Google AdSense website, blog se earning karne ka sabse top, best and popular tarika hai lekin bahut se blogger achha traffic hone ke bavjood adsense se achhi earning nahi kar pate hai aur kuch log kam traffic par bhi adsense se adhik earning kar lete hai. Is post me me google adsense earning increase karne ki 3 master tricks btaunga jo 100% working hai jisse aapki adsense income aasani se badh jayegi.
Main pahle bhi is topic par kai article likh chuka hu lekin aaj sirf aur sirf 3 tricks btaunga. I know, aapne inke bare me suna hoga lekin ab follow karke dekhe, mera personal experience hai ki inse aapki earning 30% – 50% boost ho jayegi.
Website par jitna jyada traffic hoga uski adsense earning utni hi jyada hogi, ye jaruri nahi hai. Ek 10k daily traffic wali site se 100k per day traffic wali site se jyada earning kar sakte hai bas aapko adsense optimizing aani chahiye.
Table of Contents
Google Adsense Earning Increase Karne Ki 3 Master Tips
1 saal pahle meri is site par adsense se jo earning hoti thi aaj isi site se usse bhi kam traffic par dugni earning hoti hai aur iski wajah sirf ye 3 tarike hai jo main use karta hu. Chaliye ab main aapko bta hu adsense earning kaise badhahye, 3 master tricks ke bare me.
1. Improve Site Page Speed
Google adsense se jyada earning karne ke liye sabse jyada jaruri hai, aapki site ka fast lading hona. Agar aapki site ki speed bahut slow hai to achha traffic hone par bhi aapki 50% income kam hogi.
Aap kis tara site ko speed up karenge mujhe nahi pata lekin itna bta deta hu ki aapki site jitni fast load hogi adsense earning bhi utni hi jyada hogi. Main ye confirm kar chuka hu.
Kuch log site page me bahut jyada ad unit display karte hai jisse site ki speed aur jyada slow ho jati hai aur ad click kam milte hai,, natijan adsense earning badhne ki jagah kam ho jati hai.
2. Improve Ad Viewability
Abhi google adsense par jayiye aur pageviews and impressions check kijiye fir google analytics par jayiye aur pageviews report check kijiye. I’m sure aapko dono ke traffic me kafi different milega. Ab aap yesterday ya last some day ki traffic report compare karke dekhiye.
Aapki site ka 30% se jyada traffic bekar ja raha hoga aur sirf 70% (lagbhag) user hi adsense ads dekh pa rahe honge ya fir ye percentage aur bhi jayda ho sakti hai.
Iski wajah aapki site par adsense ads ke proper load na hone aur aapke user ke ad blocker istemal karna hai. Ad blocker disable karne aur ads ko sahi se load karne par work kare.
3. Use Adsense Native Ads
In today, google adsense hume 6-7 type ke advertisement provide karta hai jo ki humari site ke har type ke traffic se related hote hai. Adsense hume nimn ad unit provide karta hai.
- Link Ads
- Text Ads
- Display Ads
- Text & Display Ads
- Matched Content Ads
- In-feed Ads
- In-article Ads
Har site ke audience ki pasand alag alag hoti hai. Aap apni site ke owner hai sabse behtar jante hai ki aapke audience ko kya pasand hai aur agar aapko nahi bhi pata hai to apa experiment karke dekh sakte hai aur pata laga sakte hai ki aapke liye kis type ke ads jyada beneficially hai.
Ye 3 matster tricks aapki adsense earning ko double kar skati hai bas aapko inhe sahi tarike se apni site me apply karna hoga. Mujhe pata hai, shayad aapne inke bare me pahle bhi padh aur sun rakha hoga lekin is psot ko padhne ke bad apne aap se ek sawal pucho “Main ye trick aapko kyu bta raha hu?’
Kyuki mujhe inse bahut fayda hua hai siliye main inhe google adsense master tips name de raha hu. Ab apki marzi aage kya karna hai, is post ko padh kar ignore karna hai ya is par amal karna hai.
