Google AdSense pahle Electronic Funds Transfer (EFT) and Check ke throw payment karta tha. but ab AdSense par direct bank account me money trasfer karne ki service available hai. ab AdSense ‘Wire Transfer To Bank’ service se direct aapke bank account me paise send kartya hai. iske liye bas aapko AdSense ke kuch simplate step follow kar ke apna bank account google AdSense se connect karna hai.
In this post: is post me mai aapko google AdSense me apna bank account number add karne ke bare me guide kar raha hu. agar aap alleady AdSense se income kar rahe ho ya fir abhi aapne AdSense se payment recieve nahi kiya hai to aap AdSense par apna bank account add kar ke direct apne bank me payment recieve kar sakte ho. by the way agar aapko koi step samajh na aaye to niche commnet kar sakte ho.
Adsense se paise kamane ke liye website ya blog banani padti hai. fir us par AdSense ke ads lagane padte hai. agar aapke pas koi website nahi hai to aap humari Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padh kar agle 5 minute me apni free website bana sakte hai or use AdSense se connect kar sakte hai. AdSense account banane ke liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padh sakte hai.
Agar aap india se ho to AdSense ko india me approved karana aasan nahi hai. india me rahte huye AdSense approved karane ke liye aapko AdSense ke rules follow karne honge. maine AdSense approved ke bare me details se allready btaya hua hau. so mai yaha post ko lamba nahi karna chahata aap humari AdSense se related post padh sakte ho.
By the way is post me hume AdSense ko bank account se jodne ki bat karni hai. jisse aap apne bank account me direct payement hasil kar sako. to ab mai aapko iske kuch step btane ja raha hu. aap inhe dhyan se padiye. uske bad jab aapko puri tarah samajh aa jaye to follow kijiye. becoz money ka sawal hai so koi galati nahi honi chahiye.
Adsense account me bank account ko jodne ke liye aapko 2 important code ki jarurat padti hai. first IFSC or seconf SWIFT-BIC code. to chaliye mai aapko inke bare me bhi bta deta hu.
IFSC Code Kya Hota Hai & IFSC Code Kaha Se Milega
IFSC code aapki bank branch ka code hota hai. har bank ka apna IFSC code hota hai. aapka jis bank me account hai aap usse IFSC code pata kar sakte ho ya us bank ke costomer care no. par call kar ke IFSC code pata kar dakte ho. In my case mera bank account State bank of india me hai or meri bank passbook par meri branck ka IFSC code likha hua hai. ye lagbhag sabhi banko ki passbook me hota hai. aap apni bank passbook check kar sakte hai. ya fir customer care se pata kar sakte hai.
SWIFT – BIC Code Kya Hai & SWIFT – BIC Code Kaha Se Milta Hai
SWIFT – BIC code international money transfer karne ke kaam aata hai. iske liye aap apni bank ke custome care me call kare or unhe btaye ki meri international income jo ki dollar me hai aane wali hai. mujhe uske liye apni branch ka SWIFT code chahye. ya fir aap apni bank branch me ja kar bhi pata kar sakte ho. ya fir aap Ifsc Swift Codes website par ja kar bhi apni branch ka swift code pata kar sakte ho. agar aapki branch ka code available na ho to uske as-pass ki bank ka code use kar sakte ho.
Apni Branch Ka SWIFT – BIC Code Nahi Milne Par Kya Kare
SWIFT – BIC code local bank branch me available nahi hota hai. so aap apni bank branch ke najdeeki home branch jisme SWIFT – BIC code available ho use kar sakte hai. I mean agar aapki bank branch me SWIFT – BIC ki suvidha na ho to aap usi bank ke jo branch sabse jyada karib ho uska SWIFT – BIC code use kar sakte hai. iske liye aap bank customer care, bank branch or upar di gayi ifsc swift code wali site se pata kar sakte ho.
Aapko jaha se bhi SWIFT – BIC Code mile use ek bar apni bank ke customer care me call kar ke confirm jarur kar le.
Google Adsense Par Apna Bank Account Number Kaise Add Kare
Is post ko aage badhane se pahle mai man leta hu ki aap allready AdSense account rakhte ho or aapke AdSense account me 100 dollar se jyada kar balance hai. so ab aap AdSense se earn ki gayi apni income recieve karna chahate ho.
Option 1:
Sabse pahle aap Adsense par ja kar log in kar lijiye.
- Right side me settings ke gear icon par click kare.
- Payments par click kare.
Option 2:
Ab Transaction history ka new page khulega. usme aapki Payable earning yani aap jitna payemt recieve kar sakte ho wo balance hoga. or uske right me how you get paid ka optin hoga.
- How you get paid ke samne Manage par click kare.
Option 3:
Ab is tarah new page khulega usme Payment Settings ka option aayega.
- +Add a new payment method par click kare.
Option 4:
Ab jo page khulega usme aapko apne bank account ki details bharni hai. yad rahe is form ko dhyan se bharba hai. warna details galat hone par aapko payment recieve karne me problem ho sakti hai.
