Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye

Har blogger chahata hai ki uski blog se jada se jada income ho. par iske liye hume kuch niymo ka palan karna padta hai. mai aapko bta du ke india me AdSense ko approved karna bahut mushkil kaam hai. fir bhi bahut se log AdSense ke rules ko tod dete hai or jada paise nahi kama pate hai. aaj mai is post me aapko AdSense account ko approved karne ke tarike btaunga. sath mai aapko btaunga ki kaise AdSense account ko 3-4 din me approved kar sakte hai.

Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike

India me AdSense account ko approved karana aasan nahi hai. iske liye aapko AdSense ke rules ko ache se follow karna hoga. is post me mai aapko AdSense account ko jaldi apprved karane ke top 20 tarike bta raha hu. yad rahe agar aap inhe follow nahi karoge to aapka AdSense account approved nahi ho sakta.

Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye

1. Adsense ke Niyam or Sharte (Terms & Policy)

sabse pahli bat aapko AdSense ke niymo ka palan karna hoga. yaad rahe AdSense ke niyam har samay badlte rahte hai. isliye AdSense ke niyam or sharto ko padte rahe. aap yaha par click kar ke bhi AdSense ke niyamo ko pad sakte hai.

2.  Blog Post Me Kuch Bhi Copyright Na Ho

aap kabhi bhi apne blog ki post me ek shabd bhi copy na kare. iska natiza ye hoga ki aapka AdSense account approved hona to bahut dur ki bat hai. google search engine bhi aapki site ko dikhana band kar dega. or dhire dhire aapki site par visitors aane bhi band ho jayenge.

3. Blog Me 40-50 Ache Ache Post (Article) Dale

apne blog ko AdSense se jodne se pahle aap isme 40-50 ache ache article dalo. galti se bhi kisi dusri site wala article mat dalna. aapko apne dimag  or aapki knowledge se article likhne hai.

Or agar aapke andar kuch naya karne ki chhamta hai to aap ayse article dale jo internet par pahle se na ho. kyuki aap agar kuch aysi jankari dologe jo internet par nahi hai to aap bahut se logo ki madad kar sakte hai.

4. Dusri Site Ke Ads Nahi Ho

AdSense account ko approved karne se pahle apni site par lagaye huye sare ads code hata le. or ek bar apni puri site ko check kar le. aap apne blog ki widget me se bhi ads code hata le.

Kyuki AdSense kisi bhi dusri site ke ads manjur nahi karta hai. jaise:- chitika, bidvertiser, yahoo etc.

5. Google Analytics Codes Blog Me Jode

Google analytics bahut acha tarika hai. apni site ko sachcha sabit karne ka. isliye apnji site ko google analytics se connect kar le. google analytics AdSense ko batata hai ki . is site par kitne visitors aate hai.
Or kitno ko yaha apni problebs ka solvation milta hai. Apne blog ya site ko google analytics se jodne ke liye yaha par click kare

6. Blog Ki Template Adsense Support Ho

AdSense account approved karne se pahle apne blog par achi si template upload kar le aki google AdSense ko aapki site ke bare me jada se jada jankari mil sake. yaha mai aapko AdSense support template ke kuch topic bata du jo aapke blog ki template me honi chahiye.

  1. Template siple sada ho, isme jada rangeen widget add na kare.
  2. Fast uploading template honi chahiye. taki aapki site par jada se jada visitors aa sake.
  3. Template par post ki side me kam se kam 2-3 widget honi chahiye. jaise:- populer pst, random, pos, recent post etc.
  4. Template mobile friendly hono chahiye jo mobile me bhi aasani se khul jaye. or mobile me bhi acha loog dikhe. udaharn ke liye  aap meri website ko apne mobile me open kar ke dekh sakte ho.
  5. Template ka background clean ho. kyuki ise khulne me bahut waqt lagta hai.

7. Minimum Photos

apni site par jada photo add na kare. bahut se log apni post me bahut jada photo add lar lete hai. or natija ye rahta hai ki unka AdSense account approved nahi ho pata. kyuki AdSense faltu ki photos support nahi karta hai.

