Mai pichle 6 mahine se google AdSense use kar raha hu. AdSense sabhi advertisement program me se sabse jyada better hai or dusri sites se jyada payment karta hai. AdSense ko sabhi blogger use kar sakte hai. aapka koi blog hai to aap bhi AdSense ke ads laga kar apne blog se paise kama sakte ho. but AdSense se paise kamane ke liye aapko AdSense policy or AdSense terms follow karnge honge. warna aapka AdSense account disable bhi ho sakta hai. to chaliye jante hai ki apne AdSense account ko safe kaise rakh sakte hai.
Mai pichle 6 mahine se google AdSense se hi earning kar raha hu. iski jankari mai apni pichli post SupportMeIndia Income & Traffic Report January 2025 – 50,000 INR allready share kar chuka hu.
Sath hi miane apni ek or post Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari me AdSense account banane ke bare me bhi btaya tha. agar aapne abhi tak AdSense account nahi banaya hai to aap is post ko padh kar apna AdSense account bana le.
Adsense se paise kamane ke liye hume website ya blog ki jarurat padti hai. agar aap bhi AdSense se money earn karna chahate ho to Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padh kar apni free wsite bana le. website banane ke bad use customize karne ki jankari ke liye Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide post padh skate ho.
Apne Adsense Account Ko Disable Hone Se Kaise Bachaye
In this post: is post me mai aapko btane ja raha hu ki hum apne AdSense account ko disable hone se kaise bacha sakte hai or kin kin step ko follow kar ke apne AdSense account ko safe rakh sakte hai.
Pichle kuch time se visitors ki AdSense account disable hone ki problem badhti ja rahi hai. mai un sabhi blogger ko is post me samajhane ki koshish karunga ki aakhir kon kon se karno se AdSense account block hota hai.
Google ne jab se AdSense ko banay hai tab se iski Terms & Conditions day by day change hoti rahti hai. ayse mai apne AdSense account ko safe rakhna bahut mushkil kaam hai. fir bhi mai aapko is post me jo tarike btane ja raha hu. unhe follow kar ke aap kafi had tak apne AdSense account ko safe kar sakte hai.
Maine Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye post me iske bare me pahle bhi btaya hai. aapko english aati hai to aap AdSense terms & conditions form par ja kar AdSense ki policy padh sakte ho.
Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tips
India me AdSense account ko approved karana aasan nahi hai. AdSense ki policy bahut shkhat hai. so ayse mai AdSense ko safe rakhna ka ek sabse acha tarika hai AdSense ki policy ka plan karna. agar aap AdSense ki policy ko acche se follow karoge to aapka AdSense account kabhi ban, block ya disable nahi hoga.
Niche mai aapko blogger se hone wali galtiyo ke bare me bta raha hu. aap ye galatiya nahi karoge to aapka AdSense account disable nahi hoga.
1. Adsense Policies or Terms & Conditions
Adsense ko achhe se samajhe or Adsense ki policies ka palan kare. adsennse account ko safe rakhne ka ye sabse acha tarika hai. isliye aap weekly ya monthly AdSense ki new terms padhte rahe or AdSense ka istemal karne me koi galti na kare.
20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai me maine AdSense account ki policies follow na karne se AdSense disable hone ke reasons ke bare me btaya hai. agar aap apne AdSense account ko safe rakhna chahate hai to mai aapko highly recommend karunga ki AdSense ki policies ka ullaghan nahi kare.
2. Copyright Content
Bahut se log website ya blog bana kar dusro ki post copy kar ke apni site par publish karte hai. google AdSense copyright content bilkul allow nahi karta hai. agar AdSense robot ko aapki iste par jara bhi copyright jankari mili to aapko AdSense account disable ho jayega. block ho sakta hai. itna hi AdSense aapko humesha ke liye ban bhi kar sakta hai.
Agar aap apni site par copyrighting kar rahe ho o AdSense use karte ho to abhi aysa karna band kar de warna aane wale time me aap AdSense use nahi kar paoge. google AdSense movies, mp3 songs jaisi file ke sath content publish karna allow nahi karta hai. so kisi movie ya songs ko post me publish na kare.
3. Paid Traffic
Agar aap AdSense ke ads site par use kar rahe ho to paid traffic ko bilkul bhool jaye. google AdSense paid traffic allow nahi karta hai. AdSense ko wohi visitors pasand hai jo apni marzi se aapki site par aaye or ads par click kare.
