Adsense advertisements hindi blog se money earn karne ka sabse best tarika hai kyuki ye ads par click karne ke paise deta hai. but india me AdSense CPC very low hoti hai. jiski wajah se indian blogger AdSense se achi income nahi kar pate hai. magar AdSense CPC ko increase kar ke hum AdSense se adhik paise kama sakte hai. is post me mai aapko isi ke bare me btane ja raha hu ki kaise hum AdSense ki CPC badha kar adhik paise kama sakte hai.
Agar aapki AdSense CPC $0.01 se $0.05 se kam hai to ye bahut slow hai. iski kai karan (reason) ho sakte hai jinke bare me aapko is post ko padne ke bad sabkuch pata chal jayega. AdSense CPC badhane ke top 6 tarike in hindi.
Adsense CPC Kya Hai?
CPC ka matlab hota hai “Cosr Per Click”. yani aapko total kitne click se total kitne paise milte hai or ek click ke hisab se kine mile hai. man lijiye aapko ek click se $0.8 or other 3 click se $1 mile hai to aapki CPC ($0.08+$1.00)/4= $0.27 hogi.
Ise aap is simple example se samajh sakte ho.
(total earning)/total click= CPC
aapki ek din ki total income me aapko total click ka bhag dena hai. wo aapki AdSense CPC hoti hai. AdSense CPC AdSense eCPM (Effective Cost Per Mile) or CTR (Click Through Rate) ke low or high hone par depend karta hai. eCPM or CTR ke bare me hum bad me bat karenge. abhi hum sirf AdSense CPC increase karne ke bare me bat karenge.
- Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
- Adsense Ads Lagane Ke Liye Kya Blog 6 Months Purana Hona Jaruri Hai.
Adsense CPC Increase Kaise Kare Top 6 Tarike
Adsense CPC humari blog post ke content, ads format, viewes time, ads placement, ads type, page rpm par depend karta hai. agar aap apne blog par AdSense use karte hai or AdSense se achi earning karna chahate hai to in step ko follow karke aap apne AdSense ki CPC improve kar sakte ho.
1. Top Post Title, Content or Keywords
Mai jab bhi make money online ya website blog SEO ke bare me post likhta hu to usme ye bat jarur likhta hu ki jyada income or traffic pane ke liye ek post me kam se kam 1000 word hone chahiye. agar aap mere continue reader hai or meri har post padte hai to aapko iske bare me pata bhi hoga.
Adsense post content yani post me di gayi jankari me use kiye gaye keyword ke hisab se ads dikhata hai. ayse me aapki post me jitne high quality ke keywords honge AdSense utne hi high CPC ads dkha sakega. high paying ads show hone se aapki CPC increase hogi.
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
- Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips
2. Enable Image and Text Ads
Kuch log images ads ko pasand nahi karte hai unka manna hai ki images ads se links ads jyada better hote hai. but mai is bat ko nahi manta hai. becoz maine images or rich media ads se per click $0.85 tak earn kiye hai. sath hi mai links ads ko bhi galat nahi bta sakta kyoki meri links aps par bhi achi cpc rahi hai. par ek aapko suggest kar sakta hu ki aap image or text dono type ke ads enable rakhe.
Adsense ko ads company jitne paise deti hai. AdSense us ads ke hisab se AdSense user ko yani hume benefit de sakti hai. or ye benefit $0.01 se $10 tak ho sakta hai. isliye mai Image and Text Ads ko suggest karta hu ki AdSense par kis ads se kitna benefit mil sakta hai ye koi nahi janta or agar aapne sirf image ya text ads use kiye hai to aap is benefit ko miss kar sakte hai.
Man lijiye aapne 10 click se $0.10 ke hisab se $1 kama liye but agar aapko ek high paying ads se 1 click ke $5 mil sakte hai. iske kuch or fayde bhi mai aapko bta deta hu.
- 80% advertising site banner ads se apni site ka promotion karna pasand karti hai. so banner ads ka AdSense par high charge lagta hai. ayse me koi reach company hi banner ads offer karti hai.
- bahut se iamge ads aapke visitors ko impressive karte hai or wo ads ko dekhne aapki site par kuch time or rukte hai isse aapki site ki bounse rate badhti hai.
- iamge and text type ke ads use karne par AdSense aapki site par sabhi ads dikha sakta hai. jisse aapke AdSense ki CPC high hoti hai.
