Google Adsense Content Policy Violation – Full Guide in Hindi

Learn More About the Adsense Content Policy: Google bad product ko promote karne wali 47,000 sites and unwanted ocntent share karne wali 15,000 sites ko block or lagbhag 6,000 accounts ko suspend kar chuka hu. Agar aap AdSense publisher hai to aese me aapka ye janna bhaut jaruri hai ki AdSense kis tarah ke content par ads allow nahi karta or kis type ke content material par AdSense disable ho sakta hai. Is article me main iske bare me details se bta raha hu. Ye guide har ek google AdSense user ke liye important hai.

Google Adsense Content Policy Violation

Kuch log sirf AdSense se earning karne ke liye unwanted content write karte hai. Isme dusro ka content copy karna, short content wirte kar maximum ad placement karna, Wrong place par ad dikhana jaise AdSense content policy violation ki wajah se AdSense disable ho sakta hai.

Online earnings ka google AdSense ek main source hai or mostly website owner and blogger AdSense ka istemal karte hai but hum har type ke content par AdSense ad istemal nahi kar sakte or iske liye hume google AdSense ke policy, terms follow karni hogi warna AdSense account suspend ho sakta hai.

Janiye Kis Tarah Ke Content Par AdSense Disable Ho Sakta Hai – Content Policy in Hindi

What is the AdSense content policy? main yaha aapko jo AdSense ka violation karne wale content ke bare me bta raha hu wo rules mostly adsesne publisher ke liye hai but sath hi ye aapki site ki value increase karne ke bih kaam aayenge aap AdSense publisher nahi ho to bhi aapko is type ka content share nahi karna hai.

1. Adult Content:

Jis site par adult content like Pornography images, videos, games, cartoon, Sexually Gratifying Content, Sexual Tips and Health, Adults, or Mature content share kiya jata hai un par AdSense ads use nahi kar sakte.

Google is type ke content par bilkul bhi ads allow nahi karta or agar koi AdSense publisher is type ka content share karta hai to uska AdSense account jaldi hi suspend ho jayega. Sath hi aap aese content par (AFS) yani AdSense fo search boxes bhi use nahi kar sakte.

2. Content That Advocates Against an Individual, Group and Organization:

Google strongly expression freedom me believe karta hai isiliye adsesne network for users, advertisers, publishers ko kisi ke bhi khilap ads dikhane or content likhne ki permission nahi deta hai.

Jis site par harass karne wala and bullying content share karta hai un par AdSense ads display karna allow nahi karta. Aap kisi ke khilap hatred content likh kar us par AdSense ads se earning nahi kar sakte.

Example, Ethnic Orgin, Religion, Disability, Gender, Age, Veteran Status, Sexual Orientation / Gender Identity and Kisi Person ke khilap likha lagaya content AdSense allow nahi karta. Kisi bhi group ko harm karne wale is tarah ke content par google AdSense ads allow nahi karta.

3. Recreational Drugs and Drug-related Content:

Google chahate hai ki people online and offline dono tarike se safe rahe. So google cause damage, harm and inury content ka promotion allow nahi karta. Isi wajah se google drugs and other nasha karne wale products content par AdSense ads allow nahi karta.

Kuch aese substance hote hai jo manorajan ke name par logo ki life barbad karte hai. Example, Cocaine, Crystal Meth, Heroin, Marijuana, Cocaine Substitutes, Bongs, Mephedrone and other legal highs. Google is type ka content share karne wali site par AdSense bilkul bhi allow nahi karta.

4. Alcohol Related Content:

Google Alcohol-related content par bhi AdSense ads allow nahi karta. Jo site alcohol jaise products ko badhawa deti hai or logo ki jindagi barbad karne wale products sell ya unka promotion karti hai ko google bilkul pasnad nahi karta.

Google aesi sites ko na search engine me dikhata hai or na hi aese content par AdSense ads allow karta hai. Additionally, Adsense publisher apni site par is category ka content share nahi kar sakte. Example, kisi alcohol bar ka promotion karna ya jis location par alcohol milti hai uska promotion karna AdSense content policy ka violation hai.

5. Tabacco Related Content:

Tabacco ke bare me aap sabhi jante hai. Bidi, Cigarettes, Cigars, Tabacco Pipes, Rolling Papers, Gutka, Pan Masala etc. kisi bhi type ke product ka promotion karne wali site par AdSense ads istemal nahi kar sakte.

Agar aapko AdSense use karna hai to aapko is tarah ke content ko avoid kar content policy ko follow karna hoga. Market me aese bahut se nashe wale items hai aapko unme se kisi ka bhi promotion nahi karna hai.

6. Healthcare Related Content:

Jo log illegal tarike se unapprove healthcare dawaye sell karte hai or unke pas uski koi govt permission nahi hoti hai. Google aese cotent par ad allow nahi karta.

Internet par aapko aesi bahut si sites mil jayegi jo aapko health ke bare me Fake Medicine sell karti hai. Uski medicine se hota kuch bhi nahi hai ulta logo ki body me problem ho jati hai. Ye kisi bhi person ke liye dangers hote hai.

So agar aap is type ke kisi product ka promotion karte ho ya is type ki sites play karte ho to aap us par AdSense ads istemal nahi kar sakte. Agar koi karta bhi hai to jaise hi google ko uska pata chalta hai google uska AdSense account suspend kar deta hai.

7. Hacking and Cracking Content:

Jin websites and blog par hacking and cracking ki information share ki jati hai un par AdSense ads display nahi kar sakte google ise allow nahi karta or ye google AdSense ki content policy violation ke sath sabhi countries me illegal bhi hai.

