Google Adsense Content Policy Violation – Full Guide in Hindi

Learn More About the Adsense Content Policy: Google bad product ko promote karne wali 47,000 sites and unwanted ocntent share karne wali 15,000 sites ko block or lagbhag 6,000 accounts ko suspend kar chuka hu. Agar aap AdSense publisher hai to aese me aapka ye janna bhaut jaruri hai ki AdSense kis tarah ke content par ads allow nahi karta or kis type ke content material par AdSense disable ho sakta hai. Is article me main iske bare me details se bta raha hu. Ye guide har ek google AdSense user ke liye important hai.

Google Adsense Content Policy Violation

Kuch log sirf AdSense se earning karne ke liye unwanted content write karte hai. Isme dusro ka content copy karna, short content wirte kar maximum ad placement karna, Wrong place par ad dikhana jaise AdSense content policy violation ki wajah se AdSense disable ho sakta hai.

Online earnings ka google AdSense ek main source hai or mostly website owner and blogger AdSense ka istemal karte hai but hum har type ke content par AdSense ad istemal nahi kar sakte or iske liye hume google AdSense ke policy, terms follow karni hogi warna AdSense account suspend ho sakta hai.

Janiye Kis Tarah Ke Content Par AdSense Disable Ho Sakta Hai – Content Policy in Hindi

What is the AdSense content policy? main yaha aapko jo AdSense ka violation karne wale content ke bare me bta raha hu wo rules mostly adsesne publisher ke liye hai but sath hi ye aapki site ki value increase karne ke bih kaam aayenge aap AdSense publisher nahi ho to bhi aapko is type ka content share nahi karna hai.

1. Adult Content:

Jis site par adult content like Pornography images, videos, games, cartoon, Sexually Gratifying Content, Sexual Tips and Health, Adults, or Mature content share kiya jata hai un par AdSense ads use nahi kar sakte.

Google is type ke content par bilkul bhi ads allow nahi karta or agar koi AdSense publisher is type ka content share karta hai to uska AdSense account jaldi hi suspend ho jayega. Sath hi aap aese content par (AFS) yani AdSense fo search boxes bhi use nahi kar sakte.

2. Content That Advocates Against an Individual, Group and Organization:

Google strongly expression freedom me believe karta hai isiliye adsesne network for users, advertisers, publishers ko kisi ke bhi khilap ads dikhane or content likhne ki permission nahi deta hai.

Jis site par harass karne wala and bullying content share karta hai un par AdSense ads display karna allow nahi karta. Aap kisi ke khilap hatred content likh kar us par AdSense ads se earning nahi kar sakte.

Example, Ethnic Orgin, Religion, Disability, Gender, Age, Veteran Status, Sexual Orientation / Gender Identity and Kisi Person ke khilap likha lagaya content AdSense allow nahi karta. Kisi bhi group ko harm karne wale is tarah ke content par google AdSense ads allow nahi karta.

3. Recreational Drugs and Drug-related Content:

Google chahate hai ki people online and offline dono tarike se safe rahe. So google cause damage, harm and inury content ka promotion allow nahi karta. Isi wajah se google drugs and other nasha karne wale products content par AdSense ads allow nahi karta.

Kuch aese substance hote hai jo manorajan ke name par logo ki life barbad karte hai. Example, Cocaine, Crystal Meth, Heroin, Marijuana, Cocaine Substitutes, Bongs, Mephedrone and other legal highs. Google is type ka content share karne wali site par AdSense bilkul bhi allow nahi karta.

4. Alcohol Related Content:

Google Alcohol-related content par bhi AdSense ads allow nahi karta. Jo site alcohol jaise products ko badhawa deti hai or logo ki jindagi barbad karne wale products sell ya unka promotion karti hai ko google bilkul pasnad nahi karta.

Google aesi sites ko na search engine me dikhata hai or na hi aese content par AdSense ads allow karta hai. Additionally, Adsense publisher apni site par is category ka content share nahi kar sakte. Example, kisi alcohol bar ka promotion karna ya jis location par alcohol milti hai uska promotion karna AdSense content policy ka violation hai.

