Google Adsense Ki CPC Kaise Badhaye Top 6 Excellent Tips

Adsense advertisements hindi blog se money earn karne ka sabse best tarika hai kyuki ye ads par click karne ke paise deta hai. but india me AdSense CPC very low hoti hai. jiski wajah se indian blogger AdSense se achi income nahi kar pate hai. magar AdSense CPC ko increase kar ke hum AdSense se adhik paise kama sakte hai. is post me mai aapko isi ke bare me btane ja raha hu ki kaise hum AdSense ki CPC badha kar adhik paise kama sakte hai.

How To Increase Adsense CPC

Agar aapki AdSense CPC  $0.01 se $0.05 se kam hai to ye bahut slow hai. iski kai karan (reason) ho sakte hai jinke bare me aapko is post ko padne ke bad sabkuch pata chal jayega. AdSense CPC badhane ke top 6 tarike in hindi.

Adsense CPC Kya Hai?

CPC ka matlab hota hai “Cosr Per Click”. yani aapko total kitne click se total kitne paise milte hai or ek click ke hisab se kine mile hai. man lijiye aapko ek click se $0.8 or other 3 click se $1 mile hai to aapki CPC ($0.08+$1.00)/4= $0.27 hogi.

Ise aap is simple example se samajh sakte ho.

(total earning)/total click= CPC

aapki ek din ki total income me aapko total click ka bhag dena hai. wo aapki AdSense CPC hoti hai. AdSense CPC AdSense eCPM (Effective Cost Per Mile) or CTR (Click Through Rate) ke low or high hone par depend karta hai. eCPM or CTR ke bare me hum bad me bat karenge. abhi hum sirf AdSense CPC increase karne ke bare me bat karenge.

Adsense CPC Increase Kaise Kare Top 6 Tarike

Adsense CPC humari blog post ke content, ads format, viewes time, ads placement, ads type, page rpm par depend karta hai. agar aap apne blog par AdSense use karte hai or AdSense se achi earning karna chahate hai to in step ko follow karke aap apne AdSense ki CPC improve kar sakte ho.

1. Top Post Title, Content or Keywords

Mai jab bhi make money online ya website blog SEO ke bare me post likhta hu to usme ye bat jarur likhta hu ki jyada income or traffic pane ke liye ek post me kam se kam 1000 word hone chahiye. agar aap mere continue reader hai or meri har post padte hai to aapko iske bare me pata bhi hoga.

Adsense post content yani post me di gayi jankari me use kiye gaye keyword ke hisab se ads dikhata hai. ayse me aapki post me jitne high quality ke keywords honge AdSense utne hi high CPC ads dkha sakega. high paying ads show hone se aapki CPC increase hogi.

2. Enable Image and Text Ads

Kuch log images ads ko pasand nahi karte hai unka manna hai ki images ads se links ads jyada better hote hai. but mai is bat ko nahi manta hai. becoz maine images or rich media ads se per click $0.85 tak earn kiye hai. sath hi mai links ads ko bhi galat nahi bta sakta kyoki meri links aps par bhi achi cpc rahi hai. par ek aapko suggest kar sakta hu ki aap image or text dono type ke ads enable rakhe.

Adsense ko ads company jitne paise deti hai. AdSense us ads ke hisab se AdSense user ko yani hume benefit de sakti hai. or ye benefit $0.01 se $10 tak ho sakta hai. isliye mai Image and Text Ads ko suggest karta hu ki AdSense par kis ads se kitna benefit mil sakta hai ye koi nahi janta or agar aapne sirf image ya text ads use kiye hai to aap is benefit ko miss kar sakte hai.

Man lijiye aapne 10 click se $0.10 ke hisab se $1 kama liye but agar aapko ek high paying ads se 1 click ke $5 mil sakte hai. iske kuch or fayde bhi mai aapko bta deta hu.

  1. 80% advertising site banner ads se apni site ka promotion karna pasand karti hai. so banner ads ka AdSense par high charge lagta hai. ayse me koi reach company hi banner ads offer karti hai.
  2. bahut se iamge ads aapke visitors ko impressive karte hai or wo ads ko dekhne aapki site par kuch time or rukte hai isse aapki site ki bounse rate badhti hai.
  3. iamge and text type ke ads use karne par AdSense aapki site par sabhi ads dikha sakta hai. jisse aapke AdSense ki CPC high hoti hai.

3. Don’t Use Many Ads

Agar aap 3 ads unit se jyada ads use karte ho to ye aapke low CPC ki wajah ho sakti hai. becoz AdSense 3 se jyada ads sho karna allow nahi karta hai.

aapke liye behtar hoga ki aap post content kw hisab se ads use kare. kei bar 3 ads ki jagah 2 ads se bhi jyada income hoti hai. isliye agar aap ek page me 3 ads use karna hi chahate hai to aapki ek post me kam se kam 1000 word hone chahiye.

Aapki post me 500 words se kam ho to aap only 2 hi ads use kare. becoz kam post content me keyword na hone ki wajah se AdSense ko 3no ads show karne me probelm hoti hai.

