Blogger ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki AdSense se hi humari income hoti hai. AdSense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye AdSense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par AdSense sabse jyada paise deti hai. AdSense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe.
Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?
sabse pahli or most baat aapko AdSense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap AdSense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka AdSense account block bhi ho sakta hai
Yaad rahe aap sirf ek hi AdSense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada AdSense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2. A. Website ya Blog B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.
A. Website ya Blog kaise banaye?
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko AdSense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.
Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se AdSense account banane ki koshish karoge to aapka AdSense account nahi banega.
So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare. blog ki traffic badhane ke liye Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi post padiye.
Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide
AdSense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe AdSense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.
sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.
2. Ab ek new windows khulegi .
1. agar pahle se log in account se AdSense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
2. agar aap kisi dusre ya new gmail account se AdSense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
1. yaha par aap apni website ka url type kare.
(agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
1. aYouTube ke dwara AdSense account banaye
2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
agar aap YouTube ke jariye AdSense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
YouTube ke throw AdSense account banane ke liye yaha click kare
or agar aap apni website banana chahate ho to yaha par click kare.
free website kaise banate hai online paise kamane ke liye)
2. fir Continue par click kar.
Continue par click karte hi aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
1. yaha par aap apni country select kare.
2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
6. apne city ka sahi naam bhare.
7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
8. apne pin code enter kare.
(pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
10. apne mobile number enter kare.
(*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
11. aap kis liye AdSense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye AdSense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kare.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike
ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas AdSense account approved hona baki hai . jab aapka AdSense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.
I hope aap is post ko follow karke aasani se AdSense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.
Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.
Md Asfak
Sir save continue ke aage badta hai nahi
Sir mobile se kar rahe hai sir hoga ki nahi hoga sir place help me mai aap ka wait kar raha hu
Jumedeen Khan
Astaf main aapko already bta chuka hu iske sirf do hin reason hai ek internet connection or dusra browser ka sahi se work nahi karna. Agar aap mobile me nahi kar par rahe ho to desktop par try karo. Main aapko solution bta chuka hu follow aapk ohi karna hai.
md shahid afridee
hello sir,kya aap mujhe bata sakte hai ki mai jitni baar bhi AdSense aaply karta hu to ek Message aata hai ° AdSense neoroply ° name Ka Aur Har baar ye Message aata hai mai jitni baar AdSense apply karta hu Har baar yahi Message aata hai Lekin AdSense approved nahi hota hai Aisa Kyu ho raha hai kya aap mujhe bata sakte hai plz.
Jumedeen Khan
Aap jab AdSense account banante ho to same old address or details dalte ho jo ki aapke old AdSense account se match hoti hai .Aap difference details se AdSense account banao.
Prajaapti Bharat
hello Sir Mera name bharat hai maine ek blog banaya hain usem mere ko earning karni h lekin main AdSense account banata hu to isem age ka koi option aa rhaa hai sigh up nahi ho rha h AdSense
Jumedeen Khan
Aap browser ki cahes history delete karke try karo ya dusre browser me check karo.
Vikas tiwari
mere accoumt ko not activ dikha raha h maine last me form bharkar sumbit par klik karke baad me cancel kar diya tha ab npt activ dikha raha h active karne ke liye kya kare plzzzzz help meee
Jumedeen Khan
Aap fir se AdSense account create karo.
shorab
Hiii bro mena YouTube pr apni email I’d se sign up kiya uske bd mena video bna ke uplod ki Fir muje kya krna h bro plzz help me
Jumedeen Khan
Ab aapko apna AdSense account banana hai. Iske liye ye post follow karo Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
bhagirath rajput
Bhai maine YouTube se AdSense approved ho gaya hai .. but mere address pr koi letter nahi aaya hai .. or na mail aaya hai … toh ab mujhe kya karna chahiye…
Jumedeen Khan
Aapke address par later jab aayega jab aapki earning $10 ho jayegi.
uttam
Sir me apne blog pe AdSense lagana chata hu to kya mujhe AdSense account bana ne ke liye domin khrid na pdega ya free domin pe AdSense approve ho jayega
Sir please. reply
Jumedeen Khan
Agar aapke blog me earning ka option enable hai to nahi warna kharidna padega.
farhan
Sir ager AdSense approve hone ke baad ham galti se koi copyright post daal dete he to us se AdSense block ho sakta he..?
Jumedeen Khan
Ha copyrighting se AdSense block ho jata hai or sath hi aapki site search engine se remvoe ho jati hai.
nasir
jumedeen bhai‚ maine YouTube per AdSense account bana liya hai approved bhi ho chuka hai.ab me apni site se AdSense account join kaise karu pls help.