Bahut se log unauthorized tarike se server, software, apps, websites, blogs, social media account, whatsapp etc. ke bare me hacking article write kar apni site par publish karte hai. I know ki is type ke content par traffic jyada aata hai but ye google AdSense content policy ka violation hai or jaisa main upar bta chuka hki ki ye work illegal bhi hai.

Is tarah ek work se na sirf aapka AdSense suspend hoa balki kisi ke report karne par government se aapko punishment bhi mil sakta hai. Maine yaha aapko specially iske bare me point se bta deta hu.

  1. Facebook and Whatsapp account hack karne ki jankari share karna.
  2. Kisi bhi phone ya software ko unlock karne ki jankari.
  3. Free-to-air satellite channel ki jankari dena.
  4. Cell phone illegal access ki jankari share karna.
  5. Kisi bhi device ke bare me illegal information publish karna.
  6. Google ya YouTube videos ko illegal tarike se donwload karne ki jankari dena.
  7. Kisi bhi movies, videos series ya other material music ko bina permission liye illegal tarike se site par share karna.

Aesa koi bhi kaam karne par google aapke AdSense account ko suspended kar sakta hai or ho sakta hai aapki site ko humesha ke liye block hi kar de or site par se AdSense block hone ka matlab hai 50% earnings down ho jana ya fir aap full AdSense revenue par depended hai to aapka career barbad ho jana.

I know kuch log aesa karte hai or pichle kafi time se AdSense use karte hai. But jis time google AdSense team unki site ka review karegi unka AdSense disable ya block ho jayega.

8. Page That Offer Compensation Programs:

Aesi sites jo apne customers se servey complete karne, email read karne jaise work karwati hai or payment ka promise kar payment nahi karti google un sites par bhi AdSense ads allow nahi karta. So agar aap koi fake service wali site chala rahe hai ya fir blog par fake news contet share karte hai to abhi se ye sab band kar dijiye.

Example, is category me Pay-Per-Click, Pay-To-Click Pages, Pay To Surf Pages, Auto Surf Pages, Search for Charity Pages, Pay To Search Pages jaisa work karne wali site aati hai.

9. Violent Content:

Jin sites par Gory Images and Bloodshed, Fight Scenes, Gruesome and Freak Accident type ka images content share kiya jata hai un par bhi google AdSense ads use kar income nahi kar sakte.

10. Weapon Related Content:

Jin site par ammunition, gun parts, hardware, pistols, rifles, BB guns, sporting guns, air guns,blowguns, and stun guns se related jankari ya products sell kiya jata hai un par google AdSense ads allow nahi.

Ye work full illegal hai or is bare me bat karna bih galat hai. Main sirf itna kahunga ki is type ki jankari kabhi bhi apni site par share na kare.

11. Content that Enables Dishonest Behavior:

Google honesty and fairness ko support deta hai. So google aese content par AdSense ads allow nahi karta jis par mislead infomration share ki jati hai or users ko fake information de kar bevkoof banaya jata hai.

Mostly is line me news websites hoti hai jo jyada traffic pane ke liye site par fake news share karti hai. Google aesi site ko search engine or AdSense dono par se block kar sakta hai.

Iske alawa jo sites fake passport, false documents, diplomas and other identity card create karne ki jankari deti hai. Exam ke leak papers sales karne wali sites and kisi bhi tarah ki fraudulet information share karne wali sites par google AdSense ads allow nahi karta.

12. Illegal Content:

Google aesi kisi bhi sites par AdSense ads allow nahi karta jo apne country ke rules, other countries ki terms and kisi bhi tarah ka illegal content share karti hai.

Kisi bhi tarah ki counterfeit good sell karne wali sites, Illegal s*x-act, images, videos etc. ke bare me jankari share karne wali site par AdSense account disable ho sakta hai. Is bare me jyada btane ki jarurat nahi hai sabih jane hai ki illegal work karna danger ho sakta hai. I hope aap bhi aesa work kar content policy violation nahi karoge.

Conclusion,

Inme se kisi bhi tarah ki jankari share karne ya aapki site par is type ki jankari share karne ke bare me koi post hai to jaldi hi aapka AdSense account disable hone wala hai. Google pichle kafi time se is par kam foucs kar raha tha but ab google action le raha hai or is tarah ka unwanted content share karne wali sites par se AdSense disable kar raha hai.

Agar aap chahate ho ki aapki site par AdSense bana rahe or aap future me bina kisi problem ke AdSense service use kare to aap upar btayi AdSense content policy ko sah ise follow kare.

Is jankari ko other blogger and AdSense publisher ke sath share jarur kare. Don’t worry isme bas 2 second ka time lagega or aapki wajah se kisi or ki help ho jayegi.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (154)

  1. Avatar for ZishanZishan

    कृपया मुझे बताये की क्या मैं अपने ब्लॉग का पेड प्रमोशन (एडवरटाइजिंग) कर सकता हूँ, इससे मेरे गूगल एडसेंस में कोई फर्क तो नहीं पड़ेगा? जैसे – गूगल एडसेंस या तबूला में अपने ब्लॉग आर्टिकल के विज्ञापन करू और साथ में मैं अपने ब्लॉग में एडसेंस का विज्ञापन भी दिखावूं? क्या यह पॉसिबल हैं? इससे मेरा एडसेंस अकाउंट ब्लॉक तो नहीं होगा न? क्यूंकि मैंने बहुत से वेबसाइट, ब्लॉग, न्यूज़ वेबसाइट को देखा हूँ? कृपया बताये…

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      Google adsense paid promotion allow nahi karta.