4. Always Use Custom Channels

Mere ek friend Deepak ne mujhse kuch din pahle hi ye sawal pucha tha ki bro AdSense me ads banate time custom channel use karne se kya fayda hai. to mai aap sabke sath uske sawal ka jawab bhi de raha hu.

Custom channel bahut important hai. inse pata chalta hai ki aapke konse ads ki kya performition hai. yani kis ads ki sCPC, eCPM , CTR kitni hai. isse aapko clear idea milta hai or aap AdSense ko or ache se use kar sakte ho.

ab bat aati hai ki custom channel se CPC kaise badhaye to aap ads ki details check karke low cpc wale ads ko block kar ke AdSense ki CPC improve kar sakte ho.

5. Show Ads Fist In Post

mMujhe aaj blogging me jitna time hua hai. usme meri sabse jyada income post me sabse pahle add kiye gaye ads se huyi hai. maine iske bare me kei success AdSense user se pucha bhi hai.

Iski wajah ye hoti hai ye post loading me sabse pahle show hota hai. or post load hone tak visitors ki isi par nazar hoti hai. ayse mai unhe ads pasand aata hai to wo post ki jagah ads par visit karte hai.

Fast loading or ache click milne ki wajah aapko jyada clikc milte hai. but bat CPC ki ho to har website owner or blogger post ke first paragraph me jyada se jyada high keywords use karta ha or ads post me first me hota hai to ayse me jab AdSense ads robot aapki post ko scan karta hai to use ye high keyword milte hai.

Jinki wajah se AdSense yaha high paying ads show karta hai.

6. Accident, Fraud and Useless Clicks

Bahut se log sochte hai ki agar hum apne hi ads par click karte hai to hi AdSense hume block kar sakta hai. agar hum apne dosto or jankaro se click karwayenge to AdSense ko kya pata chalega.

Adsense is mamle me bahut experet hota hai. wo galti (accedent) se kiye gaye click, froud click or bina interest ke click ko aasani se pahchan leta hai.

Agar koi aysa karta hai to AdSense ko uska turant pata chal jata hai. but fir bhi AdSense use galti sudharne ka mouka deta hai. is mouke ko wo usee samajhta hai ki AdSense ko uska pata hi nahi chala, ayse mai uski 10, 20, 50 dollar income ho jati hai.

Yaha ye bat important ho jati hai ki AdSense india me minimul $100 hone par hi payment kyu karti hai. to iska aapko yaha jawab mil hi gaya hoga. in froud logo ki wajah se AdSense ne ye rules banaye hai. or isi ki wajah se india me AdSense CPC very slow hoti hai. warna USA me AdSense per click $2 to $10 pay karta hai.

Ye log apne ads par khud click karke 10, 20, 50 dollar kama kar khud ko intelligent samjhate hai. but aaj tak koi bhi Accident, Fraud and Useless Clicks se $100 nahi kama paya usse pahle hi uska AdSense account ban ho jata hai.

So aysa kabhi nahi kare. warna apni low CPC ke aap khud jimmedar honge. Accident, Fraud and Useless Clicks se aapki CPC bahut jaldi kam hoti hai. isliye galti se bhi apne ads par click nahi kare. adhik jankari ke liye aap Adsense Policy pad sakte hai.

I hope aapko is post me AdSense se relate apne kei sawalo ke jawab mile honge. to ab humari post ke bare me free ho kar comment kare. or aage bhi make money online, SEO, Blogging ke bare me new jankari ke liye supportmeindia par visit karte rahe. sath hi is post ko share karke other blogger ki help karna na bhoole.

I repeat second time to leave comment on this post for increase my power and i give you some wonderful articles in future.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (154)

  1. Avatar for sunilsunil

    low cpc ad units को कैसे पहचाने?

  2. Avatar for ashik pathanashik pathan

    hey thanks for sharing a nice article I also share my friend

  3. Avatar for Pradeep RajbanshiPradeep Rajbanshi

    1) sir mai ab tak 3 unit add kar chuka hun kaya tabhi mera cpc low hai sir kay mai 4 unit kar sakta hun .
    2) sir, per day 1 se 2 doller ke liye kitna visitor aana chahiye .

  4. Avatar for Rakesh KumarRakesh Kumar

    Jumedeen bhai mera help kariye
    Mere blog par visitors click to karte hai lekin lekin uska paisa nahi milta aur cpc bhi bahut kam ho gayi hai pahle se. 3 din pahle bahut adhik traffic achanak badhi aur bahut click hua lekin cpc $0.01 mila aisa lagatar 2 din hua Jis karan mai darr ke sabhi post se ads remove kar taki adsense account suspend na ho jaye.
    Iska report bhi kiya hamne invalid Activity form me.
    AaJ fir ad lagane par cpc nahi mila
    Ab mai kya karu plz help….

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      remove old ad units and use new ad units.

