Adsense advertisements hindi blog se money earn karne ka sabse best tarika hai kyuki ye ads par click karne ke paise deta hai. but india me AdSense CPC very low hoti hai. jiski wajah se indian blogger AdSense se achi income nahi kar pate hai. magar AdSense CPC ko increase kar ke hum AdSense se adhik paise kama sakte hai. is post me mai aapko isi ke bare me btane ja raha hu ki kaise hum AdSense ki CPC badha kar adhik paise kama sakte hai.
Agar aapki AdSense CPC $0.01 se $0.05 se kam hai to ye bahut slow hai. iski kai karan (reason) ho sakte hai jinke bare me aapko is post ko padne ke bad sabkuch pata chal jayega. AdSense CPC badhane ke top 6 tarike in hindi.
Adsense CPC Kya Hai?
CPC ka matlab hota hai “Cosr Per Click”. yani aapko total kitne click se total kitne paise milte hai or ek click ke hisab se kine mile hai. man lijiye aapko ek click se $0.8 or other 3 click se $1 mile hai to aapki CPC ($0.08+$1.00)/4= $0.27 hogi.
Ise aap is simple example se samajh sakte ho.
(total earning)/total click= CPC
aapki ek din ki total income me aapko total click ka bhag dena hai. wo aapki AdSense CPC hoti hai. AdSense CPC AdSense eCPM (Effective Cost Per Mile) or CTR (Click Through Rate) ke low or high hone par depend karta hai. eCPM or CTR ke bare me hum bad me bat karenge. abhi hum sirf AdSense CPC increase karne ke bare me bat karenge.
- Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
- Adsense Ads Lagane Ke Liye Kya Blog 6 Months Purana Hona Jaruri Hai.
Adsense CPC Increase Kaise Kare Top 6 Tarike
Adsense CPC humari blog post ke content, ads format, viewes time, ads placement, ads type, page rpm par depend karta hai. agar aap apne blog par AdSense use karte hai or AdSense se achi earning karna chahate hai to in step ko follow karke aap apne AdSense ki CPC improve kar sakte ho.
1. Top Post Title, Content or Keywords
Mai jab bhi make money online ya website blog SEO ke bare me post likhta hu to usme ye bat jarur likhta hu ki jyada income or traffic pane ke liye ek post me kam se kam 1000 word hone chahiye. agar aap mere continue reader hai or meri har post padte hai to aapko iske bare me pata bhi hoga.
Adsense post content yani post me di gayi jankari me use kiye gaye keyword ke hisab se ads dikhata hai. ayse me aapki post me jitne high quality ke keywords honge AdSense utne hi high CPC ads dkha sakega. high paying ads show hone se aapki CPC increase hogi.
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
- Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips
2. Enable Image and Text Ads
Kuch log images ads ko pasand nahi karte hai unka manna hai ki images ads se links ads jyada better hote hai. but mai is bat ko nahi manta hai. becoz maine images or rich media ads se per click $0.85 tak earn kiye hai. sath hi mai links ads ko bhi galat nahi bta sakta kyoki meri links aps par bhi achi cpc rahi hai. par ek aapko suggest kar sakta hu ki aap image or text dono type ke ads enable rakhe.
Adsense ko ads company jitne paise deti hai. AdSense us ads ke hisab se AdSense user ko yani hume benefit de sakti hai. or ye benefit $0.01 se $10 tak ho sakta hai. isliye mai Image and Text Ads ko suggest karta hu ki AdSense par kis ads se kitna benefit mil sakta hai ye koi nahi janta or agar aapne sirf image ya text ads use kiye hai to aap is benefit ko miss kar sakte hai.
Man lijiye aapne 10 click se $0.10 ke hisab se $1 kama liye but agar aapko ek high paying ads se 1 click ke $5 mil sakte hai. iske kuch or fayde bhi mai aapko bta deta hu.
- 80% advertising site banner ads se apni site ka promotion karna pasand karti hai. so banner ads ka AdSense par high charge lagta hai. ayse me koi reach company hi banner ads offer karti hai.
- bahut se iamge ads aapke visitors ko impressive karte hai or wo ads ko dekhne aapki site par kuch time or rukte hai isse aapki site ki bounse rate badhti hai.