      • Avatar for ArunArun

        Nice post sir

  2. Avatar for Nitin KumarNitin Kumar

    Bhai jab me Adsense ka code ke bich paste karta hu to google ka ads pure website me aa jata hai.

    Me chahata hu ki google ka ads bas post ke sidebar me aaye per ads post ke bich me aa jata hai aur wo bhi bahut sare ads khud ba khus.

    home page pe bhi ads aa jata hai. me bas head me code dala aur ek code post ke sidebar me bas.

    aisa nahi ho sakta hai ki mere ads bas post ke sidebar me aaye aur kahi nahi?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Sidebar me ad show karna hai to sidebar widget me adsense ad code add karo.

      • Avatar for Nitin KumarNitin Kumar

        Bhai wo add ho jata hai per me adsense ka code add karne ke karan pura website me jaha taha ads show hone lagta hai usse muje rokna.

        jaisa ki apke post me bhi hota hai jaha taha ads aa raha usse rokne ka koi tarika hai kya

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          It’s random ad, aap ad ki location set karo fir wo usi jagah par show hoga, like after paragraph, before paragraph.

        • Avatar for sahin bllogersahin blloger

          thnx vai bohot accha se samjahe ho..mera website ghum ane ki invited karta hun

  3. Avatar for RaviRavi

    Sir agar hmaari post paid contant per hai
    Mtlb post me affilate marketing ya kisi product ya website ya kisi software ka promotion ho rha hai to adsense ki ad lga sakte hai os post per

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes laga sakte ho but affiliate links ka jarurat se jayda istemal mat karna.

  4. Avatar for HaroonHaroon

    Sir aap related posts ki konsi plugin use karte ho. Between the posts and after the end of the posts. Some More Great Posts For You:

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Main iskel iye koi plugin istemal nahi karta or please next time post se related comment hi kare.

  5. Avatar for A Rohitash PanwarA Rohitash Panwar

    Hello jumedeen sir, m BigLoot.in ka admin hu or mene bahut se “blogspot helper” wali site se help mangi h lekin wo jawab hi nahi de rahe h. Ab m aapki site pr aaya hu agar time ho to reply jarur karna.

    Sir aap meri site BigLoot.in check kare or bataye ki isme kya kami h kyonki is pr adsense approve hi nahi ho raha hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site par traffic nahi hai isiliye adsense approve nahi ho raha hai. Second aap post se unrealted comment kar rahe ho koi bhi ise approve nahi karega.

  6. Avatar for samay singhsamay singh

    kya har websites k liye alag -alag AdSense account hota h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ek hi adsense ke ads apni sabhi sites par use kar sakte ho.

  7. Avatar for Yash mehtaYash mehta

    Hello sir, Aapne kha tha ki ab se mai pure hindi me post krunga kyoki hinglish ko google value nahi de rha hai to aaj aapne ye post hinglish me kyo likhi hai please btaiye na.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dear yash ye old post hai. Isko update kiya gaya hai.

  8. Avatar for RAHUL KUMAR SINGHRAHUL KUMAR SINGH

    Sir ye baat too sahi ni hai ki comment show ni karte ho.chalo koi baat ni mt karo but msg ka ans to de sakte ho.aap ke liye imp. ni lagta hoga ans dena but kisi ko us ans ki bahut value hai wo msg maine 30 minute me likha tha.uper se aap bahut acche ho undar se aap aise ho?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Rahul ji mujhe aapka koi message nahi mila agar milta to reply jarur karta.

  9. Avatar for kashifkashif

    what is doubleclick for publishers sir is par bhi ek post likh dijiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok jarur likhunga.

  10. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    hello sir,
    sir siteliner copy content sahi check nahi karta kya ,
    jab mai content check karta hu to bo meri jo post hai un sabhi ko broken link bata raha hai , or sir agar mai post mai post le url remove kar dunga to meri to post hi remove ho jayegi ,

    ek question or sir ,
    ye common content kya hota hai , sir mere content check karne par , siteline summary me , copy content 9% ,commont content 39% , unique content 52 % unique bata raha hai jabki maine jo bhi post likhi hai , aise kisi or website par post hai hi nahi . tab bhi aise kyu bata raha hai ,..
    sir common content kya hai batana . plss sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dear suresh aap ek bar broken link ko achhe se samjh lo aapki problem solve ho jayegi. Aapko psot se link delete nahi karne hai sirf bkear ke links ko theek karna hai. Like 404 page error.
      Common content ka matlab hota hai ki aapki site par ek hi content kei jagah par hai. Siteliner free me full report show nahi kart full reprot dekhne ke liye paid plan lena hota hai.

  11. Avatar for Sonu KumarSonu Kumar

    Sir, After page title aapka jo ad show kar raha hai us type ke ad ke liye mi apni website -www.healthnuskhe.com pe kaun sa adunit use karu. aisha ad mere website pe show nahi ho raha iske liye koi specific coding karni padti hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Link ad unit.

  12. Avatar for Hardeep KumarHardeep Kumar

    Hello sir pichle month ki meri adsense ki earning mere account ke total balance me show nahi ho rahi hai. pehle to month ki first date ko total balance me add ho jati thi ab kyu nahi ho rahi pls bataye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Wait ek do day me show hon lag jayegi.