      • Avatar for Rakesh KumarRakesh Kumar

        Thank you bhai mai abhi change kar raha hun aur aapko 1 week baad report bataunga

  5. Avatar for alishaalisha

    Bhai Aapi Site Bhout He helpful Hai, Thank You So Much

  6. Avatar for SayanSayan

    Bhai humme to per click pe $0.01/$0.03 milta hai isse zyada ab tak nhi mila. Haan humne galtiyan vi ki hae 5-6 click Maine khud kardi hai.

  7. Avatar for Jayanta rayJayanta ray

    Sir mera blog par kabhi kabhi kuch ads show nahi hoti iska karan kya ho sakta hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nothing, aesa sabke sath hota hai.

  8. Avatar for Ezhar mansuriEzhar mansuri

    Sir mere blog cpc rete 0.01 se 0.03 ke beech rahta hai cpc rete badhta nahin mai adsense ka auto ads use kar raha hoon. Ads unit bhi bana kar use kiya par aur bhi cpc down ho gaya please tell me what i do?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Auto ads ko remove karo aur manually ad placement karo sath hi low cpc ad units ko block karo cpc badh jayegi.

  9. Avatar for AfreenAfreen

    meri cpc wakayi bahut kam hai,, par aap ne jo bhi trike bataein hai main unhe zaroor follow karugi thank you so much

    • Avatar for VinayVinay

      Sir mai apne blog pr only auto ads use ke rha hun cpc km he rhi hai …average 0.4$ rhti hai …..kaise badhaun cpc ….neeche image site hai

      • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

        manual और कम ad उपयोग करो

  10. Avatar for Sayan JanaSayan Jana

    Bhai hummara Kal adsense approved hua….Toh sir kya me aapne adsense account ko 500 aur Website k saath jod sakta hunn…

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes jod sakte ho.

  11. Avatar for Kunal JadhavKunal Jadhav

    Post ke andar text image ads lagate hai to us ad ki size kya honi chahiye..

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Responsive rakho sabse better hai.

  12. Avatar for sarthak upadhyaysarthak upadhyay

    sir, mere blog ki cpc 0.03- 0.05 hai, kya ye sahi hai. kya mai apne blog ke ek page me sirf 3 text/display ads show karu. na link ad show karu aur na koi aur, to kya isse meri cpc badh jaegi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap maximum 3 dispaly ads or 3 link ad use karo ise jyada nahi isse kam karke try karo.

      • Avatar for sarthak upadhyaysarthak upadhyay

        mai sirf 3 display ad use kar raha, aur kuch nahi. kya mai 2 display aur 2 link ad use kru, bas.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Yes kar sakte ho.

  13. Avatar for Satyam PatelSatyam Patel

    Thank you Bro. Really Helpful post.

    Kya January ke Starting me Blog CPC pahle se down hoti hai?

    Maine Google ki Term ko Read kiya to waha ye pata chala ki har timahi ke starting me Adsense CPC low ho sakti hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes hoti hai.

  14. Avatar for Sachin DhrangdhariyaSachin Dhrangdhariya

    June din Bhai Mai apka bohot purana visitor hu muje yeh Jan na hai ki Hindi blog Mai kitni CPC Hoti hai meri CPC Abhi 0.13 ki hai to kya yeh Sahi hai low hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hindi blog ki average CPC $0.03 to $0.05 hai. Kam hai thodi jayda honi chahiye.

  15. Avatar for sarthak upadhyaysarthak upadhyay

    sir, thanks..
    maine in sabhi tareekon ko follow kiya, fir bhi meri cpc 0.02 hai..
    aap mere blog ko dekhkar bata de ki kya maine ad placement to gaalat nahi ki hai. kahi maine jyada ad to use nahi kiya hai. lekin, sir main 1000++ words ke article use karta hu.. please help me. kabhi-kabhi to click hone ke bad bhi 0.00 $ milta hai..maine aapke ooper diye gae ek comment me padha ki cpc badhane ke iie high pay keywords ka istemal karo.. high pay keyword ka istemal kaise karte hain…

    please sir, ek bar website ka look up dekh le aur is problem ko dhyaan de ki kabhe kabhi per click ka ek bhee paisa nahi milta hai…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bro aapki site open nahi ho rahi hai.

      • Avatar for Sarthak upadhyaySarthak upadhyay

        Sir, actually me maine mistake se galat url dal diya tha…Ab dekh lijiye

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Dear hindi content par cpc kam hi hoti hai.

          • Avatar for Sarthak upadhyaySarthak upadhyay

            Lekin sir kabhi kabhi 0.00 hi rhta hai.. kya main apne post ko hinglish me likhu, isse cpc badhegi kya

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Main iski salah nahi dunga.

  16. Avatar for omkar kurudeomkar kurude

    sir maine ad unit bahut sare banaye tab mujhe pata nahi tha kya add unit hum delete kar sakte hai jo adsence me banye the ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes, aap ad units ko hide kar do kuch time wo apne aap delete ho jayenge.

