Blogging se paise kamane wese to bahut tarike hai. magar hindi blogger ke liye AdSense sabse better hota hai. magar india me AdSense ko approved karana or save rakhna bahut mushkil hai. kyuki india me bahut jyada fake account hone se AdSense rules bahut shakat hai. or bahut se hindi blogger ka AdSense account ban ho jata hai. so ma iek bar fir hazir hu AdSense ke bare me nasyi jankari le kar ki AdSense ke ads blog ya website par kaha kaha par nahi lagane chahiye.
Mai apni pichli post Affiliate Marketing Vs Adsense Hindi Blog Ke Liye Kounsa Behtar Hai bta chuka hu ki AdSense hindi blogger ke liye kyu better hai. aap pahle wo post pad sakte ho or aap chaho to AdSense se related baki post bhi pad sakte ho. aapko supportmeindia par AdSense ke bare me kafi kuch hindi me janne ko mil jayega. to ab mai topic par aata hu. ab hume ye janna hai ki website ya blog par kis kis jagah par AdSense ke ads lagane nahi chahiye. or aysa karne se kya kya ho sakta hai.
- Blogger Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare
- Facebook Messenger Ki Top 8 Secret Tips and Tricks
Table of Contents
- Adsense Ke Ads Kahi Bhi Lagane Se Kya Hota Hai
- Website Blog Me Kaha Kaha Adsense Ke Ads Nahi Lagane Chahiye
- 1) Don’t Show Below Menu Bar
- 2) Don’t Show unnatural attention
- 3) Don’t Add Ads Recommended Content
- 4) Don’t Show Ads Formating Content
- 5) Don’t Show Dual Ads In One Place
- 6) Don’t Show Ads In Center Images
- 7) Don’t Offer For Adsense Ads
- 8) Don’t Show Ads On 404 Page Not Found
- Post Summary:
Adsense Ke Ads Kahi Bhi Lagane Se Kya Hota Hai
Adsense ko use karne ke liye hume AdSense ke rules follow karne padte hai. agar hum aysa nahi karte hai to ya to humari income hi bahut kam hogi ya fir hume adsesne ki taraf se ban kar diya jata hai. dono me hi humara nuksan hai. so mai aapko sughest karunga ki agar aap AdSense user hai t oadsesne ki policy jarur follow kare. agar aapko AdSense block nahi bhi hoga to aapki cpc$0.02 se $0.10 se jyada nahi hogi. jisse aap kitna paisa kama sakte ho soch sakte ho.
- Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
Website Blog Me Kaha Kaha Adsense Ke Ads Nahi Lagane Chahiye
Hum AdSense ke ads apni site ya blog par apni marzi se use nahi kar sakte. iske liye bhi hume AdSense ki ads placemet policy follow karni hogi. agar aap nahi jante ki aap blog me kitne ads laga sakte ho to aap humari Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai post pad sakte hai.
Blog ke menu bar ke niche AdSense ke ads nahi laga sakte. AdSense ye allow nahi karta hai. iske alawa play buttons, download buttons, navigation buttons, game windows, video players, drop-down menus, or applications ke aas-pas ads nahi laga sakte. blog post ki photo ke upar niche bhi ads lagane se aapki income kam ho sakt hai.
2) Don’t Show unnatural attention
kabhi bhi AdSense ke ads ke sath click here jaise word use na kare. aysa karne se aapko click to milenge par aapki income nahi hogi. or aapka AdSense account ban bhi ho sakta hai.
3) Don’t Add Ads Recommended Content
Kabhi bhi recommended content ki jagah AdSense ke ads na chipaye. AdSense nahi chahta ki koi galti se ads par click kare. AdSense chahata hai ki visitors apni marzi se ads par click kare.
4) Don’t Show Ads Formating Content
Adsense ke ads photos ke bich ya sath me nahi laga sakte. bahut se log photo ke upar niche ya 4-5 photo ke bich me AdSense ke ads lagate hai. jinse inko ads par click to milte hai. but income na ke barabar hoti hai.