- iamge and text type ke ads use karne par AdSense aapki site par sabhi ads dikha sakta hai. jisse aapke AdSense ki CPC high hoti hai.
3. Don’t Use Many Ads
Agar aap 3 ads unit se jyada ads use karte ho to ye aapke low CPC ki wajah ho sakti hai. becoz AdSense 3 se jyada ads sho karna allow nahi karta hai.
aapke liye behtar hoga ki aap post content kw hisab se ads use kare. kei bar 3 ads ki jagah 2 ads se bhi jyada income hoti hai. isliye agar aap ek page me 3 ads use karna hi chahate hai to aapki ek post me kam se kam 1000 word hone chahiye.
Aapki post me 500 words se kam ho to aap only 2 hi ads use kare. becoz kam post content me keyword na hone ki wajah se AdSense ko 3no ads show karne me probelm hoti hai.
- Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
- Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte – Full Guide
4. Always Use Custom Channels
Mere ek friend Deepak ne mujhse kuch din pahle hi ye sawal pucha tha ki bro AdSense me ads banate time custom channel use karne se kya fayda hai. to mai aap sabke sath uske sawal ka jawab bhi de raha hu.
Custom channel bahut important hai. inse pata chalta hai ki aapke konse ads ki kya performition hai. yani kis ads ki sCPC, eCPM , CTR kitni hai. isse aapko clear idea milta hai or aap AdSense ko or ache se use kar sakte ho.
ab bat aati hai ki custom channel se CPC kaise badhaye to aap ads ki details check karke low cpc wale ads ko block kar ke AdSense ki CPC improve kar sakte ho.
5. Show Ads Fist In Post
mMujhe aaj blogging me jitna time hua hai. usme meri sabse jyada income post me sabse pahle add kiye gaye ads se huyi hai. maine iske bare me kei success AdSense user se pucha bhi hai.
Iski wajah ye hoti hai ye post loading me sabse pahle show hota hai. or post load hone tak visitors ki isi par nazar hoti hai. ayse mai unhe ads pasand aata hai to wo post ki jagah ads par visit karte hai.
Fast loading or ache click milne ki wajah aapko jyada clikc milte hai. but bat CPC ki ho to har website owner or blogger post ke first paragraph me jyada se jyada high keywords use karta ha or ads post me first me hota hai to ayse me jab AdSense ads robot aapki post ko scan karta hai to use ye high keyword milte hai.
Jinki wajah se AdSense yaha high paying ads show karta hai.
- Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagate Hai Hindi Me Jane
- Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye
6. Accident, Fraud and Useless Clicks
Bahut se log sochte hai ki agar hum apne hi ads par click karte hai to hi AdSense hume block kar sakta hai. agar hum apne dosto or jankaro se click karwayenge to AdSense ko kya pata chalega.
Adsense is mamle me bahut experet hota hai. wo galti (accedent) se kiye gaye click, froud click or bina interest ke click ko aasani se pahchan leta hai.
Agar koi aysa karta hai to AdSense ko uska turant pata chal jata hai. but fir bhi AdSense use galti sudharne ka mouka deta hai. is mouke ko wo usee samajhta hai ki AdSense ko uska pata hi nahi chala, ayse mai uski 10, 20, 50 dollar income ho jati hai.
Yaha ye bat important ho jati hai ki AdSense india me minimul $100 hone par hi payment kyu karti hai. to iska aapko yaha jawab mil hi gaya hoga. in froud logo ki wajah se AdSense ne ye rules banaye hai. or isi ki wajah se india me AdSense CPC very slow hoti hai. warna USA me AdSense per click $2 to $10 pay karta hai.
Ye log apne ads par khud click karke 10, 20, 50 dollar kama kar khud ko intelligent samjhate hai. but aaj tak koi bhi Accident, Fraud and Useless Clicks se $100 nahi kama paya usse pahle hi uska AdSense account ban ho jata hai.
So aysa kabhi nahi kare. warna apni low CPC ke aap khud jimmedar honge. Accident, Fraud and Useless Clicks se aapki CPC bahut jaldi kam hoti hai. isliye galti se bhi apne ads par click nahi kare. adhik jankari ke liye aap Adsense Policy pad sakte hai.