8. Apne Ads Par Kabhi Bhi Click Na Kare

bahut se log aysa karte hai ki alag alag compuers se apni site ke ads par click karte hai. apne dosto se click karne ke liye kahte hai. aysa karne se hum AdSense ke rules ko tod dete hai.

Isse humara AdSense account kabhi bhi block ho sakta hai. to dosto yaad rahe apne ads par bhul kar bhi click na kare.

9. User Exprerience

aapko apni site ka pura anubhav hona chahiye. kyuki agar aapko apni site ki jankari nahi hogi to aap apne visitors ko sahi jawab nahi de paoge. AdSense ayse blogger ko manjuri nahi deta.

Kyuki wo janta hai ki ye aadmi ek din apni site chalana chod dega. isliye hume apni site ka pura anubhav hona chahiye.

10. Visiters Kahi Se Bhi Na Kharide

Dosto agar aapke andar kuch naya karne ki power hai to aap visitors kharidne ki soch bhi nahi sakte. kyuki agar aap kuch naya kar sakte ho to visitors khud be khud aapki site par aayenge. Google AdSense ki bhi yahi soch hai. isliye  kabhi bhi kisi se visitors na kharide.

11. Aapke Blog Ki Template SEO Friendly Ho

aapke blog me jo template aap use karte hai. wo SEO friendly honi chahiye. taki aapke visitors kahi se bhi aapke blog tak pahuch sake. SEO ka  matlab hai. SEO Search engines oprater system yani sabhi search engines se judi hui site

12. Blog Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Connect Ho

AdSense account karne se pahle ye baat jarur check kare ki google search engine aapki site ya blog ko dikhata hai ya nahi. kyuki agar google aapki site ko nahi janta hoga to wo AdSense ko approved nahi hone dega.

Kyuki AdSense samajhta hai ki jo site google nahi dikha raha wo jarur farzi site hogi. Agar aap apne blog ya site ko google search engine me dikhana chahate hai to aap is post ko follow kare. isme maine site ko google search engines se jodne ki puri jankari de rakhi hai.

13. XML Sitemap Bana Ho

aapki site ke sabhi pages ka sitemap bana hona chahiye. kyuki sitemap humari site ko chote code me badal kar google ko dikhata hai. AdSense ko ise padne me aasani hoti hai. apni site ka sitemap banane ke liye aap yaha click kare.

14. Blog Ki Traffic Achi Ho

Adsense account approved karne se paahle ye jarur check kare ki aapke blog par roj kitne visitors aate hai. kyuki agar aapki site par visitors nahi aayenge to AdSense ise farzi site man kar block kar dega.

Isliye pahle apni site par visitors jode. visitors jodne ke liye apne blog me aysi jankari dale jo pahle se internet me na ho. maine iske bare me btaya bhi hai. AdSense approve karne ke liye aapke blog par minimum 1000 visitors per day aane chahiye. agar aap chahe to visitors badhane ki jankari aapko mil sakti hai.

15. Apna Domain or Email ID

Agar aap chahate hai ki aapka AdSense account complitly approved ho to aapko apne blog me khud ka domain name jodna hoga. or sath me domain se emaol id bhi banani hogi. kyuki blog ke  domain se aap sirf hot AdSense account hi bana sakte ho.

16. Robot.txt Use Kare

apne blog me jank files ko rokne ke liye robot.txt code jarur add kare. kyuki agar aap aysa nahi karte ho to aapke blog me bahut sari jank foles add ho jayegi. or AdSense ko aapke blog ko padne nahi degi.

Wese aap jank files se hone wale nukshan ke bare me to jante hi hai. jaise computer me virus aa jate hai to coputer ke program kharab ho sakte hai. wese hi blog me jank files aane par AdSense approved nahi hoga.

17. Blog (Site) 6Month Purana ho

India me blog se AdSense approved karne ke liye blog ka 6mahina purana hona jaruri hai. india ke alawa china or kuch or desho me bhi yahi rules lagu kar rakhe hai. iski wajah ye hai ki 6 mahine ke bhitar hume blogger ki jankari bhi aa jati hai.