5. Tabacco Related Content:

Tabacco ke bare me aap sabhi jante hai. Bidi, Cigarettes, Cigars, Tabacco Pipes, Rolling Papers, Gutka, Pan Masala etc. kisi bhi type ke product ka promotion karne wali site par AdSense ads istemal nahi kar sakte.

Agar aapko AdSense use karna hai to aapko is tarah ke content ko avoid kar content policy ko follow karna hoga. Market me aese bahut se nashe wale items hai aapko unme se kisi ka bhi promotion nahi karna hai.

6. Healthcare Related Content:

Jo log illegal tarike se unapprove healthcare dawaye sell karte hai or unke pas uski koi govt permission nahi hoti hai. Google aese cotent par ad allow nahi karta.

Internet par aapko aesi bahut si sites mil jayegi jo aapko health ke bare me Fake Medicine sell karti hai. Uski medicine se hota kuch bhi nahi hai ulta logo ki body me problem ho jati hai. Ye kisi bhi person ke liye dangers hote hai.

So agar aap is type ke kisi product ka promotion karte ho ya is type ki sites play karte ho to aap us par AdSense ads istemal nahi kar sakte. Agar koi karta bhi hai to jaise hi google ko uska pata chalta hai google uska AdSense account suspend kar deta hai.

7. Hacking and Cracking Content:

Jin websites and blog par hacking and cracking ki information share ki jati hai un par AdSense ads display nahi kar sakte google ise allow nahi karta or ye google AdSense ki content policy violation ke sath sabhi countries me illegal bhi hai.

Bahut se log unauthorized tarike se server, software, apps, websites, blogs, social media account, whatsapp etc. ke bare me hacking article write kar apni site par publish karte hai. I know ki is type ke content par traffic jyada aata hai but ye google AdSense content policy ka violation hai or jaisa main upar bta chuka hki ki ye work illegal bhi hai.

Is tarah ek work se na sirf aapka AdSense suspend hoa balki kisi ke report karne par government se aapko punishment bhi mil sakta hai. Maine yaha aapko specially iske bare me point se bta deta hu.

  1. Facebook and Whatsapp account hack karne ki jankari share karna.
  2. Kisi bhi phone ya software ko unlock karne ki jankari.
  3. Free-to-air satellite channel ki jankari dena.
  4. Cell phone illegal access ki jankari share karna.
  5. Kisi bhi device ke bare me illegal information publish karna.
  6. Google ya YouTube videos ko illegal tarike se donwload karne ki jankari dena.
  7. Kisi bhi movies, videos series ya other material music ko bina permission liye illegal tarike se site par share karna.

Aesa koi bhi kaam karne par google aapke AdSense account ko suspended kar sakta hai or ho sakta hai aapki site ko humesha ke liye block hi kar de or site par se AdSense block hone ka matlab hai 50% earnings down ho jana ya fir aap full AdSense revenue par depended hai to aapka career barbad ho jana.

I know kuch log aesa karte hai or pichle kafi time se AdSense use karte hai. But jis time google AdSense team unki site ka review karegi unka AdSense disable ya block ho jayega.

8. Page That Offer Compensation Programs:

Aesi sites jo apne customers se servey complete karne, email read karne jaise work karwati hai or payment ka promise kar payment nahi karti google un sites par bhi AdSense ads allow nahi karta. So agar aap koi fake service wali site chala rahe hai ya fir blog par fake news contet share karte hai to abhi se ye sab band kar dijiye.

Example, is category me Pay-Per-Click, Pay-To-Click Pages, Pay To Surf Pages, Auto Surf Pages, Search for Charity Pages, Pay To Search Pages jaisa work karne wali site aati hai.

9. Violent Content:

Jin sites par Gory Images and Bloodshed, Fight Scenes, Gruesome and Freak Accident type ka images content share kiya jata hai un par bhi google AdSense ads use kar income nahi kar sakte.

