Google AdSense sabhi bhasha (languages) support nahi karta hai. ayse mai agar aap AdSense se income karna chahate ho or apna blog start karne wale ho to aapko “AdSense kon konsi languages support karta hai” ka pata hona jaruri hai. actually AdSense sirf kuch hi language support karta hai. so blogging starting se pahle aapko iske bare me bta hona chahiye. jisse future me aap AdSense use kar sako.
Google AdSense jitni bhasha support karta hai. unke bare me mai aapko bta raha hu. Aane wale time me AdSense or bhi languages support kar sakta hai jinko is post ko update kar yaha add kar diya jayega. So yaha last updated tak ki supported language ke bare me jankari milegi.
Google adsense lagbhag 50+ language support karta hai. Aap hindi, Urdu, Bengali language content par ad laga sakte ho. Ab aap apni bhasha me likh kar bhi google adsesne se paise kama sakte ho
Adsense Kaun Kunnsi Language Support Karta Hai
Aaj 10 February, 2024 tak AdSense jitni bhi languages support karta hai. mai un sari bhashao ko list aapko bta raha hu. Aane wale time me AdSense or bhi basha support kar sakta hai.
Aap is image screenshot me dekh sakte hai ki google adsense kaun kaunsi bhasha support karta hai.
- Arabic
- Bengali
- Bulgarian
- Chinese (simplified)
- Chinese (traditional)
- Croatian
- Czech
- Danish
- Dutch
- English
- Estonian *
- Filipino
- Finnish
- French
- German
- Greek
- Hebrew
- Hindi
- Hungarian
- Indonesian
- Italian
- Japanese
- Korean
- Latvian
- Lithuanian
- Malay
- Norwegian
- Polish
- Portuguese
- Romanian
- Russian
- Serbian
- Slovak
- Slovenian *
- Spanish
- Spanish (Latin American)
- Swedish
- Tamil
- Thai
- Turkish
- Ukrainian
- Urdu
- Vietnamese
Google adsense time to time new bhasha support karta hai. Agar koi new language support ki jayegi to use yaha add kar diya jayega aur is post ki last update upar show kar di jayegi.
- Blog Se Paise Kaise Kamaye 5 Popular Tarike
- Affiliate Marketing Kya Hai or Isse Income Kaise Hoti Hai
Adsense ek advertising site hai jo blog ya website content ke hisab se ads show karti hai. So AdSense sabhi language support nahi kar sakta hai.
So aage isme badalaw bhi ho sakte hai. isliye aap post ko padne ke bad AdSense help form par bhi AdSense support languages check kar le. jisse aapko koi bharm na ho.
krishna rathia
sir ji mera infermation submit karne k liye next page nahi aa raha hai kiya karhu samjh me ni aa raha hai plz help
Jumedeen Khan
Browser ki history delete kar try karo.
zakaria
jis language me aapne ye post likhi hai. kya ese AdSense support karta hai.
mera matlab ye hai ki blog ki post me hindi ko english font me likhna sahi hai. ya hindi font me likhe tab hi AdSense support karega.
Jumedeen khan
Kisi me bih likh sakte ho main english font me ek saal se blogging kar raha hu or AdSense use kar raha hu.
Sanjay
Sir mera blog google search console me add hua hai ya nahi ye pata kaha se kar sakte hai sir z bataiyega
जुमेदीन खान
search console open karke dekho, blog waha listed hoga.
Bhavesh Patel
Aapki tarah English post ko likhne ke liye Google Adsense me konsi language select karni chahiye? English ya Hindi? Please advice. kyunki me bhi English font ka use karke hindi me likh raha hu.
जुमेदीन खान
हिंदी
ramesh singh
very helpful & nice sharing jume deen khan ji
rohit
agar beech me kuch change karna ho toh mobile me tamplate ko kese search karenge
Jumedeen Khan
mobile me search nahi kar sakte. sirf desktop par hi kar sakte ho.
rohit
Muje mobile se template me meta code add karna hai usme search ka option kese aayega
Jumedeen Khan
search karne ki jarurat nahi hai. aap template>>edit html box open karoge to upar ki 3-4 lines ke bad
rohit
Mai ek bar sitemap banakar submit kar chuka hu kya sitemap bar bar banani padti h
Jumedeen Khan
nahi bar bar sitemap submit karne ki jarurat nahi hai.
rohit
1-Kya hum kisi bhi video site ke streaming link apni site me laga skte h
2- muje apna online radio station banana hai wo kese banega
Jumedeen Khan
1. Aap apni site me kisi bhi site ka link add kar sakte ho.
2. iske liye aap kisi radio station par ja kar bat karo.
rohit
1-droid vpn kya hai aur ise kaise use karte hai
2-muje aap chroma key software ka link de do muje koi bhi site me ye softweare nahi mil rha hai
Jumedeen Khan
Rohit inme se koi sa bhi software aap use nahi kar sakte hai. dono paid hai or dono high qulity video editing micines ke satk kaam karte hai. aapke liye behtar hoga ki koi computer ke liye video editer software use kare. by the way pc ke liye camtasia sabse best hai. isliye apne ek mahine ko kharab mat jane do. bana lo jitni video bana sako. warna 30 days ke bad ise bhi use nahi kar paoge.
dev
Bro agar ham 3 din phle wali post ko aaj ki date set krke update kardu to kya Google us post ko search index karega mera Matlab kya wo date change hokar search krne par phle 3 days ago or ab 4 hours ago ya 5 hours ago ya jo b ho phir se ayegi ya phir wohi wala 3days ago rahega or kal to 4 days ago ho jayega ye to me janta par aaj hi ki baat kr rha hu..plz bro ans jarur dena or thoda sochkar..apka daily reader dev…
Jumedeen Khan
2-3v din me date bhi change ho jayegi.
ajay
(1) aap jo bhi post karte ho osce related images kaha se upload karte ho ham copyright images upld kr nhi sakte hai to post ke according uske images aap kese upld krte ho.