- Mobile Se Paise Kamane Ke 5 Best Android Apps
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
I hope aapko is post me AdSense se relate apne kei sawalo ke jawab mile honge. to ab humari post ke bare me free ho kar comment kare. or aage bhi make money online, SEO, Blogging ke bare me new jankari ke liye supportmeindia par visit karte rahe. sath hi is post ko share karke other blogger ki help karna na bhoole.
I repeat second time to leave comment on this post for increase my power and i give you some wonderful articles in future.
Saurabh Singh
Sir Mere Website ka cpc Bhat hi Kam hai 0.5 se 0.10 Kya aap Bata Sakte Hai ki Mai cpc kaise Jyda Karu.
Jumedeen Khan
Aap ek bar is post me btayi tips try karo.
Rohan
बहुत ही अच्छी जानकारी ध्यानवाद
sanjay
mai bloging me new hu aur maine blogspot me blog banaya lekin mujhe organic hit google search se nahi mil pa rahi hai to mujhe help kare…… Kya iski wajah blogspot hai…. kya mujhe WordPress me switch karna chahiye
Jumedeen Khan
Nahi WordPress or blogger se koi problem nahi hai. Aap blog ko google bing yahoo jaise search engine se submit karo.
sanjay
KAR LIYA HU GOOGLE SEARCH ME DIKHA RAHA HAI BUT VISITOR AA NAHI RAHE HAI
sanjay
blogs se related jankari hindi me dene ke liye thank you .
mere blog par high cpc wale keyword par bhi AdSense ki cpc bahut kam hai ONE USA click par bhi 0.14$ hi aata hai .kya karu??
Jumedeen Khan
Itni CPC kafi hai logo ko to $0.05 hi milti hai.
shivam
sir mera AdSense pr jo account hai or bank account deatail me jo name h vo dono different h to sir kya meri payment nhi aayegi?
Jumedeen Khan
Aapko pahle se AdSense account bank account se matched use karna tha. aap ye post follow karo or apna name change karo. Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare
nitin
sir mery problem jrur solve kre mai jab bhi AdSense account bnata hu to website or language select krne ke bad jab continue par click krta hu to kuch bhi nhi aata.aapse mai ye bhut bar puch chuka hu.aapne mujhe koi bhi solutions nhi diya
Jumedeen Khan
Nitin maine aapse kaha tha ki aap pichle step ache se follow karo or chrome browser use karo.
roshan
आप की टिप्स अच्छी लगी।
मेरे साइड की CPC 0.5 bahut kam है KYA करू सब करके देख लिया लेकिन नहीं बढ़ी।
आप से अनुरोध है की आप कुछ बताये
धन्यवाद
Jumedeen Khan
Aap ye post padho isme aapke liye achi jankari milegi. Hindi Blog Par High Traffic Kaise Badhaye 10 Important Tarike
Harshad Bataviya
sir facebook me post share karne ke bat share ki gaye post ko kai sare facebook viewer ek sath page visit karte hai tab AdSense par jo click ho us click ko AdSense Fraud ya Useless Clicks manta hai ya nahi…. facebook se aane wali traffic se jo AdSense me click milti hai vo sahi hai ya galat….
Jumedeen Khan
Adsense to allready search engine or social media se aaye visitos ko pasand karta hai.
Harshad Bataviya
Sir pahele mere blog ki total 850 url index thi lekin 2 din se vo index url kam ho rahi ha… pahele 850 url index thi ab 745 index hai to esa kyu…. aur url index ka graph niche ja raha hai… iska kuch solutions ho to batayega
Jumedeen Khan
Don’t worry url fir se index ho jayenge.
Abbas Rizvi
Bhaijaan bhut hi acchi post daali hai aapne.
Keep it up, I’ll surely attempt to implement your ideas in future!
Regards,
Syed Abbas Rizvi
mangaldeep
hello jume deen bro mujhe aap sirf itna bataye agar me display ad ek hi size ka 3 unit use karta hu to koi problem to nhi hogi??…. man lijiye mene 200*200 ad size ko post me 3 jagha use karta hu to koi problem to nhi hogi ???
Jumedeen Khan
Problem to kuch nahi hogi. but aapki cpc kam ho jayegi.