  13. Avatar for Sonu RajputSonu Rajput

    Bro .. Sabse pahle thanks jo Aapne Adsense Policy se Related Post Share ki ..

    Mujhe Ye Janna Hai ki Maine Bhi Kuch Aise 2 se 3 Post published ki Hui hai , Agar Mai In Post Mai se Sabhi Ads Remove Kar Du or Post Ko delete Na Kari to Kya Phir Mai Violation se Safe Rahuga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes aap aesa kar sakte ho.

  14. Avatar for surajsuraj

    sir question hai ki aap apne posts me jo photo lagate ho wo google se download kartehho phir wo copyright kyu nhi hoti images

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Suraj main mostly image khud banata hu or jo image main bana nahi sakta wo usi ki use karta hu jiske bare me post karta hu usi ki iamge use karta hu jaise ye post adsense ke bare me hai to maine isme adsesne ki iamge add ki hai. Direct google s eimage use karne me problem hoti hai. Aap jiske bare me post likho uski image use karo no problem kyuki isse aap usi ka promotion kar rahe ho.

  15. Avatar for nehaneha

    sir kya aap bata sakte hai google algorith update ka affect kab hoga mera traffic pe bahut effect pada hai plz help sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main iske bare me jaldi hi post likhne wala hu.

  16. Avatar for Hussam AnsariHussam Ansari

    bro aapne jo sitemap page banaya hai wo kis plugin se kiya hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yoast plugin se.

  17. Avatar for RAHUL KUMAR SINGHRAHUL KUMAR SINGH

    Hello SIR,
    SIR mai ek site bana na chahta hu jiske liye maine kuch plans final kiye hai. Please SIR aap ek baar dekh kr pass kar dijiye ki ye sab plans ek site bana ne ke liye ok hai ya phir kuch extra plan add karna hai.
    Plan type-
    Hostgator India se saare plans lene hai.
    1-Domain lena hai- 699/year
    2-Enabling Privacy Protect- 299/year
    3-Baby Multi Domain Linux Hosting (India) 1 month- 495/month
    4-SL-Basic (Sitelock)- 1548/year
    5-CG-Basic (CodeGuard)- 948/year
    6-Positive SSL (SSL Certificate Digital Certificate)- 1452/year
    TOTAL- 5441
    TAX- +598
    COUPON DISCOUNT- -99
    GRAND TOTAL- 5880.65/-
    Ye to rahe plans ek site ko bana ne ke liye ab c-panel pr wordpress pr install karne ke baad theme ko add karna hai jiske liye aap ki theme mujhe bahut hi acchi lagti hai jisko buy karna hai.
    GENESIS FRAMEWORK THEME ko studiopress ki official site se purchace karna hai.
    1-genesis framework theme price-$59.95 (4007.96/- indian currancy) by paypal.
    ab saara total karte hai too -5880.65+4007.96=9888.61/year hota hai.
    My Questions-
    1-Kya mere saare plans sahi hai ek acchi site bana ne ko?
    2- kya genesis framework theme ko ek baar hi purchace karna hai life me?
    NOTE-mai jada budget hone ki wajah se baby plan ko 1 month ko le raha hu jo future me renew kara lunga.
    I HOPE AAP MUHE ANSWER DENGE.
    THANKU SIR!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Wrong process. Aap abhi sirf ye steps follow karo new blogger ke liye itna kafi hai.
      1. Godaddy se rs99 ya rs131 me domain mil jayega.
      2. Hosgator ka baby plan le lo chalega. Yes 1 month ka hi plan lo taki problem ho to change kar sako.
      3. SSL aap cloudflare ka free wala use karo ya godaddy se le lena jo first year only 400 me ssl certificate provide karti hai.
      Baki kisi ki jarurat nahi sabko avoid karo.
      Genesis theme aap tab buy karna jab aap blogging se kamane lag jao abhi mythemeshop ki koi free wali theme use karo. Yes genesis ko ek bar hi pay karna hota hai.
      Finally, aapko domain+hosting maximum 1000 pay karna hai. Baki aapki marzi main yahi suggest karunga.

  18. Avatar for deepak kumardeepak kumar

    Hi sir I am regular User of your site.
    I have some questions –
    1. kya ham adsense per blogspot blog or YouTube chanel dono ek sath use kar sakte hai.
    2. ham apne adsense per kitne blogspot blogs add kar sakte hai.
    3. Kya ham post ke bich me bhi ads code past kar sakte hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Yes but uske liye aapko blog me custom domain add karna hoga free example.blogspot.com se nahi kar sakte.
      2. jitne aapke pas hai.
      3. yes kar sakte ho.

  19. Avatar for NitinNitin

    1. Sir aap konsi theme use karte ho.
    2. sir maine cloud flare se free SSL certificate luya tha or sir batae ki isko thik tarike se work kar raha hai ya nhi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. genesis.
      2. maine cloudflare wali post nme iske liye 3 sites di huyi hai un par check karo.

  20. Avatar for md shahidmd shahid

    sir ek sawaal hai aap kehto ke kisi ke blog copy paste karne se koi phayda nahi hota tu aap mujhey ye bataye ke mai ne bohat se other blog dekha hai jo dusre ka content ko same to same copy kar ke apney blog me laga rakha hai or na sirf unke blog pe accha traffic hai balke unka blog google adsense se approved bhi hai to vo log kaise kar rahe hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jaldi hi unka traffic kam or adsense bann ho jayega.