(2)ytub/website pe jo ads ham lagate hai wo ads show ho rahe hai yaa nhi iska pata kese chalta hai ham apne ads dekh nhi skte hai isliye ye kese pata kre ki har baar hamare vdo/post blog ki usme ads show ho rahe hai.
Jumedeen Khan
Mai post me jo image use karta hu. wo sab khud use karta hu. kisi man, women ya baby, ministors gar inme se koi fomous person ho to uski photo copyright nahi hoti hai.
2. aapse kisne kaha ki hum apne ads dekh nahi sakte hai. blog par aapko har bar apni site par ads dikhenge. sirf YouTube par kabhi kabhi nahi dikhte hai.
prakashmutul
1)ytub pe har vdo ke nice last option me flag ka option hota hai ye flag kiya hai.
2)100$ hone pe hame india currency me kitne rs.mile hai ye kese check kar skte hai aur 100$ hone ke liye per vdo me kitne views hone chahiye.
Jumedeen Khan
1. video ualities ke liye flag use karte hai.
2. simple hai aap AdSense me jao or total earning report check karo. ab dolloar ki jagah INR select karo. indian rupees me income show ho jayegi.
shakti
sir ham android se blog pe post likh ke uspe ads laga sakte hai mere paas pc nhi hai to me apne post likh ke mobile se AdSense ke ads laga skte hai mere paas android me chrome browser bhi h.
Jumedeen Khan
mobile se aap sabkuch kar sakte ho. post bhi likh sakte or AdSense ke ads bhi laga sakte ho. ut screen choti hone ki wajah se problem hoti hai.
Ravi Kumar
sorry bhaiya thanks mai ab free domain nahi lunga, aur na hi kisi ko sujest karunga thanks
Jumedeen Khan
It’s ok, maine aapke future ke liye hi btaya hai. becoz third party se free domain le kar bahut se bloggers ko problem huyi hai.
Ravi Kumar
but .in ka domain free me mil raha hai usme pan number mang raha hai kya dusra ka pan number de sakte hai
Jumedeen Khan
aapko allready kah chuka hu ki domain kharidne ke liye pan number ki jarurat nahi padti sirf domain select karo or apna address bhar ka debit card ya credit card se payment kar do. .in domain kahi bhi free nahi hai. aapse koi chiting kar raha hai. isliye maine aapko pahle hi kaha tha ki domain goadaddy se hi lo. becoz kal ko aapko domain se koi problem ho gayi to kaha jaoge. third party sites aapki help nahi kar payegi. isliye kuch paise bachane ke lalach me apna caree mat bigado.aage aapki marzi. mai ek bar fir kah raha hu domain ke liye pan card ki koi jarurat nahi hai.
Ravi Kumar
but ye sub to computer se hoga mere pass Android phone hai , kaise kare
meri ek aur problem aagai iske sath me ye bhi bayaye,
q…mai avi .in ka domain le raha tha usme pan/tin number mang raha hai, kya hum address apna aur pan number dusra ka use kar sakta hu please
Jumedeen Khan
Aap kisi or ke computer se kar sakte ho. domain lene ke liye pan number ki koi jarurat nahi hoti. aap godaddy se domain lo.
rohit
1-chroma key se video ke background change ho jayege
2-muje apne blog me email subscribe widget lagana hai wo kese lagega aur feedburner kya hota h
Jumedeen Khan
1. chroma key ek software hai. jise video editng me use karte hai. use alag se use nahi kar sakte.
2. feedburner humare blog ki new post ko subscriber tak pahuchata hai. ye post pado Blog Me Email Subscribe Widget Kaise Add Kare
Ravi Kumar
thanks bhaiya, jaise maine bahut sari post padhi template upload karne ki but usme bataya jata hai, Ye file me hoti hai wo file me hoti hai, ye sub kya hai,
kya hum mobile se download kare aur phir mobile se hi upload kar sakte ye file wala problem to nahi na aayegi,please
Jumedeen Khan
aap ye post pado Blogger Template Ko Zip File Se XML File Me Kaise Badle
Ravi Kumar
kya hum android mobile se template ko change kar sakte hai
Jumedeen Khan
ha kar sakte ho. mobile or computer dono ki same processing hai.
Shakeel Ahmed
Roman Hindi ya roman Urdu ko AdSense main kon c language mana jahy ga? English ya Hindi
Main roman Urdu main blog bna raha hun. Kon c language select karon???
Jumedeen Khan
Adsense urdu language support nahi karta.