Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare

New blogger ko ye janna bahut jaruri hai ki blog banane ke bad use AdSense se kab jodna hota hai. or AdSense ke liye apply karne ka sahi time kab hota hai. is post me aaj hum isi ke bare me bat karenge. jisse aap ko pata chal sake ki blog ko AdSense ya kisi or advertising site se kab connect karna chahiye. or new blog banane ke bad kab paise kama sakte hai. iske liye kam se kam kitne visitors or pageviews hone jaruri hai.

Blog banane ke bad AdSense ke liye apply kab kare

Blog banane ke bad kya kya karna hota hai. new blogger ko iske bare me jyada kuch pata nahi hota hai. or wo ek do post share karte hi AdSense ke liye apply kar dete hai. jiska natija ye hota hai ki unka AdSense account block ho jata hai. in my case maine ayse bahut log dekhe hai. mai un sab new blogger se kahna chahunga ki mehanat karne se pahle uske fal ki icha karoge to nukshan hi hoga. agar aapko success blogger banna hai to sirf apne kam par dhyan do jab aap mehanat karoge to paisa khud be khud aapke pas aayega. bina mehanat ke duniya me kahi bhi kuch bhi nahi milta hai.

Blog Kaise banaye?

Blog banane ke sabse popular 2 platform hai. ek blogspot or dusra WordPress. inme se WordPress paid hai or blgspot free hai. new blogger ko mai blogger ke liye suggest karunga kyuki ye bilkul free or manage karne me aasan hai. or google ka banaya hone se ye SEO friendly hota hai. iske bare me asdhik jankari ke liye aap Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai post pado isme aapko dono ki puri jankari mil jayegi.

Adsense Kya Hai?

Adsense ek advertising site hai. jise google ne hi banaya hai. AdSense ads par click karne ke paise deti hai. AdSense se paise kamane ke liye aapko ek blog website banane ki jarurat padti hai. blog bana kar usme aapko AdSense ke code lagane hai. aap blog me jaha AdSense ke code lagaoge waha ads show honge. or jab koi in ads par click karega to aapki income hogi. iski adhik jankari ke liye ye posts padiye.

Agar aap AdSense ke bare me jyada nahi jante hai to mai aapko bta du ki AdSense ke rules bahut shakht hao or unka ulaghan karne par AdSense aapko block kar sakta hai. mai iske bare me bahut post kar chuka hu so AdSense ke bare me or jyada jankari ke liye aap supportmeindia ki Adsense se related post padiye. ya fir aapko english aati ho to aap AdSense policy par bhi AdSense ke rules ki jankari pa sakte ho.

Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare

Jab AdSense aa[pki site ko review karta hai to aapki site me niche di gayi jankari check karta hai. mai yaha aapko iske bare me kuch bate bta raha hu. jinhe follow karke aapka AdSense account block ya ban nahi hoga.

  1. Traffic: Adsense account banane ke liye aapke blog par per day 500 pageviews google search engine se aaye visitors se hone chahiye. agar aap isse kab pageviews hone par AdSense ke liye apply karoge to AdSense approved ho bhi jayega to kab traffic ki wajah bahut jald disapproved ho jayega.
  2. Content: aapke blog par post me share ki jane wali jankari ko hi blog content kahte hai. AdSense aapke blog ke content ko dekh kar hi aapko ads lagana allow karta hai. so AdSense account banane se pahle aapke blog par kam se kam 5000-10000 words ka content hona jaruri hai. itne content ke liye aapke blog par 10+ post honi chahiye.
  3. Author Talent: jab aap AdSense ke liye apply karte ho to AdSense aapke blog ko review karta hai. yani aapke blog ki sari data check karta hai. usme AdSense aapke talent yani post likhne ka tarika kaisa hai ko bhi check karta hai. or agar aapki post ka talent AdSense ko pasand na aaya to bhi aapka AdSense account approved nahi hoga.
  4. Copyright Content: aap jo post blog par share kiye hai unme di gayi jankari aapki likhi huyi honi chahiye. or wo jankari aapne kahi se copy kiya hua nahi honi chahiye. agar AdSense ko aapke blog par kuch bhi copyright mila to AdSense account disapproved ho jayega.
  5. Bounce Rate: bounce rate yani aapke visitors aapke blog par kitne time tak rukte hai or unhe aapke blog par di gayi jankari me kitna interest hai. AdSense ise bhi check karta hai. bounce rate badhane ke liye aap blog par commenting use kare or post me kam se kam 1000 words use kare. jisse visitor aapke blog par adhik time tak ruk sake.
  6. SEO: AdSense me apply karne se pahle apne blog ko google, bing, yahoo, ask jaise search engine se submit kar le. jisse aapka blog search engine friendly ban jaye. jisse blog par acha traffic hoga or AdSense account jaldi approved ho jayega.
  7. Blog Design: AdSense account apply karne se pahle apne blog ko ache se design kar le. usme jaruri widget add kar le. in my case mai aapko simple design ke liye kahunga. kyuki simple design ko visitors sabse jyada pasand karte hai. or AdSense ko simple design hone ki wajah se aapke blog ko review karne me aasani hogi. or kam se kam waqt lagega.
  8. Create Page: AdSense account banane se pahle apne blog par about us, privacy policy, contact us page bana le. google search engine or AdSense dono ko ye page pasand hai.
  9. Sitemap: apne blog ka sitemap bana le or sitemap ko googe, bing or baki search engine se submit kare. sitemap me aapke blog ki sabhi post, pages ke links add hote hai. jisse AdSense ko blog ki jankari pata karne me aasani hoti hai.
  10. Traffic Rank: AdSense account banane ke liye aapke blog ki ranking 5,00,000-10,00,000 ke bich honi chahiye. isse jyada ranking huyi to ho sakta hai AdSense account approved na ho.