5) Don’t Show Dual Ads In One Place
Ek jagah par ek sath do ads use na kare. aysa karne se aapka AdSense account aapki site ko ban kar sakta hai. so AdSense ek sath 2 ads show karna bhi allow nahi karta hai.
6) Don’t Show Ads In Center Images
blog post me related post ke niche AdSense ke ads nahi laga sakte. isse user ko post content or ads ko samajhne me confusing hoti hai ki konsa ads hai or konsa content.
7) Don’t Offer For Adsense Ads
kabhi bhi AdSense ads ke liye visitors ko offer na kare. AdSense aysa karne ke liye bilkul bhi allow nahi karta hai. aysa karne se bhi aapka AdSense account block ho sakte hai.
8) Don’t Show Ads On 404 Page Not Found
apni website ya blog ke 404 error page not found page par AdSense ke ads use nahi kare. AdSense iske liye bhi allow nahi karta hai. iske alawa thank you, exit, log in page par bhi AdSense ke ads use nahi kare.
Post Summary:
Ummid hai is post ko padne ke bad aapko blog me ads kaha nahi lagane chahiye ke bare me pata chal gaya hoga. or ye bhi pata chal gaya hoga ki aysa karn se aapka kya nuksan ho sakta hai. or ab aap apne blog ya website par sahi jagah par AdSense ke ads laga sakoge. by the way mai ye ummid karta hu ki ab aapka AdSense account ads sahi nahi lagane ki galti se ban nahi hoga. or aap aane wale time ke success blogger banoge. jisse mai samajhunga ki mera aapki help karna safal raha or meri wajah se kisi ko kamyabi mili. i means agar mai kis ek ko bhi success blogger bana saka to mai use apne kam ki sabse badi keemat samajhunga.
maine is post jo bhi tarike btaye hai. wo sab google AdSense ke btaye huye hai. agar aapko english aati hai to aap iske bare me AdSense help page par ja kar jankari pata kar sakte ho. i suggest you AdSense se achi income karne ke liye AdSense ke rules 100% follow kare.
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
- 20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai
It’s your turn ab aapki bari hai post me ye btane ki, ki aapko ye post kaisi lagi or aapko isme kya new sikhne ko mila hai. post pasand aayegi to aap comment to jarur karoge. sath hi agar aapke pas mere liye 30 second ka time hai to is post ko share bhi kar sakte ho. agar aap chahe to humare google plus page par hume follow kar sakte ho.
Chaudhary anil jaat
Sir maine ek blog par adsense ka approval le rakha hai usi google account se bane 2nd blog par adsense ke ad show kara sakta hu ya eske liye us domain par bhi approved karana padega. Sir plz reply me
Jumedeen khan
Aap ek hi adsense se apni sabhi site par ad laga sakte ho, look Google Adsense Me New Website URL Kaise Add Kare
vipin kumar
Mere blog k ads sirf uc browser me show hote hai chrome ya mobile me kahi open nhi hota please help me
Jumedeen khan
all browser me show ho rahe hai.
rishabh tripathi
Ye baat to theek hai but apke header me 728×90 ka ad to apne apne menu bar ke neeche lagaya hai.
Jumedeen khan
Google 1-2 mistakes ko maaf kar deta hai. Lekin ye adsense policy ke against hai. Aap bhi apni risk par laga sakte ho.
Tapan
Sir aaj meri site par ads placement violation ka message aaya hai.
Sir please ek baar iss page ko dekhe. taaki me ads placement sahi kar saku.
Jumedeen Khan
Aapko adsense se jo warning mili hai wo mujhe mail karo.
Shailendra Tiwari
Thanks sir. For clearing my doubts..
Sultan singh
Sir kya adsense ke ads site ke mobile apps per bhi lga skate hai. ya nhi
Jumedeen Khan
Yes laga sakte ho uske liye Admob use karo.
