Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari

Blogger ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki AdSense se hi humari income hoti hai. AdSense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye AdSense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par AdSense sabse jyada paise deti hai. AdSense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe.

AdSense account kaise banaye

Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?

sabse pahli or most baat aapko AdSense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap AdSense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka AdSense account block bhi ho sakta hai
Yaad rahe aap sirf ek hi AdSense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada AdSense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2.   A. Website ya Blog         B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.

A. Website ya Blog kaise banaye?
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko AdSense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.

Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se AdSense account banane ki koshish karoge to aapka AdSense account nahi banega.

So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare. blog ki traffic badhane ke liye Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi post padiye.

Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide

AdSense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe AdSense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.

sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.

  1. AdSense account2.  Ab ek new windows khulegi .
    create AdSense account
    1. agar pahle se log in account se AdSense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
    2. agar aap kisi dusre  ya new gmail account se AdSense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
    add your site url
    1. yaha par aap apni website ka url type kare.
    (agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
    1. aYouTube ke dwara AdSense account banaye
    2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
    agar aap YouTube ke jariye AdSense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
    YouTube ke throw AdSense account banane ke liye yaha click kare
    or agar aap apni website banana chahate ho to yaha par click kare.
    free website kaise banate hai online paise kamane ke liye)
    2. fir Continue par click kar.
    Continue par click karte hi aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
    AdSense sign up forum
    1. yaha par aap apni country select kare.
    2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
    3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
    4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
    5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
    6. apne city ka sahi naam bhare.
    7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
    8. apne pin code enter kare.
    (pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
    9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
    10. apne mobile number enter kare.
    (*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
    11. aap kis liye AdSense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye AdSense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
    12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
    13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kare.

ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas AdSense account approved hona baki hai . jab aapka AdSense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.

I hope aap is post ko follow karke aasani se AdSense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.

Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.

Reader Interactions

Comments (585)

  1. Hello sir please help kar dijiye mai adsense account bana rah hoo to bina domain ka adsense account nahi ban raha h sir please help me
    mai Laptop se UC BROWSER se koshish kar raha hoo

    • Aap direct blogger dashboard par jao or earning option par click kar step follow karo.

  2. Hello sir
    Maine YouTube me video dalne se pahale aapna Adsense account banane ki koshish ki nikala bhi aapna code verify bi Ho gaya but oo bata raha (mess.) ki 3 din baad aana. Par koi message na koi mail aaya essake aage kya kare kuch samj nahi aaraha
    Please ans sir

    • Aap adsense par log in karo or koi error message show ho to mujhe btao.

  3. Sir Google AdSense Account Banate Wakt Ye Business Kyon Daalna Hai Kya Main Jahaan Kaam Karta Hoon Uske Baare Me Daalna Hai Kya

    • Behtar hai aap individual select karo.

  4. Hello sir namaste .

    sir maine aaj maine wikihow.com website ko dekha sie , bo bahut impressive lagi mujhko . sir wikihow par jo photo use kiye jate hai , kya bo drawing karke banate hai .
    sir mujhe iske baare me batate plss.

    or sir

    wikihow.com

    or

    hi.wikihow.com

    dono ek hi website hai ya fir alag alag hai .

    plss. sir mujhe bhi aise hi photo prepare karne hai so plss sir . mujhe bataye ki mai aise image kaise bana sakta hu .

    • Dono ek hi site hai wo brand site hai uski har image self designed hoti hai.

  5. Hello sir,

    sir mera aapse ek question hai . manlo sir hamari website par aaj 400 page views hue . or agle din 250 pageviews hue .

    to sir kya ham uske baad adsense account bana sakte hai . ya nahi.

    pls. sir , mai aapke answer ka wait karoonga.

    • Aap kabhi bhi adsense account bana sakte ho traffic ki koi limit nahi hai but traffic achha ho to jaldi approve hota hai.

  6. Hello sir.

    sir , maine aapko ek email send ki thi , jo ki mujhe google ki or se aayi thi , to aapko email mili thi kya ,

    agar sir aapko mail mil gayi ho to pls. mujhe bataye ki google usme kya keh raha tha.

    pls sir .

    • Ok main aapko mail check karke mail kar dunga.

  7. Hello sir
    aapne adsense account banane ke liye likha hai
    4. number pe COMPANY NAME hai
    to usme bank account number likhna padega
    mera SBI me hai to SBI account number dalna padega?.

