Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari

Blogger ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki AdSense se hi humari income hoti hai. AdSense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye AdSense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par AdSense sabse jyada paise deti hai. AdSense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe.

AdSense account kaise banaye

Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?

sabse pahli or most baat aapko AdSense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap AdSense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka AdSense account block bhi ho sakta hai
Yaad rahe aap sirf ek hi AdSense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada AdSense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2.   A. Website ya Blog         B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.

A. Website ya Blog kaise banaye?
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko AdSense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.

Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se AdSense account banane ki koshish karoge to aapka AdSense account nahi banega.

So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare. blog ki traffic badhane ke liye Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi post padiye.

Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide

AdSense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe AdSense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.

sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.

  1. AdSense account2.  Ab ek new windows khulegi .
    create AdSense account
    1. agar pahle se log in account se AdSense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
    2. agar aap kisi dusre  ya new gmail account se AdSense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
    add your site url
    1. yaha par aap apni website ka url type kare.
    (agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
    1. aYouTube ke dwara AdSense account banaye
    2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
    agar aap YouTube ke jariye AdSense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
    YouTube ke throw AdSense account banane ke liye yaha click kare
    or agar aap apni website banana chahate ho to yaha par click kare.
    free website kaise banate hai online paise kamane ke liye)
    2. fir Continue par click kar.
    Continue par click karte hi aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
    AdSense sign up forum
    1. yaha par aap apni country select kare.
    2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
    3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
    4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
    5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
    6. apne city ka sahi naam bhare.
    7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
    8. apne pin code enter kare.
    (pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
    9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
    10. apne mobile number enter kare.
    (*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
    11. aap kis liye AdSense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye AdSense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
    12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
    13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kare.

ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas AdSense account approved hona baki hai . jab aapka AdSense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.

I hope aap is post ko follow karke aasani se AdSense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.

Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.

Reader Interactions

Comments (585)

  1. Brother mujhe AdSense ke liye apply kiye hue 5 din ho gaye hain lekin abhi tak koi Email nahi aaya aapki post ke anusar toh 5 din me aa jana chahiye tha na hi to Approved ka message aur na hi disapproved ka aisa kyun?

    • Kai bar isme 1-2 week bhi lag jata hai wait karo.

      • Brother maine Romanreigns.in or RomanReigns.info ye dono domain name liye hain maine in dono domain name ko godaddy se liya hai maine dono domain ko apne blog me bina Ip Address ke joda hai maine in dono ko Forwarding kar ke apne blog me lagaya hai to kya main in domain name se AdSense ke liye apply kar sakta hoon maine waise in dono domain names ko forwarding karke blog me lagaya hai

        • Aapne jis domain ko blog me add kiya hua hai usse adsense ke liye apply karo adsense approve hone ke bad dusre domain ko bhi adsense me add kar dena.

  2. Mere blog me earning ka option
    Nhi a rha hai mai kya krru sir

    • Give me screenshot of your blog dashboard.

  3. Brother maine kal AdSense ke liye apply kiya tha lekin jab main AdSense ke liye apply kar raha tha tab wahan par Date of birth, Choose country aur website ka url daalne ka option aaya jaise aapne bataya vaisa wahan kuch nahi aya na hi to bank account daalne ka option aaya aur na hi blog ki language choose karne ka maine apne blog ka jab url dala to wahan likh kar aaya continue to blogger maine continue par click kar diya fir main apne wapas blog par pahuch gaya lekin brother mujhe ye baat bilkul samajh me nahi aa rahi hai ki AdSense ne mujhse sirf itni kam jankari li brother aap mujhe batao kya ye sahi tarike se hua ya galat

    • Aapne blogger ke through adsense kel iye apply kiya hai. Isliye kam steps follow karne pade.

  4. Brother Aap mera RomanReigns.in Blog check karke mujhe please batao kya mera ye blog AdSense ke liye tayar hai kya main ab apne is blog ko adsense ke liye approved hone ke liye bhej du?

  5. sir blog ko google serch engine mai jodte hai add proparty code paste nahi ho raha

    • HTML method se verify karo.

  6. sir mane you tuve 2-3 vidio upload kardi hai 100 view hai or maine adsense accounr bana liya hai sir lekin vidio montaiz karte hai to not enable aa raha hai or sir vidio k view nahi bad rahe hai

    • 10k views ke bad enable kar sakte ho.