10. Weapon Related Content:

Jin site par ammunition, gun parts, hardware, pistols, rifles, BB guns, sporting guns, air guns,blowguns, and stun guns se related jankari ya products sell kiya jata hai un par google AdSense ads allow nahi.

Ye work full illegal hai or is bare me bat karna bih galat hai. Main sirf itna kahunga ki is type ki jankari kabhi bhi apni site par share na kare.

11. Content that Enables Dishonest Behavior:

Google honesty and fairness ko support deta hai. So google aese content par AdSense ads allow nahi karta jis par mislead infomration share ki jati hai or users ko fake information de kar bevkoof banaya jata hai.

Mostly is line me news websites hoti hai jo jyada traffic pane ke liye site par fake news share karti hai. Google aesi site ko search engine or AdSense dono par se block kar sakta hai.

Iske alawa jo sites fake passport, false documents, diplomas and other identity card create karne ki jankari deti hai. Exam ke leak papers sales karne wali sites and kisi bhi tarah ki fraudulet information share karne wali sites par google AdSense ads allow nahi karta.

12. Illegal Content:

Google aesi kisi bhi sites par AdSense ads allow nahi karta jo apne country ke rules, other countries ki terms and kisi bhi tarah ka illegal content share karti hai.

Kisi bhi tarah ki counterfeit good sell karne wali sites, Illegal s*x-act, images, videos etc. ke bare me jankari share karne wali site par AdSense account disable ho sakta hai. Is bare me jyada btane ki jarurat nahi hai sabih jane hai ki illegal work karna danger ho sakta hai. I hope aap bhi aesa work kar content policy violation nahi karoge.

Conclusion,

Inme se kisi bhi tarah ki jankari share karne ya aapki site par is type ki jankari share karne ke bare me koi post hai to jaldi hi aapka AdSense account disable hone wala hai. Google pichle kafi time se is par kam foucs kar raha tha but ab google action le raha hai or is tarah ka unwanted content share karne wali sites par se AdSense disable kar raha hai.

Agar aap chahate ho ki aapki site par AdSense bana rahe or aap future me bina kisi problem ke AdSense service use kare to aap upar btayi AdSense content policy ko sah ise follow kare.

Is jankari ko other blogger and AdSense publisher ke sath share jarur kare. Don’t worry isme bas 2 second ka time lagega or aapki wajah se kisi or ki help ho jayegi.

Reader Interactions

Comments (154)

  1. Thanx for this article it’s very helpful for me

  2. hii brother
    it’s very helpful article for me
    thanks for the sharing

    but i have one little question

    kya health tips denese adsense ban ho jayega

    • Galat and fraud jankari dene se banned ho sakta hai.

  3. bhai ek problam ho gayi hai mene aj bank se confrm kra to ab unohone mujhe alag swift code btaya lakin adsense ne payment send bhi kr di hai Is Wale Swift Code Pr (kkbknibb),

    Payment Is Wale Swift Code Pr Send Hui Hai – (kkbknibb)
    Lekin Correct Swift Code ye hai (kkbknibbnri)

    Plz Btaye M Kiya Karu

    • Very bad. Ab aap wait karo ho sakta hai payment aapke adsense account me wapis aa jaye warna or koi rasta nahi hai.

      • bhai kitna wait karna padega mujhe refund ke liye

        • Its depend on google.

          • hello bhai meri payment adsense wapis aa gyi hai main payment ko re-issue kese kru – mtlb ki bank M Payment send krne ke liye kiya karu

          • Payment details sahi se feel karo or right bank account details add karo next month payment mil jayega.

  4. Sir !!!

    mene kuch sites se videos and download links liye hai apni post me but mene unka footer me credit diya hai tab aisa karne se mere AdSense par koyi fark to nahi padega ?

    • No problem.

  5. hello bhai agr mere AdSense m mobile no alag hai or bank account m alag hai to isse koi problam to nhi hogi na payment ke liya AdSense m . payment mangwane m – india m

    • Nahi mobile number se koi problem nahi hai name and address same hona chahiye.