Paid traffic AdSense TOC ke khilap hai or aysa karne par AdSense ki policy ka ullaghan hoga. natijan aapka AdSense account disable ho jayega.
4. Customize Ads Look and Style
Adsense ads ko aap apni site ke look ke hisab se customize kar sakte ho. AdSense ise allow karta hai or aap aysa karne ke liye bilkul free ho. but iska matlab ye nahi hai ki aap AdSense ads ko bilkul hi apni site ke content me mila do. ads customizing ki bhi ek limit hoti hai. aap pur itarah site content se milta julta ads nahi bana sakte.
Adsense chahata hai ki user aapki site par aa kar ads ko ads man kar hi ads par click kare. wese bhi dhoke se ads par click karne se invalid click mana jata hai. so AdSense ads ko itna hi edit kare ki wo aapki site se match na ho or audience ko confusing na ho.
5. Illegal and Adult content
Adsense account ke disable hone ka ye ek bada reason hai. AdSense p*rn movie and videos, adult videos, racial content, hacking content allow nahi karta hai. but kuch log traffic badhane ke liye aysa karte hai. isse AdSense to disable hoga hi aapki site bhi internet par se ban ho sakti hai.
Jiska matlab hai aapki site world me kahi bhi open nahi hogi. yaha mai aapko ayse hi kuch top reason bta du jo aap blog me use nahi kar sakte.
- Porn and adult ke bare me post karna.
- Hacking ke bare me jankari publish karna.
- Drugs, alcohol (Beer Sharab) k3e bare me post karna.
- Hathiyar and barood ki taskari
- Kisi person ya company ke khilap bad language ka use karna.
- Third party content jaise movie, songs post me share karna
- Unlawfull gair kanooni work karna.
- Hinshak product sell karna.
Yad rahe aapke blog par aysi kisi type ki jankari nahi honi chahiye. warna aapka AdSense account bahut jaldi ban ho jayega. fir aap future me kabhi bhi AdSense use nahi kar paoge.
6. Customize Ads Code
Warning: Adsense apne ads code me 1% bhi editing allow nahi karta hai. bahut se log apni post ki images me ads code ko customize karke ads mila dete hai. aap AdSense ke malik nahi hai jo ads par apna pura haqc hi samajh lo. AdSense ke bhi kuch rules hai. so unhe follow karke hi apni site par adsesne use kare.
Maine iske bare me Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte – Full Guide post me allready btaya hai ki AdSense ke ads apni site par kis kis jagah par lagane se adsesne disable ho sakta hai. aap ek bar is post ko jarur padh le.
7. Maximum Ads Unit Use Karna
Adsense 1 page par 2-3 ads unit hi allow karta hai. agar aapne galati se AdSense ki limit se jyada ads use kar liye hai to AdSense aapko maf kar dega. but ye jyada time nahi chalega. or jaise hi AdSense robot ko iske bare me pata chalega to ye AdSense ki policies ka ullaghan mana jayega or aapka AdSense account disable kar diya jayega.
Agar aapne kisi popular site par 3 se jyada ads dekhe hai or aap uske bare me mujhse puchna chahoge to mai kahunga ki jab hum AdSense ke permium publisher nahi ban jate 2-3 ads se jyada ad use nahi kar sakte. permium AdSense publisher banne ke bad hum 1 page me 4-5 ads use kar sakte hai.
8. Copyright Images
Bahut se log apni website ya blog par dusro ki image use karte hai jo ki copyright mani jati hai. AdSense copyright content ke sath copyright images bhi allow nahi karta hai. ayse mai agar aap AdSense use kar rahe ho to jaise hi AdSense ko pata chalega ki aap dusro ki copyright photos use kar rahe ho to AdSense par aapko ban kar diya jayega.
Uske bad aap kabhi bhi AdSense use nahi kar paoge. aapse jitna ho sakeapni site par khud ki banayi images use kare ya fir free stocks images websites se photo download kar ke use kar sakte ho. in my case mai supportmeindia par flickrki images use karta hu.
9. Fake & Froud Ads Click
Bahut se log website banane ke bad jaise hi AdSense account banate hai or AdSense ke approved hote hi apne dosto or jankaro se ads par click karne ko kahte hai. I mean logo ko ads par click karne ke liye invite karte hai. ayse mai ye baat to tay hai ki aapki income hogi.