Ummid hai ab aapko blog banane ke bad AdSense account kab banana chahiye ki jankari mil gayi hogi. to ab aapko kisi se bar bar puchne ki jarurat nahi padegi. or na hi AdSense approved na hone ki problem ka samna karna padega.

Is post me btayi bate follow karke aap aasani se AdSense account bana sakte ho. or agar aapko iske bare me koi sawal puchna ho to niche comment kar sakte ho. sath hi agar aapko is post me achi jankari mili ho to is post ko share karna na bhoole.

Reader Interactions

Comments (360)

  1. Maine aapko apne Adsense disapproval ka message forword kiya tha lekin aap shayad bhool gaye. Please ek baar usey check karke bataein ki adsense disapprove kyon hua, mujhe to kuchh samajh hi nahin aaya. Kya template ke wajah se bhi aisa ho sakta hai, yadi haan to blogger par mujhe kaun-sa template use karna chahiye? ya fir WordPress par shift hone ke baad adsense ke bare mein sochna sahi rahega?

    • Ok main mail check karke aapko reply karunga.

  2. sir main domain buy karne ke kitne din baad adsense ke liye apply kar sakta ho matlab adsense ke liye custom domain kitna old hona chahiye ?

    • No limit aapke pas traffic hai to usi din kar sakte ho.

  3. Main kuchh dinon se SMI par regular comment kar raha hoon jiske liye main aapse sorry bolna chahunga. Abhi main ek samasya mein pad gaya hoon. Mera adsense account dissaprove ho gaya hai. Mujhe mail aaya lekin dissaprove hone ki wajah mujhe samajh nahin aaya. Main wo message aapke mail par forword kar deta hoon, please aap usey padhkar mujhe batayein ki aisa kyon hua hai. Jahan tak ki main samajhta hoon, copyright ki problem to ho nahin sakti hai. Pageviews bhi daily ka 1K+ hai. Please help karein ki main kya karun?

    • Main mail par aapko reply karunga.

  4. Great information about AdSense thanks for the share…

  5. sir ek naam se kitne adsense account bana sakte hai?

    • Ek.

  6. Hello sir, Is article mein ap ne likha hai ki 500+ page views daily ke hone chahiye. agar isse kam hon to kya google adsence disapprove kr dega?

    • Approve hone ke chances kam honge.

