Adsense Matched Content Kya Hai Aur Iska Use Kaise Kare?

Adsense Matched Content ads google ka new product hai. Jise google ne april 2024 ko AdSense me add kiya hai. Adsense Matched Content humari do tarah se help karta hai. First matched content me humare hi articles show hote hai jisse hume jyada pageviews milte hai, Second jab koi in matched content par click karta hai to AdSense impressions badhti hai or humari CPC increase hoti hai. Is post me mai aapko AdSense matched content ke bare me details se bta raha hu ki ye kya hai, ISsser kya fayda hai or ye aapke liye kab available hoga.

Adsense Matched Content Kya Hai

In my case mai last 2-3 wiik se AdSense matched content use kar raha hu or aaj mujhe iske bare me ache se pata chal gaya hai so aapko iske bare me jankari de raha hu. Adsesne matched content ads se aapki site ka promotion hota hai.

Adsense aapki site ko scan karta hai or fir aapki hi sitew ke recommendations content ads bana kar aapke visitors ko post content se related aapki site ke dusre content show karta hai.

Ek matched content me lagbhag 20 matched content show hote hai. Jo ki hum related post me show nahi kar sakte. In 20 posts me se visitors kisi na kisi par to click karte hi hai. Jisse aapki site par pagveiws bhi badhte hai or aapki income bhi badhti hai.

Man lijiye aapko 1 click se $0.20 paise mile hai to AdSense matched content ki help se ye income $0.30 bhi ho sakti hai. Mera matlab AdSense matched content se aapki AdSense CPC high hoti hai.

Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai

Jaisa ki maine upar btaya hai, Mtched content ads AdSense ka AdSense user ke liye free offer hai. Isse aap apni site par apne articles ka promotion kar sakte ho. Adsense matched content se humari site ke pageviews badhte hai or humari income bhi hoti hai. Adsense ne ise specialy site promoting ke liye banaya hai.

Or sabse achi bat ise humari imperssions bhi badhti hai jo aane wale time me humare Premium Adsense Publisher banne me help karti hai. Maine AdSense matched content se jo kuch sikha hai. Usse mai aapko ache se samajhane ki koshish karunga. Ummid karta hu is post me aapke AdSense matched content ke bare me sare sawalo ke jawab aapko mil jayenge.

Adsense Matched Content Ads

Mai Adsense Matched Content Ads Kab Use Kar Sakta Hu?

Matched content ads har AdSense user ke liye available nahi hai. Jab aapki site matched content ads ke liye eligible ( योग्य ) hogi to google aapki site ke eligible to participate hone par matched content ke liye invite notification send karega. Jo aapke AdSense accont ke homepage par show hogi.

Google aapkko matched conten ads ka offer tabhi offer karega. Jab aapki site par kuch high quality articls honge or aapki site par acha traffic hoga. Site par minimum kitna traffic hona chahiye, Adsense ne iska fix traffic nahi btaya hai. But google ke anusar jab aapki site great exprience pervide kar leti hai to google aapko ye offer deta hai.

Aapki Site Par Matched Content Available Hai Ya Nahi, Kiase Pata Kare?

Eligible योग्य hone ke bad hi matched content available hota hai. Ye bat aap samajh gaye hone so jab aapke AdSense account par ye service availabel ho to kaise pata kare. Jab aapki sitye par AdSense ki limit ke jitna traffic or pages honge to aapka AdSense account automaticly matched content ke liye Approved ho jayega.

Aapka AdSense account approved huya hai ya nahi iska tarika mai aapko bta raha hu.

  1. Adsense.com site par jaye or log in kar ke right site me gear icon par click kare.
  2. Ab settings par click kare.
  3. Left side sidebar me My Sites par click kare.
  4. Matched content par select kare.
  5. Ab jis site ke liye matched content approved hoga uska samne  icon show hoga.

AdSense matched content ads setting

Agar aapki site par ye option available hai to iska matlab hai ki aap apni site par matched content ads use kar sakte ho. Ab aap New Ads create kar ke Ad type me Matched content select kar ke Matched content use kar sakte ho.