Or hum apni site par ache ache article bhi dal lete hai. sath hi 6mahine se pahle humari site se kuch visitors bhi jud jate hai.

18. Alexa Rank Hona Jaruri Hai

bahut se log sochte hai ki AdSense ko approved karne me alexa ranking ki koi jarurat nahi hoti. or wo ise ignore kar dete hai .apr kei bar alexa ranking nahi hone ke karan AdSense approved nahi hota. or humari pareshani bad jati hai. isliye apne blog ko alexa rank se jarur submit kare.

19. Important Pages Hona Jaruri Hai

blog ko AdSense se jodne se pahle apne blog ke liye kuch jaruri page bana le kyuli AdSense chahata hai ki wo humari site ke bare me aasani se jan sake.

  1. About Us
  2. Contact Us
  3. Terms of Usage
  4. Privacy & Policy

About Us me aap apne or apni site ke bare me jankari dale. jisse aapke visitors ko aapke bare me janne me aasani ho.

Contact Us me aap apni email ID ke sath sath koi contact form bhi add kare. taki koi bhi jarurat padne par aapse sampark kar sake.

Isi tarah apne blo ke visitors ke liye Terms of Usage page banaye taki koi visitor aapki site ka galat istmal na kar sake.

Privacy & Policy me aap ab btaye ki aap apne visitors ko kya kya sikhate ho ya unki help kaise karte ho.

20. Language (Bhasha) Adsense Support Ho

aapki site ki bhasha AdSense support honi chahiye. agar aap apne blog par aysi bhasha use karte ho jo AdSense support na ho to aapka AdSense approved nahi ho sakta.

I hope aapko ye post pasand aayi hogi. agar aapko internet se sambandhit koi or jankari chahiye to is site ki dusri posts pade. or agar aapko koi or sawal puchna hai to comment me puch sakte hai.

By the way supportmeindia par aapko AdSense ke bare me puri jankari hindi me milegi. iske liye aap humari AdSense se related dusri post pade.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (101)

  1. Avatar for MonuMonu

    Sir ek post main to aapne yah kah rakha h ki. Blog 6month purana na ho to koi bhi fharak nhi padta bus aapka domain name hona chiye aur is post main aapne yah kah rakha h ki aaapka account 6month purana hona chiye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      custom domain ke sath aap kabhi bhi adsense ke liye apply kar sakte ho. blogspot.com submdomain ke 6 month ki limit hoti hai.

  2. Avatar for vikash guptavikash gupta

    Sir maine adsense ke liye address verification pin submit kar chuka hu lekin ab adsense government photo id upload karne ke liye kah raha hai mai apna aadhar card ko download kar jpg former me upload bhi kar raha hu but accept nahi kar raha hai or usme tin option hai 1. National id,2. Passport,3. Driving licence, mere pas national id hai lekin use bhi accept nahi kar raha hai jabki photo bhi ekdam clearly hai to ab mai kya karu

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Kya error aata hai?

      • Avatar for vikash guptavikash gupta

        Ho gya sir dhanywad mujhe photo ke sath or bhi detail dalna tha.

  3. Avatar for kamlesh yadavkamlesh yadav

    Dear sir Mai apke blog ko pad Kar mobiles se hosting buy aur WordPress site bana chuka Hu aur mere pas laptop nahi hai fir bhi Mai aapki help se apne mobiles se apne site ko degine kar raha Hu please meri site ko check kare aur apna kimti sujhav hame de please sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site open nahi ho rahi hai ho sakta hai aapne galat link add kar diya ho. Aap itni mehanat kar rahe ho kyu na ek PC le lo aap 10,000+ me koi second hand PC le sakte ho taki aap achhe se or jyada better kaam kar sako.

  4. Avatar for Juhi RaniJuhi Rani

    Sir ek baar ap mera blog check kar ke bataiye ki agar ham sare adds code hata de. To kya mera blog Adsense ke liye ready hai? Or mera template Adsense friendly hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First aap blog par or post likho or traffic badhao or jab aapke pas daily 500 se jyada traffic ho jaye tab adsesne ke liye apply karna.

