Blogger ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki AdSense se hi humari income hoti hai. AdSense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye AdSense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par AdSense sabse jyada paise deti hai. AdSense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe.
Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?
sabse pahli or most baat aapko AdSense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap AdSense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka AdSense account block bhi ho sakta hai
Yaad rahe aap sirf ek hi AdSense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada AdSense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2. A. Website ya Blog B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.
A. Website ya Blog kaise banaye?
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko AdSense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.
Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se AdSense account banane ki koshish karoge to aapka AdSense account nahi banega.
So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare. blog ki traffic badhane ke liye Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi post padiye.
Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide
AdSense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe AdSense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.
sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.
2. Ab ek new windows khulegi .
1. agar pahle se log in account se AdSense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
2. agar aap kisi dusre ya new gmail account se AdSense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
1. yaha par aap apni website ka url type kare.
(agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
1. aYouTube ke dwara AdSense account banaye
2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
agar aap YouTube ke jariye AdSense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
YouTube ke throw AdSense account banane ke liye yaha click kare
or agar aap apni website banana chahate ho to yaha par click kare.
free website kaise banate hai online paise kamane ke liye)
2. fir Continue par click kar.
Continue par click karte hi aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
1. yaha par aap apni country select kare.
2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
6. apne city ka sahi naam bhare.
7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
8. apne pin code enter kare.
(pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
10. apne mobile number enter kare.
(*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
11. aap kis liye AdSense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye AdSense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kare.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike
ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas AdSense account approved hona baki hai . jab aapka AdSense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.
I hope aap is post ko follow karke aasani se AdSense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.
Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.
Arif ali
Hello sir Maine AdSense me pure Information dal diya fhir be bata RHA hai failed to create Account please try again kiu bata RHA hai
Jumedeen Khan
Fir se sahi information add karo or account create karo.
Nilesh Nayak
Hii Jume deen bhai mera nam Nilesh Nayak hai mene ek YouTube account banaya hai naya naya or monetization or AdSense banane ke liye me kya karu mene monetize kya tha vo bhi bina koi video upload kiye huae par monetization to ho gaya par AdSense account banane ke liye bata raha hai or AdSense ka pahala step pura kar liya hai or usake bad save and counties par click kar diya hai lekin uska agla page nahi open hota hai or mene monetize kar diya tabhi bhi video ke side me jo doller ka chinh rahta hai vo green nahi huaa me kya karu please help me please help me please help me
Jumedeen Khan
Aap dusre browsers me AdSense ke liye apply karo.
Rishi. hungama
Tweeter ka password forged kaise kare please please help
Jumedeen Khan
Mobile number ya email ID se jisse bhi aapne twitter account banaya hai se kar sakte ho. Twitter aapko us mail ID ya phone number par new password send karega.
utsav zamare
1)AdSense k liye apply kb krna hota hai.2( 500 pageviews matlab 500 log dekhnewale hote he kya.3)mobile se AdSense k add blog pr kaise lagaye4) uske code hote he kya .mobile se usko kaise lagau
Jumedeen Khan
Yes, same process hai aap mobile me chrome browser me blog maange kar sakte ho. Mobile or dekstop dono par ek hi a code work karta hai.
saurav singh
hello sir me adsens pe sing in ker RHA to website or URL mag RHA me URL kese do meri blog I’d sauravsinghloving.blogspot.com h bhai plz jldi btana
Jumedeen Khan
Check this post Google Adsense Me Website URL Kaise Add Kare – Site Management
Monu
Sir agar hamare paas 2 blog he to dono ke liye alag alag AdSense account banana padega ya ek account se hi kaam chal jaayega
Jumedeen Khan
Dono ke liye ek hi AdSense account banao.
Karam
Hlp sir kal maine absence account sign up kita that but aaj mujhe email aeya hai k apki site language ki vjha se absence account approval nhi kr skte ,,, mera blog http://www.infoinpunjabi.com hai os me Punjabi language use krta huu ,,
Sir main KyA kru?????????
Old reply quickly ,,,
Jumedeen Khan
Adsense punjabi support nahi karta. Check this post Adsense Kon Konsi Bhasha (Language) Support Karta Hai
Karam
An mujhe KyA Krna chahiye ?? KyA koi or source hai apne blog me ads lagne ka or blogging se earning krne ka Mai to domain name me v kharch kr chuka huu or mai apne writing skills ko earning ka source banana chahta huu … Plz suggest me sir .. plzz
Jumedeen Khan
Karam punjabi language mostly advertiser program support nahi karte but aap affiliate program use karsakte ho. I hope future me AdSense punjabi bhasha support karega.