3. Don’t Use Many Ads
Agar aap 3 ads unit se jyada ads use karte ho to ye aapke low CPC ki wajah ho sakti hai. becoz AdSense 3 se jyada ads sho karna allow nahi karta hai.
aapke liye behtar hoga ki aap post content kw hisab se ads use kare. kei bar 3 ads ki jagah 2 ads se bhi jyada income hoti hai. isliye agar aap ek page me 3 ads use karna hi chahate hai to aapki ek post me kam se kam 1000 word hone chahiye.
Aapki post me 500 words se kam ho to aap only 2 hi ads use kare. becoz kam post content me keyword na hone ki wajah se AdSense ko 3no ads show karne me probelm hoti hai.
- Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
- Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte – Full Guide
4. Always Use Custom Channels
Mere ek friend Deepak ne mujhse kuch din pahle hi ye sawal pucha tha ki bro AdSense me ads banate time custom channel use karne se kya fayda hai. to mai aap sabke sath uske sawal ka jawab bhi de raha hu.
Custom channel bahut important hai. inse pata chalta hai ki aapke konse ads ki kya performition hai. yani kis ads ki sCPC, eCPM , CTR kitni hai. isse aapko clear idea milta hai or aap AdSense ko or ache se use kar sakte ho.
ab bat aati hai ki custom channel se CPC kaise badhaye to aap ads ki details check karke low cpc wale ads ko block kar ke AdSense ki CPC improve kar sakte ho.
5. Show Ads Fist In Post
mMujhe aaj blogging me jitna time hua hai. usme meri sabse jyada income post me sabse pahle add kiye gaye ads se huyi hai. maine iske bare me kei success AdSense user se pucha bhi hai.
Iski wajah ye hoti hai ye post loading me sabse pahle show hota hai. or post load hone tak visitors ki isi par nazar hoti hai. ayse mai unhe ads pasand aata hai to wo post ki jagah ads par visit karte hai.
Fast loading or ache click milne ki wajah aapko jyada clikc milte hai. but bat CPC ki ho to har website owner or blogger post ke first paragraph me jyada se jyada high keywords use karta ha or ads post me first me hota hai to ayse me jab AdSense ads robot aapki post ko scan karta hai to use ye high keyword milte hai.
Jinki wajah se AdSense yaha high paying ads show karta hai.
- Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagate Hai Hindi Me Jane
- Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye
6. Accident, Fraud and Useless Clicks
Bahut se log sochte hai ki agar hum apne hi ads par click karte hai to hi AdSense hume block kar sakta hai. agar hum apne dosto or jankaro se click karwayenge to AdSense ko kya pata chalega.
Adsense is mamle me bahut experet hota hai. wo galti (accedent) se kiye gaye click, froud click or bina interest ke click ko aasani se pahchan leta hai.
Agar koi aysa karta hai to AdSense ko uska turant pata chal jata hai. but fir bhi AdSense use galti sudharne ka mouka deta hai. is mouke ko wo usee samajhta hai ki AdSense ko uska pata hi nahi chala, ayse mai uski 10, 20, 50 dollar income ho jati hai.
Yaha ye bat important ho jati hai ki AdSense india me minimul $100 hone par hi payment kyu karti hai. to iska aapko yaha jawab mil hi gaya hoga. in froud logo ki wajah se AdSense ne ye rules banaye hai. or isi ki wajah se india me AdSense CPC very slow hoti hai. warna USA me AdSense per click $2 to $10 pay karta hai.
Ye log apne ads par khud click karke 10, 20, 50 dollar kama kar khud ko intelligent samjhate hai. but aaj tak koi bhi Accident, Fraud and Useless Clicks se $100 nahi kama paya usse pahle hi uska AdSense account ban ho jata hai.
So aysa kabhi nahi kare. warna apni low CPC ke aap khud jimmedar honge. Accident, Fraud and Useless Clicks se aapki CPC bahut jaldi kam hoti hai. isliye galti se bhi apne ads par click nahi kare. adhik jankari ke liye aap Adsense Policy pad sakte hai.
- Mobile Se Paise Kamane Ke 5 Best Android Apps
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
I hope aapko is post me AdSense se relate apne kei sawalo ke jawab mile honge. to ab humari post ke bare me free ho kar comment kare. or aage bhi make money online, SEO, Blogging ke bare me new jankari ke liye supportmeindia par visit karte rahe. sath hi is post ko share karke other blogger ki help karna na bhoole.
I repeat second time to leave comment on this post for increase my power and i give you some wonderful articles in future.