- Apna name add kare. (aapka bank account name or AdSense payee name same hona chahiye. warna aapko payment nahi milega.)
- aapka jis bank me account hai. us bank ka name add kare. jaise state bank of india.
- Apni bank ka IFSC code add kare.
- Apni bank ka SWIFT-BIC code enter kare. (Iske bare me adhik jankari ke liye ye post padhe SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare.)
- Apna bank account number add kare.
- agar aap chahate hai ki aapko aage bhi isi bank account me payment milta rahe to “Set this payment method as primary’ par tick kare.
- Sari setting ek bar check kar ke save par click kare.
Bas ab aapka bank account AdSense me add ho chuka hai. ab har mahine ki 21 to 30 tarikh ke beech aapko AdSense payment karta rahega. jo aapko 5-7 din me mil jayega. jab aapka payment aapke bank account me aayega to bank se aapko iske bare me calll aayega. wo aapse puchenge ki aap ne ye paise kaise kamaye hai to aap unhe AdSense ke bare me btaye. uske bad wo aapke bank account me payment add kar denge.
- Adsense Ki CPC Kaise Badhaye Top 6 Excellent Tips
- Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte – Full Guide
I hope aapko ye article pasand aayega. or AdSense account me bank account number add karne ki problem clear ho jayegi. but fir bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to comment ke throw apni problem mujhse puch sakte ho. comment ke sath post ke bare me 2 lines likhna na bhoole.
Harshad Bataviya
sir ab tak ke total meri earnings 620 $ huvi hai usme se muje
21 november, 2016 ko 127 $ bank transfer huve aur aaj 350 $ transfer huve aur ab daseboard me balance 0 $ dikhay de raha hai to baki ke 143 $ ka kya huva hoga aur vo muje milege ya nahi…. pls help me
Jumedeen Khan
Main ye tabhi bta sakta hu jab aap mujhe screenshot dikhao. Kyuki AdSense kabhi bhi 600 me se 300 dollar send nahi karega.
Ranjeet
Sir, mere adsense account me
Satting me Payment word nahi bata raha hai…….halp me
Jumedeen Khan
check AdSense latest version.
prakash choudhary
sir ye pura read karana
sir mera ak hi adesens hai.ak hi email id use karata hu mera adesens bhee open hota hai and last month ki earning bhee show ho rhi hai
jab me apna YouTube channel open karata hu to==your brand account disable == show hota hai sir ye kyo hota hai kya isi emial par ak YouTube channel bana sakte hai and adesense se jod sakate hai ye channel band to na hoga sir
sir me ak sim ke number par 5 email banai . aur is samay three email chrome hai but ve collage and ssc exam me use karta hu and ve email mere mobile me log-in hai
please sir puri jankari digiye ki jab me ab new channel create caru to mera channel fir se disable na ho
sir meri problem yahi hai ki first bar mene YouTube channel janvari month me banaya one month after vo bhee disable ho gaya
second time augast month me banaya vo ab disable ho gaya hai is channel par 300 $ ki earing bhee hai 25000 subscribe bhee the sir
sir puri jankari digiye ki dubra new email id ke channel par ye problem na ho
Jumedeen Khan
Prakash apane mujhe google ka jo mail dikhaya tha usme clear likha tha ki aap ek se jyada AdSense account use kar rahe ho. ye main ahi google kah raha hai.
Ha bana sakte ho or AdSense bhi bhi jod sakte ho.
ek browser me ek hi id se log in karo.
prakash aap sirf ek hi id or ek hi AdSense account use karo. bas yahi aapki problem hai. Isme puri jankari dene ke liye kuch nahi hai.
prakash
nahi sir mene is id par hi adesense banaya hai . sir mera ak hi adesense hai.mera adesense bhee open ho rha hai
sir ye== your brand account disable == kyo hota hai
sir mene one sim ke number par 6 emial id banai hai kya uske karan to channel band nahi hota hai
Jumedeen Khan
Aap ek se jyada email id se ek sath log in mat karo. Problem solve ho jayegi.
prakash
sir mera YouTube channel band ho gaya hai.
is YouTube channel par sir koi copyright issue and community guidline ki strike nahi thee sir
or nahi email par iske baare me message aaya ki apaka YouTube kyo band hua hai
sir or kya vajah ho sakti hai
sir channel open karne par ye aata hai.
Jumedeen Khan
Aapne ke se jyada gmail id use ki hai or ek se jyada gmail id se AdSense account banaye hai. Google sirf ek hi AdSense account allow karta hai.
Md Ashfak
Sir new channal banay hai jisma mere pass 120 view ha lekin $ 0 batata hai q sir kitne view par pess aaya ga place help me
Jumedeen Khan
5000 views hone ke bad earning ke bare me sochna.
Md Ashfak
Sir ads new account banaye ke bad kab apna bank account jod sakte hai turant ya 4 day baad
Jumedeen Khan
$100 earning hone ke bad.
shorab
Hlo sir. 1.Mera bank account nhiii hai to mai kisi dusre ke account me paise transfer karva rha hu.to muje ye btto ki jb Adsense 1st payment kr dega kya uske baad me apna bank account no. Or name change kr skta hu kya.
