Adsense Matched Content Kya Hai Aur Iska Use Kaise Kare?

Adsense Matched Content ads google ka new product hai. Jise google ne april 2025 ko AdSense me add kiya hai. Adsense Matched Content humari do tarah se help karta hai. First matched content me humare hi articles show hote hai jisse hume jyada pageviews milte hai, Second jab koi in matched content par click karta hai to AdSense impressions badhti hai or humari CPC increase hoti hai. Is post me mai aapko AdSense matched content ke bare me details se bta raha hu ki ye kya hai, ISsser kya fayda hai or ye aapke liye kab available hoga.

Adsense Matched Content Kya Hai

In my case mai last 2-3 wiik se AdSense matched content use kar raha hu or aaj mujhe iske bare me ache se pata chal gaya hai so aapko iske bare me jankari de raha hu. Adsesne matched content ads se aapki site ka promotion hota hai.

Adsense aapki site ko scan karta hai or fir aapki hi sitew ke recommendations content ads bana kar aapke visitors ko post content se related aapki site ke dusre content show karta hai.

Ek matched content me lagbhag 20 matched content show hote hai. Jo ki hum related post me show nahi kar sakte. In 20 posts me se visitors kisi na kisi par to click karte hi hai. Jisse aapki site par pagveiws bhi badhte hai or aapki income bhi badhti hai.

Man lijiye aapko 1 click se $0.20 paise mile hai to AdSense matched content ki help se ye income $0.30 bhi ho sakti hai. Mera matlab AdSense matched content se aapki AdSense CPC high hoti hai.

Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai

Jaisa ki maine upar btaya hai, Mtched content ads AdSense ka AdSense user ke liye free offer hai. Isse aap apni site par apne articles ka promotion kar sakte ho. Adsense matched content se humari site ke pageviews badhte hai or humari income bhi hoti hai. Adsense ne ise specialy site promoting ke liye banaya hai.

Or sabse achi bat ise humari imperssions bhi badhti hai jo aane wale time me humare Premium Adsense Publisher banne me help karti hai. Maine AdSense matched content se jo kuch sikha hai. Usse mai aapko ache se samajhane ki koshish karunga. Ummid karta hu is post me aapke AdSense matched content ke bare me sare sawalo ke jawab aapko mil jayenge.

Adsense Matched Content Ads

Mai Adsense Matched Content Ads Kab Use Kar Sakta Hu?

Matched content ads har AdSense user ke liye available nahi hai. Jab aapki site matched content ads ke liye eligible ( योग्य ) hogi to google aapki site ke eligible to participate hone par matched content ke liye invite notification send karega. Jo aapke AdSense accont ke homepage par show hogi.

Google aapkko matched conten ads ka offer tabhi offer karega. Jab aapki site par kuch high quality articls honge or aapki site par acha traffic hoga. Site par minimum kitna traffic hona chahiye, Adsense ne iska fix traffic nahi btaya hai. But google ke anusar jab aapki site great exprience pervide kar leti hai to google aapko ye offer deta hai.

Aapki Site Par Matched Content Available Hai Ya Nahi, Kiase Pata Kare?

Eligible योग्य hone ke bad hi matched content available hota hai. Ye bat aap samajh gaye hone so jab aapke AdSense account par ye service availabel ho to kaise pata kare. Jab aapki sitye par AdSense ki limit ke jitna traffic or pages honge to aapka AdSense account automaticly matched content ke liye Approved ho jayega.

Aapka AdSense account approved huya hai ya nahi iska tarika mai aapko bta raha hu.

  1. Adsense.com site par jaye or log in kar ke right site me gear icon par click kare.
  2. Ab settings par click kare.
  3. Left side sidebar me My Sites par click kare.
  4. Matched content par select kare.
  5. Ab jis site ke liye matched content approved hoga uska samne  icon show hoga.

AdSense matched content ads setting

Agar aapki site par ye option available hai to iska matlab hai ki aap apni site par matched content ads use kar sakte ho. Ab aap New Ads create kar ke Ad type me Matched content select kar ke Matched content use kar sakte ho.

Chaliye mai aapko iska bhi tarika bta deta hu. But usse pahle mai aapko kuch or bat bta deta hu jaise hum kitne matched content ads use kar sakte hai.

Hum Kitne Adsense Matched Content Use Kar Sakte Hai

Aap AdSense user ho to aapko pata hi hoga ki hum ek page par sirf 3 links ads, 3 display ads or 2 search ads use kar sakte hai. Agar nahi to Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai post padhie. Bilkul wese hi hum 1 page par 3 matched content ads use kar sakte hai.

