Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari

Blogger ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki AdSense se hi humari income hoti hai. AdSense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye AdSense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par AdSense sabse jyada paise deti hai. AdSense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe.

AdSense account kaise banaye

Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?

sabse pahli or most baat aapko AdSense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap AdSense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka AdSense account block bhi ho sakta hai
Yaad rahe aap sirf ek hi AdSense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada AdSense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2.   A. Website ya Blog         B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.

A. Website ya Blog kaise banaye?
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko AdSense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.

Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se AdSense account banane ki koshish karoge to aapka AdSense account nahi banega.

So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare. blog ki traffic badhane ke liye Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi post padiye.

Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide

AdSense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe AdSense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.

sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.

  1. AdSense account2.  Ab ek new windows khulegi .
    create AdSense account
    1. agar pahle se log in account se AdSense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
    2. agar aap kisi dusre  ya new gmail account se AdSense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
    add your site url
    1. yaha par aap apni website ka url type kare.
    (agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
    1. aYouTube ke dwara AdSense account banaye
    2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
    agar aap YouTube ke jariye AdSense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
    YouTube ke throw AdSense account banane ke liye yaha click kare
    or agar aap apni website banana chahate ho to yaha par click kare.
    free website kaise banate hai online paise kamane ke liye)
    2. fir Continue par click kar.
    Continue par click karte hi aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
    AdSense sign up forum
    1. yaha par aap apni country select kare.
    2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
    3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
    4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
    5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
    6. apne city ka sahi naam bhare.
    7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
    8. apne pin code enter kare.
    (pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
    9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
    10. apne mobile number enter kare.
    (*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
    11. aap kis liye AdSense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye AdSense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
    12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
    13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kare.

ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas AdSense account approved hona baki hai . jab aapka AdSense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.

I hope aap is post ko follow karke aasani se AdSense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.

Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.

Reader Interactions

Comments (585)

  1. Sir mai YouTube se AdSense jorna chahta hu lekin YouTube ka url error likh rha plz kya kre.

    • Kya error aa raha hai.

      • Sir approve ho gya fir bank details kaise bare matlb payment options kaise bhre

        • Abhi aapke account me $10 earning hone do uske bad apna address bharna.

  2. website link and sir main aapko fb par screenshot bhi send kar raha hu aap woh bhi dekh laye

    • Ok mai check karke aapko reply kar dunga.

  3. Mera blog Tohindi.blogspot.com hai .
    Mera ek swal hai.kya domain name kharide bina AdSense nhi jora ja skta hai kya?

    • Bina domain ke bhi AdSense approved ho jayega. Aap blog me check karo earning ka option enable hai ya nahi. Us par click karke AdSense account bana lo.

      • Mere blog per earnings ka option hai per
        JAB mai aapna blog ka url AdSense me data hu to error likhta hai .mera blog Tohindi.blogspot.com hai. Plz btaye help me.

        • Aapko AdSense me blog ka url dalne ki jarurat nahi hai. Aap blog me diye earining par click karke AdSense account banao. Us par click karte hi aapke blog ka link apne aap add ho jayega.

          • Sir lekin kya mobile se AdSense jora ja skta hai.

          • Ha aap mobile se bhi ye process kar sate ho.

  4. sir maine AdSense YouTube se approved karwa aur approve hone ke baad maine AdSense setting me ja kar apni blogger website add kiye huye 4 days ho gaye hai aur maine jo blogger me earning AdSense ki option hoti hai usme ja kar apne AdSense account se login kiya toh AdSense enable ho gaya blogger me matlab site par blank ads show hone lagg gayi jabki mere AdSense account me abhi bhi hosted account likha show ho raha hai aap bataye mera AdSense approve ho gaya hai ja nahi mujhe AdSense ki tarf se koi mail bhi nahi aaya hai aur isme AdSense disapprove hone ka chance toh nahi hai koi aur jo site par blank ads show ho rahi hai usko remove kardu ja fir lage rehne du

    • Aapne website box me jo blog ka link add kiya hai wo galat hai apne blog ka sahi link btao.

  5. AGR blog ki language Hindi h or usme thode sentences english k h to kya adsene approval hoga

    • Ha ho jayega.

  6. Paypal bank account verify karne ke liye hamare bank me kuch paise bhejta hai wah kitne dino bad bank account mein aate hai

    • 2-3 day me verify balance account me aa jata hai.