  21. Avatar for JandailJandail

    Sir,

    humari pc 0.04 se uper nahi ho ri hai. ads bhi only 4 image/text and 2 link lagaye !! kya kare ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap humari adsense wali post read kare.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Process complete nahi huyi hai aap fir se try kare or kcuh time wait kare redirect ho jayega. Agar fir bhi na ho to domain setting me ja kar www ke dns record add karn lena.

      • Avatar for Abhinav Ranjan JhaAbhinav Ranjan Jha

        dns record kaise hoga?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Blogger se hume do dns record milte hai. Ek www wala oe ek googlehosted wala. Aap dono ko sahi se domain dns setting me add karo.

  22. Avatar for imranimran

    hello bhai meri ek problem hai main adsens m url submit kra pr wo url m mistake ho gayi
    submit kr na tha (superhitstatus.in) pr submit ho gaya (superhitstaus.in) lekin ab code show ho rha hai submit krne ka box nhi aa rha hai. or m use code ko website m add kr rha hu pr koi response nhi mil rha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No problem aap site ka sahi URL fir se add karo or galat url ko unverified kar do.

  23. Avatar for Zishan ali gulzarZishan ali gulzar

    Sir. Jab maine ssl certificate install kiya uske bad social sharing count ya post like zero ho gaya.. ise recovry karne ka koi upay he. Ya auto recovery hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye aap social warfare paid plugin use karo.

  24. Avatar for Qasim ButtQasim Butt

    Bhai Me apke bate me ek professional Article likhne laga hun Wikipedia pe , So Mene apke Bare me perha he sara to ab me apke bio wikipedia pe page banane laga hun To kia ap Mujhe isski Ijazat Dy Sakty he , Jab Page Ready Hoga To me apko Usska Link Dunga To ap check Karke Batana ke sahi he. Ok Reply

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thank you qasim. Mujhe ek bar bta jarur dena.

      • Avatar for Qasim ButtQasim Butt

        Bhai thanks ki zaruat nahi , bs ap mujhe apni date of birth or jahan ke ap ho i mean city wo bata den.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Main aapko mail par contact karta hu.

  25. Avatar for tanushkatanushka

    Sir kuch dino se hamare blog me pure add load nahee ho rahe hae. kya reason ho sakta hae ??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap chrome browser me check karo or problem hai to mujhe btao.

  26. Avatar for niteshnitesh

    Jumedeen ji yadi hm hr ek post pr new ad unit lgate hai to koi problem hai kya aisa krne se hr ek post se hui income ka pta chal jayega kyuki google adsense pages pr hui click ko shi se track nahi kr pta

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aesa nahi karna hai. Bahut jyada d unit create karne par google aapke account ko block kar sakta hai.

  27. Avatar for Md shahidMd shahid

    Sir google adsense ke baad sabse accha adnetwork koun sa hai jiski ads blog me laga ke money earn kar saku

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Chitika, bidvertiser, adnow, media.net bahut hai.

  28. Avatar for swetasweta

    It is a very nice blog. Thanks for sharing. keep post like these article.

  29. Avatar for Akash ChaudharyAkash Chaudhary

    Thanx for this article it’s very helpful for me

  30. Avatar for pramodpramod

    hii brother
    it’s very helpful article for me
    thanks for the sharing

    but i have one little question

    kya health tips denese adsense ban ho jayega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Galat and fraud jankari dene se banned ho sakta hai.

  31. Avatar for imranimran

    bhai ek problam ho gayi hai mene aj bank se confrm kra to ab unohone mujhe alag swift code btaya lakin adsense ne payment send bhi kr di hai Is Wale Swift Code Pr (kkbknibb),

    Payment Is Wale Swift Code Pr Send Hui Hai – (kkbknibb)
    Lekin Correct Swift Code ye hai (kkbknibbnri)

    Plz Btaye M Kiya Karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Very bad. Ab aap wait karo ho sakta hai payment aapke adsense account me wapis aa jaye warna or koi rasta nahi hai.

      • Avatar for imranimran

        bhai kitna wait karna padega mujhe refund ke liye

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Its depend on google.

          • Avatar for imranimran

            hello bhai meri payment adsense wapis aa gyi hai main payment ko re-issue kese kru – mtlb ki bank M Payment send krne ke liye kiya karu

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Payment details sahi se feel karo or right bank account details add karo next month payment mil jayega.

  32. Avatar for JandailJandail

    Sir !!!

    mene kuch sites se videos and download links liye hai apni post me but mene unka footer me credit diya hai tab aisa karne se mere AdSense par koyi fark to nahi padega ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No problem.

  33. Avatar for imranimran

    hello bhai agr mere AdSense m mobile no alag hai or bank account m alag hai to isse koi problam to nhi hogi na payment ke liya AdSense m . payment mangwane m – india m

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi mobile number se koi problem nahi hai name and address same hona chahiye.

  34. Avatar for Yogesh TulaniYogesh Tulani

    Nice post, Sir maine 20 din pehle ek new site bnai jiska alexa rank 2 crore+ hai.. 5-6 good seo posts dali yoast ki help se and traffic v diya seo se par mera rank bilkul v kamm jada nhi hua wahi atka hua hai,
    please help/suggestion dijiye kafi preshan hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Alexa is not important, So avoid it and foucs on your work.

  35. Avatar for PrashantPrashant

    sir mari laptop mai intel (R) HD graphics 4000 install hai kya mai ise remove kar mai new intel (R) HD graphics install kar shakta hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske bare me aap computer expert se bat kare.