Congratulations, Achi bat ye hai ki hum 3 matched ads dusre ads ke alawa use kar sakte hai. Yani ab aap 3 links ads, 3 display ads, 2 search ads or 3 matched content ads use kar sakte ho.

Aap sidebar me 300*600 or post ke last me last me apne hisab se matched ads use kar sakte ho. In my case mai post content ke last me 700*300 size ka matched content ads use karta hu.

Adsense Par Matched  Content Ads Kaise Create Kare?

Matched content banane ke liye aap same wese hi ads create karna hai. Jiase aap dusre ads banate ho. Bas ads banate time Ad Type me Matched Content select karna hai.

Create Matched Content Ads

Kya Matched Content Ads Adsense Earning Increase Karte Hai?

Mai janta hu ki matched content ke bare me ye sabse bada sawal hai jiska jawab har koi janna chahata hai. Ye sach hai ki hume matched ads par click karne se income nahi hoti hai. But ye aapke visitors ko aapki site ke other page par le ja kar aapki site ki bounce rate increase karte hai.

Bounce rate ki jankari ke liye aap Website Me Bounce Rate Kya Hai or Iska Kya Matlab Hota Hai post padhiye. Iske alawa matched content humari CPC increase karne me bhi help karte hai. Jisse humari jyada income hoti hai. So ab aap samajh hi gaye honge ki matched content aapki earning increase karte hai ya nahi. Baki aap matched content use karne ke bad samajh jaoge.

Mere exprience ke isab se matched content ads se aapki earning ko minimum 15% increase hoti hai ya fir isse adhik bhi ho sakti hai. Ye aapko matched content par mile clicks par depend karta hai.

Finaly agar aapki site par AdSense matched content approved nahi hai to ye waqt hai ise approved karane ka or AdSense se jyada paise kamane ka, Iske liye aap abhi se apni site par high quality content publish karna shuru kar dijiye. Apni site ki traffic badhaiye jisse aapko AdSense ke matched content or other features ka labh mil sake.

I hope aapko ye article pasand aayega. Maine is post me AdSense matched content ke bare me ache se samajhane ki koshish ki hai fir bhi agar aapko meri koi bat samajh na aaye to aap commnet me mujhse puch sakte ho.

Or ha aapko post real me achi lage to is post ko social media par share jaru kare, Thanks.

Reader Interactions

Comments (78)

  1. bro agar ham kisi image net se le phir usse edit karle yani crop aur file name change kare to kya fir bhi copyright hogi ?? ya ham use kar sakte hai apni site par

    • Use kar sakte ho but dusro ki photo par copyright hone ka dar bana rahega.

  2. क्या हम अपना domain name change कर सकते है eg. abc.com को bca.com मे change कर सकते है

    • Ha kar sakte ho. Aap jab chaho kar sakte ho.

      • Sr Domain name kaise change krte hai plzz एक बार मेरा ब्लोग chack करके बताना क्या कमी है मुझे लगता है मैने बडा domain name ले लिया है sayad आगे लोगो को typ करने में बहुत बडा लगे plzz हेल्प क्या करू

          • Sr मैने इसे pda अभी पर मै android phone use करता हू pc लेने में अभी कुछ दिन लगेंगे
            sr क्या किसी से ये सब करवा सकता हू मै पुरी ब्लोग डिजाइन कितना पैसा लगेगा डिजाइन करवाने में अगर कोई अछी trust वाली online सर्विस हो तो जरुर बताना मेरा time बच जयेगा

          • Bro abhi aap simple design hi use karo. Jab WordPress par blog banao ot odesign karwa lena.

  3. Hello sir i ma ajay rana sir wesite kaise banti hai

  4. bro, ye Jo aapne text link ads lagayi hai, WO kaise lagayi, matlab mujhe ye samjh nhi aa rha ki sabhi post me ese manually karna padta hai, ya automatic ho jata hai, plz mujhe bataye, mai bhi ribbon theme use kar rha hu, abhi tak Maine text link ads nhi lagaye, aur kya text aur picture ads ke CPC me antar hota hai.
    Thanks In Advance !!

    • Aap AdSense par ja kar ads banate time ads type me text ads select kar text ad bana sakte ho. Ha text ads ki pichle kei month se CPC jyada hai.

      • Bro, WO Mujhe Pata Hai, Mai Ye Puch RHA hu. Jaise Aap link ads ko sabhi post me kaise daalte ho, manually ya kisi plugin se, agar manually to kaise ??

        • Mai iske liye ad injection plugin use karta hu.

