Blogger ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki AdSense se hi humari income hoti hai. AdSense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye AdSense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par AdSense sabse jyada paise deti hai. AdSense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe.
Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?
sabse pahli or most baat aapko AdSense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap AdSense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka AdSense account block bhi ho sakta hai
Yaad rahe aap sirf ek hi AdSense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada AdSense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2. A. Website ya Blog B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.
A. Website ya Blog kaise banaye?
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko AdSense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.
Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se AdSense account banane ki koshish karoge to aapka AdSense account nahi banega.
So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare. blog ki traffic badhane ke liye Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi post padiye.
Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide
AdSense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe AdSense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.
sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.
2. Ab ek new windows khulegi .
1. agar pahle se log in account se AdSense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
2. agar aap kisi dusre ya new gmail account se AdSense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
1. yaha par aap apni website ka url type kare.
(agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
1. aYouTube ke dwara AdSense account banaye
2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
agar aap YouTube ke jariye AdSense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
YouTube ke throw AdSense account banane ke liye yaha click kare
or agar aap apni website banana chahate ho to yaha par click kare.
free website kaise banate hai online paise kamane ke liye)
2. fir Continue par click kar.
Continue par click karte hi aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
1. yaha par aap apni country select kare.
2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
6. apne city ka sahi naam bhare.
7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
8. apne pin code enter kare.
(pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
10. apne mobile number enter kare.
(*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
11. aap kis liye AdSense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye AdSense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kare.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike
ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas AdSense account approved hona baki hai . jab aapka AdSense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.
I hope aap is post ko follow karke aasani se AdSense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.
Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.
pratap
hm AdSense a/c bnate time glt websait dal diye the or hmara AdSense a/c me 150$ hogya hai youteub se. kya hmara kamaya huaa paisa hmare bank a/c me aa jayega???plz btaiye
Jumedeen Khan
Yes aayega apa AdSense me bnak account details sahi se add karo. Adsense aapko 21 tarikh ke bad payment send kar dega.
Alok
Hi sir apse ek baat puchni thi maine khud ka domain liya hua hai aur AdSense aply kiya hua hai par abhi tak ads nahi lagi hai .. Mujhe ads lagane ke liye kya karna hoga
Jumedeen Khan
Site par ada aap tabih laga sakte ho jab apaka AdSense account approved hoga. tab tak sirf wait kar sakte ho.
aryan
सर मैंने गलती से एक mobile से दो AdSense account बना लिया किया करे सर , मेरा पहला AdSense में $120 था तो में पहले वाला account ko kaise बचाएँ help me sir
Jumedeen Khan
Koi bad nahi dusre wale AdSense account ko use mat karo sirf pahle wale ko hi use karo.
Tahseem
hello sir mera ek sawal hai aap se
Kya hm ek hi AdSense account ko
You tube of blogger or website pr uSe kr skte hain
Jumedeen Khan
Haa kar sakte ho.
Shahid Afridee
Sir ab jab bhi mai AdSense apply karta hu to mere address Ka jo page hota hai wo open nahi hota jo mai apna address change kar saku Iska kya solution hai kya aap mujhe bata sakte hai
Jumedeen Khan
Aap browser ki history delete karke try karo.
Deepak Kumar
sir Asssense Account bnane ke liye Hosting leni zroori hai kya
Jumedeen Khan
Nahi koi jarurat nahi hai.
Deepak Kumar
sir AdSense Apply kane ke baad mujhe Gmail par ye massage aaya
sir please iska kya mtlab hai aur ye kaise activate hoga help me sir
Jumedeen Khan
Jab AdSense team aapki site ka review kar rahi thi to aapki site work nahi kar rahi thi. apa first check kar le ki aapka lbog achhe se open ho raha hai or uska design sahi hai uske bad AdSense ke liye apply kare.
shadab qadri
sir ham blog banakar kitni din me pesa kama sakte h
Jumedeen Khan
5 to 10 din ke andar aap iasa kamana shuru kar sakte ho. sabse pahle aapko blog bana kar usme post likhni hai or fir traffic badhana hai finally apne blog ko AdSense se jodna hai or aapki kamayi shuru ho jayegi.
krishan sharma
Hello sir
maine abi 2 din phle AdSense account create kiya hai by YouTube se. muje ye msg mila hai by email
ye pending dikha raha hai muje aap ye bataye k mera AdSense account by YouTube se activate hoga ya AdSense se
Hello Krishan Lal sharma,
The AdSense account linked to your YouTube channel Krishan Lal sharma was successfully changed. All future payments will be processed through this new AdSense account. View details
Jumedeen Khan
Bro apane AdSense par address change kiya hai ye uska message hai. Pending ya approved hone ka nahi hai.
jaheer ansari
An AdSense account does not exist for this login, as your application is currently in review. Within a week of your application date, we’ll review your application and follow-up with you via email. Once you are approved to join AdSense, you’ll be able to log in to your account and get started.
sin up karne ke bad yes a raha hai yes karne par log in karne ko bol raha hai use krne par jo uper likha hai wahi likh raha hai
Jumedeen Khan
Abhi google aapki site ka review kar raha hai jab review complete ho jayega to aap adsense.com par sign in kar sakoge. isme kei din lag sakte hai.