  7. bhai yesa hai ki mujhe blog bnana nhi aata mai kuchh bhi nhi janta kya hota hai kaise hota hai. but mai qulity content likh sakta hukyunki mujhe likhna ata hai. mai chahta hu mera ek achha sa blog ban jay bilkul readymade aur mai bas post likhu aur post kar du. kya bhai mere liy yek wordpress blog bna doge bhai please please please.
    agr bna doge toh mujhe kya karna hoga kaise karna hoga please btao bcz mujhe kuchh bhi nhi maloom

  8. Maine blogger par blog/website bnaya hai mai kaise apne website ka sitemap bna sakta hu. please btaiye

  9. Main SMI ka harek post padhta hoon lekin comment tabhi karta hoon jab mujhe help ki jarurat hoti hai. Abhi adsense se related mera ek sawal hai…

    Maine karib 50 days pahle hi Adsense ke liye apply kiya tha, us samay pageviews 400 daily tha. Saath hi adsense aaply karne wale samay se lekar abhi tak hamesha hi mere blog ke pageviews increase hua hai aur abhi lagbhag 1000 views daily Google se ho jaata hai. Lekin abhi tak adsense na to approve hua hai aur na hi koi response mila hai. Please batayein aisa kyon ho raha hai aur mujhe kya karna chahiye. SS maine aapko mail kar diya hai.

    • Ek sawal aur hai…Mere present domain ki tulna mein mere old domain par bahut kam views tha lekin fir bhi uska Alexa rank 40 lakhs ke karib tha. Lekin pata nahin kyon achchhi visits rahne ke baawjood bhi mere new domain ka rank hi Alexa mein show nahin ho raha hai.

      • Alexa Rank sirf traffic par depend nahi karti.

    • Aap adsense help forum par ja kar apna sawal puche, direct adsense member se jawab milega.

  10. Sir aapki ye post hume bahut achhi lagi

  11. Nice post. Mera Bank Of Baroda mein zero balance wala jan dhan account hai, kya main usmein adsense ki payment recieve kar sakta hoon?

    • Yes but nahi lena chahiye bad me problem hogi.

  12. Nice post.
    1) Mera ek blog hai, jo ki 1 year se zyada old hai, but mera custom domain 2 month old hai, kya mera adsense abhi approve ho sakta hai, ya 6 month wait karna hoga?
    2) Please aap meri website dekh kar bataae, ki isme kya kamiyaan hain.

    Thanks.

    • 1. Yes ho sakta hai.
      2. Logo sahi karo or quality content likho.

  13. Sir mera ek YouTube se approved adsense account hai.
    Mera blog Blogger par jab mai adsense se connect karta hu to usme “your host partner blogger” likh hota hai aur blog adsense se connect nahi hota hai,
    Mera adsense account 10 month old aur blog 1month old hai.
    Aap hi bataye sir mai kya karu

    • Aap custom domain like example.com blog me set kar adsense setting me jao or my site par ja kar apna domain add kar verify karo uske bad aapko ek code milega wo apne blog me add karo. 2-5 day me google aapki site ka revoew karega or ad show hone lag jayenge.

  14. सर आपने बहुत ही अच्छी जानकारी दी है। सर आगे भी ऐसे जानकारी देते रहे।

  15. bro.. mere 3 sawal hai. oummed hai aap jawab zaroor denge.

    1. aap es time adsens ke alawa koun koun se ad network ka use kar rahe ho.
    2. aap page level ad ko use kyun nahi karte.
    3. aapne sidebar aur home page layout ke beech ka ad kyun hataya

    • 1. Supportmeindia par adsense hi use hota hai.
      2. Because wo proper work nahi karta.
      3. Kam ad unit use karne se users ko problem nahi hoti.

      • kya infolink aur adnow ko bhi adsense ke sath use kar sakte hai. shayad aap ne bhi use kiya hia enhe, ab kyun nahi use karte.

        • Yes kar sakte ho.

  16. Thansk Bro Apne Bahut Hi Achi Jankari Di He.Great Work.Thansk for Sharing Info

  17. sir g “The account associated with publisher ID ca-pub-123459847967 has been disapproved” ka kya matlab hai, mere blog par maine addsense ke liye 4 din pahle apply kiya tha lekin abi tak koi add nhi aa rha hai.

    • Iska matlab aapka account band ho gaya hai.

  18. हेलो सर,
    मैंने एक वेबसाइट बनाई है क्या आप बता सकते है की कितने दिन बाद मैं ads के लिए apply कर सकता हूँ.
    कितना traffic होना जरूरी है. कितने दिनों बाद मैं google, bing, yahoo पर वेबसाइट को add /sumbit कर सकता हूँ

  19. Nice post sir apne Bahut Hi Acha likha Or Bahut Achi Tarike Se Samjaya Great Work Sir

  20. क्या wapsite में 30 पोस्ट होना जरूरी है google ads लेने के लिए

    • Nahi.