  5. hello sir hmare blog par kam traffic hone ke karan maine AdSense ka ads remove kar diya hai.
    2 month ho gaya hai. kya sir agar hum abhi 2-4 month aur na ads lagaye apne blog me to kahi hamara AdSense disaprove to nahi ho jayega.

    • nahi, nahi hoga

  6. Salam bhai , Blogger blog par home page me 10 posts set ki hui hai lekin iske bawajud bhi 5 posts hi home page par nazar aati hai.sbhi settings check kar li hai ,lekin fir bhi 5 hi aati hai,kya kiya jaye ,ki home page par 8 ya 10 posts show ho jaye ?
    layout or setting me sbhi try kar chuka hun.lekin nhi ho rhi hai.

    • Aamir ye aapki template problem hai. Aap template change karo ya fir aap template edit html me ja oar iski coding change karo.

  7. Bro site ko kitna purana hona chaiye matched content ads ke eligible ke liye ?

    • Pankaj post ko ache se padhoge to jawab mil jayega.

  8. bro me apne blog ke liye template kon si use karu.. jab me koi template download karta hu to bo download nahi hoti.. kyunki mere paas laptop nahi he. me mobile use kar rha hu. plss help me bro koi achchi si template de do..

  9. thanks bro

    bro mujhe adgoi.com k bare me jan na hai

    • Is site par contact number diye huye hai. Un par call karke pata karo.

  10. Matched content ad k liye eligible hone k liye terms & conditions hoti hogi.bo btaye

    • Abhinav is post me wohi btaya hai.

  11. bhai maine AdSense ke ads apne blog me 7 din hogaye hai aur abhi bhi ads nhi show ho rahe hai aur nhi AdSense ki traf se koi mail aaya hai mai kya karu

    • Aapne AdSense kiske throw banaya hai or aapne kis site par ads lagaye hai.

  12. 30 days bad firse reactive ho jyega na?

    • Ha ho jayega.

  13. Mra AdSense acnt suspend ho gya h 30 days k lye selfclicks ki waja se ab kya kre?

    • Khud apne hi ads par click karoge to AdSense aapko humesha ke liye ban kar sakta hai.

  14. bhai ji Mera ek phele blog tha wo approved nhi hua Aur Fir mene new blog banaya ab Muje Uske Liye AdSense activate karna hai please muje batao ki wo site ka url kaha daalu AdSense me

    • Adsense par jao or gear icon par click kare settings par click karo. Ab left side sidebar me sitemanagement par click karke apni site ka url add karo.

  15. मैने कई साइटस पर इसे देखा है सोचा है कि कोई विज़िट होगा। पर इस लेख में इसके बारे मं अच्छी जानकारी मिली। धन्यवाद

  16. jumedeen bhai
    mai aproved huye AdSense account se
    AdSense account me YouTube ko kaise jod sakta hoo

  17. mera google AdSense hosted mere google AdSense par “Show ads on other websites” ye option show nahi ho raha to kya kare? or wo kyu nahi show ho raha kya problem ho sakti hai. please help me

  18. bhaiya aapse ek request hai, gmail ki security badhane ke bare me ek badhiya post likhiye jitna jaldi ho sake,
    maine aaj gmail account hack karne ka tarika sikha, mai kabhi soch bhi nahi sakta itni aasani se hack kar sakta, maine jub Facebook hack kiya to socha aasan hai, but gmail aap to jante hi hai, gmail ke bare me please jaldi kare, mujhe dar hai, meri tarah bahut aadmi honge jo ye tarika aaj sikhe honge,

  19. Good morning
    maine code ko jaise apne kaha maine laga diya hai . lekin add show nahi ho rahe hai . Abhi ab bhi same show kar raha hai. solution batao
    स्वयं अपनी वेबसाइट पर विज्ञापन दिखाने के अपने अनुरोध को पूरा करने के लिए, आपको अपनी साईट पर अपना विज्ञापन कोड लागू करना होगा. उस डोमेन पर आपके विज्ञापन कोड को इंप्रेशन मिलने के बाद ही आपके अपग्रेड अनुरोध की समीक्षा की जा सकती है

    • Aapne AdSense me site ka ulr add kar diya hai or ads code blog me laga diye hai. ab 1-2 din me ads show ho jayenge. agar nahi hone to uski wajah ka AdSense aapko mail send karega.

      • @ SANDEEP KUMAR ji mere khayal se apke
        Adsense account ka abhi Review char raha hoga
        ap apne AdSense accout par jakar dekh sakte ho.
        isiliye abhi apke ads blank aa rahe honge.

  20. Jumedeen Khan ji maine naya domain kharida hai to kya mujhe new google analytics code lagana padega or new Search Console add karana padega kya?

    • Ha sabkuch fir se karna padega.