  17. Avatar for VIJENDRA RajputVIJENDRA Rajput

    Hi sir
    Aapne cpc increase karne ke liye bahut achi post ki hai and me ads aapki tarah post me use karna chahta hu par kar nahi pa rah hu ek header and post ke last pairagraph me lagana chahta hu me ad inserter plugin use kar raha mene theme and plugin ke dwara code add karke dekh liya lekin header me ad show nahi ho raha hai

    1. adsense ads ke liye kis plugin ka use kar rahe hai.
    2.aapne jo header me ad lagaya hai wo theme ke throw add kiya hai ya plugin

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. ad inserter plugin ko sahi se samajho.
      2.theme maine above header widget add ki hai.

  18. Avatar for TARUN SHARMATARUN SHARMA

    नमस्कार Sir,
    मेरा ब्लॉग हिन्दू धरम से related है , मेरे ब्लॉग पर प्रतिदिन traffic 700 visitors है | जिसमे Organic traffic avarage 350 है |

    मेरे ब्लॉग पर CPC रेट हमेशा 0.02 $ ही रहता है |

    Please help to improve CPC Rate and traffic also.

    धन्यवाद्

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Use high paying keywords

  19. Avatar for kailash rawatkailash rawat

    Jumedeen bhai , apke article bahut badhiya hote hain or hamesha ki tarah aaj ka ye article bhi bahut achha hai main apko follow karta aya hu ….mera ek blog hai us pr october tak sab kuch theek chal raha tha or cpc 0.03 thi or hindi blog ki itni hi hoti hai average cpc .. to main us me bhi khush tha or october maheene ke last men mujhe cpc 0.04 or 0.05 bhi milne lag gayi thi lekin prso 1 november ko mujhe cpc 0.02 mili fir 2 tareek ko bhi wahi cpc or fir 3 tareeek ko bhi wahi cpc jabki main na to apne blog men koi change kiya na to koi copy post dali na hai or na koi hi koi changeing kiya, traffic bhi same hai click bhi same hai , balki traffic or click men to increasement hua hai…..pr ye achanak mujhe 0.02 cpc kyo milne lag gayi,,,,plz mere blog ko check krke bataye badi meherbaani ho gi jumedeen bhai apki..or haan main hr post men 4 ad use krta hun …but main pahle se hi krta aya hun fir november ke maheene se meri cpc km kyo hui

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dear kailash google ko advertiser jitna pay karte hai google hume utna hi jyada commission deta hai. Month ke last me aapki site ko achhe ad par click mile honge or nov starting me nahi. Yahi reason hai. Aapko “adsense kaam kaise karta hai” ke bare me puri janakr ihoni chahiye.

  20. Avatar for Anoop bhattAnoop bhatt

    bahut acha sir ji bs ense hi hamara margdarshn karte rahe

  21. Avatar for ghanshyamghanshyam

    वैरी गुड brother , मैं कब से सोच रहा था की गूगल adsense cpc कैसे बढ़ाये. यह पोस्ट पढ़ कर समझ गया … गुड पोस्ट

  22. Avatar for Kunj BihariKunj Bihari

    Nice information SMI

  23. Avatar for pankajpankaj

    Agar mai 3 ads unit ke sath sath page level ads. aur matched content ads use kar sakta hu. Agar nahi to mai tino ka use karna chahu to kis type se karu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes kar sakte ho.

  24. Avatar for PawanPawan

    Sir mere blog pe per day 1500 page view hai par phir Bhi Adsense se mujhe per 1000 page view revenue nhi milta . aisa kyu ho rha hai. Help me please

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense pageviews ke nahi ad click ke paise deta hai.

      • Avatar for TanweerTanweer

        Impression ka paisa to milta hai na example jaise 1000 ka 1 doller ya 2000 ka 1 doller is tarah jise
        CPM cost per thousand kahte hai

        • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

          नहीं impression का पैसा नहीं मिलता है, क्लिक का मिलता है.

  25. Avatar for Ankush GuptaAnkush Gupta

    Sir very very nice information. i love your blog. Thanks very much for sharing this kind of great information. I have bookmarked your site, for daily visit

  26. Avatar for ankit karnaankit karna

    Bhai mere blog pr CPC bhot km aa rha hai..daily 5,000+ Views hai
    CPC or kese bad sakta hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne blog me jarurat se jyada ad laga rahe hai unhe kam karo or per page 3-4 ad hi us karo.

  27. Avatar for pawanpawan

    sir mere adsense ka cpc kabhi 0.10 hota hai to aur kabhi 0.01 ho jata hai. mai kya karu lag bhag daily 40 clicks hote hai phir bhi 3 dollar se jayada nhi aata. Please help me sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      CPC aapke content ke keywords par us par click karne wale user ke interest par depend karti hai.

  28. Avatar for Narendra Singh PanwarNarendra Singh Panwar

    Bhai, last two months se CPC half ho gayi hai. iska kya karan ho sakta hai aur fir se kaise badh payegi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google search engine se traffic kamao badh jayegi.

