Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare

New blogger ko ye janna bahut jaruri hai ki blog banane ke bad use AdSense se kab jodna hota hai. or AdSense ke liye apply karne ka sahi time kab hota hai. is post me aaj hum isi ke bare me bat karenge. jisse aap ko pata chal sake ki blog ko AdSense ya kisi or advertising site se kab connect karna chahiye. or new blog banane ke bad kab paise kama sakte hai. iske liye kam se kam kitne visitors or pageviews hone jaruri hai.

Blog banane ke bad AdSense ke liye apply kab kare

Blog banane ke bad kya kya karna hota hai. new blogger ko iske bare me jyada kuch pata nahi hota hai. or wo ek do post share karte hi AdSense ke liye apply kar dete hai. jiska natija ye hota hai ki unka AdSense account block ho jata hai. in my case maine ayse bahut log dekhe hai. mai un sab new blogger se kahna chahunga ki mehanat karne se pahle uske fal ki icha karoge to nukshan hi hoga. agar aapko success blogger banna hai to sirf apne kam par dhyan do jab aap mehanat karoge to paisa khud be khud aapke pas aayega. bina mehanat ke duniya me kahi bhi kuch bhi nahi milta hai.

Blog Kaise banaye?

Blog banane ke sabse popular 2 platform hai. ek blogspot or dusra WordPress. inme se WordPress paid hai or blgspot free hai. new blogger ko mai blogger ke liye suggest karunga kyuki ye bilkul free or manage karne me aasan hai. or google ka banaya hone se ye SEO friendly hota hai. iske bare me asdhik jankari ke liye aap Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai post pado isme aapko dono ki puri jankari mil jayegi.

Adsense Kya Hai?

Adsense ek advertising site hai. jise google ne hi banaya hai. AdSense ads par click karne ke paise deti hai. AdSense se paise kamane ke liye aapko ek blog website banane ki jarurat padti hai. blog bana kar usme aapko AdSense ke code lagane hai. aap blog me jaha AdSense ke code lagaoge waha ads show honge. or jab koi in ads par click karega to aapki income hogi. iski adhik jankari ke liye ye posts padiye.

Agar aap AdSense ke bare me jyada nahi jante hai to mai aapko bta du ki AdSense ke rules bahut shakht hao or unka ulaghan karne par AdSense aapko block kar sakta hai. mai iske bare me bahut post kar chuka hu so AdSense ke bare me or jyada jankari ke liye aap supportmeindia ki Adsense se related post padiye. ya fir aapko english aati ho to aap AdSense policy par bhi AdSense ke rules ki jankari pa sakte ho.

Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare

Jab AdSense aa[pki site ko review karta hai to aapki site me niche di gayi jankari check karta hai. mai yaha aapko iske bare me kuch bate bta raha hu. jinhe follow karke aapka AdSense account block ya ban nahi hoga.

  1. Traffic: Adsense account banane ke liye aapke blog par per day 500 pageviews google search engine se aaye visitors se hone chahiye. agar aap isse kab pageviews hone par AdSense ke liye apply karoge to AdSense approved ho bhi jayega to kab traffic ki wajah bahut jald disapproved ho jayega.
  2. Content: aapke blog par post me share ki jane wali jankari ko hi blog content kahte hai. AdSense aapke blog ke content ko dekh kar hi aapko ads lagana allow karta hai. so AdSense account banane se pahle aapke blog par kam se kam 5000-10000 words ka content hona jaruri hai. itne content ke liye aapke blog par 10+ post honi chahiye.
  3. Author Talent: jab aap AdSense ke liye apply karte ho to AdSense aapke blog ko review karta hai. yani aapke blog ki sari data check karta hai. usme AdSense aapke talent yani post likhne ka tarika kaisa hai ko bhi check karta hai. or agar aapki post ka talent AdSense ko pasand na aaya to bhi aapka AdSense account approved nahi hoga.
  4. Copyright Content: aap jo post blog par share kiye hai unme di gayi jankari aapki likhi huyi honi chahiye. or wo jankari aapne kahi se copy kiya hua nahi honi chahiye. agar AdSense ko aapke blog par kuch bhi copyright mila to AdSense account disapproved ho jayega.
  5. Bounce Rate: bounce rate yani aapke visitors aapke blog par kitne time tak rukte hai or unhe aapke blog par di gayi jankari me kitna interest hai. AdSense ise bhi check karta hai. bounce rate badhane ke liye aap blog par commenting use kare or post me kam se kam 1000 words use kare. jisse visitor aapke blog par adhik time tak ruk sake.
  6. SEO: AdSense me apply karne se pahle apne blog ko google, bing, yahoo, ask jaise search engine se submit kar le. jisse aapka blog search engine friendly ban jaye. jisse blog par acha traffic hoga or AdSense account jaldi approved ho jayega.
  7. Blog Design: AdSense account apply karne se pahle apne blog ko ache se design kar le. usme jaruri widget add kar le. in my case mai aapko simple design ke liye kahunga. kyuki simple design ko visitors sabse jyada pasand karte hai. or AdSense ko simple design hone ki wajah se aapke blog ko review karne me aasani hogi. or kam se kam waqt lagega.
  8. Create Page: AdSense account banane se pahle apne blog par about us, privacy policy, contact us page bana le. google search engine or AdSense dono ko ye page pasand hai.
  9. Sitemap: apne blog ka sitemap bana le or sitemap ko googe, bing or baki search engine se submit kare. sitemap me aapke blog ki sabhi post, pages ke links add hote hai. jisse AdSense ko blog ki jankari pata karne me aasani hoti hai.
  10. Traffic Rank: AdSense account banane ke liye aapke blog ki ranking 5,00,000-10,00,000 ke bich honi chahiye. isse jyada ranking huyi to ho sakta hai AdSense account approved na ho.