Nitin dhama
Bhai ye bata do many apnay AdSense may 3 ads code genrtae kar liye kya mai un ads code ko jitni bar chao apnay blog may add karsakta ho sirf un 3 ka hi use kar kay
Jumedeen Khan
Yes aap jini bar ya jitni jagah par chaho ek hi adsense code ko use kar sakte ho.
Pradeep
क्या Adsense Ads को Widget द्वारा fixed करना Google Adsense Policy के Against है ???
मैंने Ads Sidebar और Post Content के नीचे Widget Fixed कर लगाया है ..
Jumedeen Khan
yes fixed ads use karna adsense policy ka violation hai. Isse aapka adsense account suspend ho sakta hai.
pradeep
Sir; आपके sidebar में matched ads widget fixed किया गया है ; क्या मैं इसे लगा सकता हु ..
Jumedeen Khan
yes matched content ko fix kar sakte ho.
Pawan gautam
very useful post hai sir maine blog ke sidewar main lagatar 2 ek sath ads lagaye hai kya isse bhi problem ho sakti hai please bataye.
Jumedeen Khan
yes 2 ads ek sath use nahi kar sakte.
Pawan gautam
Sir mujhe notifications aaya hai ..usme likha hai In the past 7 day your ad code has appared a significant number of time on sites your dont own to avoid last revenue make sure to add any sites to your owner sites list in site management. Main confused hu iska pura sahi sahi matlab bataye kya hai isme..
Jumedeen Khan
Aapke AdSense ads kisi or site par show ho rahe hai. Check karo ki aapne aesi koi site par o ads nahi laga rakhe jo aapne AdSense par site management me add na ki ho.
Pawan gautam
Sir main apni ek hi site pr ads lagaye hai usko site management main add bhi kya hai aab main kya karu kya koi ads chori bhi kr sakta hai or mujhe isse kya koi problem ho sakti please pura btaye isse kya problem ho sati hai or mujhe aab kya karna chahiye.
Jumedeen Khan
Aapne jis site par ads laga rakhe hai use site management me add kar rakha hai t odont worry and next time apna ads kisi ko mat btana ya dikhana.
Pawan gautam
Sir maine chek kiya tha AdSense account main site management wahan pr main use verify nahi kiya tha aab kr diya hai aab green tik aane laga hai thanks help me thanks so lot..
Bhoop singh
Sir muje aapse kuch puchna h par me coment nahi kar pa raha hu
Jumedeen Khan
Aap contact form me puch sakte ho.
Pavan Choudhary
mera AdSense approval abhi dusre stege me he aur mene sirf home Page par do ad lagaye hai pahla – header me responsive aur dusra sidebar me upar me vah bhi responsive aur vaha advertisement likha hai ek baar dekh le plz sahi jagah hai na . Aur kuch suggestions ho to bhi bataiye .
Jumedeen Khan
Aapne sahi ad lagaye hai ab AdSense ke feedback ka wait karo.
Bhoop singh
Sir me sarir ke parivate part par blog likhta hu .kya isse muje pese kamane me. Koi problem ho sakti h kya.
Jumedeen Khan
Nahi but aap adult content share karoge to ho sakti hai.
PRADEEP KUMAR
Sir; Meri Blog ke Desktop view me right Sidebar ke 300 x 250 [No Ads responsible] & 300 x 600 [Mobile & Desktop Ads responsible] Google Ads Code lage huye hai……
jainha meri Blog “Mobile friendly” hai…..
But Blog ki “MOBILE View” hone pr Uper ke dono Google Ads Last Me 300 x 250 [Medium] & 336×280 [large] rectangle Size me Upar-Niche Display hote hai….
UR POST ADS INSTRUCTION : 5) Don’t Show Dual Ads In One Place
QUE: Kya “MOBILE view” me display- last dono ads Google Ads Policy Friendly [Ads Placing] hai ya Nahi ??? Please; blog [mobile view] check kr bataye…..