  6. Nice post, Sir maine 20 din pehle ek new site bnai jiska alexa rank 2 crore+ hai.. 5-6 good seo posts dali yoast ki help se and traffic v diya seo se par mera rank bilkul v kamm jada nhi hua wahi atka hua hai,
    please help/suggestion dijiye kafi preshan hu

    • Alexa is not important, So avoid it and foucs on your work.

  7. sir mari laptop mai intel (R) HD graphics 4000 install hai kya mai ise remove kar mai new intel (R) HD graphics install kar shakta hu.

    • Iske bare me aap computer expert se bat kare.

  8. Hello Bhai JDK mene kyi Website pr Dekha Hai ki Log Bata Rhe Hai ki Adsense 15-20 day bata rhe hai india m AdSense payment Receive karne Ke Liye

    • Imran question pura likho taki main theek se reply kar saku.

    • AdSense wire transfer : apne bataya thi ki 5 se 7 din tak payment mil jayegi pr mujhe 8 din ho gaye hai payment bank account m nhi ayi hai abhi tak, fir m ek website pr gya waha us website wale ne update kr rakha tha ki 15-20 din tak lagte hai indian users ko payment milne m AdSense s. kiya y sahi hai ? . or mene apne bank ka ifsc code swift code or bank account no sahi add kiya hai.

      • Google ke payment send karne ke bad payment 2 to 5 day me aapke account me aa jata hai. But kei bar bank porcess complete na hone par time lagta hai. Aap iske bare me apni swift code wali bank se contact kare.

  9. sir aapki help chahiye.. aap meri website open kar ke dekho usme h1, h2, h3 sbhi ka font size same hai so mai ye chahta hu ki aap sabhi ka alag alag css code bana kar de do.

    • Blog ki template par jao or h1, h2…. bari bari search karke sab me se font-size: 30px coding ko remove karo.

      • sir aap css code bana kar kar de dijiye.. kyu ki meri css coding kuch iss tarah hai–

        .entry-content h1, .entry-content h2, .entry-content h3, .entry-content h4, .entry-content h5, .entry-content h6 {
        margin-bottom: 20px;
        color: #000;
        font-style: normal;
        font-weight: 700;
        font-size: 30px;
        line-height: 1.1em;
        font-family: playfair display;
        so plz aap sbhi tag ka alag alag css code bata dijiye.

        • Deepak isi ki to kaha raha hu isme se font-size: 30px; cod ko remove karo.

          .entry-content h1, .entry-content h2, .entry-content h3, .entry-content h4, .entry-content h5, .entry-content h6 {
          margin-bottom: 20px;
          color: #000;
          font-style: normal;
          font-weight: 700;
          font-size: 30px; remove it everywhere.
          line-height: 1.1em;
          font-family: playfair display;
          • sir bura mat naiyega but aap ek non professional bloggers ki tarah bina question ko samjhe reply de rahe ho… mai kabhi se ye kahna chah raha hu ki mere blog ki css coding aisi hai ki usme h1 se lekar h6 tag sabhi ka font size 30 px hai. jo ki maine aapko css coding bhi send ki hai. aur aap ye kah rahe ho ki font size 30 px remove kar ke jo font rakhna ho wo kar do.. but aisa karne se koi solution nahi niklega kyu ki sabhi tag ki font size fir bhi same hi rahegi.

            islea mai aapse yahi kah raha tha ki agar aap sabhi tags ki alag alag coding bana kar de sakte ho to de do. jisme h1 tag ka font size alag, h2 , h3 ,h4 … h6 ka alag font size ho.

