New blogger ko ye janna bahut jaruri hai ki blog banane ke bad use AdSense se kab jodna hota hai. or AdSense ke liye apply karne ka sahi time kab hota hai. is post me aaj hum isi ke bare me bat karenge. jisse aap ko pata chal sake ki blog ko AdSense ya kisi or advertising site se kab connect karna chahiye. or new blog banane ke bad kab paise kama sakte hai. iske liye kam se kam kitne visitors or pageviews hone jaruri hai.
Blog banane ke bad kya kya karna hota hai. new blogger ko iske bare me jyada kuch pata nahi hota hai. or wo ek do post share karte hi AdSense ke liye apply kar dete hai. jiska natija ye hota hai ki unka AdSense account block ho jata hai. in my case maine ayse bahut log dekhe hai. mai un sab new blogger se kahna chahunga ki mehanat karne se pahle uske fal ki icha karoge to nukshan hi hoga. agar aapko success blogger banna hai to sirf apne kam par dhyan do jab aap mehanat karoge to paisa khud be khud aapke pas aayega. bina mehanat ke duniya me kahi bhi kuch bhi nahi milta hai.
Blog Kaise banaye?
Blog banane ke sabse popular 2 platform hai. ek blogspot or dusra WordPress. inme se WordPress paid hai or blgspot free hai. new blogger ko mai blogger ke liye suggest karunga kyuki ye bilkul free or manage karne me aasan hai. or google ka banaya hone se ye SEO friendly hota hai. iske bare me asdhik jankari ke liye aap Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai post pado isme aapko dono ki puri jankari mil jayegi.
- Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
Adsense Kya Hai?
Adsense ek advertising site hai. jise google ne hi banaya hai. AdSense ads par click karne ke paise deti hai. AdSense se paise kamane ke liye aapko ek blog website banane ki jarurat padti hai. blog bana kar usme aapko AdSense ke code lagane hai. aap blog me jaha AdSense ke code lagaoge waha ads show honge. or jab koi in ads par click karega to aapki income hogi. iski adhik jankari ke liye ye posts padiye.
Agar aap AdSense ke bare me jyada nahi jante hai to mai aapko bta du ki AdSense ke rules bahut shakht hao or unka ulaghan karne par AdSense aapko block kar sakta hai. mai iske bare me bahut post kar chuka hu so AdSense ke bare me or jyada jankari ke liye aap supportmeindia ki Adsense se related post padiye. ya fir aapko english aati ho to aap AdSense policy par bhi AdSense ke rules ki jankari pa sakte ho.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
Jab AdSense aa[pki site ko review karta hai to aapki site me niche di gayi jankari check karta hai. mai yaha aapko iske bare me kuch bate bta raha hu. jinhe follow karke aapka AdSense account block ya ban nahi hoga.
- Traffic: Adsense account banane ke liye aapke blog par per day 500 pageviews google search engine se aaye visitors se hone chahiye. agar aap isse kab pageviews hone par AdSense ke liye apply karoge to AdSense approved ho bhi jayega to kab traffic ki wajah bahut jald disapproved ho jayega.
- Content: aapke blog par post me share ki jane wali jankari ko hi blog content kahte hai. AdSense aapke blog ke content ko dekh kar hi aapko ads lagana allow karta hai. so AdSense account banane se pahle aapke blog par kam se kam 5000-10000 words ka content hona jaruri hai. itne content ke liye aapke blog par 10+ post honi chahiye.
- Author Talent: jab aap AdSense ke liye apply karte ho to AdSense aapke blog ko review karta hai. yani aapke blog ki sari data check karta hai. usme AdSense aapke talent yani post likhne ka tarika kaisa hai ko bhi check karta hai. or agar aapki post ka talent AdSense ko pasand na aaya to bhi aapka AdSense account approved nahi hoga.
- Copyright Content: aap jo post blog par share kiye hai unme di gayi jankari aapki likhi huyi honi chahiye. or wo jankari aapne kahi se copy kiya hua nahi honi chahiye. agar AdSense ko aapke blog par kuch bhi copyright mila to AdSense account disapproved ho jayega.
- Bounce Rate: bounce rate yani aapke visitors aapke blog par kitne time tak rukte hai or unhe aapke blog par di gayi jankari me kitna interest hai. AdSense ise bhi check karta hai. bounce rate badhane ke liye aap blog par commenting use kare or post me kam se kam 1000 words use kare. jisse visitor aapke blog par adhik time tak ruk sake.
- SEO: AdSense me apply karne se pahle apne blog ko google, bing, yahoo, ask jaise search engine se submit kar le. jisse aapka blog search engine friendly ban jaye. jisse blog par acha traffic hoga or AdSense account jaldi approved ho jayega.