  5. Avatar for tahirtahir

    Sir contact us Form Kaise banaye aur kaise blog par lagaye

  6. Avatar for SarangSarang

    Sir,
    Jese ap be btya k ap apne blog se dosre wedget remove kr dai ab Jo mene apne blog Mai social media k wedget use kiyea hn kiya wo b remove kr du or mere blog ki ab rank kesi he kiya Mai Adsense apply kr sakta hu? Mere blog ko 6 months nhi howe hn or mere blog Mai daily 250 300 visitors hn or regular updates b krta hu or mene template b mobile friendly use kiya he aage kiya karna hoga or mene koi extra add ya company ki add b use nhi ki he
    Mera dosra sawal
    Roman Hindi and Urdu same ho jati he ya alg alg hn q k Roman Hindi or Roman Urdu Mai shyd much words ka fark he agr mai apne blog PR Roman Urdu use kru to Google Adsense approve hoga?
    Q3. Or mene kuch blog dekhe hn jin ko ek se time period Mai b Google Adsense hote hn jab k UN k blog Mai posting b 8 se 10 hoti he ese b hota he?
    Please mujhe in sawal se clear karai Mai ap ka behad shukar guzar rahu ga.
    http://muskanweb.blogspot.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi social widget ko rahne do.
      Kar sakte ho but abhi thoda traffic or badha loge to AdSense easily approve ho jayega.
      Yes karega full urdu me mat likhna letter english ke hi hone chahiye language urdu ho to chalega. but aap ye AdSense approve hone ke bad karo abhi nahi.
      Agar aapek lbog par achha traffic hai to aap kabhi bhi AdSense use kar sakte ho second aapke pas pahle se AdSense hai to aap 1-5 post hone par bih ad laga sakte ho.

  7. Avatar for Rahis khanRahis khan

    Sir mera blog 6 mahine purana h,AdSense me gadegt b jod diya PR ,jb add lgate h to ye likha aata h…is farm ki trutiya dur kre, sir plz help me …

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      form ko sahi se bharo. Fir bhi na ho to aap mujhe error ka screenshot dikhao.

  8. Avatar for Vishal RathourVishal Rathour

    jumme din khan ji please help mera blog hindistock.in hai mere blog per post bhi jyada hai pagewiev bhi kam hote hai per maine AdSense ke liye uply kiya tha jisme massaga aaya tha do not AdSense approved per maine AdSense approved kar diya tha jisme AdSense approved ho gaya hai per AdSense display setting nahi save ho rahi hai jisme 3 option aate hai AdSense lagane ke liye post and display sidebar and 2 aur aate hai yahi nahi save ho raha hai please help mai kya karu aap please mera blog dekhkar bataye kya kya kami hai mere blog me disgine kaisi hai please help

  9. Avatar for Parvez KhanParvez Khan

    Bhai mere Blog Par ye msg aa raha he mai kyaa karu plzz meri madad karo.

    “The account associated with publisher ID ca-pub-2836072597214524 has been disapproved.”

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka AdSense account disapproved ho gaya hai.

  10. Avatar for Rohit MaanRohit Maan

    Dear Jume Deen Sir…
    Maine Apne Blog ke liye Adsense Account bnaya, Lekin uske baad yeh name aaya – “The account associated with publisher ID ………. has been disapproved.” Ab mujhe kya karna chaiye Sir..? Kya phiq se try karne par ho jaega or kaise hoga.. Plz Help Me..?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap mujhe full message dikhao isme disapproved hone ka reason likha hota hai.

      • Avatar for Rohit maanRohit maan

        Jume deen sir, Mujhe yeh Massage mila tha ➡
        Your AdSense application status

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aapke blog par content ki kami hai aap achha or fresh content write karo.

          • Avatar for Rohit maanRohit maan

            Sir, Mere blog par already 97 content hain.. kya yeh kam hain..?