But aap bhool rahe ho ki AdSense india me $100 se kam payment nahi karta hai. or aaj tak kisi ne bhi fake click arwa kar $100 nahi kamaye hai. isliye aysi galati karnse se bache isme koi fayda nahi hai. AdSense aapko 100 dollar hone se pahle hi block kar dega.
10. Other Advertising Program
Adsense kisi bhi dusri advertising sites ke ads allow nahi karta hai. jaise Bidvertiser or Chitika. aap AdSense ke sath aysi kisi bhi advertiement programing site ke ads use nahi kar sakte hai. halanki aap AdSense ke sath Affiliate Marketing, infolinks and Viglink program use kar sakte hai. magar dhyan rahe AdSense ki policy badlati rahti hai.
So ayse mai aap time time par AdSense ki polcies padhte rahe or pata karte rahe ki AdSense kya allow karta hai or kya nahi.
11. Unsupported language Blog Par Adsense Ke Ads Use Karna
Google AdSense sabhi language support nahi kartya hai. agar aapke pas allready approved AdSense account hai or aap us site site par AdSense ke ads use kar rahe ho jiski bhasha AdSense support nahi hai to bhi aapka AdSense account disable ho sakta hai.
Maine Adsense Kon Konsi Bhasha (Language) Support Karta Hai post me pahle se iske bare me details se bataya hai ki AdSense kin kin languages ko support kar sakta hai. agar aapka blog aysi hi koi dusri bhasha me hai to ek bar is post ko padh lijiye.
12. Adsense Ads Ko Sticky Banana
Adsense ko adhiktar blogger hi use karte hai or lagbhag 80% blogger ke blog me sidebar hota hai. bahut se blogger sidebar me AdSense ka banner ads laga kar use sticky bana dete hai. ayse mai jab visitors aapki post padhta hai to scroll karne par wo ads screen par hi ruka rahta hai. AdSense ise allow nahi karta hai.
Agar aap aysa kar rahe ho to bahut jaldi aapka AdSense account ban ho sakta hai. so is galati ko abhi se solve kar le aage se AdSense ke ads ko sticky na banaye.
Iske alawa or bhi bahut se karan hai jinhe janne ke bad aap apne AdSense account ko safe rakh sakte hai. unke bare me hum aane wale time ne bat karenge or future me AdSense ke bare me or bhi bahut sari bate janenge.
So agar aapko ye post pasand aayi ho to supportmeindia ko abhi subscribe kar le jisse aapko humari new post ki notification mil jaye. or aapko blogging ki ek or new content wali post padhne ko mil sake.
- Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye puri jankari hindi me
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Ummid karta hu is post me btaye step follow kar ke aap apne AdSense account ko surkshit rakhoge or aane wale time me ek premium AdSense publisher ke tor par mujhse contact karoge.
By the way post ke bare me commnet jarur kare or is post ko facebook, google plus, twitter social sites par share jarur kare.
mo naseem
Adsense k ads blog par lagane k liye domain name lena hoga ya bina domain name k bhi blog par ad lag jayenge
Jumedeen Khan
domain lena padega, or agar aapka blog 6 mahine purana hai to domain liye bina ads laga sakte ho.
rohit
hindi.supportmeindia.com ke liye mai aapko post mail karta rahuga aap post ko publish kar dena
Jumedeen Khan
Mai ab sirf blogging SEO ke bare me post likhunga. wo aap kar sakte ho to bilkul kar sakte ho.
rohit
bhai aap muje hindi.supportmeindia.com site de do post karne ke liye
Jumedeen Khan
Sorry rohit mai aysa nahi kar sakta.
mo naseem
Domain name lene ka kya charge hoga aur host gator se hodting lene ka kya charge hoga aur kitne time ke liye hogs aur godady se domain name kitne me milega aur kitne time ka hoga plz sir meri help kijiye
Jumedeen Khan
Naseem maine aapko jo post btayi hai usme aapke sare sawalo ke jawab hai. aap bas post padhne ka kast karo. or hostgator se hosting lene ke liye ye post padho. Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide Hindi Me Jankari
mo naseem
Sir maine aapki bahut post padhi hai aur mai aapse ye jaanna chahta hu ki hame domain name kaise milega aur uska koi charge bhi hoga kya?