  36. Avatar for imranimran

    Hello Bhai JDK mene kyi Website pr Dekha Hai ki Log Bata Rhe Hai ki Adsense 15-20 day bata rhe hai india m AdSense payment Receive karne Ke Liye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Imran question pura likho taki main theek se reply kar saku.

    • Avatar for imranimran

      AdSense wire transfer : apne bataya thi ki 5 se 7 din tak payment mil jayegi pr mujhe 8 din ho gaye hai payment bank account m nhi ayi hai abhi tak, fir m ek website pr gya waha us website wale ne update kr rakha tha ki 15-20 din tak lagte hai indian users ko payment milne m AdSense s. kiya y sahi hai ? . or mene apne bank ka ifsc code swift code or bank account no sahi add kiya hai.

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Google ke payment send karne ke bad payment 2 to 5 day me aapke account me aa jata hai. But kei bar bank porcess complete na hone par time lagta hai. Aap iske bare me apni swift code wali bank se contact kare.

  37. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    sir aapki help chahiye.. aap meri website open kar ke dekho usme h1, h2, h3 sbhi ka font size same hai so mai ye chahta hu ki aap sabhi ka alag alag css code bana kar de do.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog ki template par jao or h1, h2…. bari bari search karke sab me se font-size: 30px coding ko remove karo.

      • Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

        sir aap css code bana kar kar de dijiye.. kyu ki meri css coding kuch iss tarah hai–

        .entry-content h1, .entry-content h2, .entry-content h3, .entry-content h4, .entry-content h5, .entry-content h6 {
        margin-bottom: 20px;
        color: #000;
        font-style: normal;
        font-weight: 700;
        font-size: 30px;
        line-height: 1.1em;
        font-family: playfair display;
        so plz aap sbhi tag ka alag alag css code bata dijiye.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Deepak isi ki to kaha raha hu isme se font-size: 30px; cod ko remove karo.

          .entry-content h1, .entry-content h2, .entry-content h3, .entry-content h4, .entry-content h5, .entry-content h6 {
          margin-bottom: 20px;
          color: #000;
          font-style: normal;
          font-weight: 700;
          font-size: 30px; remove it everywhere.
          line-height: 1.1em;
          font-family: playfair display;
          • Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

            sir bura mat naiyega but aap ek non professional bloggers ki tarah bina question ko samjhe reply de rahe ho… mai kabhi se ye kahna chah raha hu ki mere blog ki css coding aisi hai ki usme h1 se lekar h6 tag sabhi ka font size 30 px hai. jo ki maine aapko css coding bhi send ki hai. aur aap ye kah rahe ho ki font size 30 px remove kar ke jo font rakhna ho wo kar do.. but aisa karne se koi solution nahi niklega kyu ki sabhi tag ki font size fir bhi same hi rahegi.

            islea mai aapse yahi kah raha tha ki agar aap sabhi tags ki alag alag coding bana kar de sakte ho to de do. jisme h1 tag ka font size alag, h2 , h3 ,h4 … h6 ka alag font size ho.

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Deepak meri ek problem hai ki main short me answer deta hu. Aap please samajhne ki koshish kiya karo.
            Aapke blog me sabhi heading ka size sahi hai bas unme font-size:30px extra code add hai. Maine already aapki blog ka review akrke hi aapko ye trick btayi hai. Abhi aapka lbog check kiya hai apane abhi tak ye code remove nahi kiya. Agar aap kisi method ko follow nahi karoge to problem solve kaise hogi. By the way, aapse ye nahi hoga. aap ek kaam karo ye code blog ki CSS coding me add karo or page refiresh kar check karo problem solve oh jayegi.

            h1{font-size:32px!important}h2{font-size:28px!important}h3{font-size:22px!important}h4{font-size:18px!important}h5{font-size:16px!important}h6{font-size:14px!important}
  38. Avatar for umeshumesh

    jume deen bhai kya hum jis website se AdSense disable ho gaya he.
    usi site se kisi dusre(bro..) ke naam par AdSense create kare to ho sakta he.
    waise to mera AdSense YouTube channel ke wajah se disable hua tha.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar AdSense ne aapki site ko banned nahi kya to kar sakte ho.

  39. Avatar for UmeshUmesh

    @ Jumdeen,

    Maine read kiya tha, ki google jo hai wo blogger ke liye AdSense se honi wali earning me se 55 revenue blogger ko deta hai aur 45 apne pass rakhata hai, to wahi dusari aur WordPress wale site ke liye hone wala jo revenue hai jo AdSense se hota hai, usme se 70% WordPress ko deta hai aur 30% apne pass rakhata hai.

    Kyon ki hum blogger par free google ki hosting use karate hai isliye ye difference hai kya ye sahi ya nahi ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aesa nahi hai. Google already AdSense earning me se commission leta hai fir blogger se commition kyu lega or agar aesa hota to custom domain ka option blogger me nahi hota. Second earning AdSense me count hoti hai na ki blogger par.

  40. Avatar for nitesnites

    Bhai yadi hm sidebar aur main website ke title yani ki top pr se AdSense ke ad hta le aur sirf Post me ad lagaye to cpc pr kya frk pad sakta hai aur yh theek hai ki nahi kyuki side bar tk mobile user scroll ni kr pate aur yadi post ke pehlr hi user ad pr click krke dusri site pr chala jayega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mobie users ke liye sidebar me ad use karne se clicks kam milte hai. Aapki site par mobile traffic jyada hai to aap sidebar ads remove kar sakte ho.