—-THANK YOU—–
Jumedeen Khan
Google ne ye sirf desktop ke bare me kaha hai mobile ke bare me nahi fir bhi aap aysa risk na hi le to better hoga.
Sanju Dangar
Tahedil se sukriya sir, muje to tanction ho rahi thi,
Sanju Dangar
Thankq you sir Aapki is post Se Bahut Sari Jankari Mili He Jo Aaj tak Uske Baare Me Me Nahi Janata tha,
(1)-Sir Meri Site Pe Clicking To Bahut Archi Hai, or visitor bhi archa he, or impression sab kus archa he but CPC Bahut Low Ho Gayi He, Aapki Low CPC increase Karne Vali Sabhi Post ke Step Maine follow kiya Hai, or Low cpc site ko block bhi kiya, Par 2 Day Tak 0.12$ CPC rahi uske Baad 0.04$ CPC Ho gayi he,
(2)-Sir please Aap ak baar Meri Site Ko dekh ke batavo na ki Maine Ads placement Sahi kiya he Ya Galat,
Or Meri Post Low CPC ki Hai ya high cpc ki
Or Kis Type ki post muje ab likhni chahiye
(3)-Sir Mobile ke Crome brawsar Se ki Gayi Posting Or Computer se ki Gayi Post me visitor or earning me farck pad sakata he,
(4)- Sir ab muje kya karana chahiye jiski vajah se me CPC ko increase kar saku, Kya Sir meri post ke keywords Low cpc ke he? Ye vajah he? Please sar help me,
Jumedeen Khan
1. is time AdSense cpc low hi hai. 10-15 din bad increase hogi to aapki bhi ho jayegi.
2. aapne sahi ad lagaye hai. low cpc ki post nahi keyword hote hai.
3. koi fark nahi padta.
4. same 2 answer.
Tarun
Sir mere ko smjh nahi aaraha ki meh blogger website pe apni stories kha liku ? Mere pass sirf android mobile hain . or sir merko usske paise kha milenge pls sir jldi reply krdijiyega. Mene id bna li hain lekin likhu kha or agr usspe nahi likh paya toh essi koi aachi web bata dijiye jispe aache se sirf blog writings ke maximum 5$ perday mile .
Jumedeen Khan
Aap ye post padho Blog Par New Post Kaise Upload Karte Hai paise aapke bank account me aa jayenge. pahle aap blog par post to likho kamai ke bare me bad me sochna.
Aamir Ali
bhai Aap jo har ek post me itne ads lgate hain ,inhe blogger blog me kaise lgaya jata hai ,i mean kya post karte time ad code use karte hain ya fir koi script hai jisse har post me apne aap hi ads lag jate hain ? filhal me script use karta hun jisse apne aap post title ke niche ek ad show hota hai.
Jumedeen Khan
Aamir mera blog WordPress par hai or WordPress par aap chaho jo kar sakte ho mai iske liye plugin use karta hu.
nitin
sur aagar koi images dusri website se utha kar apni website me lgaye to wo copyright hogi ya nhi
Jumedeen Khan
copyright hogi.
Surendra Rsdp
Aapki post samaj me nahi aai kyu ki aapne point no. 1 me bataya hai ki ham menu bar ke niche ads nahi laga sakte lekin aapne toh ads lagaya huaa hai . kya isse kuch fayda milta hai ??
Jumedeen Khan
Ha hum drop down menu ke niche ads nahi laga sakte. mere blog par drop down menu nahi hai.
Barhoo yadav
मेरी website relatet हेल्थ से है लेकिन CPC 0.05 kaphi kam hai kya karu please Help me
Jumedeen Khan
Adsense policy ko ache se follow karo.
N K Dubey
kya aap mere blog ko dekhkar bata sakte hain ki mobile par aid kyun nahin dikh rahi jabki desktop par dikhti hai , please mera traffic roj 3000 se 4000 ka hai lekin income 1 dollar hi ho rahi hai ?