      • Avatar for Narendra Singh PanwarNarendra Singh Panwar

        Karib karib 60% organic aur 30% direct traffic hai. Ek aur baat bounce rate kuch jyada hi badh gaya hai, kya yeh ek karan ho sakta hai.
        Aapka kimti samay dene ke liye dhanywad.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Nahi.

  29. Avatar for Saurabh TrivediSaurabh Trivedi

    मेरी वेबसाइट हिंदी न्यूज़ और आदेश की है, टैफिक 50000 रोज के आस पास है, लेकिन cps 0.01 है, इतनी ट्रिफिक के बाद भी कोई फायदा न मिल रहा, वेबसाइट देखकर कुछ सुझाव दे तो आभार होगा।

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke liye 2 suggestion hai.
      1. Site ko fast loading banao.
      2. Apane sidebar me itne sire lable show kar rakhe hai ki pucho mat, Adsense ko bhi confuse ho jaye ki kis topic se related ad show kare.

  30. Avatar for Rajkumar chauhanRajkumar chauhan

    Bahut Hi Achhi Jankari Diye Hai Sir, Mai Apka Daily Visiter Hu,
    Aaj Tak Apne Jitne Bhi Post Diye Hai Sare Post Better Rahe Hai,
    Mai Chahunga Age Bhi Aap Aise Hi Post Dalte Rahe,

    Dhanyabad……

  31. Avatar for Santosh SinghSantosh Singh

    Hello bro…
    Jo blogger SE earnings hui he wo payout kese hogi????

  32. Avatar for AVINASH KUMARAVINASH KUMAR

    Adsense me custom channel kaise use karte hai

  33. Avatar for AshutoshAshutosh

    Sir,me ek 17 saal ka ladka hu..suru se hi mjhe ye sab me dilchas hai.mene ek blog banayi hai and uusme domain kharidke lagana hai.mera blog blogger pe hai,kya mjhe aap ye bata sakte hai ki kya blogger account par domain lagane ke baad direct adscense ke liye approved ho sakta hai ya phir 6 month wait karna padega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Direct domain lene ke bad hi AdSense use kar sakte ho.

  34. Avatar for Kamlesh SharmaKamlesh Sharma

    Bro 1700-1800 Daily views aane par bhi meri earning Sirf 0.30$ Hoti hai aisa kyu..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Check karo ki aapko clicks kyu nahi mil. Analytics me bounce rate check karo, ads visibility check karo or sahi place par ad placement karo.

  35. Avatar for sanjitsanjit

    2 din phle YouTube ki kmai $84 tha or aaj $77 hai kyu sir

  36. Avatar for sureshsuresh

    Meri cpc 0.02$ hai aut me apne blog par Hindi aut hinglish bhadha use karta hoo.
    Mujhe bataye ki me Hindi ya hinglidh use karo jisse meri cpc bhi badhe.
    Mere aadhe content Hindi me hai aur adhe hinglidh me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense CPC hinglish ya hindi me likhne se nahi high paying keywords use karne se high hogi.

  37. Avatar for Ammi SinghAmmi Singh

    sir kya karu main Jada lambi post likh nahi pata main sirf 300-400 word ki post hi likh pata hun or traffic to bahut Jada hai lekin CPC $0.02 hi hai kya karu bahut paresan hun sir traffic ki koi chinta nahi or main aapko bata dun ki 60-70 clicks per day hai but CPC bahut kam hai bs main lambi post nahi likh pata jese aapki hoti hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hindi content me AdSense CPC low hi hoti hai. Hinglish me fir bhi theek hai aap humari AdSense revenue increase karne wali post padha karo.

  38. Avatar for sanjitsanjit

    adsean ki cpc kaise cheak kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense home page par jao or performance report me CPC par click karo. Jis ad ki jitni cpc hogi pata chal jayegi.

  39. Avatar for sanjitsanjit

    YouTube video ki cpc kaise badaye?
    or keyword kya hi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Chec kmy latest post.

      • Avatar for sanjitsanjit

        mane cheak kar liya aap sirf blog ke cpc ke bare me btaye hai YouTube ke cpc ke bare me nahi YouTube ke cpc kaise badhaye

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Youtube me bhi aapko yahi karna hai title, description ad video me keywords istemal karne hai.

          • Avatar for sanjitsanjit

            sir keyword kya hai ise kayse istmal kar te hai achhe se samjhaiye

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Keyword ek word hai jis se hum post content ko search engine ke liye optimize karte hai. Like main computer ke bare me post likhunga to mera keyword computer hoga.

  40. Avatar for rohitrohit

    sir maine jab AdSense ke liye apply kiya to pahle google adense se ye mail aaya.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Account approved ho gaya hai aap ad bana kar blog me add karo.

  41. Avatar for rajraj

    brother mujhe apki batayi gayi tips achhi lagi meri cpc bhahut hi low he aisa samjh lo na ki barabar he CPC 0.02 ye cpc YouTube ads ki hein mein blog par ads use nahi karta hu to mein apni cpc kaise incrase kar sakta hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Raj aap video ki thodi language chagne kare or jaruri english words ka istemal kare. Aap audio me keywords ka istemal bhi kar sakte hai. Iske alawa aap video title or description me bhi high CPC keywords use kare. ye aap aplready kar rahe ho so thoda voice par focus karo.