Jumedeen Khan
aap godaddy se domain le sakte ho. ha charge bhi lagega. aap ye post pado
Harshad Bataviya
Sir Aapne jo post me title ke liya blue or black box banaye hai vo me post me kaise kar sakta hu.. mera blog blogger me hai…..
Jumedeen Khan
Maine WordPress ki css coding optimize kar ke banaye hai. blogger me ye bahut mushkil hai. nahi bana paoge. WordPress par easy hota hai.
rohit
bhai aap massege ni dekh rhe ho fb par aur aapka phone bhi nahi lag RHA hai
Jumedeen Khan
Mujhe facebook par aapka koi message nahi mila hai. jiska mai reply kar saku. aap kisi or ko message send kar rahe ho.
vakil shaikh
JUMEDEEN bhai mera blog check karke dekhiye muje mere blog me Jo setting ke icon hai unemployed kaise hataa sakta hoo.
Jumedeen Khan
aap blog ki template change karo. problem solve ho jayegi.
dev
jis company ne offer diya he us par ja kar ke term & conditions:- ko copy jarur karta hu kyo ko wo to jaruri apne visitor ke liye or ye to sabhi karte he
2. mene apni hi post ko update na karte hu 2/3 bar ange ke date me post kar di he shayad is to kuch prblm nhi bhyi or error kuch nhi he sitemap me to mughe kya karna chahiye ange indexed hone ke chance he ya nhi apne hisab se btaiye
Jumedeen Khan
are bro post ki date change karne ko hi post updating hoti hai. jab sitemap me problem nahi hai to don’t worry WMT index kar lega.
suraj
Sir hum flickr.com se koi bhi image download karne aapne blog me dikha sakte hai kya ye copyright nahi hoga. agar nahi toh wahi image kisi aur ne bhi lagaya hai ye kaise pata chalega.
Jumedeen Khan
simple hai image ko google me search karke dekh lo. us iamge ko jitne logo ne use kiya hoga. sabki details mil jayegi.
suraj
Bhai maine all tech info domain choose kiya tha 5 months pehle par ab mere pass alltechinfo,com, .in, .org aisa koi bhi domain nahi hai toh kya mera domain copyright mana jayega.
Jumedeen Khan
agar alltechinfo.com site aapki site se related hai to I mean agar aap hindi blogger hai or alltech.com ek english blogger hai to wo aapki kabhi report nahi karega. or aapka domain copyright nahi hoga. don’t worry.
Kisan gond
Agar AdSense wire transfer se deta hai to mere pass bank Ka swift air bic code nahi hai
Mera location azamgar,Thelma hai
Aur mere acount Union bank of India aur state bank of India me hai dono Ka swift code nahi hai
To mai AdSense se pause kaise lunga please bataye sir please
Jumedeen Khan
Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Hindi Jankari post me maine btaya hai ki agar aapki bank ka swift code na mile to kya karna hai.
Kisan gond
Sir AdSense payment kis kis method se karata hai.
Jumedeen Khan
Ab sirf ek method se karta hai. wire transfer to bank. yani direct bank me paise send karta hai.
dev
plz bahyi mughe lag rha he ki meri sitemap me prblm ho gayi he mene use phir se submit kar diya but same prblm indexed bad nhi rhi he ulta 234 thi 216 ho gayi he or bad nhi rhi he or phlle post dalte the to 1 minute ke andar search me aa jati thi balki second me lekin ab nhi ati bhayi ab me kya karu plz help..
Jumedeen Khan
kuch mat karo. bas sitemap par error nahi aana chahiye. ye search engine ke upar hai ki wo aapki site ki post ko index kyu nahi kar raha hai. ho sakta hai aapki post me copyright contnt ho.
dev
bhyi ek baar meri site par visit karke dekho or mughe batao ki kya kya kami h jisse me use pura karu and thanks…
Jumedeen Khan
mere hisab se aap footer me ek do widget or add karo. jisse footer ka design best lage.
rohit
muje aapse hindi.supportmeindia.com ke bare me personal baat karni hai mai yaha par ni kar skta hu mai apko fb par mesege bej raha hu par aap msg dekh ni rhe ho
Jumedeen Khan
mai aapka message check kar lunga. thoda wait karo.
