Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Hindi Jankari

Google AdSense pahle Electronic Funds Transfer (EFT) and Check ke throw payment karta tha. but ab AdSense par direct bank account me money trasfer karne ki service available hai. ab AdSense ‘Wire Transfer To Bank’ service se direct aapke bank account me paise send kartya hai. iske liye bas aapko AdSense ke kuch simplate step follow kar ke apna bank account google AdSense se connect karna hai.

How To Add Bank Account In Google Adsense

In this post: is post me mai aapko google AdSense me apna bank account number add karne ke bare me guide kar raha hu. agar aap alleady AdSense se income kar rahe ho ya fir abhi aapne AdSense se payment recieve nahi kiya hai to aap AdSense par apna bank account add kar ke direct apne bank me payment recieve kar sakte ho. by the way agar aapko koi step samajh na aaye to niche commnet kar sakte ho.

Adsense se paise kamane ke liye website ya blog banani padti hai. fir us par AdSense ke ads lagane padte hai. agar aapke pas koi website nahi hai to aap humari Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padh kar agle 5 minute me apni free website bana sakte hai or use AdSense se connect kar sakte hai. AdSense account banane ke liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padh sakte hai.

Agar aap india se ho to AdSense ko india me approved karana aasan nahi hai. india me rahte huye AdSense approved karane ke liye aapko AdSense ke rules follow karne honge. maine AdSense approved ke bare me details se allready btaya hua hau. so mai yaha post ko lamba nahi karna chahata aap humari AdSense se related post padh sakte ho.

By the way is post me hume AdSense ko bank account se jodne ki bat karni hai. jisse aap apne bank account me direct payement hasil kar sako. to ab mai aapko iske kuch step btane ja raha hu. aap inhe dhyan se padiye. uske bad jab aapko puri tarah samajh aa jaye to follow kijiye. becoz money ka sawal hai so koi galati nahi honi chahiye.

Adsense account me bank account ko jodne ke liye aapko 2 important code ki jarurat padti hai. first IFSC or seconf SWIFT-BIC code. to chaliye mai aapko inke bare me bhi bta deta hu.

IFSC Code Kya Hota Hai & IFSC Code Kaha Se Milega

IFSC code aapki bank branch ka code hota hai. har bank ka apna IFSC code hota hai. aapka jis bank me account hai aap usse IFSC code pata kar sakte ho ya us bank ke costomer care no. par call kar ke IFSC code pata kar dakte ho. In my case mera bank account State bank of india me hai or meri bank passbook par meri branck ka IFSC code likha hua hai. ye lagbhag sabhi banko ki passbook me hota hai. aap apni bank passbook check kar sakte hai. ya fir customer care se pata kar sakte hai.

SWIFT – BIC Code Kya Hai & SWIFT – BIC Code Kaha Se Milta Hai

SWIFT – BIC code international money transfer karne ke kaam aata hai. iske liye aap apni bank ke custome care me call kare or unhe btaye ki meri international income jo ki dollar me hai aane wali hai. mujhe uske liye apni branch ka SWIFT code chahye. ya fir aap apni bank branch me ja kar bhi pata kar sakte ho. ya fir aap Ifsc Swift Codes website par ja kar bhi apni branch ka swift code pata kar sakte ho. agar aapki branch ka code available na ho to uske as-pass ki bank ka code use kar sakte ho.

Apni Branch Ka SWIFT – BIC Code Nahi Milne Par Kya Kare

SWIFT – BIC code local bank branch me available nahi hota hai. so aap apni bank branch ke najdeeki home branch jisme SWIFT – BIC code available ho use kar sakte hai. I mean agar aapki bank branch me SWIFT – BIC ki suvidha na ho to aap usi bank ke jo branch sabse jyada karib ho uska SWIFT – BIC code use kar sakte hai. iske liye aap bank customer care, bank branch or upar di gayi ifsc swift code wali site se pata kar sakte ho.

Aapko jaha se bhi SWIFT – BIC Code mile use ek bar apni bank ke customer care me call kar ke confirm jarur kar le.

Google Adsense Par Apna Bank Account Number Kaise Add Kare

Is post ko aage badhane se pahle mai man leta hu ki aap allready AdSense account rakhte ho or aapke AdSense account me 100 dollar se jyada kar balance hai. so ab aap AdSense se earn ki gayi apni income recieve karna chahate ho.

Option 1: 

Sabse pahle aap Adsense par ja kar log in kar lijiye.

  1. Right side me settings ke gear icon par click kare.
  2. Payments par click kare.

Go AdSense home and click gear icon

Option 2:

Ab Transaction history ka new page khulega. usme aapki Payable earning yani aap jitna payemt recieve kar sakte ho wo balance hoga. or uske right me how you get paid ka optin hoga.

