Blogger ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki AdSense se hi humari income hoti hai. AdSense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye AdSense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par AdSense sabse jyada paise deti hai. AdSense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe.
Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?
sabse pahli or most baat aapko AdSense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap AdSense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka AdSense account block bhi ho sakta hai
Yaad rahe aap sirf ek hi AdSense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada AdSense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2. A. Website ya Blog B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.
A. Website ya Blog kaise banaye?
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko AdSense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.
Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se AdSense account banane ki koshish karoge to aapka AdSense account nahi banega.
So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare. blog ki traffic badhane ke liye Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi post padiye.
Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide
AdSense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe AdSense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.
sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.
2. Ab ek new windows khulegi .
1. agar pahle se log in account se AdSense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
2. agar aap kisi dusre ya new gmail account se AdSense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
1. yaha par aap apni website ka url type kare.
(agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
1. aYouTube ke dwara AdSense account banaye
2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
agar aap YouTube ke jariye AdSense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
YouTube ke throw AdSense account banane ke liye yaha click kare
or agar aap apni website banana chahate ho to yaha par click kare.
free website kaise banate hai online paise kamane ke liye)
2. fir Continue par click kar.
Continue par click karte hi aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
1. yaha par aap apni country select kare.
2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
6. apne city ka sahi naam bhare.
7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
8. apne pin code enter kare.
(pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
10. apne mobile number enter kare.
(*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
11. aap kis liye AdSense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye AdSense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kare.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike
ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas AdSense account approved hona baki hai . jab aapka AdSense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.
I hope aap is post ko follow karke aasani se AdSense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.
Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.
.Mđ Mohsıın
BHAI MERA CREATE Hi Naa Ho Raha kia Karoon Adsense Account Mera blog Bane Huye 1 week Ho gya
Jumedeen Khan
bhi aap kuch din or blogging karo or blog ko or better banao. uske bad AdSense account banana.
vishal mahto
sir mene sare step pure kar diye ab mujhe adsense.com khol raha hu tu mujhe $0.00 show kar raha hai ab me use kese barahu
Jumedeen Khan
Ab aap my ads par click karke ads banao or apni site par lagao. ye post padho Adsense Par Ads Kaise Banate Hai in Hindi
vivek
bhai AdSense appov hone ke bad uska Email …or detail change ho sakta hai kya
Jumedeen Khan
Ha ho sakta hai ye post padho Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare
vivek
agr mai apne blog par Alexa nhi add karu to esse koi problem Bhi hoga kaya Bhai..
Jumedeen Khan
nahi koi problem nahi hai.
vivek
ok thanks bro..
mai khud ka bna hua video koi Bhi video ko upload kar sakta hu na
Jumedeen Khan
Ha khud ke banaye video hi upload karne hai.
vivek
kya ham YouTube par koi movie ka comady ye sab ko cut kar matlv movide ka koi bhi bhag ko short kar use upload kar sakte hai kaya ye copyright nhi na hoga kaya Bhai.
Jumedeen Khan
Nahi nahi kar sakte. aapki video copyright ho sakti hai.
vivek
kaya jaruri hai sabhi video par 3000 view ho usse kaam me nhi hoga kaya
Jumedeen Khan
Ho bhi sakta hai. Iski koi fix garantee nahi hai. But isse pahle risk lena hoga.
vivek
kam se kam 1 video par kitna view hona Chahiye ,jisse AdSense account aprrov ho jaye bhai.plz batao
Jumedeen Khan
aapke channel ki sabhi videos par 3000+ veiws hone chahiye.
vivek
aapne apne blog par AdSense ka ads YouTube se lagaye ya blog se direct laga bhai …
Jumedeen Khan
Maine AdSense account YouTube ke thorw hi banaya hai.
nitin
sir maine 1 month phle blogger bnaya tha ab maine godaddy se domain luya hai. or aapne kha ki domain name lene ke bad aap sidha AdSense par sign up kar skte hai. mai adsense.com par geya or sign up par click kiya or phir AdSense ke 1st step me gmail se login hua or apni website or language select krne ke bad jab continue par click kiya to next page nhi aaya. maine bohot se browser me try kiya.or sir maine YouTube ko bhi jab monatize krke AdSense bnata hu to phir bhi next page nhi aata .sir help me plz.aapne kha tha ki steps thik tarike se follow kro. maine sir aapka har ek step follow kiya.
Jumedeen Khan
Nitin domain lene ke bad usse ek blog banao. aap sabse pahle blogger.com par blog banao usme domain add karo. uske bad blog par post likho fir AdSense account banana ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips
nitin
sir mai aapse yhi to kh rha hu ki maine 1 month phle blogger bnaya tha ab website buy kr use blogger se jod diya par jab AdSense account bnata hu to website ir language ke bad kuch nhi aata . yhi dikat YouTube ko AdSense se jodte time bi aati hai. sir mujhe koi solutions do plz.
Jumedeen Khan
Nitin aapka simple sa solution hai. Aap sabhi step sahi se follow karo.
arvind chauhan
sir maine godady se domain aur website builder plan liya hai mughe AdSense ka rool pata hai per mai website aapki tarah banana chahta hu help me sir ji…
Jumedeen Khan
Aa hindi.supportmeindia.com par iske bare me post padho.
arvind chauhan
sir mughe aap jaisi website banani hai
Jumedeen Khan
Meri jaisi website bhi bana lena. Sabkuch ek hi din me nahi kar sakte. Pahle aap blogger par free blog banao.