Kisan gond
Sir Maine AdSense acount ko banaye 2 din hue hai mai blog pe AdSense me add lagata hu but o show nahi karata hai
Jumedeen Khan
Honge bhi nahi. or agar honge bhi to bahut jald aapka AdSense account ban ho jayega. becoz aapka domain hi copyright hai. agar mere pas https://www.supportmeindia.com domain hai to aap supportmeindai.cf domain nahi le sakte mai kabhi bhi aapki site ki report kar band karwa sakta hu. so plz fairst aap apne domain ko change kijiye mai tabhi aapko guide kar sakta hu.
abdul khan
hello sir ji.. sabse pahele aapka bahut bahut sukhriya mene aaj hi aapka blog visit kiya kaafi great information mila realy very helpful post….mene abhi aapka comment padha ki aapka domain https://www.supportmeindia.com hai….ye domain aapne book kar liya hai…lekin net pe available hai supportmeindai.cf..to kiyu nahi le sakta hai koi kiyun ki comapny derahi hai…plz guide aesa kiya region hai….aur ek information chahiye tha ki agar koi bhi for example abc.com leta hai ..lekin abc.info ya org available hai to kiya koi info ya org waala book kar sakta hai kiya ya nahi…
Jumedeen Khan
Company ka kaam domain sell karna hai. but agar aapki kisi ke domain ko copy karke .in, .info ya fir or kuch domain loge to .com wala jisne wo domain allready liya hua hai wo kabhi bhi aapki khilap report kar chuka hai. abhi kuch din pahle kisi ne flipcart ki copy karke amazingflipcard.com domain le kar site banayi thi. but flipcart ne uski report kar ke use ban karwa diya. socho google.com wolrd fomous hai fir hum google.xxz domain kyu nahi le sakte becoz google humare khilap action le sakta hai.
abdul khan
Thankyou so much very helpful post sir…mene bhi apne online guru gopal sir se sikhte sikhte ek simple blog banaya hai…aap meri site check kar sakte hain sir achhisoch par ye ek Hindi Motivational Stories,Hindi Quotes,Personal Development par hai…aap ki site se bahut important baat sikhne mila hai aur sikhne milega bas aap aese hi post daalte rahen…bahut hi helpful post hai….mene aap ki site ko apne bookmark me bhi shaamil kar liya hai…
Jumedeen Khan
It’s my pleasure, blog me koi kami nahi hai. bas aap blog SEO ko achche se samajh lo.
abdul khan
yes sir ji SEO sikhne ka process chaalu hai…bas aap aese hi post daalte rahen…
Ravi Kumar
bhaiya jaise aapne bataya Google ke ads pe click karne se paise milte hai, but maine ads me dekhe kuchh bhi to nahi rehta ,
mera kehna hai Google Adsense ko kya fayada hota hai,wo to
Jumedeen Khan
aap humari AdSense se related post padiye. mai kei post me iske bare me bta chuka hu.
Ravi Kumar
dil ki bat……
bhaiya mujhe ummid nahi thi, aap meri itni help karoge,
but aap mere ummid se bhi aage nikle,
sabse pahele aapse mai mafi mangta hu,
actually bhaiya mai kal se paresan tha mazburan morning me aapko batana pada jub hamse nahi hu,
aur maine subah se aapko bahut sari ek hi bat ko lekar comment ki sorry bhaiya,
mujhe dar bhi lag raha tha,kahi aap mujhe dant na do is wajah se, but aapne meri mazburi ko dekhte hue,meri bahut badi problem solved kar di thanks,
ek bar ab meri site ko aap dekh le ab look kaisa hai, aur widget bhi dekhe
Jumedeen Khan
It’s my pleasure, sabkuch sahi hai or dheere dheere sab sikh jaoge.
swapnil jambhale
Hello Jumedeen Khan ji ham blog ke liye template kaha se kharid sakte hai kya please muzhe bata sakte hai
Jumedeen Khan
blogger ke liye template kharidne ki koi jarurat nahi hai. aapko google par free me bahut mil jayegi.
swapnil jambhale
Lekin blog ke liye google AdSense ka apporuval mil jayega.
Jumedeen Khan
mil jayega. mai abhi bhi free template use kar raha hu.
Ravi Kumar
jummedin bhiya ne apne website pe iss post ke bare me dal chuke hai,
aap ek kam karo post ke page ko kuchh step tak next karo aapko puri details mil jayegi