  11. Avatar for ShivamShivam

    Sir me aapki site ka daily visitar hu.aap se ek help chahiye thi mene AdSense k liye apply kiya tha par muje ye email mila h aap muje btao ki muje kya kya improve krna chahiye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapki site google policy or Webmaster Quality guidelines. follow nahi karti or aapki site par na hi meaningful content hai or na hi organic traffic. In kamiyo ko dur kar lo uske bad apply karna.

  12. Avatar for vikas sainivikas saini

    Mera blog vkyas.blogspot.com h.lekin iska hompage ka title Galt h to kya m ise change kr skta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha kar sakte ho blogger setting me ja kar.

      • Avatar for artiarti

        sir plz help me

        mai kl esi samay account ke liye aply ki thi lekin abhi tk aprove nhi hua account plz btao ye link hai site ki mere collegeeducati.tk/

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aapke blog par abhi itna traffic nahi hai ki aap AdSense account approved kara sako. Pahle aap blog par traffic badhao.

          • Avatar for artiarti

            sir kitna traffic hona chahiye or daly kitne page kare ki account approve ho jaye

            sir jaise mai aply kar di hu or kaam kar rahi hu to approve ho jana chahiye

            sir help me plz

          • Avatar for atul mishraatul mishra

            sir hosted account ko normal account me kaise chenj kre

          • Avatar for artiarti

            sir meri site ye hai collegeeducati.tk aur mai 2 bar aplay ki to dono bar wapas ho ja rha hai ye sms arha hai to kaise aplay kru ki aprov ho jaye

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Arti aapke blog par badiya content ki kami or google search se traffic kam hai. is wajah se aapka AdSense account approved nahi hua hai. Aap apne blog par badiya post likho or traffic badhao. uske bad AdSense ke liye apply karo.

      • Avatar for atul mishraatul mishra

        sir plz help meri website nhi khul rhi hai kya kru AdSense account khul rha hai kya krna padega ab es me ye link hai insurationer.tk/

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap mujhe bta sakte ho apane kaha se hosting li hai or ki site se domain liya hai.

          • Avatar for atul mishraatul mishra

            s sir freenom se domain aur free hostinger se hosting liya hai

            insurationer.tk/

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aapki hosting problem hai, aap hosting ke helpline number par bat karo.

          • Avatar for ATUL MISHRAATUL MISHRA

            sir agr mai dusre website me us AdSense account ka ads lgau to chalega ki nhi ads so hoga dusre website me kaise krna padega plz help

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aap AdSense site managementt me dusr isite ka link add karke us par ad laga sakte ho.

          • Avatar for atul mishraatul mishra

            sir mera AdSense account disebal kyo ho gya dono account aaj hi diseval huye hai aisa kyo ye link hai
            ye hai aap kuchh help kr sakte ho

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aapko AdSense pisapproved hona ka message mila hoga wo mujhe dikhao.

          • Avatar for atul mishraatul mishra

            ye hai sir aur mai jada ads me click bhi nhi krwata hu dely 10/15 only click hota tha bus 1000..1500 page fir kyo aisa hua jb paiment ana hota hai tbhi ye kyo hota hai aisa
            Sincerely,

            The Google AdSense Team

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aap khud kah rahe ho ki aap jyada click nahi karwate ho. Iska matlab aap khu apne ads par click karwate ho. google bahut smart hai usne invalid click activity ki wajah se aapka account band kar diya hai.

  13. Avatar for Mahesh KumarMahesh Kumar

    Thanks for mind blowing information for.a newbies blogger , your work are help lot of people’s,
    JUME DEEN BHAI, mujhe aapse ek help chaiye , maine anjane me blog start karne ke 10-15 din me hi absence ke liye apply kar diya,
    But abhi mujhe 3months ho gaye hai google absence se koi bhi massage nahi aaya , ki accounts block kiya ya fir abhi process me hai ,
    Main kya karu dubara se apply Karu ya fir abhi or wait karu .
    Kya dubara se same domine par absence account bana sakte hai ya fir ek baar.hi banaya.ja sakta hai.