Abhay soni
Sir maine ak blog banaya hai more usame ak post bhi kiya hai but mera blog google me search karne me nahi mil raha hai kya time lagega abhi 6 hours ho gaye hai blog search name interestedknowledgecom
Jumedeen Khan
Abhay aapko blog banaye ek din bhi nahi hua hai ki aap use google me search karna chahate ho. Bro pahle thode din mehanat to karo uske bad google me bhi blog search ohne lagega.
Rishikesh mishra
Q1 sir mera AdSense disapprove hoga hai but mujhe 0.05 $ mila iska kya matlab hai AdSense account kaise edit kare
Q2 mera do blog hai maine ek hi AdSense account par do apply ki hua hai kaise pata chalega ki kaun sa disapprove hua ha
Q3 maine AdSense account apply karne ke baad blog adress change kar diya hai
Q4 kya ek din me blog par one day 500+ pageviwe hone par approve hoga mera blog me 42 post hai
Helpanyhindi.blogspot.com
Aap kaun sa template lagaye hai
Jumedeen Khan
1. Agar aapka AdSense account disapproved ho jata hai to aap AdSense par log in nahi kar sakte. Or fir aapne kaha check kiya ki aapko 0.05 dollar mila hai.
2. aap do AdSense account nahi bana sakte. ek hi AdSense account se 4-5 sites par ads laga sakte ho. Agar aap ek se jyada account banaoge to google aapko humesha ke liye ban kar dega.
3. blog addrss change karne ke bad blog ka new link AdSense site manage ment par add karna hota hai.
4. ha daily 500 pageviews traffic hoga to AdSense jaldi approved ho jayega. mera blog WordPress par hai. or mai ribbon theme use karta hu.
Rachit Sharma
blogger ko hum AdSense account se connect kerna chata ho to website ke apption pe blogger ka link likh sakta ho
Rahul
Unfortunately, our records indicate that you’re not eligible to participate in AdSense at this time. Please be sure to review our Ye error hain AdSense account main submit karte vakat aaya hain…
Iski kya vajah Hain…………….
Jumedeen Khan
Iska matlab hai ki aap abhi AdSense ke liye taiyar nahi ho. Apne blog par kuch or content share karo or traffic badhao.
Nitish
Hi
Mera website par google AdSense ka ads blogger par load nahi lehe raha hi lekha raha hi dismiss
Kya kroo
Jumedeen Khan
blog ki template change karo or sahi size ke ads use karo. 1 page me 3 se jyada ad mat lagao.
bodar arajun
hello sir mene AdSense pr sing up kiya aur sari detail dali aur usne muje खाता id aur क्लाइंट id di he to plzz btav ab me kya kru
Jumedeen Khan
Aapne AdSense par sign up karte time jis site ka link diya tha us site par ads create karke add karo.
Ranjeet
Sir Pamee name mai kya likhna hai…. sir plss help
Jumedeen Khan
Apna bank account name jo name se aapka bank account hai.
raja
sir mera AdSense sign khol gaya hai blog main par show ads setup main agay nhi ja raha hai plz help
Jumedeen Khan
aap blog me custom domain use karo. ye post padho blog me domain kaise use kare
Abhay soni
Sir agar hame cooding aati ho tabhi ham keval is tarah ki website chala sakate hai jaise 9apps, 9game in game more apps ke liye famous hai to kya ham kisi bhi website se game download karake Aapani website par upload kar sakate hai more wo copy to nahi manega google bataiye
Jumedeen Khan
Ha ye sab aap coding se hi kar sakte ho. Aapko us apps team se permission leni padti hai.
rushikesh sonawane
sir meri appse request hai ki asp 18 sal se pahale apnne parrent ka nam use karke kaise AdSense account banaye. par post likhe mere jaise hazaro yuvawo ko jinki umar kam hai . ubko jarrorat hai.
me intjjar karunga sir.
Jumedeen Khan
Ok iske bare me bhi post karunga.
rushikesh sonawane
sir mene aapko 18 sal se pahale AdSense account kaise banaye post likhane ko kaha tha aur me roj aapke site par cheak kar raha hun par sir aapne abhitak post likhi hi nahi. sir pleas jaldi kariyena.
Jumedeen Khan
Rushikesh is par post likhne ki jarurat nahi hai aapke pas gmail id hai or blog hai to aap direct adsense.com par form bharo AdSense ban jayega.
rushikesh sonawane
Sir philhal mere blog par itani traffic nahi isiliye me YouTube se account banane ja raha hun to wo ye kah raha ki “unfortunatly our records indicate tha you are not able now”
Jumedeen Khan
Aap YouTube par kuch video upload karo or un par jab 2000-3000 views ho jaye tab AdSense account banao.
Gurvindra singh
hello ser meri ek website hai (www.newsinhinditoday.com) es site ko 3 moth ho chuke h or m es par daly work krata hu lekin india ki alexa abhi tak nhi aayi h ek bar aa chuki thi fir gyab ho gyi (plese help me)
Jumedeen Khan
Blog me alexa widget add karo or apni site ko alexa me submit karo. Ye post padho.
1.Website Blog Ko Alexa Me Submit & Verify Kaise Kare – Hindi Guide
2. Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare