Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare

New blogger ko ye janna bahut jaruri hai ki blog banane ke bad use AdSense se kab jodna hota hai. or AdSense ke liye apply karne ka sahi time kab hota hai. is post me aaj hum isi ke bare me bat karenge. jisse aap ko pata chal sake ki blog ko AdSense ya kisi or advertising site se kab connect karna chahiye. or new blog banane ke bad kab paise kama sakte hai. iske liye kam se kam kitne visitors or pageviews hone jaruri hai.

Blog banane ke bad AdSense ke liye apply kab kare

Blog banane ke bad kya kya karna hota hai. new blogger ko iske bare me jyada kuch pata nahi hota hai. or wo ek do post share karte hi AdSense ke liye apply kar dete hai. jiska natija ye hota hai ki unka AdSense account block ho jata hai. in my case maine ayse bahut log dekhe hai. mai un sab new blogger se kahna chahunga ki mehanat karne se pahle uske fal ki icha karoge to nukshan hi hoga. agar aapko success blogger banna hai to sirf apne kam par dhyan do jab aap mehanat karoge to paisa khud be khud aapke pas aayega. bina mehanat ke duniya me kahi bhi kuch bhi nahi milta hai.

Blog Kaise banaye?

Blog banane ke sabse popular 2 platform hai. ek blogspot or dusra WordPress. inme se WordPress paid hai or blgspot free hai. new blogger ko mai blogger ke liye suggest karunga kyuki ye bilkul free or manage karne me aasan hai. or google ka banaya hone se ye SEO friendly hota hai. iske bare me asdhik jankari ke liye aap Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai post pado isme aapko dono ki puri jankari mil jayegi.

Adsense Kya Hai?

Adsense ek advertising site hai. jise google ne hi banaya hai. AdSense ads par click karne ke paise deti hai. AdSense se paise kamane ke liye aapko ek blog website banane ki jarurat padti hai. blog bana kar usme aapko AdSense ke code lagane hai. aap blog me jaha AdSense ke code lagaoge waha ads show honge. or jab koi in ads par click karega to aapki income hogi. iski adhik jankari ke liye ye posts padiye.

Agar aap AdSense ke bare me jyada nahi jante hai to mai aapko bta du ki AdSense ke rules bahut shakht hao or unka ulaghan karne par AdSense aapko block kar sakta hai. mai iske bare me bahut post kar chuka hu so AdSense ke bare me or jyada jankari ke liye aap supportmeindia ki Adsense se related post padiye. ya fir aapko english aati ho to aap AdSense policy par bhi AdSense ke rules ki jankari pa sakte ho.

Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare

Jab AdSense aa[pki site ko review karta hai to aapki site me niche di gayi jankari check karta hai. mai yaha aapko iske bare me kuch bate bta raha hu. jinhe follow karke aapka AdSense account block ya ban nahi hoga.

  1. Traffic: Adsense account banane ke liye aapke blog par per day 500 pageviews google search engine se aaye visitors se hone chahiye. agar aap isse kab pageviews hone par AdSense ke liye apply karoge to AdSense approved ho bhi jayega to kab traffic ki wajah bahut jald disapproved ho jayega.
  2. Content: aapke blog par post me share ki jane wali jankari ko hi blog content kahte hai. AdSense aapke blog ke content ko dekh kar hi aapko ads lagana allow karta hai. so AdSense account banane se pahle aapke blog par kam se kam 5000-10000 words ka content hona jaruri hai. itne content ke liye aapke blog par 10+ post honi chahiye.
  3. Author Talent: jab aap AdSense ke liye apply karte ho to AdSense aapke blog ko review karta hai. yani aapke blog ki sari data check karta hai. usme AdSense aapke talent yani post likhne ka tarika kaisa hai ko bhi check karta hai. or agar aapki post ka talent AdSense ko pasand na aaya to bhi aapka AdSense account approved nahi hoga.
  4. Copyright Content: aap jo post blog par share kiye hai unme di gayi jankari aapki likhi huyi honi chahiye. or wo jankari aapne kahi se copy kiya hua nahi honi chahiye. agar AdSense ko aapke blog par kuch bhi copyright mila to AdSense account disapproved ho jayega.
  5. Bounce Rate: bounce rate yani aapke visitors aapke blog par kitne time tak rukte hai or unhe aapke blog par di gayi jankari me kitna interest hai. AdSense ise bhi check karta hai. bounce rate badhane ke liye aap blog par commenting use kare or post me kam se kam 1000 words use kare. jisse visitor aapke blog par adhik time tak ruk sake.
  6. SEO: AdSense me apply karne se pahle apne blog ko google, bing, yahoo, ask jaise search engine se submit kar le. jisse aapka blog search engine friendly ban jaye. jisse blog par acha traffic hoga or AdSense account jaldi approved ho jayega.
  7. Blog Design: AdSense account apply karne se pahle apne blog ko ache se design kar le. usme jaruri widget add kar le. in my case mai aapko simple design ke liye kahunga. kyuki simple design ko visitors sabse jyada pasand karte hai. or AdSense ko simple design hone ki wajah se aapke blog ko review karne me aasani hogi. or kam se kam waqt lagega.
  8. Create Page: AdSense account banane se pahle apne blog par about us, privacy policy, contact us page bana le. google search engine or AdSense dono ko ye page pasand hai.
  9. Sitemap: apne blog ka sitemap bana le or sitemap ko googe, bing or baki search engine se submit kare. sitemap me aapke blog ki sabhi post, pages ke links add hote hai. jisse AdSense ko blog ki jankari pata karne me aasani hoti hai.
  10. Traffic Rank: AdSense account banane ke liye aapke blog ki ranking 5,00,000-10,00,000 ke bich honi chahiye. isse jyada ranking huyi to ho sakta hai AdSense account approved na ho.

Ummid hai ab aapko blog banane ke bad AdSense account kab banana chahiye ki jankari mil gayi hogi. to ab aapko kisi se bar bar puchne ki jarurat nahi padegi. or na hi AdSense approved na hone ki problem ka samna karna padega.

Is post me btayi bate follow karke aap aasani se AdSense account bana sakte ho. or agar aapko iske bare me koi sawal puchna ho to niche comment kar sakte ho. sath hi agar aapko is post me achi jankari mili ho to is post ko share karna na bhoole.

Reader Interactions

Comments (360)

  1. Sir maine bhut se blog aur YouTube. Par pada hai ki adsense blogger par jaldi approve ho jata hai aur word press self hosted blog par ad sense approve karvane ke liye bhut straggle krna pdta hai (sir Ji is bare me clear kare ki Kha par adsense fast approve hota hai?

    • Is bat me 1% bhi sachai nahi hai adsense blog platform nahi blog content dekhta hai.

      • kiya pata sir ji mere ko to adsense se kab account milega pata nhi kis blogger ki bat manay

        • Kisi ki mat mano sirf adsense guidelines follow karo or apni site ko adsense ke layak banao.

  2. Mera Adsense Account Appruv Nhi Ho Rha Hai . Usme Message Show HOta Hai

    (Difficult site navigation: During our review of your website, we found your site difficult to navigate. Potential navigation issues include: redirects, pages behind a login or restricted access, broken links, excessive pop-ups, dialers, and pages under construction or not yet launched.)

    hindi Traslate

    (मुश्किल साइट नेविगेशन: आपकी वेबसाइट की हमारी समीक्षा के दौरान, हमने आपकी साइट नेविगेट करना कठिन पाया। संभावित नेविगेशन मुद्दों में शामिल हैं: रीडायरेक्ट्स, लॉगिन या प्रतिबंधित पहुंच के पीछे पृष्ठ, टूटे लिंक, अत्यधिक पॉप-अप, डायलर, और निर्माणाधीन पृष्ठ या अभी तक लॉन्च नहीं किए गए हैं।)

    Sir Mere pahle Blog Ka Url bcginhindi . blogspot .com Tha Jab Maine technologhindi .com Buy Kiya .
    Maine First Me bcginhindi .blogspot .in Vale Par Apply Kiya Tha Or Bad Me ( domain buy karne ke bad ) fir bhi bcginhindi .blogspot. in par reapply kiya . Because Isme Automatic Defult Show Ho Rha Tha .