- Blog Design: AdSense account apply karne se pahle apne blog ko ache se design kar le. usme jaruri widget add kar le. in my case mai aapko simple design ke liye kahunga. kyuki simple design ko visitors sabse jyada pasand karte hai. or AdSense ko simple design hone ki wajah se aapke blog ko review karne me aasani hogi. or kam se kam waqt lagega.
- Create Page: AdSense account banane se pahle apne blog par about us, privacy policy, contact us page bana le. google search engine or AdSense dono ko ye page pasand hai.
- Sitemap: apne blog ka sitemap bana le or sitemap ko googe, bing or baki search engine se submit kare. sitemap me aapke blog ki sabhi post, pages ke links add hote hai. jisse AdSense ko blog ki jankari pata karne me aasani hoti hai.
- Traffic Rank: AdSense account banane ke liye aapke blog ki ranking 5,00,000-10,00,000 ke bich honi chahiye. isse jyada ranking huyi to ho sakta hai AdSense account approved na ho.
Ummid hai ab aapko blog banane ke bad AdSense account kab banana chahiye ki jankari mil gayi hogi. to ab aapko kisi se bar bar puchne ki jarurat nahi padegi. or na hi AdSense approved na hone ki problem ka samna karna padega.
- 20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai
- Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
Is post me btayi bate follow karke aap aasani se AdSense account bana sakte ho. or agar aapko iske bare me koi sawal puchna ho to niche comment kar sakte ho. sath hi agar aapko is post me achi jankari mili ho to is post ko share karna na bhoole.
Ali
Sir ma pakistan sy hon hon ap ke blog boht achi srf yeh bta dy agr domain or hosting buy nah kro in ka bhgr e post laghta rhu tu kaya adsense ki payment milti ha
Jumedeen Khan
Yes, aap blogspot par without domain adsense approval le sakte ho.
Sunil Hemrom
Adsense ke liye indexed posts count hota h ya phir published post ko bhi count kiya jata h .
Harbans Singh
Sir please ek batayie fitness blog mai income.hotti hai ?
Agar mai 15 posts dalke aur kamse kam 15000 words likhdu tab Google Adsense ke liye apply kardu toh koi dikat toh nahi haina please batayiye sir
Manish Kumar Meena
Sir blog ko kitne months bad adsense
Ke liye apply kar skte hai
Or pageviews kitne hone chahiye
Jamshed Khan
Time mayne nahi rakhta, aapko 15 se 20 unique article likhne honge uske baad apply kar sakte ho. adsense approve lene ke liye aapki site par minimum 500 se 1000 ke under search traffic hona chahiye.
Harbans Singh
Sir isme agar kisi se follow karana hai toh vo toh kaise karate hai please bataiye Sir please aur isme bhi kuch followers ka target hotta hai ?
Anand Kumar
सर मेरे BLOG में फेसबुक से ट्रैफिक आ रहा है पर सर्च से नहीं
तो क्या मैं अद्सेंस के लिया apply कर दु
google search से ही आने पर इनकम होगी या वेबसाइट में ऐड देखने पर ही होगी
Uday singh
Sir ji maine blogger par blog banya hai our us par par day 1500 users visit kar rahe hai our blog ko abhi 25 din huye hai
Kya mai adsense ke liye apply kar sakta hu.
Jumedeen Khan
पोस्ट में पहले से बताया गया है कि कब अप्लाई करना है?
Niraj kumar
Apke bloga ka naam aur URL kya hai. Agr koi problem na ho to bataye
Bisu
Nice line sir
Kamalnarayan Dwivedi
sir kya google adsence ke domain name kharidna compalsory hai pls sir bataye
Jumedeen Khan
नहीं आप free blogspot domain से भी adsense approval ले सकते हो
Man
Kya jo log hmare blog pr aate hai our bina comments kiye jate uska fyda b milta hai
Gourab Das
Hi sir.mera AdSense account disable kar diya hai invalid activity ke karan.
Mera last month me 170 dollars hua. Aur aj massage aya disable ka. Sir kya payment milega is month me?
जुमेदीन खान
Disable होने के बाद payment नहीं मिलेगा
राकेश कुमार
ये आर्टिकल 2017 मे भी पढा था और आज फ़िर से Lockdown 2022 मे पढ रहा हूँ
Amaan Ansari
Aapne jo jaankari uper di hai jaise ‘side bar,privacy policy and other’ ye sab blog me creat kaise karte hain plz tell me sir
जुमेदीन खान
Blog navigation में pages का आप्शन होता है उस पर जा कर create new page सेलेक्ट करो और ये पेज बनाओ
MOHAMMAD SHAMIM
Kya me adsense k liye apply karu ya nhi mera website 4 month old hai .