    Please help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Don’t worry aapke blog par jab tak 500+ pageviews daily na hone lag jaye aap wait karo uske bad AdSense ke liye apply karna.

      • Avatar for manojmanoj

        sir mai account aprob ke liye bheja tha lekin abhi tk aprob nhi hui universityjust.tk/
        4..5 din hogya lekin abhi tk aprob nhi hua aur ek ye hai dono sath me palay kiya tha
        univerpointer.tk/
        ye sms de rha hai

        Thank you for your interest in Google adsense. While reviewing your application, we noticed that your account information matches a currently approved AdSense account associated with manojdwivedi448 @gmail.com.
        Since our AdSense Programme Policies do not permit multiple accounts, we’re unable to accept your new application at this time.
        If you can’t access your approved account with manojdwivedi448 @gmail.com, please follow the steps in our login troubleshooter. In case you aren’t able to regain access to your account in the process, you’ll find an option to contact us. We’ll then work with you to access your account with your desired login.
        If you need more than one AdSense account please see this help article for more guidance on trying to submit multiple applications.

        If you’d like to add manojdwivedi448 @gmail.com as a login to your approved account, you can do so by following these steps.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aapne isse pahle bhi AdSense account ke liye apply kiya tha. So aapke pahle or is account ki details mil rahi hai. Aap ab 10-15 day bat AdSense ke liye apply karna.

          • Avatar for manojmanoj

            sir jis laptap ek bhi account nhi aplay kiya hu usse aplay krne se aprob hojayega na plz hep me sir mai es laptap se do account aplay kiya tha jo aprob hogya tha lekin ab nhi ho rha hai to sistam to nhi chench krna padega aur sir ek laptap se jaise aaj mai aplay kiya to fir us leptap se dusra account kitne din me aplay krna chahiye ki jisse account aprobv hojay plz btane ki kripa kre plzzz sir

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Manoj AdSense apply karne me laptop desktop ka koi role nahi hota hai. Aap google AdSense ke bare me puri janakri prapt karo tabhi apply karo.

          • Avatar for manojmanoj

            sir to ab kaise aplay kru ki account aprob ho jay jald se jald kya kami hai ki aprob nhi ho rha hai sir plz help

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Abhi aap apne blog par search engine se or traffic badhao.

          • Avatar for manojmanoj

            sir mai blogger me 1000 page kr diya hu trafic bda diya hu ab jaise mai WordPress me krta hu to mera blog WordPress me ho jata hai to usme bhi page krna hai
            uske bad aplay krna hai

            lekin sir mai us bar aisa nhi kiya tha blogger me trafic bda diya tha aur WordPress me hi blog hogya tha fir mai aplay kiya to aprob ho gya tha ab kaise kru ki WordPress me blogger blog ko WordPress blog me krne ke bad bhi page krna padega trafic bdana padega

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Manoj apni site ka link btao. Mai aapki site check karke hi aapko suggest kar sakta hu.

          • Avatar for manojmanoj

            sir ye hai link univerpointer.tk plz aap btao mujhe 5,6 din hogaye leki abhi tk aprob nhi hua hai
            plz aap btao kaya kru ki aprob ho jay

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aapke blog par traffic bilkul bhi nahi hai AdSense approved nahi hoga. Aap pahle apne blog par traffic badhao.

  14. Avatar for Rishikesh mishraRishikesh mishra

    Bhai ye batao bina domain ke mera blog approve nahi hoga kya 2-aapki tarah read more ka option lagana hai please tell

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kar sakte ho but aapko bina domain ke 6 mahine wait karna padega. aap aysi template use karo jisme pahle se read more kaoption ho.

    • Avatar for manojmanoj

      sir kya mai ese aplay kr sakta hu 792 page hai

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Nahi abhi nahi kar sakte. Abhi blog par or traffic badhao.

  15. Avatar for Mukesh SharmaMukesh Sharma

    Mujhe aapki jankari bahut hi achchi mili. Thank you.
    Ek baar aap mera template check kr ke btaye ki sahi hai ya nahi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      badiya template hai. bas aap sidebar me se widget kam kar lo.

