Blogger ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki AdSense se hi humari income hoti hai. AdSense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye AdSense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par AdSense sabse jyada paise deti hai. AdSense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe.
Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?
sabse pahli or most baat aapko AdSense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap AdSense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka AdSense account block bhi ho sakta hai
Yaad rahe aap sirf ek hi AdSense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada AdSense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2. A. Website ya Blog B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.
A. Website ya Blog kaise banaye?
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko AdSense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.
Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se AdSense account banane ki koshish karoge to aapka AdSense account nahi banega.
So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare. blog ki traffic badhane ke liye Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi post padiye.
Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide
AdSense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe AdSense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.
sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.
2. Ab ek new windows khulegi .
1. agar pahle se log in account se AdSense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
2. agar aap kisi dusre ya new gmail account se AdSense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
1. yaha par aap apni website ka url type kare.
(agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
1. aYouTube ke dwara AdSense account banaye
2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
agar aap YouTube ke jariye AdSense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
YouTube ke throw AdSense account banane ke liye yaha click kare
or agar aap apni website banana chahate ho to yaha par click kare.
free website kaise banate hai online paise kamane ke liye)
2. fir Continue par click kar.
Continue par click karte hi aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
1. yaha par aap apni country select kare.
2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
6. apne city ka sahi naam bhare.
7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
8. apne pin code enter kare.
(pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
10. apne mobile number enter kare.
(*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
11. aap kis liye AdSense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye AdSense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kare.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike
ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas AdSense account approved hona baki hai . jab aapka AdSense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.
I hope aap is post ko follow karke aasani se AdSense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.
Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.
rohaan
Company name ki jagah indivisual name de sakte hai ya nhi puri detail me bataiye??
Jumedeen Khan
indivisual ka matlab hota hai ek aadmi ke liye yani aap apne liye AdSense account bana rahe ho to indivisual hi select karo.
Abhay soni
Sir mrre kahane ka matalab ki jaise aapk blog hai to jab ham search karate hai hindi me help to aap ka blog mil jata hai usi tarah mai kya search karoo kya koi blog par option hai dekhane ka
Jumedeen Khan
Apne blog ke name ko search karo blog search me aa jayega.
Abhay soni
Sir mai apane blog ki website nahi pata kar pa raha hoo ye batiye ki kya blog me koi option hai check karne ka jisase janane ke bad mai google par search kar paau
Jumedeen Khan
Abhay blog par koi website nahi hoti. Aap humari blogger se related post ache se padho
rushikesh sonawane
sir aapne kaha tha ki ,aap 18 sal se pahale aapke father ya brother ka úaccount use kar sakte ho
to kya sir unka bhi koi blog hona chahiye, ya phir sirf gmail account?
2) payee name kiska honga?
3) kya me baad me badlav kar sakta hun?
last question sir AdSense ke liye 18 sal age lagati waise chittika ko bhi lagati hai?
sir yeisa niyam kyon hai india me to 18 sal se pahale bank aacount banta bai?
Jumedeen Khan
nahi blog aap apni id se bana sakte ho.
jiske name par AdSense account banana hai or jiske name se bank account hai.
badal sakte ho but har location par available nahi hai. means nahi bhi badal sakte.
Aapse pahle kaha tha ki aapke pas gmail id hai to khud ka hi AdSense account bana sakte ho.
Abhay soni
Sir maine kal hi blog banaya hai but ye bataiye ki usame unique visitors -21474836.48 page views 21474836.48 views visitor 0 kaise kya hai
Jumedeen Khan
Blog me aytsi koi report show nhi hoti hai. Aap sahi se report check karo.
Dhiraj Roy
Maine apna FD footer page hata diya ab check kar ke bataiye
Jumedeen Khan
Aapne sabkuch hi hata diya. Footer me kuch widget to ue karo.
Dhiraj Roy
Brother aap muje mere website hindimetrips.blogspot.com par jakar aap mujhe ye bataye ki mera banaya gya Page
about Me,
Privecy policy,
Contact Me,
sahi banaya huaa hai ya nhi ya kuch chuta huaa hai plz….help me
Jumedeen Khan
Dhiraj aap pahle apne blog par se popup facebook like page ko hatao uski wajah se aapke blog par kuch par bhi click nahi kar pa raha hu.
sumit sahgal
Sir humko batayege ki approval diya hai ki nahi iska pata kaise chalta hai.
Jumedeen Khan
Adsense iska aapko message send karta hai. Usme likha hora hai ki approved hua hai ya nahi
sam dcruz
mera sine up now khul he ni raha hai kya karu mai
Jumedeen Khan
Aap site ka sahi link add karo.