2. YouTube per kha ads lage chiya 2 min ki video hai.
Or AdSense ko approve krne ke liya minimum views kitne hone chiya.
Waiting for this.
Jumedeen Khan
1. Aap aesa anhi kar sakte AdSense sirff AdSense ke admin ko hi paymenet send karta hai.
2. iske bare me humari YouTube wali post padho.
3. kam se kam 3000 views.
prakash
sir pichale month me mere toutube channel me 150 dollar ki income ho cukhi but google adesense me show nahi ho rahi hai or mera address verification bhee hona . or na hi google adesense ke home page address verification ka message aa raha
please sir help
Jumedeen Khan
Abhi aapke AdSense account me jao or payment option par click karke check karo ki YouTube ki earning add huyi hai ya nahi or huyi hai to kitni.
prakash
sir mere YouTube channel par 3000 view ka 1 DOLLAR milta hai
1000 view ko one dollar nahi milta
Jumedeen Khan
make some more good videos.
suaj kariyare
hello sir mujhe ek aysa blog banana hai jisme ek hi post ho or baki sari jankari pages me ho or us ek post me sabhi pages ke links ho jime click karke users un pages tak ja sake to mujhe ye janna tha ki sir AdSense ke liye kya ye jaruri hota hai ki jitne post me latters hote hai ya jitne letters rakhna jaruri hota hai utne letter page me bhi likhna padta hai kya is bare me thodi jankari chaiye thi ki post me jitne letter AdSense mangta hai utne hi wo pages ke liye bhi bolta hai ki nai
Jumedeen Khan
Nahi aap aesa kar sakte ho but isse achha hai post hi likho pages sirf jaruri work ke liye banate hai.
prakash
sir mera bank account kisi bhi bank me nahi hai /
sir me study ke liye village se bahar city me rahata hu
kya city me bank account khulava kar google adesense me use kar sakata hu
koi problem to nahi hogi
ya village me bank account khulavana jaruri hai
Jumedeen Khan
kar sakte ho but aap AdSense me jo address daloge usi address ke aapke pas documnets bhihone chahiye.
prakash
sir mere village me bank hai lekin us bank me swift code nahi ha
kya me apana bank account village se bahar city me khola sakata hu
ya phir village me bank account kholana jaruri hai or nerast swift code use karu
sir reply do na
Jumedeen Khan
aapka dusri bank me acocunht khulwane ki jarurat nahi hai. Aap ye post padho or samajha na aaye to comment me puch lena SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
prakash
sir mere village me bank hai lekin us bank me swift code nahi ha
kya me apana bank account village se bahar city me khola sakata hu
ya phir village me bank account kholana jaruri hai or nerast swift code use karu
palendra gurjar
sir mai blogging start karana chahata hu .so please tell me sir.what i do ?
Jumedeen Khan
Isse pahle aap blogging ke bare mebasic information sikh le uske bad starting kare taki koi issue na ho.
prakash
sir pahale adrress verify hoga ya google adesense me bank account dalana
ya adress verify hone ke baad bank account dalana hai
google adesense me payment kab change hota ha ek manth ke bad
Jumedeen Khan
ddress verify hone ke bad dalna. mahine ki 21 tarikhe ke bad
Deep
Sir, m rajasthan ka hu or mera sbbj me account hai to kya sbbj me AdSense payment deta hai ya nahi
Jumedeen Khan
yes bilkul deta hai.
Bhawani
Very nice post.
Sir Maine YouTube se Google Adsense banaya hua hai
Aur usse ad unit create karta hu wo ads website par show ho rahe hai.
Website: Sharelovequotes.com
To sir mujhe website verified Adsense lene ki jarurat hai ya nahi.
Ya me YouTube wala Adsense use kar lu.
Website or YouTube Adsense wale ads jab ham hamari website par lagate hai to isme revenue/earning me different rahta hai kya.
Please guide me
Thanks.
Jumedeen Khan
Aap YouTube wala AdSense verify kar chuke ho to aapko fir se verify karne ki jarurat nahi hai. Aap YouTube wale AdSense account se hi blog par ad laga sakte ho. Ha rahta hai.
Maharshi
sir aaj mera AdSense page par 260 doller aaye hai aur waha message show ho raha hai add a new payment…………..me aapka article padhke samaj gaya aese me ye form bhar dunga………
mera ek sawal hai sir ke…….muze paypal account bana ne ki zarurat padegi…….?????……yaa phir paypal account banaye bina sirf bank ki detail bhar ke bank me paise aa jayenge
mera PNB Bank me account hai ……..aur uske ATM card se paypal account nahi ban raha ………isliye plzzz muze ye bataiye ki ke paypal account ke bina hum apne bank me payment recieve kar sakte hai ke nahi…..?????
Jumedeen Khan
Aapko paypal account ki jarurat nahi hai. Iski jarurat pahle hoti thi ab google wire transfer ke throw direct apaki bank account me pay karta hai.
Sushant
Nice post Jume Deen.
Keep up the good work.