Chaliye mai aapko iska bhi tarika bta deta hu. But usse pahle mai aapko kuch or bat bta deta hu jaise hum kitne matched content ads use kar sakte hai.

Hum Kitne Adsense Matched Content Use Kar Sakte Hai

Aap AdSense user ho to aapko pata hi hoga ki hum ek page par sirf 3 links ads, 3 display ads or 2 search ads use kar sakte hai. Agar nahi to Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai post padhie. Bilkul wese hi hum 1 page par 3 matched content ads use kar sakte hai.

Congratulations, Achi bat ye hai ki hum 3 matched ads dusre ads ke alawa use kar sakte hai. Yani ab aap 3 links ads, 3 display ads, 2 search ads or 3 matched content ads use kar sakte ho.

Aap sidebar me 300*600 or post ke last me last me apne hisab se matched ads use kar sakte ho. In my case mai post content ke last me 700*300 size ka matched content ads use karta hu.

Adsense Par Matched  Content Ads Kaise Create Kare?

Matched content banane ke liye aap same wese hi ads create karna hai. Jiase aap dusre ads banate ho. Bas ads banate time Ad Type me Matched Content select karna hai.

Create Matched Content Ads

Kya Matched Content Ads Adsense Earning Increase Karte Hai?

Mai janta hu ki matched content ke bare me ye sabse bada sawal hai jiska jawab har koi janna chahata hai. Ye sach hai ki hume matched ads par click karne se income nahi hoti hai. But ye aapke visitors ko aapki site ke other page par le ja kar aapki site ki bounce rate increase karte hai.

Bounce rate ki jankari ke liye aap Website Me Bounce Rate Kya Hai or Iska Kya Matlab Hota Hai post padhiye. Iske alawa matched content humari CPC increase karne me bhi help karte hai. Jisse humari jyada income hoti hai. So ab aap samajh hi gaye honge ki matched content aapki earning increase karte hai ya nahi. Baki aap matched content use karne ke bad samajh jaoge.

Mere exprience ke isab se matched content ads se aapki earning ko minimum 15% increase hoti hai ya fir isse adhik bhi ho sakti hai. Ye aapko matched content par mile clicks par depend karta hai.

Finaly agar aapki site par AdSense matched content approved nahi hai to ye waqt hai ise approved karane ka or AdSense se jyada paise kamane ka, Iske liye aap abhi se apni site par high quality content publish karna shuru kar dijiye. Apni site ki traffic badhaiye jisse aapko AdSense ke matched content or other features ka labh mil sake.

I hope aapko ye article pasand aayega. Maine is post me AdSense matched content ke bare me ache se samajhane ki koshish ki hai fir bhi agar aapko meri koi bat samajh na aaye to aap commnet me mujhse puch sakte ho.

Or ha aapko post real me achi lage to is post ko social media par share jaru kare, Thanks.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (78)

  1. Avatar for Aqsa AnsariAqsa Ansari

    Nice post sir. Bhut hi achchi jankari share Kari hai apne.

  2. Avatar for Arif AnsariArif Ansari

    bahut he badhiya jankari di hai sir apne.you are great.

  3. Avatar for Sultan singhSultan singh

    Sir aap apne site par matched content ads kyo use nhi karte hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      I think mujhe iski jarurat nahi hai mail already related post use karta hu.

  4. Avatar for sonam singhsonam singh

    bhut hi aachi jaankaari thanks sir

  5. Avatar for AjinkyaAjinkya

    hello sir mera adsense account me top bar me ye notification aa raha he,
    “In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites you don’t own. To avoid lost revenue, make sure to add these sites to your verified sites list in Site Management.”
    ise kaise solve karu sir please bataiye,aur kya isse kuch nuksan ho raha he please bataiye.