  16. Avatar for faizankhanfaizankhan

    Jumadeen bhai mera blogger 6 month se bhi zyaada purana hai us per 300 se 400 per day views aate hai.maine blogger me se AdSense signup kiya.ad bhi create ki phir bhi ad dikhai nahi derahi hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko AdSense ka koi message mila hoga wo dikhao or nahi mila hai to ek do day wait kaor AdSense ka message jarur aayega.

  17. Avatar for SruthiSruthi

    Hi Sir, I completed my $100 today. But still a red line is showing in my AdSense account. I mention the text which is showing “We’re sorry, some data in this report is delayed, please try again later. There’s no impact to ad serving or payments”.
    Please tell me whats the solution of it. I really need it

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense says you that some last day info reports not show. So wait some day Adsense team solve this problem now. it’s not problem and solved automatically.

  18. Avatar for AmanAman

    Bro ap muje ye bataye maine apni site ko 5 days pehly banaya kya hm goggle AdSense pe abi account bnana thik rehega ya 6 month bad

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aman aapko pahle bhi kah chuka hu ki aap pahle apne blog par traffic badhao or jab per day 500 pageviews se jyada hone lag jaye to hi AdSense ke liye apply karna.

  19. Avatar for AmanAman

    Bro ap muje ye bataye hm jo chitika ya bidvertiser se payment kaise le bina paypal k koi tarika btaiye jisse hm asani se le sake

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      paypal ke bina payment nahi lw sakte. ye paypal ke throw hi payment krti hai.

  20. Avatar for AmanAman

    aur bro muje ye bi btaye mera paypal account ni hai na hi mai paypal account bna sakta kyu ki mere pas PAN card ni hai ab mera ek SBI me account hai ab ap muje btaye ki mai goggle AdSense se paise le sakta hu ya ni

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha le sakte ho. iske liye aapko pan card or paypal ki jarurat nahi padegi.

  21. Avatar for AmanAman

    bhai maine apna blog 5 days pehly bnaya hai ab in sb rules ko follow karne k bad ap muje btaye muje paise kamane k liye kitne din intzar krna pdega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jis din aapki site par 500 pageviews per day hone lag jayenge. aap paise kamane lag jaoge.

  22. Avatar for PankajPankaj

    hi Bhai mera youtbe channel mere dost ne bana k dia hai ab unse bat nahi ho rahi hai kaise pata chalega ki mera AdSense Account bana hai ager bana hai to use YouTube Account se kaise joden plese bahut paresan hun

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap adsense.com site par jao or log in karo. agar aap log in kar sakte ho to aapka AdSense account ban gaya hai.

  23. Avatar for Amul SharmaAmul Sharma

    Vaah! aapne bahut kaam ki post likhi hai….yeh post mere bahut kaam ki hai kyoki me kuch hi dino baad google AdSense ke liye apply karne vala hoon….is post ko share karne ke liye aapka bahut dhanyavad!

  24. Avatar for m.ahamadm.ahamad

    sir mere blog web site ke blogger.com pe jo AdSense earning diya huva hai wo visible hai mera blog 2 maah purana hai maine wahan se sign up to kar liya hai aur add bhi aa gaye kya ye approved hogi ya isme kuch aur bhi karna padega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      first to mai ye nahi man sakta ki aapne 2 month old blog ke throw AdSense kaise bana liya or agar ye sach hai to khushi ki bat hai. ads show ho rahe hai to clear hai approved ho gaya hai. ab adsense.com parja kar log in karke apne daily ki earning bhi check kar sakte ho.

  25. Avatar for atulatul

    BHAI MAINE APNA ADSENSE ACCOUNT APNE BLOG SE BNAYA HAI YOUTUBE CHANEL SE NHI
    TO ACCOUNT APPORVE HONE ME KITNA SMAYE LAGE GA

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1-5 din me ho jayega.