Sandeep
Mujhe be online pasa ka mana h kay a karan a hoga
Jumedeen Khan
Ye post padho Internet Se Paise Kaise Kamaye, Online Paise Kamane Ke 20 Tarike
Akash kurmi
Halo sir. Mera ek sabal hai ki Google Adsense sa pase lane ke liye PayPal account jaruri hai. Kya PayPal account se hi pase le skta hai GoogleAdsense Account ke.
Jumedeen Khan
Nahi AdSense ki earning direct aapke bank account me aati hai.
Sara khan
Mera YouTube channel h or mere 10$ ho gaye h. Muje kisi ne bataya ki Google code bhejta h. Vo code kese aayega plzzz mene aap ki puri blog check kr li mil hi nh raha h
Jumedeen Khan
Check this post Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai
satyendra kumar
hello jumedeen bhai mera ek sawal tha ki…..maine YouTube channel se AdSense ke liye apply kiya tha aur mera account approve bhi ho gaya hai …..but AdSense ka signup form bharte time maine account type me”indivisual” kar diya tha .isse koi problem to nahi hogi ??please help???
Jumedeen Khan
Koi proble nahi hai.
satish
adsense approve hone se pahle blank ads bante h vo hame lagane chahiye h nhi please btao bhai
Jumedeen khan
Lagane chahiye warna AdSense active hi nahi hoga.
md shahid afridee
Sir Maine Phir Se AdSense ke liye apply kiya to mere Mobile Par ek mail aaya sir aap is message Ko dekhkar bataye ki Iska kya Matlab hai
Jumedeen khan
Aapka aacount blog par content or traffic ki kami ki wajah se approved nahi hua hai. First aap blog par traffic badhao or fir se apply karo.
Aman Morwal
Bhai bas ek cheej aur puchni hai mujhe aapko
1.bhai maine ek saal pahele YouTube se account approved hua tha lekin wo dusri email id se hua tha..aur meri blogger ka account dusri email id par hai..to bhai mai kaise us account ko apni blogger ki id par lagau bhai.aur wo jo id se approved hua tha wo YouTube se tha.
Jumedeen khan
ski jankari is post me hai. Google Adsense Ko Multiple Gmail Account Par Kaise Use Kare
Aman
bhai ye msg aaya hai….In order to complete your request to show ads on your own website, you need to implement the ad code ononlinehelpinhindi.in. Your upgrade request can only be reviewed once your ad code has impressions on that domain.kitna time lag sakta hai ads show hone mai…….or bhai aap check karke dekho na ki aapko ads dikh rahe hai kya meri website par
Jumedeen khan
Google ne iska fix time nahi btaya hai, But aapki site jitni unique hogi utni jaldi AdSense activate ho jayega. Aap sirf wait kar sakte ho.
Abrar
Bhai AdSense all city me saharanpur city nahi aa raha he kiya Kare please help me
Jumedeen khan
Aapko city nahi apna district select karna hai. Agar aapka district saharanpur hi hai to aap bina search kiya box me apne city ka nam likh sakte ho.
Deep kaksiya
Sir m apne blog me adsens3 links use karta hu to links post se related link nahi aati hai koi solution batao meri website check karke
Jumedeen khan
Deep AdSense user activity ke anusar ads show karta hai. But fir bhi aap content me keywords sahi se use karo. Related ads show honge.
neresh
bhot hi important information diya hai aapne AdSense ke bare me bro nice aarticle
farhan
Sir mene apni wabsite shayarihub.com ko AdSense ke liye apply kiya to ye msg aaya please batao me kya keru
Jumedeen Khan
Iska matlab hai ki aap sahi e site par ad lagao galat jagah par ad mat lagao. Check this post Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte – Full Guide
sana khan
sir mainay AdSense account bana liya jaisa Ap NY is post main batataya hai is post wala mainay kr lia ab is k bad kia krna hai .
blog PR ads kaisay aiyn gy.
plz help
Jumedeen Khan
Iske bad aapko video upload karni hai. Iski jankari ke ye post padho YouTube par channel banane ke bad kya kare
पंकज
Hindisite मेरे नाम का ब्लॉग हे। आप मेरा blog देखकर बताये की में google AdSense के लिए apply कर सकता हु या नहीं।
Jumedeen Khan
ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
ajy gupta
helo sir mera ek blog hai me AdSense acount banata hu me apni email se log in karta hu uske bad apna website dalta hu aage proces hi nahi aata mene mobile se kiya nahi hua fir mene apne computer se kiya vaha se bhi nahi ho raha hai
fir mene tk domain liya fir mobile se kiya nhi hua computer se kiya nahi ho raha website ka url dalne ke bad language chooz karta hu fir save and continue karta fir iske bad koi proces nahi aata hai
me computer ke google chorme se karta hu ab aap kahenge ki ho sakta hai ki aapka internet conection slow hoga nhi internet conection pura fast hai but problem yahi hai ki url dalne ke bad aage proces hi nahi aata hai aap ek bar mere site ko chek kare sir aakhir problem kya hai me karib 1 mahina se paresan hu
Jumedeen Khan
Aap ye step folow karo.
1. Firefox browser use karo.
2. chrome me karo to browser update hona chahiye.
3. browser ki history, chaches delete karke try karo.
Inke alawa koi rasta nahi hai. ya fir aap mujhe contact form me mai lkaro mai karke de dunga.
eshwar
Sir mera Name Eshwar hai me ne bohot koshis karli sir per mera AdSense account save and continues ke age badtahi nahi sir me kya karu plz batai ye muze
Jumedeen Khan
Aap mujhe contact form me apni id details bta de mai kar dunga.