Jumedeen Khan
Maine aapka blog check kiya hai mobile or desktop dono jagah par ads show ho rahe hai aap mobile me chrome browser me check karo. Aapki sabse badi problem hai aapke blog ki template. Mai aapko suggest karunga ki aap fast loading or achi designed template use kare. Isse aapko jyada ads click milenge. My means apne blog ko website ke jaise design karo.
dharmendra
kiya me apni site ka back link kisi site se delete kar sakta hu. Mere kuch post mene delete kiye he par un post ke backlink hai jo me delete nahi kar pa raha hu.
Jumedeen Khan
Nahi kar sakte.
Deepak Shrivastav
Ek page par 8 ads show kr sakte hai,
3- link units
3-content units
2-search units
to isme hamare blog page ke side bar up and side bar down, post , widget total milake
7-8 ads hi dikhne chahiye ?
Jumedeen Khan
Yes you are right or aap humari Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai par check kar sakte ho. usme 1 page me kitne ads laga sakte hai ke bare me details se btaya gaya hai.
rohit
Sir camtasia bohat mahnga software hai. Ise trick se free me use karna theek rhega
Jumedeen Khan
ha kar sakte ho.
Deepak Shrivastav
Mera ek Question or hai,
ke World Me Laakho bloggers honge or kai aise bloggers bhi honge jo blogspot pe free templates use karte honge to agar kaei bloggers ki templates ek jaisi hogi to isse AdSense pe koi effect padega kya ?
or mai agar apni template ko kisi or ki tarah design kru tb isse koi problem ho sakti hai kya?
Jumedeen Khan
jo kisi or ki template ki copy karega uska nuksan hai. uski site search engine block kar sakta hai. ha hogi aapki site search engine me aani band ho jayegi.
rohit
1- sir AdSense ka Jo ads code hota hai use ek bar copy karke notepad me save kar me aur wo hi code post me add kar diya karu toh ads aane lagege. kyoki bar bar AdSense ko open karke ads code copy karne ki jarurat toh ni h..
2- sir ye Jo Android player hote hai jinse hum laptop me android app use karte hai. jaise Youwave software hai ise use krne se laptop khrab ho jata hai kya
3- Sir is link ki post aap padho isse hum camtashiya software use kar skte hai. isse koi problem toh ni hogi. aur is post me Jo software btaya hai use download Karne she laptop kharab toh ni hoga.
Jumedeen Khan
1. Ha kar sakte ho.
2. kharab to nahi hota. but computer proccessing par asar padta hai.
3. nahi camtasia studia se koi problem nahi hai. aap dusre video maker software bhi use kar sakte ho.
advice:- aap internet user ho. daily net use karte ho apps software download karte ho, so koi acha antivirus use kiya karo. aapke laptop me koi problem nahi hogi.
gangwar
sir post me ek autometic opition hota hai to use open karane se bo apne aap jaha ads show nhi hone chahiye baha nhi hoge aur jaha hone chahiye baha hoge
Jumedeen Khan
wo blog me 6 mahine bad available hota hai.
Suraj
Ek Hindi blog ka cpc kitna h abhi. Mera blog Android se related hai. Or han Maine apne blog me ads laga diye hai bt kafi time ho gya abhi tak AdSense se koi mail nhi aaya hai. Kitne days me mail mil jata h??
Jumedeen Khan
jab aapki AdSense par income $10 ho jayegi tab mail aayega. aap ye post ache se pado. Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai
rohit
sir kuch sites aisi hai jo hmare YouTube chanels ko 10 subcriber deti hai ye site fake hoti hai aur hmara acount band ho jayega kya.
Jumedeen Khan
Ek bar humesha yad rakho ki bina mehanat ke kahi bhi kuch bhi nahi milta hai. aysi sari site fake hoti hai.