  26. Avatar for prakashprakash

    hello sir
    1.me YouTube se paisa kamana chahta hu lekin aapne jo video editing ka software bataya hai camtasia woh bahut mahanga hai iske alawa koi free video editing and recorder software konsa best hai jo free ho
    2.wordpres par free blog banakar usme post likhu aur blog ki hosting 3 mahine baad lu toh koi problum toh nahi hogi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. aap google me free video editer likh kar search kar sakte ho. bahut mil jayenge but sabse best camtasia hi hai. aap use ek mahina free use kar sakte ho.
      2. koi problem nahi hai jab aap hosting lo to WordPress.com blog ko WordPress.org par transfer kar sakte ho.

  27. Avatar for mo naseemmo naseem

    Sir mera blog ab tak google search engine me nahi aa raha hai aur maine ab 22 din pehle apne blog ki SEO ki thi plz help me sir mai kaagi time se bloging karne ki kosis kar raha hu par success nahi ho pa raha hu.sir please meri help kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapka blog search engine me aa raha hai. aap blog ka url enter kar ke search karo. jab aapke blog par traffic badhega to sabkuch search me aa jayega.

  28. Avatar for PrahladPrahlad

    Sir,muje apka ye template chahiye?
    2)sir,Maine 6 din she AdSense ka code lagaya hai lekin Mike abhitak confermation email nahi mila hair?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      sorry mai ye template nahi de sakta. aap blogspot.com domain se add nahi laga sakte. uske liye 6 mahine ka wait karna padta hai.

    • Avatar for PrahladPrahlad

      Mere blog ko 6month ho gye hai,mane new add bhi banaya hai AdSense aur iske bad Maine 2no code mere blog pe lagaye hai…lek in ad blank show rahe hair,aj 6din ho gye Google ka mail nahi mila hai muje?

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        ho saktahai aap se koi galti huyi ho. aap fir se new ads create kar ke blog par lagao. AdSense approved disapproved ka message jarur aayega.

  29. Avatar for DharmendraDharmendra

    Brother app mujhe ye batao ki jiske blog par per day 10k visitor ho uski AdSense se lagbhag kitni kamai ho sakti hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      $50 to $500 par tabhi jab wo AdSense ke sabhi rules follow akrta ho or uski cpc achi ho.

  30. Avatar for vijay singh panwarvijay singh panwar

    achi jankaari he ise follow karke koi bhi AdSense approve kar sakta he!! 🙂

  31. Avatar for meenakshimeenakshi

    Sir Mai new recipe kis Mai type karu page Mai ya post mai

  32. Avatar for meenakshimeenakshi

    Sir post or page Mai kya dark hota hai mera blog Mai naya post par Mai apni nayi recipe dalti Hua to sir page ka use Mai kis liye karu google sitemapxml bhi laga liya hai par search engine se add nhi Ho pa raha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      jaisa ki name se pata chalta hai ki post me koi jankari share ki jati hai. or page aapki site ka hissa hota hai. jaise contact us, about us, privacy policy. in sabke liye page ki jarurat padti hai. sath hi aap apni monthly, weekly, yearly post ki list bana kar ek page me add kar sakti hai. google search engine me isse aapki site ki ranking badhegi or aapko jyada visitors milenge.

  33. Avatar for Saddam KhanSaddam Khan

    Sir apne bole ki AdSense login karne se my blog ke options ata hai per yaha to 2 options araha ha home & report ar me blog ki dashboard me ak earning ke options ha per uspe singup pe click nahi hora kya karu

  34. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    alexa rank google analytics ki tarah hai. isme aap apni site ki ranking pata kar sakte, alexa rank ko blog me kaise submit kare iske bare me mai post karne wala hu pad lena.

    1. privacy policy kp sabhi search engine bahut pasand karte hai. ise aap blog ke pages option me ja kar bana sakte hai.
    2. aap har comment me apni site ka url add nahi kar sakte. ye humari sites ke rules ke khilaf hai.

  35. Avatar for Amit singhAmit singh

    alexa rank kya hota hai isko submit kaise karte hai or Privacy & Policy kyu jaruri hai.isko kaise banate hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...