  1. How you get paid ke samne Manage par click kare.

 

Transaction history

Option 3:

Ab is tarah new page khulega usme  Payment Settings ka option aayega.

  1. +Add a new payment method par click kare.

Payment Settings

Option 4:

Ab jo page khulega usme aapko apne bank account ki details bharni hai. yad rahe is form ko dhyan se bharba hai. warna details galat hone par aapko payment recieve karne me problem ho sakti hai.

  1. Apna name add kare. (aapka bank account name or AdSense payee name same hona chahiye. warna aapko payment nahi milega.)
  2. aapka jis bank me account hai. us bank ka name add kare. jaise state bank of india.
  3. Apni bank ka IFSC code add kare.
  4. Apni bank ka SWIFT-BIC code enter kare. (Iske bare me adhik jankari ke liye ye post padhe SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare.)
  5. Apna bank account number add kare.
  6. agar aap chahate hai ki aapko aage bhi isi bank account me payment milta rahe to “Set this payment method as primary’ par tick kare.
  7. Sari setting ek bar check kar ke save par click kare.

Add new payment method Wire Transfer to Bank Settings

Bas ab aapka bank account AdSense me add ho chuka hai. ab har mahine ki 21 to 30 tarikh ke beech aapko AdSense payment karta rahega. jo aapko 5-7 din me mil jayega. jab aapka payment aapke bank account me aayega to bank se aapko iske bare me calll aayega. wo aapse puchenge ki aap ne ye paise kaise kamaye hai to aap unhe AdSense ke bare me btaye. uske bad wo aapke bank account me payment add kar denge.

I hope aapko ye article pasand aayega. or AdSense account me bank account number add karne ki problem clear ho jayegi. but fir bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to comment ke throw apni problem mujhse puch sakte ho. comment ke sath post ke bare me 2 lines likhna na bhoole.

Reader Interactions

Comments (293)

  1. bhaiya kya hua, mera blog problem me hai, please aap meri problem ko samjhe mai,waiting me hu please jaldi bhej de

    • aapki template craped hai. bro aap template sahi nahi bhejoge to mai use convert nahi kar sakta.

  2. ok bhaiya mujhe ummid hai ,aap bahut jald mujhe template convert karke bhej denge,
    bhiya aapse ek request hai, thoda template ko aap ek bar khud se bhi live demo dekh ke check kar lijiyega,
    ok jaldi me bhej dijiye mai wait kar raha hu

  3. Sir mughe ek baat bataye kya apko premium AdSense account mil chuka hai or AdSense se payout sirf month ke 21 tarikh ko kar sakte hai ya kisi bhi day ko.

    • Nahi abhi nahi but bahut jald milne ke chance hai. aap jab apna bank account number AdSense me add kar donge. to AdSense kabhi bhi payment send kar sakta hai.

  4. sir ye post helpful aur bhut accha h.

    1 sir muje 2term samaj me nhi aaye ek to wire bank transfer or dusraa cheque se payment lena in dono me differrnt kiya hai aur dono me se zayda safe payout transaction kaun sa h.

    2 mje ytub pe vdo upld krne hai muje games aur tv serial ke vdo mene mbl se record kiye h bas upld krne h mje bataye ki ye vdos upld karne pe saath me acche viewers ke saath is topic pe vdo upld krne pe money milte h ads show honge agar me tv and gaming vdo upld karu to.

    • 1. check se paise aane me 1 mahina ka time lag sakta hai. ye service pahle AdSense par available thi. ab wire transfer yani AdSense aapke account me direct paise bhejta hai jo sirf 5-7 din me aa jate hai. sabse sahi or best tarika yahi hai.

  5. Jumedin bahi maine apne blog par ek page banaya hai jisme Adsense se related sabhi hindi ke article chahe jis bhi site par ho ke link diye hai. abhi 2-4 din me aap ke sabhi articles ke link bhi dalne wala hu.

    • Mujhe allready iske bare me pata hai. per day aapki site se visitors bhi aate hai. by the way supportmeindia ka permotion karne ke liye thanks.

  6. sir mera AdSense account active ho chuka hai but jab main AdSense main log in karta hu to hosted AdSense show hota hai to main kaise usko fully active karu.

  7. maine aapke mail pe template bhej diya bhaiya please aap thoda bhi late na kare please, jaldi se convert karke bhej de please bhaiya,
    isse mujhe bahut problem ho rahi hai,

    • aapne mujhe jo template send ki hai. wo craped hai. convert nahi ho sakti hai.