Kunal Jadhav
Post ke andar text image ads lagate hai to us ad ki size kya honi chahiye..
Jumedeen khan
Responsive rakho sabse better hai.
sarthak upadhyay
sir, mere blog ki cpc 0.03- 0.05 hai, kya ye sahi hai. kya mai apne blog ke ek page me sirf 3 text/display ads show karu. na link ad show karu aur na koi aur, to kya isse meri cpc badh jaegi.
Jumedeen Khan
Aap maximum 3 dispaly ads or 3 link ad use karo ise jyada nahi isse kam karke try karo.
sarthak upadhyay
mai sirf 3 display ad use kar raha, aur kuch nahi. kya mai 2 display aur 2 link ad use kru, bas.
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
Satyam Patel
Thank you Bro. Really Helpful post.
Kya January ke Starting me Blog CPC pahle se down hoti hai?
Maine Google ki Term ko Read kiya to waha ye pata chala ki har timahi ke starting me Adsense CPC low ho sakti hai.
Jumedeen Khan
Yes hoti hai.
Sachin Dhrangdhariya
June din Bhai Mai apka bohot purana visitor hu muje yeh Jan na hai ki Hindi blog Mai kitni CPC Hoti hai meri CPC Abhi 0.13 ki hai to kya yeh Sahi hai low hai
Jumedeen Khan
Hindi blog ki average CPC $0.03 to $0.05 hai. Kam hai thodi jayda honi chahiye.
sarthak upadhyay
sir, thanks..
maine in sabhi tareekon ko follow kiya, fir bhi meri cpc 0.02 hai..
aap mere blog ko dekhkar bata de ki kya maine ad placement to gaalat nahi ki hai. kahi maine jyada ad to use nahi kiya hai. lekin, sir main 1000++ words ke article use karta hu.. please help me. kabhi-kabhi to click hone ke bad bhi 0.00 $ milta hai..maine aapke ooper diye gae ek comment me padha ki cpc badhane ke iie high pay keywords ka istemal karo.. high pay keyword ka istemal kaise karte hain…
please sir, ek bar website ka look up dekh le aur is problem ko dhyaan de ki kabhe kabhi per click ka ek bhee paisa nahi milta hai…
Jumedeen Khan
Bro aapki site open nahi ho rahi hai.
Sarthak upadhyay
Sir, actually me maine mistake se galat url dal diya tha…Ab dekh lijiye
Jumedeen Khan
Dear hindi content par cpc kam hi hoti hai.
Sarthak upadhyay
Lekin sir kabhi kabhi 0.00 hi rhta hai.. kya main apne post ko hinglish me likhu, isse cpc badhegi kya
Jumedeen Khan
Main iski salah nahi dunga.
omkar kurude
sir maine ad unit bahut sare banaye tab mujhe pata nahi tha kya add unit hum delete kar sakte hai jo adsence me banye the ?
Jumedeen Khan
Yes, aap ad units ko hide kar do kuch time wo apne aap delete ho jayenge.
VIJENDRA Rajput
Hi sir
Aapne cpc increase karne ke liye bahut achi post ki hai and me ads aapki tarah post me use karna chahta hu par kar nahi pa rah hu ek header and post ke last pairagraph me lagana chahta hu me ad inserter plugin use kar raha mene theme and plugin ke dwara code add karke dekh liya lekin header me ad show nahi ho raha hai
1. adsense ads ke liye kis plugin ka use kar rahe hai.
2.aapne jo header me ad lagaya hai wo theme ke throw add kiya hai ya plugin
Jumedeen Khan
1. ad inserter plugin ko sahi se samajho.
2.theme maine above header widget add ki hai.
TARUN SHARMA
नमस्कार Sir,
मेरा ब्लॉग हिन्दू धरम से related है , मेरे ब्लॉग पर प्रतिदिन traffic 700 visitors है | जिसमे Organic traffic avarage 350 है |
मेरे ब्लॉग पर CPC रेट हमेशा 0.02 $ ही रहता है |
Please help to improve CPC Rate and traffic also.