  41. Avatar for NishaantNishaant

    Thanks…..for……… Support

  42. Avatar for kamlesh pariharkamlesh parihar

    Sir jee bing me mere all post index ho chuki hai lekin abhi tak search me nahi aa rahi hai. aur google me bhi 10 din ho gaye hai. new post search me nahi aa rahi hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki post search me aa rahi hai aap site:example.com se search karo.

  43. Avatar for UMESH KUMARUMESH KUMAR

    hello sir m ye Janna chyta hu ye Jo tumhre website me ads ate h app downloading Ads by Google ata h or ye recharge airtel idea ke banner kha se ate h sir please tell.me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye google ke ads hai.

  44. Avatar for Rohit ChaudharyRohit Chaudhary

    Bhai aajtak aapne apne sabhi blogging tricks humse share kiye lekin aaj first time hua hai ki aapne yeh ad blocker script humse share nahi kiya. Maine iss bare me aapse kitne baar request kar chuka hu lekin fir bhi nahi koi baat nahi bhai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Rohit iske bare me bhi post karunga jab karunga to aap use kar lena.

  45. Avatar for rajraj

    sir maine blog ka layout open kiya usme add a gadget ka option nhi a rha hai. kya kare gadget kaise add kare.maime abhi new template add kiya hai. bataiye add gadted ka option kaise enable kare.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Template change karo option aa jayega.

  46. Avatar for Rohan MehraRohan Mehra

    bhai aapke site ko achhikhabar.com ne mention kiya hai. Main jis link se comment kar raha hu uss link pe visit kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mujhe iske bare me kafi time se pata hai.

  47. Avatar for NishaantNishaant

    Hello My name is Nishaant.
    my question is that Webmaster tool me data highlighter feature ka kya use hai Kya mujhe iss feature ko use karna chahiye aur agar hai toh iska Kya benefit Hogan mujhe .
    explain it.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye feature google search look improve karne ke liye hota hai. GWT me data highlighter par jao or “Improve your look in search” me results ka screenshot dekho aapki post google me is type se show hogi.

  48. Avatar for shyam sundar mondalshyam sundar mondal

    jume deen jee mai ek medicine ke side effect ke bare me ek article publish ki hai, please aap dekh kar bataye ye article me kai problem hai ki nehi AdSense ke liye. kai problem hai to please bataye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Shyam main medicine me bare me sirf itna kahunga ki fake jankari or medicine share mat karna.

  49. Avatar for ANOOP VAISHANOOP VAISH

    hello sir
    aaj mera adsens aprrove ho gaya hai
    ab mujhe kya karna chahiye
    sir mere blog par ek post hai ki YouTube se video bina software ke kaise download kare
    kya ye adsens ke policy ke khilaf hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes us post ko delete kar do.

  50. Avatar for kumarkumar

    Amazing and pure content article you are trying to put all information at single place. Its really helping article iam also writing 1000+ content article and care seo so that i got good keyword traffic visit sachhiprerna for personal development and telekinesis knowledge

  51. Avatar for sudesh kumarsudesh kumar

    bhai google webmaster tool me 2 error aa rahe ahi
    1. Duplicate meta descriptions (2)
    2. Missing title tags (1)
    inko kese solve karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Aapne do post ya page me ek hi meta description add ki hai use change karo.
      2. Kisi post ya page par title nahi hai uska title set karo.
      ono ke link bhi diye honge unhe edit kar theek kar lo.

  52. Avatar for yashdeep vitthalaniyashdeep vitthalani

    aap ka site shoulmeloud se fast hai aapka konsa hosting use karte ho ho uska plan kya hai
    muje bhi yahi chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hostgator.com VPS server

      • Avatar for yashdeep vitthalaniyashdeep vitthalani

        thank you
        konsa plan hai agar aap bata sakte ho to kaho varna koy baat nahi hai

        aur aapke site main ek acchi baat ye hai ki aap reply sabko dete ho aap hamare jese k liye google se ache ho

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Snappy 4000

          • Avatar for vitthalani yashdeepvitthalani yashdeep

            thanks

            main ne onhindi ka channel start kiya us se phele muje domain lena tha to main lene gaya us ke phele kisi ne le liya ab maine ohindi.in liya hai aur mere pass facebook url hai youtube onhindi url hai to aage koy problem aa sakti hai .in hai to

            us bande ko maine call kiya to usne bolo usko nahi bechna hai .com

            mere friends bol rahe hai .in se problem ho sakti hai per muje nahi lagta hai

            aapka opinion kya hai

            mera content aapki site se milta julta hi hoga muje aapka opinion dijye

            thank you once again

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Problem to kuch nahi hogi but log .in se jyada .com ko pasand karte hai isliye aapke blog par kam traffic hoga or user aapko uska copyrighter manenge. Mera suggetion hai ki aap domain change kar le.

          • Avatar for vitthalani yashdeepvitthalani yashdeep

            okay

            per main abhi to .in main try karunga abhi 1-2 months baad start karni hai vo

            thank you

  53. Avatar for HimanshuHimanshu

    nyc info. thx for sharing this.

  54. Avatar for Sohan singhSohan singh

    Hi friend mene ssohan00@gmail.com is I’d se YouTube channel banaya tha or AdSense account dusri gmail ID se vo he singhissohan@gmail.com se
    Or mene ek blog banaya ssohan00@gmail.com is I’d se http://www.jewellersmaina.com or iska AdSense account bhi ssohan00@gmail.com is I’d se hi banaya or dono thik se chal rahe the
    Lekin mene ek post padi thi jisme likha tha ki ki YouTube channel or blog dono ko ek hi AdSense account se connect kar sakte he uske bad mene dono ko ssohan00@gmail.com is I’d vale AdSense account se connect kar diya or uske bad mere dono AdSense account disable ho gay or YouTube monetization bhi disable ho gaya plz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko AdSense ka koi mail mila hai to wo mail dikhao.