    Ab Mujhe Kya Karna Chahiye . bcginhindi .blogspot .in Par reapply Karu Ya technologhindi.com Par Apply Kaise karu

    Kuch Suggetion Chahiye Ki Mujhe Kya Karna Chahiye

    • Aapke blog me upar jo kamiya btayi gayi hai un sabko theek karo uske bad adsense ke liye apply karna hai.

  3. Support me India gives me best way to approve my blog .
    i want to say special thanks from uLtimate Gyan.

    Thanks Sir

    • Welcome and keep visiting.

  4. Sir kya adsense account buy karna thik hai

    • Nahi, main iske liye suggest nahi karunga.

  5. hello sir kya aap bata sakte ho ki adu**t kahani wale blog par add kese lagta ha. mane kai logo ko add calate huye dekha ha. sir pleas reply jarur kare.

    • Ye log starting m achha content share karke adsens approve kara lete hai fir bad me bad content share karte hai. But jaise hi adsense ko inka pata chalta hai to inka adsense account suspend ho jata hai.

  6. Sir maine bi ek blog banaya hai maine AdSense account bana liya h par aab ye invalid traffic ke wajah se mera AdSense account ko disapprove kar diya gaya hai sir mai apne account ko kaise approve karo sir kuch help kareye

    • Aap adsense team ko request send karo or next time apne ad par click mat karna o na hi kisi se karwana.

  7. Sir, I am Gulshan Singh.
    Sir apne blog ko Google adsense se kaise jode aur apne account se kaise link karaye.
    Sir, help to me.

    • Iske liye apa humari adsense category ki baki post padho.

  8. Sir ,agar blogger par adsense approved ho jaye to kya website (jis par hamne domain aur hosting li hui hai) par bhi ads laga sakte hai..

    • Yes laga sakte ho but aapke pas fully approved adsense hona chahiye jo aapne custom domain se approve karaya ho.

  9. bahut hi acchhi jankari hai. thanks a lot.

  10. Sir mere blog par 46 post hai adsense bhi approved hai agar mai kisi dusre site ki post ko apne site par post karu aur post ke niche source: example.com us site ka naam likhdu to kya ye
    1-copyright hoga
    2-mera adsense disapprove ho jaega
    3- ads code me space ke liye html code daalne se adsense ke rule ke khilaf nhi hoga na kyo ki adsense 1% bhi editing allowd nhi krta hai ap ne btaya h mujhe.

    • 1. Aap kisi ki post ko puri tarah copy karke uska link niche nahi de sakte. Aap kisi topic par thoda likh kar uske aage ki jankari ke liye kisi or ka link de sakte ho.
      2. Yes copyrighting issue se aapka adsense disapprove ho jayega.
      Nahi kyuki aap adsense code se pahle code add kar rahe ho.

  11. hi sir,mera blog me adsense ka ad lga rhe h lekin ad show nhi kar rha h,publisher id same h lekin customer id different h blogger me aur mera adsense account me

    • Aapke ad lgane ke ba google aapki site ka review akrta hai review complete hone ke ad ad show hote hai tab tak blank space show hota hai.

      • Iss bar ad lgaye hue 2 din se jyada ho chuka h,ek bar or hum aapka post padhkar 3 mahine pahle ad lgaye the lekin usi time se blank space show ho rha h,blogger me add a gadget par click karne par uske bad google adsense par click karne ke bad waha mera ad show ho rha hai,lekin post par nhi ho rha hai kya kare

        • Sorry ruchi agar aap google adsense terms follow nahi karoge to wo ad show nahi karega. Agar aapki site adsense policy follow karti hai to ads kuch hi day me show hone lag jayenge.

        • Sir, kya blog pr post dalne se paise ayenge agr ads (adsense etc)Na Dale ho to ???

          • Nahi.

  12. sir maine adsense ke liye apply kiya to aise msg aya hai iska kya matalab hai aur ab mujhe kya krna chahiye .

    • Aapki site Google policies follow nahi karti. Aap google adsense policy read karo or apni site ki kamiya theek karo.

  13. Sir maine adsense k liye apply kia to ye msg aya jabki mere blog par 46 post hai iska malab bataye aur solution bhi .

    • Aapka adsense Insufficient content ki wajah se approve nahi ho raha hai aap kuch aese topics par post likho jin par pahle se bahut kam logo ne likha ho or traffic badhao.