  7. Mere pass rupe ka dabit card hai vah paypal mein ad nahi ho rha hai toh main kya karu kya mai dusri compeny ka dabit le sakta huntt

    • Aapke pas classic debit card hai aapko bank se global debit card lena hoga. Iske liye aap apni branch me contact karo.

  8. Agar koi meri site ko open karta hai (ads par click nahi karta hai) toh hame kitne views par kitne rupe milenge

    • Tab aapko kuch nahi milega. Earning sirf ad par click hone par hoti hai.

  9. Mene apne paypal account mein pan card or bank account ad kar diya hai mere pass dabit card nahi hai toh kya iske bina bhi kam chalega ya iske bina ham paise apne bank account mein nahi le sakte hai please tell

    • Nahi aapko paymewnt lene dene ke liye paypal me debit card ya credit card add karna hoga.

  10. (Amarujjala.com, jagran.com, bhaskar.com, tv channel ) jaise site par khabre samachar kaha se aate hai unhe kaise pata chalta hai desh mein ye ho rha hai main bhi aisi site bna kar us par ads laga kar rupess kmana chahta hu lekin khabre kaha se lau

    • Bro inke big business hote hai ye har location par apna department rakhte hai or unke member news bana kar inhe dete hai. Agar aap aysi company banane chahate ho to aapko lakho ki jarurat padegi.

  11. YouTube par ik video hai “Qriket” ka app download karo $1000 par month kamao kya ye sach hai or kya main bhi isse $1000 par month kma sakta hu please tell

    • Aap soch sakte ho $1000 yani lagbhag 66,000 rupees ek apps ko download karne se nahi kama sakte. Itne paise kamane ke liye aapko bahut mehanat karni hogi.

  12. Hello sir mai AdSense me second step me jab website ka Url type karke language chunkar continue par click karta hu to kuchh nahi hota hi 2 ghante se continue hi ho raha hi usse aagla step jata he nahi hi kiya kare

    • 1. Aap website ka sahi link add karo. example.com
      2. Internet connection fast use karo. Ho sakta hai aapko ye problem network ki wajah se aa rahi ho.

  13. Mere laptop mein windous7 hai us par movie maker install nahi ho rha hai jab install karta hun to 2 hours ke bad try again network eror likha aata hai kya itna samy lagta hai install hone mein bahut dino se try kar rha hu install nahi ho rha hai please help me

    • Aap fast 3g connection use karo. 2 se kei software install nahi ho pate hai.

  14. Sir.. .mere blog account me jo layout option ki Tarah earning option tha or jab earning option Ko click karta to absence Ka we option aTa Jisse Mai Ad kaha dikhana chahte hai iska setting kar Sakta aj we earning option Nahi Raha Hai Iski wojoh k ya Ho sakti Hai And fi r se wo option ko Kaise set kar sake?or dusra quition hai ki Daily n me kitani add lagani hai daily lagani padegi ya koi limit?

    • Aap ache se check karo wo option show ho rah hai.

  15. Main jab apne google AdSense account par login kar raha hgun tab yah likha aa raha hai.. kripya iska matlab kya hai. samjhaye.

    Account Not Active
    An AdSense account does not exist for this login, as it is associated with an unapproved application. For more information about your application, please review the message we sent to the email address you provided with your application.

    aapke reply ka intejar rahega.

    • Isme likha hai ki aapka AdSense account jo ki aap abhi log in kar rahe ho unapproved hai. Iska aapko mail bheja gaya hai. Aap apna gmail inbox check karo.

      • Sir muje kya krna hoga online pese kamane ke liye

        • Aap blog banao or usme post likho ya YouTube par video upload karo.

  16. Sir me YouTube ke madad se AdSense par account kaise banau muje is cheez ke koi jankari nahi pllllllz sir muje is bare me detai me batao

  17. sir mere blog ka address aachhibaate.com hai
    but mai jabtak www nhi lagata ye open nhi hota
    kuch trick bataye jisse ye www k bina open ho jaye

      • sir maine aapa wo post pada , lekin usme ye error aa raha hai

        Blogs may not be hosted at naked domains (ex: yourdomain.com). Please add a top-level domain (www.yourdomain.com) or subdomain (blog.yourdomain.com).

        • Aapne godaddy site par jo DNS address me cname record add kiya tha. Wo check karo sahi kiya hai ya nahi. Uske bad bina www ke domain set karo ho jayega.