Jumedeen Khan
Aap apni site ka link AdSense me add karo. ye post padho Google Adsense Me Website URL Kaise Add Kare
sudesh kumar
sir kya hum 2 blog ke leye alag alag AdSense account bna sakte he
Jumedeen Khan
Nahi aap ek hi AdSense account se sabhi blog par ads laga sakte ho.
Kapil Mehata
thanks frend bahut acchi information bataye hai aapane. muze ek question puchana tha mera blogspot ka url hai usko bhi me AdSense account laga sakati hu kya. ki muze eske liye alag se domain kharidna padega.
Jumedeen Khan
Nahi AdSense me aap sirf example.com domain hi add kar sakti ho.
Khairun
Blog me domain add karne ki puri jankari ke liye yaha
click kare?????….lekin yahan to koi link nahi hai please aap mujhe link dijye taki main sikh sakun. Kya mujhe domin kharidna padega ? ya Free websit se kaam chal jayga. Please reply
Jumedeen Khan
Ye post padho domain name ki puri jankari
Khairun
Helo sir main ne YouTube se adsene banaya hai.aur vo aprove bhi ho gaya hai likin main ise apne new websait se jodna chahti hoon kya aap bata sakte hain k kaise karoon please help me
Jumedeen Khan
Aap yer post padho YouTube se bane dsense account se site par ads kaise dikhaye
Mahaveer Jain
Sir Adsense Ko approved Karwane Ke Liye Kya abhi bhi 6 Mahina Purana Old Blog Chahiye?
Jumedeen Khan
Nahi ab india bahut si location par blogger me AdSense earning option enable hai.
Zahid
Bhai ek hi adcence accounts se kitna YouTube channel se jod sakte hai ..batao plz?
Jumedeen Khan
Aap ek gmail id se jitne YouTube channel banoge un sabko jod sakte ho agar aap kisi or id wale channel ko jodna chaho to nahi jod sakte.
Ravi
Sir mujhe abi bhi ek sanka hai, aap mujhe btaye ki me AdSense ke bank information setting me account holder name (Ravi sharma) likhu ya (Ravi sharma s/o father’s name) plz tell me.
Or mere bank ka swift bic code nhi hai kya kru?
Jumedeen Khan
Ravi aapko already kah chuka hu aap AdSense me sirf ravi sharma likh sakte ho.
zahid
Jummedin bhai aapka phone no ya Whatsapp no mil sakta hai .? Mujhe bahat chote chote problm aati hai wo bar bar comment karke puchne se bahat leat hote hai to whatsapp par msg karke jaldi puch sakte hai .pls bhai mere iss no par 9732673960 whatsapp karna nahi to apka no comment karke bTana
Jumedeen Khan
Aap mujhe facebook par sawal puch sakte ho.
ayaz bhanger
Jume deen bhai kya ye pakistan main website chalegi
Reply me
Jumedeen Khan
Ha bilkul chalegi.
Pawan kumar
Sir maine blog se AdSense account ke liye apply kiya tha aur disapprove how gya about mai chahta hu ki YouTube se AdSense account bnau kya mai wohi Gmail address se account bna skta hu ya koi aur Gmail account se aapne YouTube se AdSense account bnau.
Jumedeen Khan
Aap usi gmail account ko use kar sakte ho but pahle pane blog ki wo kamiya sahi kar lo jo AdSense ne aapko disapproved hone ke reason me btayi thi.
Pawan kumar
Mera blog ka post Google search me nhi aarha hai.aapne post ko Google search me kaise laye.kya iske liye domain name kharidna hoga.
Jumedeen Khan
Pawan iske bare me maine kei post ki hai aap SEO se related post padho.
Ravi
Hello sir mene AdSense me ex. (Ravi sharma) naam dala hua hai or bank account me mere naam ke sath mere Father ka naam add hai ex. (Ravi sharma s/o father’s name) kya me payment receive kar sakta hu? Plz helpme!
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho aapka name sahi hai bas no problem.
deepika
Sir apna number de skate ho aap mujhe … Mujhe apse knowalge chahiye
Jumedeen Khan
Aap yahi par apna sawal puch sakti ho ya fir contact forum me mail kar sakti ho.
deepika
Sir maine apna AdSense ko admb se approve karwaya hai ab usme ads kaise lagaegi … Aur maine khud ka domain liya hua hai …
Jumedeen Khan
Aap AdSense par ads bana kar direct code add kar sakti ho.
deepika
Sir maine kiya hua hai par ads nahi lagi hau abhi tak kya karu mai aage isme samjh nahi aa raha
Jumedeen Khan
Aapne ads code add kiye huye hai to aapka AdSense account fully approved nahi hai. Adsense team aapki site ka review karegi uske bad ads show honge. Iska aapko mail mil jayega.