Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Hindi Jankari

Google AdSense pahle Electronic Funds Transfer (EFT) and Check ke throw payment karta tha. but ab AdSense par direct bank account me money trasfer karne ki service available hai. ab AdSense ‘Wire Transfer To Bank’ service se direct aapke bank account me paise send kartya hai. iske liye bas aapko AdSense ke kuch simplate step follow kar ke apna bank account google AdSense se connect karna hai.

How To Add Bank Account In Google Adsense

In this post: is post me mai aapko google AdSense me apna bank account number add karne ke bare me guide kar raha hu. agar aap alleady AdSense se income kar rahe ho ya fir abhi aapne AdSense se payment recieve nahi kiya hai to aap AdSense par apna bank account add kar ke direct apne bank me payment recieve kar sakte ho. by the way agar aapko koi step samajh na aaye to niche commnet kar sakte ho.

Adsense se paise kamane ke liye website ya blog banani padti hai. fir us par AdSense ke ads lagane padte hai. agar aapke pas koi website nahi hai to aap humari Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padh kar agle 5 minute me apni free website bana sakte hai or use AdSense se connect kar sakte hai. AdSense account banane ke liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padh sakte hai.

Agar aap india se ho to AdSense ko india me approved karana aasan nahi hai. india me rahte huye AdSense approved karane ke liye aapko AdSense ke rules follow karne honge. maine AdSense approved ke bare me details se allready btaya hua hau. so mai yaha post ko lamba nahi karna chahata aap humari AdSense se related post padh sakte ho.

By the way is post me hume AdSense ko bank account se jodne ki bat karni hai. jisse aap apne bank account me direct payement hasil kar sako. to ab mai aapko iske kuch step btane ja raha hu. aap inhe dhyan se padiye. uske bad jab aapko puri tarah samajh aa jaye to follow kijiye. becoz money ka sawal hai so koi galati nahi honi chahiye.

Adsense account me bank account ko jodne ke liye aapko 2 important code ki jarurat padti hai. first IFSC or seconf SWIFT-BIC code. to chaliye mai aapko inke bare me bhi bta deta hu.

IFSC Code Kya Hota Hai & IFSC Code Kaha Se Milega

IFSC code aapki bank branch ka code hota hai. har bank ka apna IFSC code hota hai. aapka jis bank me account hai aap usse IFSC code pata kar sakte ho ya us bank ke costomer care no. par call kar ke IFSC code pata kar dakte ho. In my case mera bank account State bank of india me hai or meri bank passbook par meri branck ka IFSC code likha hua hai. ye lagbhag sabhi banko ki passbook me hota hai. aap apni bank passbook check kar sakte hai. ya fir customer care se pata kar sakte hai.

SWIFT – BIC Code Kya Hai & SWIFT – BIC Code Kaha Se Milta Hai

SWIFT – BIC code international money transfer karne ke kaam aata hai. iske liye aap apni bank ke custome care me call kare or unhe btaye ki meri international income jo ki dollar me hai aane wali hai. mujhe uske liye apni branch ka SWIFT code chahye. ya fir aap apni bank branch me ja kar bhi pata kar sakte ho. ya fir aap Ifsc Swift Codes website par ja kar bhi apni branch ka swift code pata kar sakte ho. agar aapki branch ka code available na ho to uske as-pass ki bank ka code use kar sakte ho.

Apni Branch Ka SWIFT – BIC Code Nahi Milne Par Kya Kare

SWIFT – BIC code local bank branch me available nahi hota hai. so aap apni bank branch ke najdeeki home branch jisme SWIFT – BIC code available ho use kar sakte hai. I mean agar aapki bank branch me SWIFT – BIC ki suvidha na ho to aap usi bank ke jo branch sabse jyada karib ho uska SWIFT – BIC code use kar sakte hai. iske liye aap bank customer care, bank branch or upar di gayi ifsc swift code wali site se pata kar sakte ho.

Aapko jaha se bhi SWIFT – BIC Code mile use ek bar apni bank ke customer care me call kar ke confirm jarur kar le.

Google Adsense Par Apna Bank Account Number Kaise Add Kare

Is post ko aage badhane se pahle mai man leta hu ki aap allready AdSense account rakhte ho or aapke AdSense account me 100 dollar se jyada kar balance hai. so ab aap AdSense se earn ki gayi apni income recieve karna chahate ho.

Option 1: 

Sabse pahle aap Adsense par ja kar log in kar lijiye.

  1. Right side me settings ke gear icon par click kare.
  2. Payments par click kare.

Go AdSense home and click gear icon

Option 2:

Ab Transaction history ka new page khulega. usme aapki Payable earning yani aap jitna payemt recieve kar sakte ho wo balance hoga. or uske right me how you get paid ka optin hoga.

  1. How you get paid ke samne Manage par click kare.

 

Transaction history

Option 3:

Ab is tarah new page khulega usme  Payment Settings ka option aayega.