          • Ye bataiye ki agar blog me kam se kam kitane views aane chahiye daily jisame AdSense hame payment kar de more agar jaise mai apane dost ya kisi se bhi bar bar apni site par aane ko kahoo more aaye to kya tab bhi AdSense hame payment karega bataiye

          • Adsense traffic e nahi jab aapke account me $100 ho jayenge tab payment karta hai.

  18. mere 2-3 problem he
    1—– mene 24-5-2016 ko sam ke 4 bje godaddy se domain kharida he aur apke btaye huye tips ko mene folow krke apne blogspot pe domain name bhi ad krdiya he . lekin me bowser me arbodar.in search krtahu to nhi khul rha.

    2—- jab mene blog bnaya aur 1month ke bad AdSense me “bodararajun@gmail.com” se sing in kiya aur wepsit me mene “bodararajun.blogspot.com” dala tha
    aur AdSense ne muje 2 id di (1 khata id )(2 klaint id)
    ab me dasbord me ja kr erning me click krta hu to
    2 trike ki id dikhay deti he (1 khata id )(2 klaint id)
    ab me AdSense me dusri bar apply krne jata hu to
    wepsite me “bodararajun.blogspot.com” likh kr aa jata he nice continue likha hota he
    to muje “bodararajun.blogspot.com” ki jagah pr apna domain arbodar.in dalnahe pr usme me apna domain nhi dal pa rha hu .

    aur mere blog me aap visit krke dekyega ki me aedsense ke layak hu ya nhi

    plzzzzz help me

    • 1. aapka blog proper open ho rah hai. Aap firefox browser me open karo.
      2. aapko fir se AdSense account banane ki jarurat nahi hai. Is post ki help se aap AdSense me apna new domain add kar sakte ho. AdSense me apna new domain kaise add kare.

      • Sir mujhe blog banaye huye 17 days ho gaye hai more mere blog ka public display name interestedknowledgecom hai mai change kane ke liye ak jagah blog me name change kiya to mere blog ke upar jaha par interestedknowledgecom aana chahiye waha par information.com aata hai more jab mai post karta hoo to bhi information.com par click karke hi post karata hoo lekin abhi bhi public display name interesredknowledgecom hi hai more google par jab yahi link search karo tabhi era blog milta hai mai public display name change karana chahata hoo ho jayega ki nahi aage chalkar koi broblem to nahi hogi

        • Aap apne new domain ko google search console me add karo. n ew domain ko index hone me time lagta hai. Kuch day bad search me aane lag jayega.

  19. Sir muze blog banaye huye 2 month se jyada ho chuke hai Aur mene usame custom domain bhi set kar diya hai. But problem ye hai ki jab me AdSense ke liye apply karane ki koshish karata hu toh vaha second step me language select karane ke baad save and continue par click karata hu toh aage kuch aata hi nahi hai. Sab dhundala sa ho jata hai. mene bahoot se browser me try kar liya. Yaha tak ki laptop Aur PC me bhi sivay 3G net se… Mene cafe me bhi try kiya but yahi problem hai. Bahoot der wait karane ke baad bhi kuch nahi aata bhai.. Isiliye mene apane papa ke gmail account par blog Banaya Aur unhe apane blog me invite kiya Aur author se admin bana diya.. Aur unke account se apply karata hu toh this URL cannot use for sinup for adsense… Aisa error dikhata hai bhai… Aapaki bahoot si posts ekdam dhyan se follow ki.. Fir bhi yahi result aata hai.. Pls kuch toh help karenge aap aisi aasha hai… Ab mera blogging careear aaapke haath me hai bhai.. Pls help kar dijiye… Pls

    • this URL cannot use for sinup for AdSense ka matlab hai ki aa pis url se AdSense account nahi bana sakte. iske ye reason ho sakte hai.
      1. kisi or ne is url se AdSense bana liya ho.
      2. aapki site par copied contet ho.
      3. aapke blog par traffic na ho.
      4. aapne abhi abhi domain liya ho.
      5. aapne site ko ache se customize nahi kiya ho.
      Ab aap soch lo ki aapki site me kya kami hai.

      • Par bhai me apane email se karata hu toh kuch bhi nahi dikhata hai… Bas vahi par sab ruk sa jata hai me kya karu…

        • Aap ek ki jagah 4-5 solution btaye hai. Isse jyada nahi bta sakta.

  20. Mobile phone se WEBSITE (blog) bana sakte hai computer nay hai kaise banaye please