Blogger ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki AdSense se hi humari income hoti hai. AdSense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye AdSense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par AdSense sabse jyada paise deti hai. AdSense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe.
Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?
sabse pahli or most baat aapko AdSense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap AdSense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka AdSense account block bhi ho sakta hai
Yaad rahe aap sirf ek hi AdSense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada AdSense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2. A. Website ya Blog B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.
A. Website ya Blog kaise banaye?
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko AdSense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.
Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se AdSense account banane ki koshish karoge to aapka AdSense account nahi banega.
So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare. blog ki traffic badhane ke liye Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi post padiye.
Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide
AdSense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe AdSense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.
sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.
2. Ab ek new windows khulegi .
1. agar pahle se log in account se AdSense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
2. agar aap kisi dusre ya new gmail account se AdSense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
1. yaha par aap apni website ka url type kare.
(agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
1. aYouTube ke dwara AdSense account banaye
2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
agar aap YouTube ke jariye AdSense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
YouTube ke throw AdSense account banane ke liye yaha click kare
or agar aap apni website banana chahate ho to yaha par click kare.
free website kaise banate hai online paise kamane ke liye)
2. fir Continue par click kar.
Continue par click karte hi aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
1. yaha par aap apni country select kare.
2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
6. apne city ka sahi naam bhare.
7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
8. apne pin code enter kare.
(pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
10. apne mobile number enter kare.
(*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
11. aap kis liye AdSense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye AdSense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kare.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike
ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas AdSense account approved hona baki hai . jab aapka AdSense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.
I hope aap is post ko follow karke aasani se AdSense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.
Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.
Satya Prakash
*sir maine pahle 1 gmail account se youtube channel banaya monetization enable pr click krke form fillup kr diya.
*phir 5 din bad youtube channel delete kr diya
*2sre gmail id… YouTube channel banaya monetization enable krke form fillup kr diya lekin channel ka name same rkha jo phle gmail id se banaya tha tha channel
*tbhi google se mail aya ki… pahle wale gmail account ka adsense account approved ho gya
*Google adsense ko maine phr cancel kr diya
*aur ab mere youtube channel pr monetization ‘disabled’ likha hua h.
sir app bataaiye ki kya.. mera channel kabhi monetize nahi hoga? agr hoga to kaose hoga? aur Google adsense approved hoga ki nhi hoga??
Jumedeen Khan
Itni jaldi mat karo fir se apply karo or thoda wait karo.
Ajinkya
hello sir mere adsense account me Performance Report me Top Me ye Note ” One goal of Matched content is to increase user engagement. Your page RPM and other metrics might be affected by this increase. ” Show ho raha he, ye kya he aur kyun show ho raha he plz batayiye sir,
Aur sir mera cpc 0.1 ho gaya he kya kru ise badhane ke liye aap ek bar mere site ko check kar ke dekhiye na sir.
Jumedeen Khan
Aap jawab yaha hai Matched Content Kya Hai or Blog Par Kaise Use Kare
Ankit kumar
Bahut achha post sir apne likha hai…..padhkar bahut khushi hue or achhi jaankari bhi mili……thank you so much sir…….
Akshay Dhiman
hello sir, Adsense me kyi bar esa kyun hota ki jb Ads click badhne lagte to CPC km hone lagti. for example Morning me CPC 0.06$ thi aur Evening me 0.03$ ho gayi.
Aur sir pahle SMI pr comment karke hume ek baclink milta hai lekin ab kyun bnd kar diya apne?
Jumedeen Khan
CPC aapke content keywords or advertising keyword par milenge wale commission par depend karti hai. Ab bhi backlinks milega.
Harmmet
Sir mera 1 channel h youtube pr jispr 70000 subscriber lakin uski monitization permanent disable ho gai h.agar m us channel k sare subscriber,views,video apne dusre channel pr transfer kr du jispr 2000 subscriber h to kya mere dusre channel pr b monitization disable ho jaige. Plz reply
Jumedeen Khan
Nahi aap kisi bhi change par videos move kar lo videos ke sath channel issue bhi move hoga. Yani same problem hogi. Monetize nahi kar sakte.
harsh gogia
Hello Sir..
Mera Ek Blog Hai.. & Us Par Ek Din Me 10k to 15k views aa rahe hai.. post daalna abhi hi suru kiya hai but wo 6 mahine purana hai.. isliye maine adsense ke liye apply kiya but adsense disapproved ho gya.. mail me likha tha ki site par enough content nahi hai.. please ek baar aap blog dekh ke bata dijiye ki mai kaise ise modify karu ki dobara apply karne par adsense aproved ho jaye
Jumedeen Khan
Abhi aap blog par or post likho kuch time bad apply karna.
Harmmet
Hello sir
Maine youtube ke through adsense approved karwaya.. & maine address me name ki jagah apni shop ka naam daal diya instead of my name.. & google ka letter bhi aa gya or verify bhi ho gya… but meri shop ki naam se koi bhi bank account nahi hai.. to kya mai apna naam ka bank account du to payment mil jaayegi please help me
Jumedeen Khan
Aap payment details change karke payment le sakte ho.