    • Yes.

  8. Sir mujhe Adsense account bnana Hai apne personal website se Jo godaddy se Maine liya Hai kya mai us Adsense account se apna YouTube channel linked kr sakta hu channel dusre gmail se Hai aur sir agar personal se dikha sakta to mai jab Adsense account bnata hu to ek code ata Hai Jo kahi copy krke post krne ke liye bolta sayad website verify krne ke liye kaise kru sir reply please

    • Aap us code ko blog ki widget me add karo yes youtube or blgo dono par ek hi adsense use kar sakte ho.

  9. Mai apne ek adsense account se new blog par ads laga sakta hun kya?

    • Yes laga sakte ho.

  10. Sir youtube ke liye analytic account kaise banaye kya same process hai.

    • Iski jarurat nahi hai youtube par already analytics ka option hota hai.

  11. Jume Bhai me sign in kr raha hu AdSense me to save and continue se aage kyo nahi bad pa raha hu?mtlb form filling k dusre option tak nhi ja pa raha hu kya reason hai ?
    Halaki me use phone PR kar RHA chrome browser se

    • Aap kisi or browser ya computer me try kare aapke browser me google script block hai.

  12. Mujhe apki help chahiye
    Plzz aap mujhse voice call par bat kar saate ho kya
    To meri gmail pe apka nomber dijiye

    • Aap contact forum par chat kar sakte ho.

  13. Sir Mere Website :- http://www.cutedeals.in ha Iss Pr maine Adsense bana diya or Approved ka msg bhi agya jab hum AdSense ka Code Iss Site ke Html/java me Add kardete ha toh mere site Pr ads Blank show karta ha jabki approved hua 3 months hogya kya kare pls tell me.

    • Aap ad code ko blog se remove mat karo AdSense ke aapki site ka review karne ke bad ad show honge. New ad unit bana kar create karo or fir bhi issue ho to kisi or ID se AdSense ke liye apply karo.

  14. Khan Ji,
    Maine saari process complte kar liye hai aur mere site par green sign bhi aa raha hai.
    par maine account banate samay account type me individual select kar diya hai aur email preferences me sab par NO kar diya hai.
    Kya mai setting change kar sakta hu yadi ha to process bataye.
    Aaapka dhanyawad.

    • No problem wo sab mail recive karne ke liye the aap fir se AdSense par ye settings kar sakte ho.

  15. jume deen bhai mene AdSense me a/c banaya h ab usme ek code aya th ise apni site par kaha lagau
    jab hum a/c banate h uske bad turant hi code aya h widget par lagau ya fir kisi bhi page me lada du

    • Site ke sidebar widgets and post me ad code add karo.
      Kisi par bih laga lo bas site par lagna chahiye.

  16. Hello Sir
    Mene 3 din pahele Ad sense Apply kiya tha, Aur Ek Fully Approved mail bhi aa gaya, lekin add abhi tak show nahi rahi kiya wait karna padega. Aur koi problem toh nahi hoga. status me kiya batana chahiye.

    • Abhi google aapki site ka review karega review complete hone par ads show honge.

      • Blog se paise kamane ke Liye uska AdSense se juda hona zaruri h
        Agar ha to use kaise apne blog se jode

        • Iske liye huamr iAdSense wali or post padho.

  17. Bhai mayne apna ek video upload kia tha or usme abhi tuk 100 to 120 views hua hai or may apne video ko monitize bhi kr liya hai or adsene se jor bhi liya hai per mera video me koi add nhi ata hai or ketne views me paise bank account me milta hai?????

    • Aapkko itni jaldi AdSense ke liye apply nahi karna tha. Aap video maanger par jao oar video ko monetize karke dekho video ke samne dollar ka green icon show hoga. Agar icon green hai to ad show ho rahe hai.

  18. sir YouTube .com jane par jaisa apne screen shot me bataya hai vaysa nahi khul raha h much aur hi aa raha h our mujhe pata kaise chalega ki mera new method h ya old

    • Main jaldi hi is post ko update karunga tab steps follow kar lena.

  19. sir mene 1 month pahale blogger se website banya tha to view kase chak kare

    • Blog dashboard open karo or stats par click kar report check karo ya analytics use karo.

  20. mere blog per roj 500-700 page view hote h kya muje adsance lena chaiye mene blog 1 month phle banaya tha

    • yes le sakte ho.