  55. Avatar for Rohan MehraRohan Mehra

    jdk mere blog pe daily 2000 pageviews hai aur traffic google se hai aur mere sabhi post 1000+ words ke hai lekin cpc 0.03$ hai kya karu ? Kya wajah ho sakti hai please koi accha solution batao please sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Rohan bina blog check kiye kya bta sakta hu aapne link mention kyu nahi kiya.

  56. Avatar for vicky rajputvicky rajput

    1.sir jis gmail id se YouTube channel aur AdSense account hai,agar kisi karan channel ko band karte hai,ya fir copyright ke karan band ho jaati hai,toh is se AdSense account par effect padega.ya fir YouTube channel ke sath-sath AdSense account bhi band ho jayga.
    2.agar mere 2 alag-alag YouTube channel hai,alag-alag gmail par ,toh mai kya inhe ek hi AdSense account se connect kar sakta hu
    3.jis gmail id se YouTube channel hai,usi id se AdSense accout banana jaruri hai,ya fir dusra bhi use kar sakte hai,kaun sa best option rahega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Agar aap YouTube ke sath AdSense policy violation karoge to AdSense disable hoga warna only YouTube hoga.
      2. Yes jod sakte ho.
      3. Nahi jaruri nahi hai. Yes kar sakte ho.

  57. Avatar for Rahul singhRahul singh

    bahut badiya sir aap ne bahut se blogger ke sapno ko bacha liya sir .
    yesi post karne ke liye bahut bahut thanks…

  58. Avatar for Yogendra SinghYogendra Singh

    aapki post me jaankari bahut achchhi hai.

  59. Avatar for NirajNiraj

    bahut achi information hare ki hai aapne
    bhai ye jo aapne post me social sharing button laga rakhe hai kya aap iska html code de sakte ho please….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye html code se nahi php code se bane hai.

  60. Avatar for omkumar agarwalomkumar agarwal

    Sir inappropriate content ke baare me bataiye pls

    Ye mere blog me kaha par hai aur ise kaise delet karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agarwal aapki site par unwanted content hai. Main iska jawab aapko old comment par kar chuka hu please comment repeat mat karo.

  61. Avatar for kamlesh pariharkamlesh parihar

    Sir mere aaps kuch pahle wale hi sawal hai

    1. 1 month hone par bhi google analytics me thik se page views show nahi ho rahe hai.

    2. 10 din baad bhi post search me nhi aa rahi hai.

    3. bing me all post endex ho chuki hai fir bhi search mein nahi aa rahi hai.

    4. kya mein post ko search me laane ke liye Fetch a google ka use karun.

    plz replay

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Theek se report show nahi ho rahi hai. Matlab.
      2. Aap jis topic par post likhte ho first us topic par pahle se likhi gayi posts ka review karo or unse behtar likho tabhi search me aayegi.

  62. Avatar for afzalafzal

    Sir mere blog par ads show nahi ho rahe android mobile etc main mobile devices me nahi show note. Computer PC laptop me show hote hain , ad unit bhi responsive create kiye hain , mere sath 2016 ke end me ye mslaa start howa hai koi suggest h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site par koi ads show nahi ho rahe kyuki aapne blog par koi ad code nahi laga rakha ek lagaya hai wo bhi crack hai. Ad code sahi se lagao.

  63. Avatar for JasimuddinJasimuddin

    Mera new post me to 1500 se jyada word hai. lekin kyu nehi araha hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki jin post me 1000+ words hai un ke title same title wali post already google me hai aapko unse behtar work karna hoga. Second aap kuch aese topics par likhe jin par pahle kisi ne post na likhi ho.

  64. Avatar for DEEPAKDEEPAK

    MERI SITE ENME SE KISI ME NAHI AATI HAI

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Point number 8 se bach kar rahna.

  65. Avatar for gourab dasgourab das

    hello sir.inme se main ek vi content aur apke likhe huye har ek bat jo policy ko ignr hota ho main aisa kuch vi nhi likhta hu aur na hi share krta hu.

    sir mera ek prblm he jo mene apko apke email pe send kia h.plz sir email pe chk kijiye aur reply kijiye.plz sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok check mail after 10pm

  66. Avatar for JasimuddinJasimuddin

    mera ek sawal hai. isse pahele jo post published karta tha wo search engine me aayaa. lekin aab published karne ke bad kyu nehi araha hai. ye Google ka koi technical kam chaler raha hai kya ?
    isse pahele koi post published karne ke bad search engine me aaya lekin ab new post published karne ke bad nehi araha hai. Google ka koi technical issue hai kya ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki post me pure 300 words nahi hai to search me kaise aayegi.

  67. Avatar for helpbloggerhindihelpbloggerhindi

    Aap to khud YouTube video download ko lekar post kiya ho.. ?? aap kya AdSense pe permission liya ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      I’m not a special. Main policy violaqtion karunga to mera bhi AdSense block hoga. Mai wo post delete kar chuka hu.

  68. Avatar for Rohit ChahudharyRohit Chahudhary

    bhai aapke hisab se kaisekare.in ko daily kitne pageviews receive hote hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      I don’t know.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...