धन्यवाद्
Jumedeen Khan
Use high paying keywords
kailash rawat
Jumedeen bhai , apke article bahut badhiya hote hain or hamesha ki tarah aaj ka ye article bhi bahut achha hai main apko follow karta aya hu ….mera ek blog hai us pr october tak sab kuch theek chal raha tha or cpc 0.03 thi or hindi blog ki itni hi hoti hai average cpc .. to main us me bhi khush tha or october maheene ke last men mujhe cpc 0.04 or 0.05 bhi milne lag gayi thi lekin prso 1 november ko mujhe cpc 0.02 mili fir 2 tareek ko bhi wahi cpc or fir 3 tareeek ko bhi wahi cpc jabki main na to apne blog men koi change kiya na to koi copy post dali na hai or na koi hi koi changeing kiya, traffic bhi same hai click bhi same hai , balki traffic or click men to increasement hua hai…..pr ye achanak mujhe 0.02 cpc kyo milne lag gayi,,,,plz mere blog ko check krke bataye badi meherbaani ho gi jumedeen bhai apki..or haan main hr post men 4 ad use krta hun …but main pahle se hi krta aya hun fir november ke maheene se meri cpc km kyo hui
Jumedeen Khan
Dear kailash google ko advertiser jitna pay karte hai google hume utna hi jyada commission deta hai. Month ke last me aapki site ko achhe ad par click mile honge or nov starting me nahi. Yahi reason hai. Aapko “adsense kaam kaise karta hai” ke bare me puri janakr ihoni chahiye.
Anoop bhatt
bahut acha sir ji bs ense hi hamara margdarshn karte rahe
ghanshyam
वैरी गुड brother , मैं कब से सोच रहा था की गूगल adsense cpc कैसे बढ़ाये. यह पोस्ट पढ़ कर समझ गया … गुड पोस्ट
Kunj Bihari
Nice information SMI
pankaj
Agar mai 3 ads unit ke sath sath page level ads. aur matched content ads use kar sakta hu. Agar nahi to mai tino ka use karna chahu to kis type se karu.
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
Pawan
Sir mere blog pe per day 1500 page view hai par phir Bhi Adsense se mujhe per 1000 page view revenue nhi milta . aisa kyu ho rha hai. Help me please
Jumedeen Khan
Adsense pageviews ke nahi ad click ke paise deta hai.
Tanweer
Impression ka paisa to milta hai na example jaise 1000 ka 1 doller ya 2000 ka 1 doller is tarah jise
CPM cost per thousand kahte hai
जुमेदीन खान
नहीं impression का पैसा नहीं मिलता है, क्लिक का मिलता है.
Ankush Gupta
Sir very very nice information. i love your blog. Thanks very much for sharing this kind of great information. I have bookmarked your site, for daily visit
ankit karna
Bhai mere blog pr CPC bhot km aa rha hai..daily 5,000+ Views hai
CPC or kese bad sakta hai.
Jumedeen Khan
Aapne blog me jarurat se jyada ad laga rahe hai unhe kam karo or per page 3-4 ad hi us karo.
pawan
sir mere adsense ka cpc kabhi 0.10 hota hai to aur kabhi 0.01 ho jata hai. mai kya karu lag bhag daily 40 clicks hote hai phir bhi 3 dollar se jayada nhi aata. Please help me sir
Jumedeen Khan
CPC aapke content ke keywords par us par click karne wale user ke interest par depend karti hai.
Narendra Singh Panwar
Bhai, last two months se CPC half ho gayi hai. iska kya karan ho sakta hai aur fir se kaise badh payegi.
Jumedeen Khan
Google search engine se traffic kamao badh jayegi.
Narendra Singh Panwar
Karib karib 60% organic aur 30% direct traffic hai. Ek aur baat bounce rate kuch jyada hi badh gaya hai, kya yeh ek karan ho sakta hai.
Aapka kimti samay dene ke liye dhanywad.
Jumedeen Khan
Nahi.
Saurabh Trivedi
मेरी वेबसाइट हिंदी न्यूज़ और आदेश की है, टैफिक 50000 रोज के आस पास है, लेकिन cps 0.01 है, इतनी ट्रिफिक के बाद भी कोई फायदा न मिल रहा, वेबसाइट देखकर कुछ सुझाव दे तो आभार होगा।
Jumedeen Khan
Aapke liye 2 suggestion hai.
1. Site ko fast loading banao.
2. Apane sidebar me itne sire lable show kar rakhe hai ki pucho mat, Adsense ko bhi confuse ho jaye ki kis topic se related ad show kare.
Rajkumar chauhan
Bahut Hi Achhi Jankari Diye Hai Sir, Mai Apka Daily Visiter Hu,
Aaj Tak Apne Jitne Bhi Post Diye Hai Sare Post Better Rahe Hai,
Mai Chahunga Age Bhi Aap Aise Hi Post Dalte Rahe,
Dhanyabad……