  6. Avatar for ChanduChandu

    Hello bhai aj mera match content approve hua hai aur mera ek doubt hai ki match content ke beech me jo ads show hote hai unse earning hoti hai kya. Aur isse place karne ka best location kya hai blog post ke niche ya sidebar me

  7. Avatar for nareshdetrujanareshdetruja

    Bahot hi accha jankari share kiya hai aapne nice post bro

  8. Avatar for shrwan swamishrwan swami

    Adsense Match Content Use Karne Ke Baad Meri Site Ki CPC 0.01 Ho Gai Hai Bhai Kya Karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Swami matched content aapke ads me count nahi hote so usse koi fark anhi pada. Aap matched content clicks ke alawa CPC check karo.

  9. Avatar for shahid afrideeshahid afridee

    Hello bhai matched contenet ads banate samay hum apne best and top post ko matched contenet ads me kaise add kar sakte hai. Hum apne best and popular post ko matched contenet ads me show karna chahte hai. So aap mujhe bataye hum ye sab kaise kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi kar sakte AdSense automatically matched ads me related post show karta hai.

  10. Avatar for Yasir KhanYasir Khan

    Mere matched content me ads kyu nahi a rahe hain. Sirf meri site ke article hi show ho rahe hain koi ads show nhi ho raha hai aisa kyu?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site par traffic badhne ke bad apne aap show hone lag jayenge. Adsense matched cotnent wale feature me check karna monetize ka option hoga.

  11. Avatar for rohaanrohaan

    @Jume Din Khan

    My question ish is off topic !

    How you add social icons to your author box or name plz author plugin ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Rohaan iske liye aap WordPress functions.php me author box widget ka code add karo fir aap widget option se social follow button add kar sakte ho.

  12. Avatar for Rais MohammadRais Mohammad

    Asslamu alekum

    Dear,
    Maine bhi 2mahine pahle ek Hindi blog shru kiya hai.. Adsense apply kiya hua hai magar, 1.5 mahne se blank ad hi aa raha hai. Na to disapprove ho raha hai na hi approve ho raha hai. Kya karoon?

    mujhe kisi ne bataya ki apna AdSense account deactivate karke. dubara se active karo phir dekho… kya aisa karna theek hoga ?
    Masha Allah aap apna blog badiya tarike se chala rahe ho…. please mujhe bhi kuch tips do… taki mein bhi success hasil kar sakoon…..

    mujhe kyoon lagta hai ki aap hi meri sahi madad aur guide kar sakte ho.. isliye aapko mail kar raha hoon..

    www(dot)abchindipost(dot)com

    1. yeh meri site ka url hai please ise check karke bataao ki kya is condition mein AdSense approve ho jayega….?
    2. kitana samay aur lag sakta hai approve hone mein….. ?
    3. site dekh kar batao ki kya aur kuch zaruri pages baaki hai jinse approve jaldi ho sakta hai…
    4. kya mein apni application ke baare mein AdSense se jaankari le sakta hoon ki “ Kya status hai ? ”
    5. Agar AdSense se direct janakari lena ho to kaise kar sakte hain ?

    aapse gujarish hai ki please check karke bataiye ki kya aur kiya ja sakta hai jisse approval jaldi ho jaaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      dekho rais aapki site AdSense ke liye ready hi nahi hai to AdSense aapko approval kaise dega. Aapke blog me header, logo, jaruri pages or footer links kuch bhi add nahi hai or blog par traffic bhi bahut kam hai. pahle in kamiyo ko dur karo.

  13. Avatar for jitendra Singhjitendra Singh

    Adsense ads kab lagana sahi rehta h kisi b blog pe..??
    Mera blog (mobfreak.com) tech related blog h. 1 month huye h bas.
    kya mai blog pe ads laga skta hu, ye sahi time hoga..?__

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jab aapke blog par daily 500 to 1000 traffic ho.

  14. Avatar for DMCDMC

    Mai isse ke bare me confuse tha ki ye konsi ads hoti hai…

    Prr abb smjh aa gya…
    Thanks bro

  15. Avatar for sudhanshu srivastavasudhanshu srivastava

    Adsense ka format change ho gaya hai, ab site management or manage sites par click karne par matched contents ka option nahi show ho raha, please check yourself now & then please reply.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ab option ki jagah sahi ka icon show hota hai.