  7. bro..mera ads block hogya is liye main dusara Adsense account bana rha hu but ban nhi rha hai main abhi ta OK domin nhi liya hu Dina domin ke Adsense account dobara nhi banega help me….bro..

    • Yes aapko domain le kar apply karna chahiye.

  8. sir mai adsense account bana raha tha usme 3 opstion pahla opsion pura hogaya lekin website language daalne contunious save ok karte hai to dhundla sa pad jata hai about infomation nahi khul raha

    • Browser ko update karo or cache delete karke try karo.

  9. sir maine 3 vidio you tuve per upload ki thi usme 30 view hai kya mera adsense account ban sakta sir reply zaroor dena ya call karna please sir

    • Nahi kam se kam 10k views hone chahiye.

  10. 1 sir adsense account se paise apne account me lene ka kiya process rahega
    2 sir mere adsense account me jo dollar sow kar rahe hai vo kabhi kam ho jate hai

  11. Sir agar ham YouTube keep lite ek AdSense account anaate hain to kya Facebook ya instagram ya koi or site se paisa kmaane ke liye AdSense account a lag a lag bnaane hinge ya ek hi AdSense San site par activate ho jaaye gaayega plz reply zroor de

    • Facebook or instagram par aap adsense se paise nahi kama sakte.

  12. sir maine do opsion poore he liye hai your account your website lekin about information ye nahi khul raha hai

    • Browser ki history cache delete karke try karo.

  13. Sir mera adsene account khul gya hai usme.0.22$show kar raha raha hai
    Eska upyog kese le sakta hu

    • Website or blog bana kar usme content likho or content me adsense ad code paste karo.

  14. thanks sir bahut achi post hai ye post mere bahut kam ki hai realy thanks sir.
    mai apke blog ko padhta hu to mujhe bahut acha lagta hai sir mujhe bhi ap jaisa banne ka sauk hai support me sir kya karu help kare meri

  15. Hello sir ,
    sir mai ek baat maloom karna chahta tha , ki sir mai educational subject par jo topic likhta hu to , usme kuch mathmatical numerical likhne ke liye mai powerpoint se slide(photo) banakar use kar sakta hu kya.

    • Jaha tak ho sake khud ke photo use karo.

      • Sir mene tino step pure kar diye information vala step pura kar diya or isko complete karne ke bad meri you window bhi khuli par sir vha par sabmit ka koi mesagge nhi mila mujhe

        • No prolbem ab adsense ke steps thode change ho gaye hai.

  16. Hello Sir Mera Adsense Account Baned Ho Raha H Bar Bar Kya Karu Sir Mein

    • Adsense terms follow karo.

  17. Hello sir ,
    mere paas me abhi bank account nahi hai , to mai (4) company name me kya likhu . adsense ke liye

    • Company name me apni company ka name likho or agar aapki company nahi hai to apna pura name likh sakte ho.

  18. sir
    bing/yahoo se meri website par traffic nhi aa raha hai.
    post ko index karne ka option bhi nahi aa raha hai. configure my site me.
    to sir mujhe bing/yahoo se traffic kaise milega.

    • Hindi site par bing yahoo se bahut kam traffic aata hai.

  19. Hello sir namaste ,
    1. sir mujhe bing webmaster par apni website submit kiye hue 15 din ho gaye hai . par sir mujhe us se abhi ek pageviews ka bhi traffic nhi mila , or sir configure my site me post ka url submit karne ka option bhi nahi aata hai to sir mai post ko. ko index kaise karu .

    2. sir mai jab laptop me hindi me typing karta hu to sab word sahi bante hai or jab mai use save kar deta hu to be saare word question mark ban jate hai .
    to sir ye kaise theek hoga.
    plss help sir

    • 1. Traffic site submit karne se nahi achha content likhne se milega.
      2. Microsoft draft me save karo.

  20. AdSense account banane me like kya bank details dena zaruri hair kya ? Mere Bank me account nhi hair to kya adsense me sing up nhi kar skti me ?? Plzz help me

    • Nahi, aap bank acocunt details bad me jab payment lena ho tab add akr sakte ho.

      • Sir Maine Google AdSense pe apna account banaya hai kya yah free me hota hai ya paise dene hote hai

        • Adsense free hai, no investment