  1. +Add a new payment method par click kare.

Payment Settings

Option 4:

Ab jo page khulega usme aapko apne bank account ki details bharni hai. yad rahe is form ko dhyan se bharba hai. warna details galat hone par aapko payment recieve karne me problem ho sakti hai.

  1. Apna name add kare. (aapka bank account name or AdSense payee name same hona chahiye. warna aapko payment nahi milega.)
  2. aapka jis bank me account hai. us bank ka name add kare. jaise state bank of india.
  3. Apni bank ka IFSC code add kare.
  4. Apni bank ka SWIFT-BIC code enter kare. (Iske bare me adhik jankari ke liye ye post padhe SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare.)
  5. Apna bank account number add kare.
  6. agar aap chahate hai ki aapko aage bhi isi bank account me payment milta rahe to “Set this payment method as primary’ par tick kare.
  7. Sari setting ek bar check kar ke save par click kare.

Add new payment method Wire Transfer to Bank Settings

Bas ab aapka bank account AdSense me add ho chuka hai. ab har mahine ki 21 to 30 tarikh ke beech aapko AdSense payment karta rahega. jo aapko 5-7 din me mil jayega. jab aapka payment aapke bank account me aayega to bank se aapko iske bare me calll aayega. wo aapse puchenge ki aap ne ye paise kaise kamaye hai to aap unhe AdSense ke bare me btaye. uske bad wo aapke bank account me payment add kar denge.

I hope aapko ye article pasand aayega. or AdSense account me bank account number add karne ki problem clear ho jayegi. but fir bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to comment ke throw apni problem mujhse puch sakte ho. comment ke sath post ke bare me 2 lines likhna na bhoole.

Reader Interactions

Comments (293)

  1. apka jo +Add a new payment method step hai usme mere AdSense account mai bank detail set karne ke liye koe option nhi a rha esa kyu? shayd mera AdSense account HOSTED ha isliye?

    • Nahi bank details aap payable earning hone ke bad hi change kar sakte ho. jusr wait aap jab payment le to kar lena.

  2. YouTube koo AdSense se jodne ke liye website banani jarori hai kya please puri bataye

    • Nahi koi jaruri nahi hai..

  3. sir..maine ek blog banaya hai.. http:// tech-world-hindi.blogspot.com
    isse maine 4-5 din pahle banaya hai to abhi usme Earning me option aagya hai.. Google Adsense ka..to Singup karlu ya badme..aur abhi main 18 saal ka nahi hu to main isse paise kama sakta hu ya 18 plus zaroori hai…plz help…

    • Nahi abhi aap blog par traffic badhao jab blog par daily 500+ traffic ho jaye to uske bad apply karna.

  4. Jumedin ji mujhe ek swift code mila hai jo India ke kisi bhi SBI bank me kaam karega to kya aap us swift code ko ek baar check kar ke bata sakte hai details me
    Swift code – SBININBBFXD

      • Ye post mai padh chuka hu fir se ek bar padh liya lekin problem solve nahi hui
        Aap meri problem samajhiye

        mai jamuawan gav me rehata hu thekma baazar me state bank hai jisme swift code nahi hai mai customer care me phone karke pucha to o bataya ki pure Azamgarh me SBI bank Ka swift code nahi hai Azamgarh mera district (sahar) hai.

        mai sab bank ka swift code pata kiya kisi Ka nahi mila

        swift code mila lekin dusre sahar Ka
        jiska nam Varanasi hai Jo thekma se (74km) ki duri par hai to ab app bataye ki mai kya karu

        • Aapko wohi bank ka swift code use karna hai jo aapke sabse najeek ho aap jo bank bta rahe ho uska use kar sakte ho but pahle pata kar lo ki usse pas koi or bank me swift code available to anhi hai.

  5. Sir me district se 30 km door town me rehta hu kya me district ka swift code use kar sakta hu

    • Ha kar sakte ho but check kar lena usse najdiki koi or bank na ho.

  6. guideline ke liye thank you sir ji mere ko ads code mil gaye hai or ads bhi laga liya hu par bank ka aacount information bharne ke liye Payment method me aaccount information ka option nai aa raha hai Payment method me ye likha hai You can only select a payment method after the finalized earnings in your transaction history have reached at least $10.00 or your local currency equivalent. sir kuch samaj nai aa raha hai bank aacount information kayse bharu

    • Aapke AdSense account me jab apaki earning $10.00 ho jayegi uske bad hi aap apna address add kar sakte ho.

  7. None selected
    You can only select a payment method after the finalised earnings in your transaction history have reached at least US$10.00 or your local currency equivalent. Learn more about payment method threshold
    Available payment methods

    bank ac. jodane par ye sab kuch aa raha hai
    sir ab kya kare bataaiye plz

    • Aap $10 earning ke bad hi payment details add kar sakte ho.