  16. Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

    add matched content unit be Allow ads BETA ka option hai usko on rakhne se kya hota hai,,,,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Koi fark nahi padta.

  17. Avatar for Mohammad NadeemMohammad Nadeem

    hello sir

    Adsense blog se apply karne par fully kitne time lagte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ska koi fix time nahi hai ho jaye to next 2-5 hours me ho jaye warna isme kei din bhi lag sakte hai.

  18. Avatar for AdilAdil

    bro agar ham kisi image net se le phir usse edit karle yani crop aur file name change kare to kya fir bhi copyright hogi ?? ya ham use kar sakte hai apni site par

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Use kar sakte ho but dusro ki photo par copyright hone ka dar bana rahega.

  19. Avatar for namdevnamdev

    क्या हम अपना domain name change कर सकते है eg. abc.com को bca.com मे change कर सकते है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha kar sakte ho. Aap jab chaho kar sakte ho.

      • Avatar for namdevnamdev

        Sr Domain name kaise change krte hai plzz एक बार मेरा ब्लोग chack करके बताना क्या कमी है मुझे लगता है मैने बडा domain name ले लिया है sayad आगे लोगो को typ करने में बहुत बडा लगे plzz हेल्प क्या करू

          • Avatar for namdevnamdev

            Sr मैने इसे pda अभी पर मै android phone use करता हू pc लेने में अभी कुछ दिन लगेंगे
            sr क्या किसी से ये सब करवा सकता हू मै पुरी ब्लोग डिजाइन कितना पैसा लगेगा डिजाइन करवाने में अगर कोई अछी trust वाली online सर्विस हो तो जरुर बताना मेरा time बच जयेगा

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Bro abhi aap simple design hi use karo. Jab WordPress par blog banao ot odesign karwa lena.

  20. Avatar for ajayranaajayrana

    Hello sir i ma ajay rana sir wesite kaise banti hai

  21. Avatar for Abhinav MishraAbhinav Mishra

    bro, ye Jo aapne text link ads lagayi hai, WO kaise lagayi, matlab mujhe ye samjh nhi aa rha ki sabhi post me ese manually karna padta hai, ya automatic ho jata hai, plz mujhe bataye, mai bhi ribbon theme use kar rha hu, abhi tak Maine text link ads nhi lagaye, aur kya text aur picture ads ke CPC me antar hota hai.
    Thanks In Advance !!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap AdSense par ja kar ads banate time ads type me text ads select kar text ad bana sakte ho. Ha text ads ki pichle kei month se CPC jyada hai.

      • Avatar for Abhinav MishraAbhinav Mishra

        Bro, WO Mujhe Pata Hai, Mai Ye Puch RHA hu. Jaise Aap link ads ko sabhi post me kaise daalte ho, manually ya kisi plugin se, agar manually to kaise ??

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Mai iske liye ad injection plugin use karta hu.

  22. Avatar for mohd sarfrazmohd sarfraz

    hello sir hmare blog par kam traffic hone ke karan maine AdSense ka ads remove kar diya hai.
    2 month ho gaya hai. kya sir agar hum abhi 2-4 month aur na ads lagaye apne blog me to kahi hamara AdSense disaprove to nahi ho jayega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      nahi, nahi hoga

  23. Avatar for Aamir AliAamir Ali

    Salam bhai , Blogger blog par home page me 10 posts set ki hui hai lekin iske bawajud bhi 5 posts hi home page par nazar aati hai.sbhi settings check kar li hai ,lekin fir bhi 5 hi aati hai,kya kiya jaye ,ki home page par 8 ya 10 posts show ho jaye ?
    layout or setting me sbhi try kar chuka hun.lekin nhi ho rhi hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aamir ye aapki template problem hai. Aap template change karo ya fir aap template edit html me ja oar iski coding change karo.

  24. Avatar for PankajPankaj

    Bro site ko kitna purana hona chaiye matched content ads ke eligible ke liye ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Pankaj post ko ache se padhoge to jawab mil jayega.