Ummid hai ab aapko blog banane ke bad AdSense account kab banana chahiye ki jankari mil gayi hogi. to ab aapko kisi se bar bar puchne ki jarurat nahi padegi. or na hi AdSense approved na hone ki problem ka samna karna padega.

Is post me btayi bate follow karke aap aasani se AdSense account bana sakte ho. or agar aapko iske bare me koi sawal puchna ho to niche comment kar sakte ho. sath hi agar aapko is post me achi jankari mili ho to is post ko share karna na bhoole.

Reader Interactions

Comments (360)

  1. Thanks Sir, Please mujhe ye batayiye ki Bounce Rate kitna hona chahiye. Matlab kitna sahi hai or kitna sahi nahi hai?
    Or mere blog par ab tak 1000+ Words ke total 16 posts publish hue hai to kya ab me Adsence ke liye apply karu ya nahi.
    Please Suggest me Sir,
    Thanks

  2. Bhai mere blog par 140+ post publish hai par AdSense approved nahi ho rha hai

  3. Sir
    Mere blog par 16 aisi post hai jinme 600+ words hai baki 80+ 150-200 words ki hai jisme application likhe hai par Adsense approv nani ho rha hai

    • adsense disapprove hone ki jo wajah bta raha hai unhe fix karo.

  4. Bhai jeSe hum Google se kisi bhi topic ke bare me nikalte hai or us ko apne blog me likh dete hai to Bo copy mana jayga kya??????

    • Kisi ka content copy paste mat karo, aap internet se sikho lekin khud se likho.

  5. bhai mere maine apne blog par ad laga diye lekin vo show kab hoge or unke liye kitna trafic chahiye puri proses batao plz

    • Ad lagane ke 20-30 minutes ke under show hone lag jate hai.

  6. जानकारी अच्छी है। बहुत – बहुत धन्यवाद।

  7. hi sir sir mene ek blog website bnai hain blogger pe domain purchase krke or uspe traffic bhi everyday 200+ aata hain vo adsanse se aprrove nhi ho rhi vese mene pass phle se youtube ka adsanse hain mene usme apply kiya hain plz sir help me

  8. Respected Sir
    Mai ne apna blog bana liya hai mijhe ye batayen ki google par keyword kaise add karen please

    Thank you dear sir

    Apka post kafi Achcha hai

    • Aap apni site me keyword add karo google unhe index kar lega.

  9. hello sir kya youtube ki advertisement code jo adsense pe hai vahi blog ke liye use kar sakte hai kya?? mera youtube channel hai aur adsense se linked hai

    • Yes apa dono par ek hi adsense use kar sakte ho.

      • Sir Maine adnow ke liye apply kiya tha to mujhe yeh e mail mila
        Dear ISHTAYAK AHMAD!

        We regret to inform you that we had to block one of your websites from our system.

        Our moderators found inappropriate content on your website. Please, remove it and make sure that your website fits our Terms of Use

        If you have any questions, you may please send us a ticket to our tech support at Adnow.com. We hope to work with you in future, under different circumstances.

        We’re looking forward to hearing from you again,

        Your Adnow team
        Yeh inappropriate content ko blog se kaise hataye

        • आपकी साईट adnow policy follow नहीं करती है

  10. sir mra nam anand singh sai mai ye poochna chahta hoo ki kisi bhi book se blog likh sakte hai ya nahi

    • Likh sakte ho, bas aapko us book ko credit dena hai.