- Responsive Ad Units Se AdSense Earning Increase Kaise Kare
- Top 10 Simple Tips Google AdSense Earning Increase Karne ke Liye
By the way, meri bat achhi lage to ise other blogger ke sath social media par share jarur kare.
kamlesh kushwah
sir, adsence ke jariye mujhe hamesha se hi 0.01 ya 0.02 cpc rate ke hisab se payment milta tha lekin pichhle 7 din se mera cpc rate bahut kam ho gaya hai. cpc rate 0.00 bata raha hai. lagbhag 100 click par 0.3 dollar hi mil raha hai. kya aap is baare me kuchh sujaab de sakte hai.
जुमेदीन खान
AdSense CPC आपके कंटेंट कीवर्ड पर डिपेंड करती है, हो सकता है आप जिस तरह का कंटेंट लिखते हो उस पर ऐडसेंस कम पे करता हो, आप ऐसे टॉपिक पर लिखो जिस पर ऐडसेंस सीपीसी ज्यादा हो
Ankit
Adsense apply karne ke liye kitne post rehna chahiye minimum
Jumedeen khan
Iski full guide yaha hai,Google Adsense Account Approved Kaise Karaye [Edition 2018]
Ankush
Very Nice Article Sir, Thank you for sharing
Meine bhi adsense ke liye apply kiya that but vo reject kar diya gaya.
Reason: “due to insufficient content”
but mere blog pe more than 25 articles hae aur vo bhi 2000 words se jyada.
lekin ab mujhe ye samajh nahi aa raha ki mae kya karu aur kitni article likhu ki mujhe google adsense ka approval mil jaaye???
Jumedeen khan
Content length nahi content quality chahiye, wo hai to fir se apply karo ho jayega.
Shamoon
Bhai ye 3 tricks scheme master tricks hai kyunki in 3 tricks may apne real things btayi hai.
aur Mujhe sabse acchi trick native ads vali hai kyunki native ads pr jyada clicks aate hai.
akib jabed
Thanks for sharing this inforinformation. It helped me to increase adsense earning.
rohaan
@Hi
Adsense ke bare me accha tips diya hai aapne, meri Cpc shuru se kam rahi hai, mai sabhi tips follow kar ke dekh liya par kuch kaam nahi banta. Aapke paas aisa koi tarika hai jisse ki main kam ads ka use kar ke acchi earning kar saku, adhik ads ka use karne se website kuch sahi nahi lagti.
Jumedeen khan
Is bare me main kai article share kar chuka hu, aap sirf man ne nahi real me btayi gayi tricks ko follow karo, earning jarur badhegi.
rovin singh chauhan
jumedeen sir me apne wordpress blog ke sabhi ads ko kuch time ke liye disable kaise kar sakte hu plzz bataye.
Jumedeen khan
Apni site se ad code remove karo, plugin use karte ho to disable kar do.
rovin singh chauhan
sir me apne blog par ad code karta hu kya koi tarika nahi hai ya koi plugin jisse sabhi ads disable ho jaye.
Jumedeen khan
Aap ad inserter plugin use karo.
Harsh Yadav
Bhai Sahb Mere Blog Par 23 Post Hai Aur Treffic Nahi Hai Kya Mujhe Adsense Ke Liye Apply Karna Chahiye?
Jumedeen khan
Yes kar sakte ho.
AMAN KUMAR SINGH
Mere blog pr bhi 20 % traffic loss ho rhih ai kitni bhi achhi se optimize karne ke wazood, koi acchi trick bataye ise thik krne ke liye.
rishabh tripathi
1.) sir kya main 300×600 size ke right sidebar me 2 ads use kar sakta hun agar nahin to kitne size ka ek aur?
2.) Sir mujhe ye bat samajh me nahin aati ki post ke beech me, post tittle ke neeche, rightside bar, header yani home page par jayen to ek sath 10-15 ads dikh jati hain to mera sawal yeh ki aisa karke ham adsense policy to nahin tod rahe.