Jasimuddin
Mera blog ad show nehi ho raha hai. template HTML me header ke niche paste kiya tha lekin save nehi ho raha tha isliye code se ‘async’ remove kar save kiya. gadget sidebar top me bhi add kiya fir bhi blank ad show nehi ho raha hai. kya karna chahiye bhai ?
Jumedeen Khan
Mere bhai ads tabhi show honge jab aapka AdSense active hoga or iska aapko mail mil jayega.
Jasimuddin
Mera blog par blank ad show nehi ho raha. aap dekhke bataye mera blog me blank ad show ho raha hai ya nehi.
Jumedeen Khan
Mujhe aapke blog me koi ad space dikhayi nahi de raha. Aap blog sidebar widget me ad code paste karo or kuch day wait karo AdSense approve ho jayega.
Shaikh Jasimuddin
Mene AdSense ke liye apply kiya tha iske bad publisher ID aur customer ID aur code hai. iss code mera blog ka lay out ka widget par add kiya. mera AdSense account me ye likha aya ki 3 din me ek email send karega. mera sawal hai blog ka widget par code paste kiya lekin blog me kuchh nehi show ho raha hai. code aur ad kuchh show nehi ho raha hai. aap dekh kar bataye bhai.
Jumedeen Khan
Jab tak aapka AdSense active nahi hoga blank ads show hoga. Adsense approve hone ka wait karo.
Shaikh Jasimuddin
Aaj mene AdSense par apply kiya tha. kuchh time bad ek message aya ‘your application has been successfully reviewed’. aur blog me code lagane ke liye AdSense par sign in kar raha hu to ye araha hai “This user does not have an AdSense account. Please check that the email address matches your AdSense account address. new account may take up to 24 hours to appear.”
iska kya matlab hai ?
Jumedeen Khan
Aap galat ID use kar rahe ho agar nahi to Aap 24 hours ke bad try karo.
vivek vivek
brother mujhe add sence ka approval coade mila hai but vo head ke niche past nahi hora kaha past kru
Jumedeen Khan
Head ke niche nahi ho raha to aap blog layout widget me add karo ya fir code me se async word ko remove karke karo ho jayega.
kumar
mera AdSense account save and continue par click karne ke baad koi kuch age ja hi nahi raha hu help
Jumedeen Khan
Kisi or desktop ya laptop me try karo.
Pradeep
mai abhi 4 din pahle gmail create kiya hu lekin AdSense ac nahi ban raha kya bata sakte hai ki kyou nahi ban raha
Jumedeen Khan
Aap full question likha karo AdSense kyu nahi ban raha kya error aa raha hai.
utsav
sir maine padha tha k blog pe incme hone k liye blog 6 mnth purana hona chahiye.tbhi AdSense approvd hoga,kya yeh bat such hai .pl jaldi aprove hone k liye ya incme pane k liye kya kre .pl help kre
Jumedeen Khan
Ye rules pahle the ab google ne ye rules change kar diye hai.
Karan
Sir plese help me mene aapna new channel banea us per video upload kari he or iske bad monetise b kar diaa or mene video manager me jakar action per click karke video monetise kar di or dolor green ho gea per channel me monetise per click karne k bad waha per how will i paid ka opestion nahi aa raha he mere application approved b ho gyi he fer b waha per piad wali line nahi aa rahi he tp me kea kari sir plese help on answere aap email kar dena plz sir jaldi
Jumedeen Khan
Aap already AdSense se YouTube ko connect kar chuke ho ab ye option nahi aayega.
Sachin
Thanks for this information.
maine AdSense ko apply kiya hai lekin 10 din huye aaj tak reply nahi aaya hai.
Jumedeen Khan
Try again
nareshdetruja
Bhot hi accha jankari share kiya hai aapne nice post
Shahid Ali
Dear bro,
Maine AdSense account banaya usme main apni website ka link dala tha but meri website me kuch khas content nahi hone ki wazah se or website dhang ka nai hone ki wazah se mera AdSense aproved nahi kar rha hai to kia. mai gmail ki dusri id se or same laptop se agar AdSense bina website ke banao to chalega kia… puri jankari de plzz please…….
Jumedeen Khan
Bina site ke AdSense approve nahi hoga. Aap first blog par traffic badhao.
Mohammad
Sir mine you tube channel banaye Hai video bhi UPLOAD s Kiya Hai absence account banaaNe ke liye you tube mai monetization ko enable KARTA HU TO INLIGEBLE BATA RAHA Hai please help me
Jumedeen Khan
Pahle aap video par views badhao or 2000 to 3000 views hone ke bad AdSense enable karo.