      • Hello Sir,

        Mere 2 saval hai

        1. Mera Adsense ka approval 1 saal se mil gaya hai, har din mere blog me karib 3500 ke karib traffic bhi aata hai, par abhi tak meri income 12 dollars hi hui hai.kya koi galati ho rahi hogi mujhse?

        2. 1 saal me mere adsense me lagbhag 6 se 7 baar speed limits bhi aa chuki hai, jaise hi click jyada hoti hai to ads limit aa jati hai jabki mera 75% traffic Google se hi aata hai, kisi ko invalid click ke lie bhi nahi bola fir bhi esa kyun hota hai?
        Please reply sir

        • 1. आपकी साईट पर ad show नहीं हो रहे है, only blank page दिख रहा है
          2. आप Ad placement सही से करो ताकि invalid click ना हो

  11. Jumedin bhai , mere pas aprove adsense Account hai kya me dusre naye blogger Blog par bhi ad laga sakta hu jiska custom domain nhi hai aur traffic bhi 1000 views per day hai

    • Yes laga sakte ho.

  12. sir mene apna blog banaya usme adsense k liye signup karne ko bhi aaya but mera adsence approve nhi ho raha kyu aur mujhe adsence approve karne k liye kya karna hoga plz guide me.

    • Adsense ke aapki site me jo kami btayi hai use puri karo fir apply karo ho jayega.

  13. sir new blog banane k liye koun sa site use kare free me aur sahi name kaise chune

    • WordPress use karo ye better hai. Aap 1-2 hazar me domain hosting le kar blog start kar sakte ho.

  14. Sir mene AdSense ke liye bahut jaldi apply kar diya tha, 2 bar disapprove ho gaya isliye ab me apply nahi kar rahi hu.. mene bahut achhe se post likhna suru kiya hai aur website design bhi change kiya hai. But mujhe abhi bhi samjh nahi aa raha ki meri site approved ke liye better hue hai ya nahi.. kya aap meri site ko dekhke bata sakte hai ki kya kya kamiya he abi bhi jise mujhe sudharna hoga.

    • Aap ek bar adsense guideline read kar lo sabkuch samajh aa jayega.

  15. Jume sir, mere pass Adsense ka approved account hai, mei blog banakar kitne dino bad ads laga skta hu.

    • Kabhi bhi laga sakte ho lekin us adsnese ke ads already kisi website par live hone chahiye. Jaise aapki ek website par abhi ads lage huye hai to aap us adsense ke ads dusri site me laga sakte ho.

      • Sir, mene youtube pe ek video dala tha jisse adsense approved ho gaya tha, mere pas abhi kisi blog par ads nahi lage huve hai . naya blog banan hai. uske liye thoda bataye kitni post dalni hai aur kitna time bad ads laga sakta hu

        • Same process hai is post me btaye steps follow karo.

  16. Thanks Sir, Aaj meri Adsense ki 1st earnings mere account me aa gayi hein. SMI ne bhaut help ki – Kabhi socha nhi tha ki online bhi earnings hongi.

    • अक्षय bhai kitna समय लग गया पहली कमाई में

  17. very nice post. Adsense ke liye apply karna and approve karvana ek bada kaam hai. App ne bahut achhi tarah se Guide kiya. Thanks..

  18. Ak postmai kitne language use kr sakte hai?
    mera bloge dekh ke blo..plz

    • Aap par depend karta hai lekin ek hi language me likhna better hai.

  19. Hello sir,
    Maine ek blog ko Adsense se jod Rakha hai kya dusra new blog bhi usi se jod Sakta hu.
    Ab approval ki jarurat thodi hai.

    • Yes jod sakte ho.

  20. हेलो सर मैन अभी हाल ही में एक ब्लॉग बनाया है और उसमें पोस्ट भी किये है लेकिन ब्लॉगिंग में नया होने कारण कुछ समझ नही आ रहा आपके ब्लॉग से पढ़कर सीख रहा हु लेकिन मैंने एडसेन्स के लिए अप्लाई किया तो disaprove हो गया आप मुझे बताये क्या कमी ह ब्लॉग पर ताकि में ठीक कर सकू और एडसेन्स कैसे दुबारा अप्लाई कर की ऐड शो हो और इनकम हो रिप्लाई जरूर करे।

    • Abhi aap blog par achha content likho aur traffic badhao jab aapke pas daily 500+ traffic ho jaye tab adsense ke liye apply karna.