जुमेदीन खान
कर सकते हो
Akash Chaudhary
agar aapka website 4 month ka ho chuka hai toh aap adsense ke liye apply kar sakte hai
dev doneriya
Sir mera ek blogger par blog hai lyrics se relative kya google adsense bina domain liye mere blog ko approvel nahi karega kya plss jarur bataye aur kitne din baad approvel hota h bina domain ke
जुमेदीन खान
bina domain ke bhi approval mil jayea par custom domain use karo to better hai.
Nilesh ahirwaar
Sir क्या वर्डप्रेस पर बनी वेबसाइट को एडसेंस से जोड़ सकते है
जुमेदीन खान
हां जोड़ सकते हो
Akash Varma
Sir mujha nhi pta ki blog kaisa banate है aur usme kya kya setting karni hoti par ma article bahut acha likhta hun maina uc news par account bnaya ha aur kafi acha work bhi krta hun par blog ka bare mA kuch smjh nhi aa rha aap sa sir request krta hun ki aap mara ek blog create karde aap ka bahut आभारी होऊंगा sir जवाब जरूर दें sir meri yeh help जरूर करें
जुमेदीन खान
ब्लॉग बनाना बहुत आसान है, आप यह पोस्ट पढ़ो अगर कुछ समझ ना आए तो पूछ लेना फ्री ब्लॉग और वेबसाइट कैसे बनायें?
Narendra Mishra
Sir. adsense approve hone ke baad , kitne samay baad sbhi unit milte hai , jaise – text add , feature add,link add etc
जुमेदीन खान
Approve होते ही आप ad unit create कर सकते हो
Talib
Mene 20 din phle blog bnaya tha
But abhi Google prr. Show nhi ho rha
Ab Kya kru?
जुमेदीन खान
ब्लॉग बना कर उसे सर्च कंसोल में सबमिट करो
Rajesh
bhai mere site me Adsense approval mil Jata hai to bad me mai Apna theme change kar sakta hu
Jumedeen khan
Yes kar sakte ho.
Sandeep singh
V nice & Thanks … jankari dene k liye..??
Mere kuch sawal hai please sir clear krna
1 Mera ek blog hai … wordpress mei but vha maine domain hi nhi karida hai mujhe pata hi nhii lg rHa kaise kriidna h..
2 adsene help mei cl ki thi but woh kh rhee the ki hum blogging k hii ads krte h … wordpress k nahi..
3 web hosting nd adsense dono confuse krti h mujhe . Web hosting k liye alag se krcha krna hoga
4 jaise maine koi blog likha thoda se aapse match hoga to voh kya copyright mana jyega.
5 pura kharcha kitna aayega aapna esko adsense aur jo bhi .. woh kitna krchs rhega
Please zrur reply dena sir g
Jumedeen khan
1. Aapko wordpress.org par blog banana chahiye,
2. Yes adsense wordpress.com site ko support nahi karta.
3. look, Web Hosting Kya Hai or AdSense Kya Hai
4. nahi.
5. sirf hosting aur domain ke liye pay karna hai, no. 1 point me link add hai usme iske bare me btaya hua hai.
Sunil
Kya ham adsense apply karne ke baas blog edit kar sakte hai ?
जुमेदीन खान
हां कर सकते हो
Satya
Jab tak approval na mile tab tak kuchh bhi edit na kijiye.
Manoj
Kripya Ye batayein ki search cansole Kya Hota hai? Aur kaise kartey Hain blog ko?
Jumedeen Khan
search console ek aesa tool hai jo humari website ko google me index karane me help karta hai. Isme hum apni site ko verify karke google ko ye bta sakte hai ye humari site hai aur google ko uska konsa part index karna hai.
Sunil
Muje ye janna h ki Facebook se traffic aa rha Ho 500 + to kya Google adsence approve karega ki nahi please btaiyega ..
Jumedeen khan
karega, lekin thoda traffic search engine se bhi ho to better hai.
Gourab Das
Hi sir. Mera pahle subdomain par jo AdSense approved tha ab woh naye custom domain pe approved ho chuka hai.
So mera pahla wala jo subdomain hai woh verified site me listed hai.
Kya main subdomain ko unverified karu?.
Kyoki custom domain ko to verify karke Rekha hu aur subdomain bhi verify site me hai.
Ab pls ap iska upay bataye.
Jumedeen khan
Agar subdomain par koi ad nahi hai to unverified kar sakte ho.
Anurag Shrivastava
Nice information jumedin bhai.. aapki post sach much kafi supporting hoti hai..