  42. Avatar for gautam nagrajgautam nagraj

    hello sir,
    bohot bohot dhanyawad “CPC” ke bare me mere jo doubts the wo aaj aapke is post ki wajas se clear ho gaye he. iske liye fir ek bar dhanyawad.

    lekin yaha ek sawal puchhna chahunga keywords ke bareme , or woh ye he ..

    jaisa ki aapne kaha “CPC” keywords ke basis pr hota hai, to jitne bhi keyword research tools he (Semrush, Google Keyword Planner) me maine search blogging, online money make, blogging tips, tricks related hindi me search kiya location india set karke, lekin muze bohot kum values mili,

    muze pata he india me AdSense ki cpc kum he r agar baat hindi blogs ki kare to or bhi kum , to me ye janna chahta hu ki aapka blog bhi hindi he to aapki AdSense earnings kaise itni high he ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kyuki main always google ki terms follow karta hu.

  43. Avatar for deepdeep

    Bro agar hum suruvat se hi high quality posts likhe to AdSense approve hote hi CPC acchi rahti hai kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes bilkul rahti hai.

      • Avatar for Abhishek tiwariAbhishek tiwari

        Bro mujhe apna blog start kiye 6 month se upar ho rha hai adsense bhi 15 din ke andar approved ho gya tha par income 5 dollar bhi nhi ho payi low cpc ki wajah se chahe jitna high cpc keywords use karo cpc low 00.2 hi rahti hai

        • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

          Blog par traffic badhao, hindi blog par CPC itni hi rahti hai.

  44. Avatar for dr faizandr faizan

    Topic ach-cha he.jankari bhi bhut saral tariqe se aapne samjhayi he.aap ki lekhan sheli pirbhavit karti he.yaha me aap se ek sujhav chahta hoon..me AdSense ke liye YouTube aur blog dono se hi apply nahi kar pa raha hoon…mene bahut logo se is sambandh me jankari li…par koi bhi meri problam solve nahi kar paya he…intenet par mene logo se apply nahi ho pane ke bare me..puchha…par voh mujhe apply karne ka proces samjha dete hen…mere sath diqqat ye aa rahi he…ki..me jab bhi AdSense ke liye apply karta hoon to…email verify hone ke bad website verify nahi ho pati…aur “save and continue”par click karta hoon to likha aa jata he “try latter” YouTube ya blog me se kisi se bhi me kam se kam apply to kar paau…aap please batane ka kasht karen ki..me AdSense ke liye email verify hone ke bad…website ko kese verify karoo…kyun ki isse aage process hi aage nahi badta he…YouTube par mene monetize to kar liya phir AdSense ke liye…vahi process aage nahi bad pa raha he…mujhe samjhane ka kasht karen ki…me kaha galti kar raha hoin…www.suvachhta.com nam se blogger par mera blog he…diqqat ye hi he ki website verify nahi ho pa rahi he…thanx

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Actually, aap process sahi se follow nahi kar pa rahe ho. Ye step follow karo.
      1. update browser or uski history delete karke apna blog ya YouTube channel open karo uske bad uske throw AdSense account banao.
      2. Agar aapka internet connection slow hota hai to t oye issue hota hai. Aap na kar payo to mujhe contact forum me mail karo.

  45. Avatar for Vinod KumarVinod Kumar

    Sir mera YouTube channel hai or main janana chahata hun ki YouTube par jo add chalti hai unki cpc kaise badhayen. mere channel par 700 click or 35000 view par day rahte hai par cpc 0.01 hai.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap video ko SEO friendly banaye or video title and description me high CPC keywords use kare.

  46. Avatar for sanju dangarsanju dangar

    Thank you so much sir help ke liye, meri kafi tanction dur ho gayi

  47. Avatar for sanju Dangarsanju Dangar

    Hello, JUME DEEN Sir, me kus questions clear karna chahta hu, vaise to maine aapse pahele bhi cpc ke baare me help li hai, thanks but sir me last 2 month se cpc increase karne par fox kiya hai, or bahut sari post ko samaj kar or follow bhi kar raha hu, par cpc 0.02$ hi rahti hai, 2 month pahle 0.08% huaa karti thi,
    Sir site pageviews 2000/day hai, or click 40-50/day hai, muje ak baat samaj me nahi aa rahi hai ki deen b deen click kyu badhti ja rahi hai?
    Or cpc low hoti ja rahi hai.
    Is se me kafi pareshan hu, bahut koshis kar raha hu, par koi fayada nahi mil raha. Kya sir meri site blogger platform par hai isliye cpc low ho raha hai?
    Sir aap free ho to ak baar site par visit kar ke bataiye ki mere article ki vajah se low cpc hai ya or koi vajah hai,
    Or aakhir me ak sawal pusana chahta hu ki, AdSense to visiter ke intrest ke hisab se ads show karti hai, or ham kisi high cpc keyword par post likhe to kya fayada hai, ads to visiter ke pasand anusar hi show hoti hai, agar hamne ise off kiya to click to kam hi ho jayegi, par kya cpc high ho sakti hai?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi ads CPC ka blogger platform par se koi fark nahi padta hai. Maine aapka blog check kiya hai aap ad placement sahi se karo.