  25. Avatar for mohd shariqmohd shariq

    bro me apne blog ke liye template kon si use karu.. jab me koi template download karta hu to bo download nahi hoti.. kyunki mere paas laptop nahi he. me mobile use kar rha hu. plss help me bro koi achchi si template de do..

  26. Avatar for sandeep kaushiksandeep kaushik

    thanks bro

    bro mujhe adgoi.com k bare me jan na hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Is site par contact number diye huye hai. Un par call karke pata karo.

  27. Avatar for Abhinav singhAbhinav singh

    Matched content ad k liye eligible hone k liye terms & conditions hoti hogi.bo btaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Abhinav is post me wohi btaya hai.

  28. Avatar for RupamRupam

    bhai maine AdSense ke ads apne blog me 7 din hogaye hai aur abhi bhi ads nhi show ho rahe hai aur nhi AdSense ki traf se koi mail aaya hai mai kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne AdSense kiske throw banaya hai or aapne kis site par ads lagaye hai.

  29. Avatar for RajuRaju

    30 days bad firse reactive ho jyega na?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha ho jayega.

  30. Avatar for RajuRaju

    Mra AdSense acnt suspend ho gya h 30 days k lye selfclicks ki waja se ab kya kre?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Khud apne hi ads par click karoge to AdSense aapko humesha ke liye ban kar sakta hai.

  31. Avatar for mahaveer jainmahaveer jain

    bhai ji Mera ek phele blog tha wo approved nhi hua Aur Fir mene new blog banaya ab Muje Uske Liye AdSense activate karna hai please muje batao ki wo site ka url kaha daalu AdSense me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense par jao or gear icon par click kare settings par click karo. Ab left side sidebar me sitemanagement par click karke apni site ka url add karo.

  32. Avatar for Sahil kumarSahil kumar

    मैने कई साइटस पर इसे देखा है सोचा है कि कोई विज़िट होगा। पर इस लेख में इसके बारे मं अच्छी जानकारी मिली। धन्यवाद

  33. Avatar for Mo AzizMo Aziz

    jumedeen bhai
    mai aproved huye AdSense account se
    AdSense account me YouTube ko kaise jod sakta hoo

  34. Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

    mera google AdSense hosted mere google AdSense par “Show ads on other websites” ye option show nahi ho raha to kya kare? or wo kyu nahi show ho raha kya problem ho sakti hai. please help me

  35. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiya aapse ek request hai, gmail ki security badhane ke bare me ek badhiya post likhiye jitna jaldi ho sake,
    maine aaj gmail account hack karne ka tarika sikha, mai kabhi soch bhi nahi sakta itni aasani se hack kar sakta, maine jub Facebook hack kiya to socha aasan hai, but gmail aap to jante hi hai, gmail ke bare me please jaldi kare, mujhe dar hai, meri tarah bahut aadmi honge jo ye tarika aaj sikhe honge,

  36. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    Good morning
    maine code ko jaise apne kaha maine laga diya hai . lekin add show nahi ho rahe hai . Abhi ab bhi same show kar raha hai. solution batao
    स्वयं अपनी वेबसाइट पर विज्ञापन दिखाने के अपने अनुरोध को पूरा करने के लिए, आपको अपनी साईट पर अपना विज्ञापन कोड लागू करना होगा. उस डोमेन पर आपके विज्ञापन कोड को इंप्रेशन मिलने के बाद ही आपके अपग्रेड अनुरोध की समीक्षा की जा सकती है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne AdSense me site ka ulr add kar diya hai or ads code blog me laga diye hai. ab 1-2 din me ads show ho jayenge. agar nahi hone to uski wajah ka AdSense aapko mail send karega.

      • Avatar for Mo AzizMo Aziz

        @ SANDEEP KUMAR ji mere khayal se apke
        Adsense account ka abhi Review char raha hoga
        ap apne AdSense accout par jakar dekh sakte ho.
        isiliye abhi apke ads blank aa rahe honge.

  37. Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

    Jumedeen Khan ji maine naya domain kharida hai to kya mujhe new google analytics code lagana padega or new Search Console add karana padega kya?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha sabkuch fir se karna padega.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...