Manish Rawal
Main kishi company ke liye blog Wapsite nhi Banaye hai niji hai Esh Liye me 4. Opsen pr kya liku
Jumedeen Khan
Aap business option ki jagah Individual select karo.
Hidaytullah
kya ham facbook se adsen ko jod sakte hain pleas help me sir
Jumedeen Khan
Nahi facebook ko AdSense se nahi jod sakte.
Rupam
Please mera jawab jarur dena maine apne adsen account aprove bhi ho gya hai ads bhi lgaya hai . Lekin abhi tak home verification code nhi aaya hai.
Jumedeen Khan
Adsense par check karo ki AdSense ne aapko addpress verify ka code kab bheja tha. Uske 25-30 day bad pin aa jayega.
Abhay soni
Sir Aapane 5 website batai thi email read karane se paise earning karana but jab maine aap se poochha tha ki 5 website se jo paisa earn hoga qo sim me aayega ya phir payapl account chahiye to aapane bataya tha ki 5 website ke liye paypal account chahiye but sir maine paisa live.com par account banaya hai but uame 2 types ke email hai free recharge email cash email matlab ye ki agr mai cash email read karata hoo to mere account me balance aata hai but free mobile email read karata hoo to free wale account me balance nahi milta sir please check karake bataiye more ak bat jo mera balanc hai uasake liye paypal ki jaroorat to nahi hogi ye mujhe lagata hai sir kyuki yah company cash rs degi please check kar karake bataiye paypal chahiye ki nahi please sir please check kar lijiye
Jumedeen Khan
Abhay mai in sites par work nahi karta. Isliye mai inke bare me jyada nahi bta sakta. Maine in 5 sites ki post me last me kiha hua hai ki jyada jankari ke liye site ki policy padhe. Aap bhi padh sakte ho.
serajali
mai AdSense me emalid banaya hai par website apni dalta hoon to invalid batata hai apneWhatsApp no se
Jumedeen Khan
Adsense only xyz.com domain support karta hai. yxz.blogspot.com nahi.
Abhay soni
Sir maine kisi post me read kiya tha ki facebook se paise earning kar sakate hai like milane par kya se post wrong thi please poori detail me bataiye
Jumedeen Khan
Abhay mai ek bar bta chuka hu ki hum facebook page se paise nahi kama sakte.
Abhay soni
Sir facebook se paisa kamane ke kuchh steps mujhe pata hai but poore steps nahi pata hai matalab create page karane ke bad sab kuchh kar leta hoo but ye samajh nahi aaya ki like kaun se chij pe ho to bech sakte hai kisi image par kis kar koi bhi please sab detail me bataye
Jumedeen Khan
Facebook se hum paise nahi kama sakte. sirf apne friends and other peoples se jud kar apne business ka promotion kar sakte hai. Isi liye facebook se paise kamane ke chekar me apna time west mat karo.
shameem khan jeelani
blog kaise aur kaha se banaya jata hai juma deen khan bhai
Jumedeen Khan
Ye post padho Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
Abhay soni
Sir yah bat samajh nahi aayi bank account ka bas name dalana hai more kuchh nahi matlab bank ka more sir usi me profit hoga wo usi bank account me aayega aap ne bahut achha bataya hai ki age 18 se pahale bhi website use kar sakae hai AdSense ke sath pen card ki koi jaroorat hi nahi
Rushikesh sonawane
sir mene aapse ye pahale sawal pucha tha ki 18 al se pahale AdSense account bana sakte hai. aur aapne nahi kaha tha .
par mene English language me post padhi, to usame kuch likha ki agar aap undr 18 hai to aap apje parrent ka adensense accountbana sakate ho. aur phir un ad ki link apne blog me ya vidio me laga sakate sir wo muze acche se samaj nahi aa raha . sir pleas aap English wali konai bhi post padhakar muze samja dijiye na pleas$$
Jumedeen Khan
@Rushikesh,
Agar aapki age 18 year nahi hai to aap apne fatherya bro jiski age 18 sal hai ke name se AdSense account bana sakte hai or uske ads apni site par laga sakte ho. aap first domain kharido or apne blog par traffic badhao. jab aapke blog par per day 500+ pageviews hone lage to AdSense banana.
sufyan
sir mera account create nhi ho ra waebsite dalne par direct karne bol ra main kya karron plz mere hlp kare
Jumedeen Khan
Aap apni website ka sahi link add karo or step ache se follow karo.
Rushikesh sonawane
to sir usake liye kuch alag process nahi hai kya? for example payee name parrents ka dede.
Jumedeen Khan
Nahi