Noor
Bhai reply ke shukriya, aur usse bhi zyada shukriya fast reply ke liye. Maine itna fast reply kisi blog pe nai dekha, Aur han maine apna blog 25/10/2015 ko banaya tha aur is 25 january ko 3 mahine huye hain. Aur maine blog bana kar chhod diya tha aise hi, ab 9 january se posting shuru ki hai.
Noor
Bhai mere blog pe 3 ,4 din pehle maine dashboard me earning par click kiya tha, lekin tab tak batata tha ke abhi apka blog AdSense ke liye redy nai hai hai. Phir main kal status check kar raha tha to wahan add show ho rahe thy ke aap apne blog pe ads show kar sakte ho. Tab maine dubara earning pe check kiya ab wahan AdSense wala button click ho rha hai aur likha hai AdSense account banane ke liye, to mujhe kab account banana chahiye.
Jumedeen Khan
ab aapke blog ko 6 month ho gaye honge. blogger par ye option 6 mahine ke bad enable hota hai. jab aapke blog par 300 pageviews per day aane lag jaye to AdSense se connect kar le.
Chakradhari kumar
Kya Alexa rank badh jane se bhi CPC kam ho sakta hai…..?
Jumedeen Khan
ha alexa rank jyada hogi to cpc kam hoti hai.
Ammi Singh
sir plz aaj mere blog ko dekho or rank bhi dekho fir mujhe batawo ki sahi ja raha hai ya galat or chitika approved ho jayega ya nahi.
Jumedeen Khan
abhi nahi hoga. pahle apne blog par thodi traffic badhao uske bad chitika ke liye apply karo.
Ravindra Thakur
Bahut shandar post likhi hai Jume Deen ji . India me or Hindi blog me CPC kam milata hai but apki post se kuch to help hogi.. Sir ek bat bataye Hindi blog me topic ke hisaab se high paying keyword kahan search kar sakte hai… Thanks…
Jumedeen Khan
Google adwords par
akshay
aapki daily income kya hai per doller
kyoki me bhi bloging chalu karana chahata hu
Jumedeen Khan
ye post pado Support Me India Traffic & Income Report – December 2015
dev
bhyi me post wahi rakhna chahtu hu or wo hi post ko edit karke update kardu par jis post ko mene update kiya he wo mene 3 din phle dali thi ab wo post update karte hi aaj ki date show honi chahiye yani ki mene wo post aaj dali he post date aaj or google use 5 hours ago ya 2 hours ago ya jo bi ho aisa dikhna chahiye kya aisa kese hota he plz bro reply me. yani me kese karu
Jumedeen Khan
Simple hai aap post ko update karte time uski date change karo. 2-3 days me search engine me show hone wale result ki date ho jayegi.
Ravi Kumar
jaise ek template ko maine download kiya uska use maine apne ek blog me kiya dusra me kar sakta hu
Jumedeen Khan
Ravi iska jawab mai allready de chuka hu ki ek template ko aap kitne bhi blog me use kar sakte ho. so ek sawal ko bar bar repeat mat kiya karo.
Gangwar
Hello sir main apka daily member banana chanta hu aap meri website subsikho dekh sakte ho aap mujhe kitani selury doge aur maine apko contact from contct kiya tha par apne koi jabaab nhi diya agar main daily apko ak post dunga to aap mujhe kitne paise doge
Jumedeen Khan
maine aapke message ka reply kiya hai aap check karo.
Gangwar
Sorry dear sir maine kai baar thik se check kiya par nhi mila aap mujhe email par fir se batayen plz main apna aaj se hi shuru karta hu main fb pe apko apna contact no bhi de dunga
Jumedeen Khan
Madan first to aap comment me url or email add mat karo, wo aap allready website or email box me kar chule hote ho to comment me add karne ki koi jarurat nahi hai. And aap post lokhe ki bat kar rahe ho to aap mujhe contact form me message karo post par comment mat karo. Becoz contact form persanal bat karne ke liye hota hai or comment publish. Understand
Ravi Kumar
kya template change karne se post/page/widget deleted ho jate hai ya,
Jumedeen Khan
blog ki template change karne se post page delete nahi hote. widget delete ho sakte hai.