  8. Sir mera do Gmail account hai.mere second Gmail account se YouTube channel hai.to kya AdSense account me koi Gmail se bna skta hu ya JIS Gmail account se YouTube hai us se.

    • Aapne jis gmail account se YouTube channel banaya hai usi se AdSense account banao.

  9. add a new peyment method . mere AdSense account main so nhi ho rha plzz tell me kb so hoga

    • Jab aapki AdSense account me earning $100 ho jayegi tab show hoga.

  10. Sir mera AdSense approve ho gya aur mai janana chahta hu ki mai pawan kumar ke nam se approve kiya hai.aur mere pas bank account mera Papa ka hai to kya kre plz btaye.

    • Aap pane name se bank account khulwa lo.

  11. add to new payment method account main 100$ hone k baad ye account summbit ka option aata hai na ya

    • Ha jab aapke account me $100 ho jate hai ot aap payment details set kar sakte ho.

  12. our ek bat sir ji AdSense account toh he hamare pass toh abhi me mera blog ko remove kardiya our ek naya site banaya hun toh usme direct AdSense ads code ko lagane se ads show honge our paise milenge na
    matlab ki me agar kisibhi site pe AdSense ka ads lagau uspe koi click karega to paise milenge hena sir ji
    our ye batadijiye ap ki hamare yaha swift code available nhi he me jaharahtahun wahase 300km ke duri pe ek city he uhape available he uhaka swift code use karsaktahun na

  13. sir ji mujhe hamare yaha aspass kahise bhi swift code nhi milrahehe toh me jaha rahtahun usse 300km ke duripar ek city he uhape available he internet pe dekha kya me us code ko use kar saktahun plzz help kariye

  14. Sir me ye janna chatahu ki mera persnol account nahi h me apni mother ke acc. Se pyment paa sakta hu

    • Aap jiske name se accoun hai usi ke name se AdSense account banao. Maa ke name se bank account hai to maa ki gmail id bana kar AdSense account bana sakte ho.

  15. sir mera account disable ho gya hai kuch hlp kariye plz

    • disable hone ka message dikhao.

  16. Apko screen shot bheja he sir ji apne meri help nhi ki mujhe baht buralagrahahe sirji plzzz help karo yar ”” me Facebook use nhi karta men kisi dusre ke I’d se apko screen shot bhejahun check Kariye our plzzz help kariyena sir ji our kitna request karna padega batadijiye utni bar karunga plzzz help kijiye niharika meher namka ek fb I’d se apko screen shot bhajahe check kariyena plzzz help karo veryfyyy bhi hee AdSense balance bhi 100se jyada lekin jab add new payment method pe click kartehunto koi form bank account add karna show nhi karta plzzzzzz help karna sir jii

    • Saroj i am sorry. actually mai thoda busy tha isliye sirf aapko nahi kisi ko reply nahi kar paya. Mai aapko image dekh kar reply kar dunga.

  17. Dear maine apne adSense mai dekha Bank A/c Fill krne ki socha But mujhe aapne jo Screenshot diye h wese koi Option nhi mile (ex – IFSC ,SWIFT CODE )
    mujhe alag hi option mile ( ex- Routing number)

    to mai kya kru
    Payment Transfer kese hoga , Payoneer se ya or koi tareeke se ?

    • Aap mujhe screen shot dikha sakte ho.

  18. sir plz mai bahut paresan hu maine 20000 me accunt liya tha wo bhi karj le kar or net ke liye 8000 mere papa kisan hai maine unko ye baat batya bhi nahi tha soach tha ki iske jariya paisa kaama kr unki taklif dur karunga par aisa nahi ho saka sr mera sara paisa bank of india me fassa hai sir mera naam raju hi. mera number hai sir plz sir call kar ke mughe bata dijuya ki mai kya karu

    • Raju aapki bato se hi lagta hai ki aap galat raste par ja rahe ho. Are kisi ko 20000 dene ki kya jarurat hai. Aap kam se kam kisi se puch to lete. Log paise kharch karne se pahle hazar bar sochte hai or aapne father ki kamayi pani ki tarah baha di.
      Mai aapke liye itna kar sakta hu ki aap mujhe apni problem details se btao mai aapko tabhi guide kar sakta hu.

  19. sir maine apna new accunt khlwaya tha boi me pr mere pass pan card nahi tha jiske karn se mera -paisa rok diya gya hai maine pan card banne ke liya diya wo bhi reject ho gya mera 18000 rs boi ke accunt me hai agr mai boi se apna accunt hatata hu to kya mera 1800 chala jya ga

    • Adsense me pan card ki koi jarurat nahi padti hai. Sirf aapke pas bank account hona jaruri hai.

  20. sir mere blog ke post per setting ka option show ker reh hay kya karu

    • blog par custom template use karo.