab aapka AdSense account approved ho jayega to ads code milenge.
suvas
Sir muje AdSense verify ka e mail aaya he ab kya kare code kaise le
Jumedeen Khan
agar aap online paise kamana chahate hai to mai aapko do tarike suggestion karunga.
1. website bana kar
2. video upload kar ke
bolo aapko konsa tarika pasand hai. mai aapki step by step help karunga
mayank raj
video bnakar and blog
mera AdSense account nhi redy ho rha hai plesr help
mai aapse fb pr bhi hu
Jumedeen Khan
problem kya hai. dettails me btao.
Jasveer Singh
ab ishke bad ham kam kaise karege puri jankari de sir appki mhan krpya hogi