  14. dear sir…

    mera ek blog http://www.jaminchakkar.com jo ki youtube ke hosted accout se connect krne ki try kr raha hu but abi tak connect nahi hua hai, means mene ads ke code bhi lga diye hai but blank show ho raha hai. blog par 20 se jyada post hai or ads ke code lgaye bhi 10 din se jyada ho gaye

    • Iske liye apake blog par kam se kam daily 500+ traffic hona chahiye.

  15. Sir main uttarakhandplace.blogspot.com ka ek blog banaya iske basd mene domain karid kar ise http://www.anoopbhatt.com me redirect kardiya or maine in dono address se google adrsenc me submit kar diya or wo dono aprov nahi huye kyunki or dono account ki setting hide hai mushe ek account cencel karna hai to may kya karun

    • Apa example.com wale domain ko submit karo dusre example.blogspot.com ko remove karo.

  16. bro maine blogger …earnig par click kiya to waha pe sing in ki bajay HOW TO qualify for adsense..ye padho aaisa bata raha hai…did u have any solution??

    • Iska matlabg abhi aapke blog par adsense service enable nahi hai aap custom use kar adsense ke liye apply karo.

  17. Sir. Me apne blog per 20 post kar chuka hu… fir bhi traffic nhi badh rha hai… shuru me to 100 cross ho jata tha.. but ab to 1 ya 2 log hi aate haj.. jabki me full seo bhi kar chuka. Hu… isi vajah se shayad mera adsense account bhi approve nhi ho rha… traffic badhane ke liye kya karu..??

    • Google ab realitime update dikhata hai. SEO par or jyada care karo.

  18. Brother Meri Ak Adat Hai Ki Jab Main Koi Post Likhta Hoon To Uske Baad Use Apne Keyboard Mein Copy Kar Ke Rakh Leta Hoon Kuch Din Pahale Mere Saath Aisa Hi Hua Maine Apne Blog Par Ek Post Likhi Aur Us Post Ke Sabhi Words Copy Kar Liya Lekin Jab Main Us Post Ko Publish Karne Gaya To Mujhse Keyboard Galti Se Chal Gaya Aur Puri Post Kharab Ho Gayi Lekin Maine Us Post Ko Copy Kar Rakkha Tha To Darne Ki Koi Jarurat Nahi Thi Maine Use Fir Use Paste Karke Sab Likha Hua Vapas Le Liya Lekin Ab Main Ye Soch Raha Hoon Ki Maine Jo Copy Paste Kiya Fir Kabhi Main Google AdSense Ke Liye Apply Karta Hoon To Post Mein Copy Paste Hone Ke Karan Kahi Google AdSense Approved Na Ho Vaise Meri Vo Post Koi Copyright Content Nahi Thi Lekin Kya Apna Likha Hua Hi Hum Copy Paste Karte Hain To Isse Koi Dikkat To Nahi Vaise Vo Post Meri Khud Ki Hi Thi Aur Na Hi Maine Us Post Ko Kahi Pahale Se Publish Kiya Tha Vo Post Sirf Ek Hi Hai Bas Main Aapse Yahi Janna Chahta Hoon

    • No problem aap pane khud ke content ko save kar sakte ho or koi bhi problem hone par use blog post m add akr sakte ho.

  19. Brother Aapke Bataye Anusar Main Apne Blog Ka Sitemap Banane Gaya Us Site Par Jispar Aapne Apni Google Sitemap Post Me Kaha Tha Lekin Jab Maine Sitemap Banane Ke Liye Submit Kiya To Usme Likh Kar Aa Raha Hai PLEASE ENTER A VALID URL aisa Kyun Bhaai Kya Custom Domain Ke Bina Hum Apne Blogspot Blog Ke Liye Sitemap Nahi Bana Sakte Aap Chaho To Mere Blog Ka URL Bhi Check Kar Lo http://www.9helper.blogspot.com Ye Mere Blog Ka URL Hai
    Please Help Karo Jume Deen Bhai

    • sir meri website par 8 din me 4500 visiter aaye hai aur 1000 view ho gaye hai
      to kya adsense aprrov hoga

      • thoda or traffic badhao