  48. Avatar for Geetu KashyapGeetu Kashyap

    CPC meri $0.6 to $0.8 tak hi rehta hai.. CPC badhaane ka koi genuine tarika bataye jo really me works Kare.. Please I request to you @jumedeen

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Geetu is post me btaye sabhi tarike work karte hai bas inhe follow karne wala smart hona chahiye.

  49. Avatar for DharmendraDharmendra

    bahi ek problem ho rahi hai 3 dino se mere AdSense ki CPC 0.05 rah gai badh nahi rahi, wajah pata nahi chal rahi jubki post me sirf 3 link aur 2 image ads hi laga rakhe hai. Digitalnewhunt.in

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      High CPC keywords par post likha karo.

      • Avatar for DharmendraDharmendra

        ok samajh gaya thanx

  50. Avatar for deep kaksiyadeep kaksiya

    Sir, mera AdSense 7 din phle approve hua hai or mere blog par 500-1000 pageviews daily hai par meri AdSense me CPC .02 hai low CPC vale ads bi block kar diye hai kya karu aap batao ,

    Mene mere frend usa ka hai usse bi click karvaya tha mujhe sirf.15$ hi mile
    Meri website par click karke dekho sir ek baar kya karu ab m

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar aap apni kisi friend se click karwaoge to jald hi aapka AdSense account ban ho jayega. Adsense CPC ke bare me mai kei post likh chuka hu wo padhe.

      • Avatar for deep kaksiyadeep kaksiya

        Sir m padh chuka hu or try bi kiya hai nahi ho raha hai CPC increase

        Miane phle you tube account se AdSense approve karvaya tha fir blog ko add kiya tha usi me uske karana to CPC low nahi hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aapne sirf content padha hoga follow nahi kiya. I already checked your blog, aa psahi location par or sahi size ke ads use karo.

  51. Avatar for Saurabh SinghSaurabh Singh

    Sir Mere Website ka cpc Bhat hi Kam hai 0.5 se 0.10 Kya aap Bata Sakte Hai ki Mai cpc kaise Jyda Karu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ek bar is post me btayi tips try karo.

  52. Avatar for RohanRohan

    बहुत ही अच्छी जानकारी ध्यानवाद

  53. Avatar for sanjaysanjay

    mai bloging me new hu aur maine blogspot me blog banaya lekin mujhe organic hit google search se nahi mil pa rahi hai to mujhe help kare…… Kya iski wajah blogspot hai…. kya mujhe WordPress me switch karna chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi WordPress or blogger se koi problem nahi hai. Aap blog ko google bing yahoo jaise search engine se submit karo.

      • Avatar for sanjaysanjay

        KAR LIYA HU GOOGLE SEARCH ME DIKHA RAHA HAI BUT VISITOR AA NAHI RAHE HAI

  54. Avatar for sanjaysanjay

    blogs se related jankari hindi me dene ke liye thank you .
    mere blog par high cpc wale keyword par bhi AdSense ki cpc bahut kam hai ONE USA click par bhi 0.14$ hi aata hai .kya karu??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Itni CPC kafi hai logo ko to $0.05 hi milti hai.

  55. Avatar for shivamshivam

    sir mera AdSense pr jo account hai or bank account deatail me jo name h vo dono different h to sir kya meri payment nhi aayegi?

  56. Avatar for nitinnitin

    sir mery problem jrur solve kre mai jab bhi AdSense account bnata hu to website or language select krne ke bad jab continue par click krta hu to kuch bhi nhi aata.aapse mai ye bhut bar puch chuka hu.aapne mujhe koi bhi solutions nhi diya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nitin maine aapse kaha tha ki aap pichle step ache se follow karo or chrome browser use karo.

  57. Avatar for roshanroshan

    आप की टिप्स अच्छी लगी।
    मेरे साइड की CPC 0.5 bahut kam है KYA करू सब करके देख लिया लेकिन नहीं बढ़ी।
    आप से अनुरोध है की आप कुछ बताये
    धन्यवाद

  58. Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

    sir facebook me post share karne ke bat share ki gaye post ko kai sare facebook viewer ek sath page visit karte hai tab AdSense par jo click ho us click ko AdSense Fraud ya Useless Clicks manta hai ya nahi…. facebook se aane wali traffic se jo AdSense me click milti hai vo sahi hai ya galat….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense to allready search engine or social media se aaye visitos ko pasand karta hai.

    • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

      Sir pahele mere blog ki total 850 url index thi lekin 2 din se vo index url kam ho rahi ha… pahele 850 url index thi ab 745 index hai to esa kyu…. aur url index ka graph niche ja raha hai… iska kuch solutions ho to batayega

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Don’t worry url fir se index ho jayenge.

  59. Avatar for Abbas RizviAbbas Rizvi

    Bhaijaan bhut hi acchi post daali hai aapne.

    Keep it up, I’ll surely attempt to implement your ideas in future!

    Regards,
    Syed Abbas Rizvi

  60. Avatar for mangaldeepmangaldeep

    hello jume deen bro mujhe aap sirf itna bataye agar me display ad ek hi size ka 3 unit use karta hu to koi problem to nhi hogi??…. man lijiye mene 200*200 ad size ko post me 3 jagha use karta hu to koi problem to nhi hogi ???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Problem to kuch nahi hogi. but aapki cpc kam ho jayegi.

  61. Avatar for NoorNoor

    Bhai reply ke shukriya, aur usse bhi zyada shukriya fast reply ke liye. Maine itna fast reply kisi blog pe nai dekha, Aur han maine apna blog 25/10/2015 ko banaya tha aur is 25 january ko 3 mahine huye hain. Aur maine blog bana kar chhod diya tha aise hi, ab 9 january se posting shuru ki hai.

  62. Avatar for NoorNoor

    Bhai mere blog pe 3 ,4 din pehle maine dashboard me earning par click kiya tha, lekin tab tak batata tha ke abhi apka blog AdSense ke liye redy nai hai hai. Phir main kal status check kar raha tha to wahan add show ho rahe thy ke aap apne blog pe ads show kar sakte ho. Tab maine dubara earning pe check kiya ab wahan AdSense wala button click ho rha hai aur likha hai AdSense account banane ke liye, to mujhe kab account banana chahiye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ab aapke blog ko 6 month ho gaye honge. blogger par ye option 6 mahine ke bad enable hota hai. jab aapke blog par 300 pageviews per day aane lag jaye to AdSense se connect kar le.

  63. Avatar for Chakradhari kumarChakradhari kumar

    Kya Alexa rank badh jane se bhi CPC kam ho sakta hai…..?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ha alexa rank jyada hogi to cpc kam hoti hai.

  64. Avatar for Ammi SinghAmmi Singh

    sir plz aaj mere blog ko dekho or rank bhi dekho fir mujhe batawo ki sahi ja raha hai ya galat or chitika approved ho jayega ya nahi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      abhi nahi hoga. pahle apne blog par thodi traffic badhao uske bad chitika ke liye apply karo.

  65. Avatar for Ravindra ThakurRavindra Thakur

    Bahut shandar post likhi hai Jume Deen ji . India me or Hindi blog me CPC kam milata hai but apki post se kuch to help hogi.. Sir ek bat bataye Hindi blog me topic ke hisaab se high paying keyword kahan search kar sakte hai… Thanks…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google adwords par

  66. Avatar for akshayakshay

    aapki daily income kya hai per doller
    kyoki me bhi bloging chalu karana chahata hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ye post pado Support Me India Traffic & Income Report – December 2015

  67. Avatar for devdev

    bhyi me post wahi rakhna chahtu hu or wo hi post ko edit karke update kardu par jis post ko mene update kiya he wo mene 3 din phle dali thi ab wo post update karte hi aaj ki date show honi chahiye yani ki mene wo post aaj dali he post date aaj or google use 5 hours ago ya 2 hours ago ya jo bi ho aisa dikhna chahiye kya aisa kese hota he plz bro reply me. yani me kese karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Simple hai aap post ko update karte time uski date change karo. 2-3 days me search engine me show hone wale result ki date ho jayegi.

  68. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    jaise ek template ko maine download kiya uska use maine apne ek blog me kiya dusra me kar sakta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ravi iska jawab mai allready de chuka hu ki ek template ko aap kitne bhi blog me use kar sakte ho. so ek sawal ko bar bar repeat mat kiya karo.

  69. Avatar for GangwarGangwar

    Hello sir main apka daily member banana chanta hu aap meri website subsikho dekh sakte ho aap mujhe kitani selury doge aur maine apko contact from contct kiya tha par apne koi jabaab nhi diya agar main daily apko ak post dunga to aap mujhe kitne paise doge

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      maine aapke message ka reply kiya hai aap check karo.

      • Avatar for GangwarGangwar

        Sorry dear sir maine kai baar thik se check kiya par nhi mila aap mujhe email par fir se batayen plz main apna aaj se hi shuru karta hu main fb pe apko apna contact no bhi de dunga

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Madan first to aap comment me url or email add mat karo, wo aap allready website or email box me kar chule hote ho to comment me add karne ki koi jarurat nahi hai. And aap post lokhe ki bat kar rahe ho to aap mujhe contact form me message karo post par comment mat karo. Becoz contact form persanal bat karne ke liye hota hai or comment publish. Understand

  70. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    kya template change karne se post/page/widget deleted ho jate hai ya,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blog ki template change karne se post page delete nahi hote. widget delete ho sakte hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...