Harmmet
Kya m agar apna dusra account dal du jo mera bank m h to mujhe meri payment mil jaige
Jumedeen Khan
Yes mil jayegi but payment or bank details same honi chahiye.
Harmmet
Sir pr jo mera letter aaya h us naam se mera bank account nahi h to kya payment aaige plz reply
Jumedeen Khan
Yes aa jayega.
laxman Singh rathore
apne country ka time zone set kare. india ka time zone 05:30 hai. Bhai mere ye time Nahi Hota hai seat Adsense bana rha hu time add nahi ho rha hai Time par click krta hu kuch nahi hota hai plz help me bro
Jumedeen Khan
Kisi or device me try karo ho jayega.
DEEPANSHU
1st step paar karli lekin doosri step Nahi ho pa Rani Hai kya yeh account keval computer services Bantam Hai mobile se nahi
Jumedeen Khan
Mobile se bhi banta hai. 3G connection se try karo.
Raj Chouhan
Nice post Bhai..Ager 1 blog par adsense Approval ho jaaye toh kya uske ads hum apne Dushre blog par bhi Laga Sakte hai..??
Jumedeen Khan
Yes laga sakte ho.
Raj
Hello, kya adsense bangla support karta hai?
Jumedeen Khan
Look here Adsense Kon Konsi Bhasha (Language) Support Karta Hai
Yuva Thakur
Brother Mujhe aapse ye janna hai ki kaise main kisi naam ko apna trademark bana sakta hoon Agar koi aisi website hai jo online trademark banane deti hai to please mujhe batao Aur Mujhe please aap ye bhi batao ki main ye kaha search karke pata kar sakta hoon ki kisi aur ne to us naam se trademark nahi banaya hai
Yuva Thakur
Brother Mujhe Ek Developer Non Hosted AdSense Account Rs 2200 Mein Sell Kar Raha Hai Unhone Mujhse Kaha Ki Agar Main Ye AdSense Account Kharid Leta Hoon To Mujhe AdSense Approved Karane Ki Jarurat Nahi Padegi Main Ek AdSense Account Se Kayi Blogs Chala Sakta Hu Mujhe Usme Add Codes Milenge Bas Mujhe Use Blog Me Lagana Hoga Fir Main AdSense Accounts Sellers Likh Kar Google Par Search Kiya To Mujhe Aise Bahaut Saare Log Mil Gaye Jo AdSense Account Sell Karte Hain To Kya Brother Ye Sahi Hai Ki Hum AdSense Account Kharid Kar Apne Blog Se AdSense Ko Connect Kar Sakte Hain Agar Haan To Mujhe Please Batao Bhai
Jumedeen Khan
Adsense ye allow nahi karta or aap jab kisi adsense ke ads apni site me lagaoge to google aapki site ka review karega uske bad ad show honge. So behtar hoga aap khud ka hi adsense account banao.
pooran singh
Jume bhai mane you tuve per vidio dekhi Un vidio pe vidio ka tittle likha aata lekin jab open kare to title nahi aata to vidio pe vidio tittle kaise lagaye
Jumedeen Khan
Wo thumbnail hai aap bhi apni video me thumbnail use karo.
Yuva Thakur
Brother aapne apni ek post mein Revenuehits ke baare mein bata rakha hai lekin main chahta hoon ki aap Revenuehits ki ek badi si post likhe jaise aapne Bidvertiser aur chitika ki likh rakhi hai meri tarah yahaan bahaut se log hain jo Revenuehits add network ko acchi tarah se samajhna chahte hain aur wo bhi aapke blog par to please Revenuehits ke baare mein ek badi si post likhiye
Jumedeen Khan
Ok bro jarur likhunga.
अवनीश सिंह
अच्छा ये बताइये की अगर हम अच्छा सा वीडियो एडिट कर के उसमे पहले का 5 सेकेंड आर लास्ट का एक सेकेंड छोड़ कर एडिट कर ले आर गाने को भी तो फिर भी यूट्यूब में कॉपीराइट हो जाएगा हो जाएगा तो क्यो हो जाएगा हम सब कुछ चेज कर ले या किसी मोवी का गाना का वीडियो जो कट के ले फिर हो जाएगा क्या कॉपीराइट बताइये आप
Jumedeen Khan
Mujhe lagta hai aapko ek abr youtube policy read kar leni chahiye.
Rahul
aap se ham bat karna chahta hu keshe bahat karu hame email karye
Jumedeen Khan
Contact me on admin@supportmeindia.com
Yuva Thakur
Brother kya Main apne blog par Hindi Aur English dono languages me likh sakta hoon kya aisa karna sahi hai
Jumedeen Khan
Yes likh sakte ho.
Yuva Thakur
Brother hindi aur English dono languages me likhne par kahi mujhe AdSense se to koi problem nahi hogi
Jumedeen Khan
Nahi hogi.
suraj kumar
khan G apka post to hamesha achha hi rahta hai
please ye bhi bta do ki youtube video edit ke liye kon sa softwere use kare or apne youtube par views kaise badhay waiting for your reply
and thanxx
Jumedeen Khan
Camtasia and views ke liye humari youtube wali post padho.
Vikas Bishnoi
sir adsense ke liye kitne visitor chahiye sir
Jumedeen Khan
Kam se kam 500 traffic to hona chahiye.