  8. jab koi mera blog kholta hai to har setting ke samane skroo drive & rinch ka
    symbol dikhta hai jisse koi bhi visitor edit kar sakta hai ise kaise remove kare

    • aap browser ki caching, history delete karke blog open karo. ye setting icon sirf aapko dikhenge jab aap blogger me log in rahoge. dusro ko nahi

  9. Bro blog ke sitemap ko search console me submit karne ke baad vo Google me kab show hone lgta he mtlb kitna time lagta he show hone me aur ek swal aur he ki blog ke sitemap ko search console me kitni post ke baad submit karna chahiye

    • 1. Jab aapke blog par visitors aayenge to 24 hours me search engine result show karega. bina traffic ke 1-5 day lag sakte hai,
      2. aapko bas ek bar search console me sitemap add karna hai uske bad aapki new post automatic sitemap me index ho jayegi. so dubara sitemap submit karne ki jarurat nahi ahi.

  10. Bhai mene apna domain name kharid kar usko bina www ke set bhi kia hai aapne jesa bataya, lekin abhi bhi kabhi kabhi agar me site ko bina www ke open karne jata hu to godaddy ka page samne aa jata hai, plsssssss bataiye na kya karu…
    Har koi to mere site me www pehle enter nehi karega aur esa hone se visitors bhi kam ho jate hai

    • aapki site abhi bhi bina www ke open nahi ho rahi hai. ye post pad kar fir se site url ko bina www ke set karo. or agar fir bhi godaddy ka page khule to godaddy customer care me call karo.

  11. sabse pahele bhaiya aap mujhe maf karna,
    maine jo aapko template convert karne ke liye di thi wo template ka demo kuchh aur tha hua kuchh aur,
    bhaiya aap please mujhe ek aisi template ko convert karke de jo har ek jagah puri thik se blog khule,
    aap meri itni help ki thoda aur sahi,
    bhaiya jaldi 10:30 baje tak me nahi ho jayega mai,nai post dalunga to visitors ko dikhe please aap dhundh do,
    mai rat se bahut sari template dhudhi but koi achhi si template nahi mili please bahut paresan hu

    • aap gooyaabetemplates site ki templates check karo. mai sirf aapki template convert kar sakta hu.

  12. bro mene apki post achhe se pad li he par bhir b puchna hi padega mene site pe search kiya tha to gwalior me sbi ks swift code he par sirf 1 hi sbi gwl me bata rha he to he to gwl me hi or me gwl me hi rheta hu to kya chal skta he ya nhi gwl me kafi sbi ki branch he to kya un sabhi me swift-cod alag alg hote he ya 1 hi hoga sbi ke liye gwalior ke liye

    • sab me alag alag hoga. aap us branch ka use karo. jo aapki bank branch sabse jyada near me ho. ye aap kisi jankar se confirm kar sakte ho.

  13. Bhai toh kya ab PayPal ki jarurat nhi hai

    • AdSense se payment lene ke liye ab paypal ki jarurat nahi hai.

  14. AdSense me hosted account ko fully active kaise karu sir AdSense YouTube se active hua hai.

  15. sir site ki alexa rank thodi bad gai hai. but traffice pehle jitna hi hai. mai jan na chahta hu meri alexa rank kam hone ki jagah bad kyu ho rahi hai. kya ye tention wali bat hai ya normal problem hai?

    • ye koi prolem nahi hai. jab or log aapse aage niklenge to aapki ranki to jyada hi hogi. don’t worry jab aapka traffic badhega to rank increase ho jayegi.

  16. Bhai mere pass ek idea he.
    aapke site par visitors jyada he to aap meri site ko promote karo 125*125 Ka banner laga kar.. Aapki jo monthly payments he wo me dunga..

    • Sorry mai aysa nahi kar sakta. aa khud mehananat karo or traffic badhao

  17. Adsense par
    100 impression = Kitne Click mane jate he..

    • impression ads click par nahi pagevies or earning par depend karti hai. exaply RPM = (Estimated earnings / Number of page views) * 1000

  18. hello sir
    maine YouTube channel create kiya lekin woh YouTube me woh nahi bata raha hai

    • aap YouTube.com par jao or apni gmail id se log in karo.

  19. swift-bic code jis bank me mera account he usi bank ka swift-bic code chahiye ya kisi b sbi ka chal skta he jis me mera account nhi he matlab dusri branch sbi ki or us me mera account na ho to

    • Naki kisi bhi branch ka nahi sirf najdeeki branch ka hi use kar sakte ho. maine swift code ke bare me post me ache se btaya hai ki agar local brach me swift code nahi mile to konsa code use kare. aap plz post ko dhyan se padho or samajho.

  20. Jume Deen Dear Mujhe Ap se Ek zaroori Bat Krni ha facebook pr because ap hamare seniur hain or woh Bat men comment men nhi Kar sakta

    • It’s ok aap mujhe facebook message send kar sakte ho.