          • Deepak meri ek problem hai ki main short me answer deta hu. Aap please samajhne ki koshish kiya karo.
            Aapke blog me sabhi heading ka size sahi hai bas unme font-size:30px extra code add hai. Maine already aapki blog ka review akrke hi aapko ye trick btayi hai. Abhi aapka lbog check kiya hai apane abhi tak ye code remove nahi kiya. Agar aap kisi method ko follow nahi karoge to problem solve kaise hogi. By the way, aapse ye nahi hoga. aap ek kaam karo ye code blog ki CSS coding me add karo or page refiresh kar check karo problem solve oh jayegi.

            h1{font-size:32px!important}h2{font-size:28px!important}h3{font-size:22px!important}h4{font-size:18px!important}h5{font-size:16px!important}h6{font-size:14px!important}
  10. jume deen bhai kya hum jis website se AdSense disable ho gaya he.
    usi site se kisi dusre(bro..) ke naam par AdSense create kare to ho sakta he.
    waise to mera AdSense YouTube channel ke wajah se disable hua tha.

    • Agar AdSense ne aapki site ko banned nahi kya to kar sakte ho.

  11. @ Jumdeen,

    Maine read kiya tha, ki google jo hai wo blogger ke liye AdSense se honi wali earning me se 55 revenue blogger ko deta hai aur 45 apne pass rakhata hai, to wahi dusari aur WordPress wale site ke liye hone wala jo revenue hai jo AdSense se hota hai, usme se 70% WordPress ko deta hai aur 30% apne pass rakhata hai.

    Kyon ki hum blogger par free google ki hosting use karate hai isliye ye difference hai kya ye sahi ya nahi ?

    • Nahi aesa nahi hai. Google already AdSense earning me se commission leta hai fir blogger se commition kyu lega or agar aesa hota to custom domain ka option blogger me nahi hota. Second earning AdSense me count hoti hai na ki blogger par.

  12. Bhai yadi hm sidebar aur main website ke title yani ki top pr se AdSense ke ad hta le aur sirf Post me ad lagaye to cpc pr kya frk pad sakta hai aur yh theek hai ki nahi kyuki side bar tk mobile user scroll ni kr pate aur yadi post ke pehlr hi user ad pr click krke dusri site pr chala jayega

    • Mobie users ke liye sidebar me ad use karne se clicks kam milte hai. Aapki site par mobile traffic jyada hai to aap sidebar ads remove kar sakte ho.

  13. Thanks…..for……… Support

  14. Sir jee bing me mere all post index ho chuki hai lekin abhi tak search me nahi aa rahi hai. aur google me bhi 10 din ho gaye hai. new post search me nahi aa rahi hai.

    • Aapki post search me aa rahi hai aap site:example.com se search karo.

  15. hello sir m ye Janna chyta hu ye Jo tumhre website me ads ate h app downloading Ads by Google ata h or ye recharge airtel idea ke banner kha se ate h sir please tell.me

    • Ye google ke ads hai.

  16. Bhai aajtak aapne apne sabhi blogging tricks humse share kiye lekin aaj first time hua hai ki aapne yeh ad blocker script humse share nahi kiya. Maine iss bare me aapse kitne baar request kar chuka hu lekin fir bhi nahi koi baat nahi bhai

    • Rohit iske bare me bhi post karunga jab karunga to aap use kar lena.

  17. sir maine blog ka layout open kiya usme add a gadget ka option nhi a rha hai. kya kare gadget kaise add kare.maime abhi new template add kiya hai. bataiye add gadted ka option kaise enable kare.

    • Template change karo option aa jayega.

  18. bhai aapke site ko achhikhabar.com ne mention kiya hai. Main jis link se comment kar raha hu uss link pe visit kare

    • Mujhe iske bare me kafi time se pata hai.

  19. Hello My name is Nishaant.
    my question is that Webmaster tool me data highlighter feature ka kya use hai Kya mujhe iss feature ko use karna chahiye aur agar hai toh iska Kya benefit Hogan mujhe .
    explain it.

    • Ye feature google search look improve karne ke liye hota hai. GWT me data highlighter par jao or “Improve your look in search” me results ka screenshot dekho aapki post google me is type se show hogi.

  20. jume deen jee mai ek medicine ke side effect ke bare me ek article publish ki hai, please aap dekh kar bataye ye article me kai problem hai ki nehi AdSense ke liye. kai problem hai to please bataye.

    • Shyam main medicine me bare me sirf itna kahunga ki fake jankari or medicine share mat karna.