Jumedeen khan
1. Nahi, is size ka ek hi ad use karo 2 karne hai to 3360×280 ya 300×250 wala karo.
2. Nahi, lekin jyada ad lagane se site speed slow hoti hai aur cpc bhi low ho jati hai.
SAMEER ALI
Good Job Sir.
Mano ya na mano but SupportMeIndia is Best Jo Kahi Nahi Milega Vo SupportMeIndia Per Jaroor Milega. SupportMeIndia Ko Kiya Har Indian Ne Support
Avtar Singh
adsence ke liye mere bank home branch me swift code nahi hai lekin home branch se 60 km dur branch me swift code avalable hai.
to kya mai us branch ke swift code use kar sakta hu.
Jumedeen khan
Yes, aap nearby branch ka swift code use kar sakte ho.
rishabh tripathi
1.) Mera adsense approve ho gaya tha but maine galti se 2 blog aur bhi bana liye the adsense jab approve hua to usme ek message ye bhi tha ki Remember you can add codes to new pages & Sites that complies adsense policies to kya main adsense ke ads seedhe apne dusre blog par paste karun ya koi aur tarika bataiye.
2.) Kya main responsive ad unit use kar sakta hun.
Jumedeen khan
1. Yes laga sakte ho.
2. Yes, ye sabse better hai.
Irfan
Nice Article Bhai… Mein in teeno btayi huyi Jankari pe work krunga… And In SHa Allah mujhe is se madad milegi…. Thanks Bhai
Jitender Singh
Sir Adsense ko Invalid Click Se save rakhne ke liye koi best plugin bataye
Jumedeen khan
AdSense Invalid Click Protector plugin use karo.
Adip
Great tips bro. very helpful post.
Vikash
Mera blog check karkae btaye ki ads placement shi hai kya bhai please.
Jumedeen khan
Ba ad placement hai, aapne jarurat se jyada aur minimum space me ad laga rakhe hai, earning down ho rahi hogi, SMI ki ad placement wali post padho aur sahi se ad placement karo.
Anoop Bhatt
Bahut badiya sir
Ad blocker disable karne ke liye kya karna hota hai
Jumedeen khan
Jaha par iska jikar hai waha par iska link diya hua hai.
Monu khan
Sir me ek new blogger hu mera auto Adsense bhi approve ho Gaya Hai par mere blog par ads sirf post ke neeche show ho rahe Hai
Post ke beech me aur upar show nahi ho rahe me ek free tamplate use karta hu koi Tarika Hai his se post ke beech me aur upar bhi ads show hone lage
Sir koi free tamplate Bata Dena his me beech me bhi ads show hone lage
Jumedeen khan
Iski jankari yaha hai, Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye
Vishvajit Rao
Thanks for sharing this post.Sir aapne bahut kam ki knowledge share kiye hai jo hamare adsebse earning me madad karegi.
Akash Yadav
sir kya low CPC wale ads block karna sahi rahta hai?
Jumedeen khan
Yes, isse aapki site par low CPC ad ki jagah high CPC ad show hote hai aur earning jyada hoti hai.
Suresh bukeliya
Bhai sahi hai isliye site ki speed slow ho gay hogi meri me post me 4 ad lagata hu 2 link add or 2 text & display add or kya ye sahi hai ya me add lagana kam kar du
Jumedeen khan
Ye normal hai, isse jyada use mat karna.
Umesh
Usefull jankari brother ab ek article newspaper theme ki Loading speed increase kaise kare ispar likho…
Duni Chand
Sir very nice information thank u very much
Sandeep
Post helpful hai but aapse ek question hai Ki agle post me btaye Ki adblocker disabled krne ke liye user ko notice kaise de skte hain.
Jumedeen khan
Iske bare me already likh chuka hu, Website Me Ad Blocker Disable Message Kaise Add Kare