Google AdSense pahle Electronic Funds Transfer (EFT) and Check ke throw payment karta tha. but ab AdSense par direct bank account me money trasfer karne ki service available hai. ab AdSense ‘Wire Transfer To Bank’ service se direct aapke bank account me paise send kartya hai. iske liye bas aapko AdSense ke kuch simplate step follow kar ke apna bank account google AdSense se connect karna hai.
In this post: is post me mai aapko google AdSense me apna bank account number add karne ke bare me guide kar raha hu. agar aap alleady AdSense se income kar rahe ho ya fir abhi aapne AdSense se payment recieve nahi kiya hai to aap AdSense par apna bank account add kar ke direct apne bank me payment recieve kar sakte ho. by the way agar aapko koi step samajh na aaye to niche commnet kar sakte ho.
Adsense se paise kamane ke liye website ya blog banani padti hai. fir us par AdSense ke ads lagane padte hai. agar aapke pas koi website nahi hai to aap humari Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padh kar agle 5 minute me apni free website bana sakte hai or use AdSense se connect kar sakte hai. AdSense account banane ke liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padh sakte hai.
Agar aap india se ho to AdSense ko india me approved karana aasan nahi hai. india me rahte huye AdSense approved karane ke liye aapko AdSense ke rules follow karne honge. maine AdSense approved ke bare me details se allready btaya hua hau. so mai yaha post ko lamba nahi karna chahata aap humari AdSense se related post padh sakte ho.
By the way is post me hume AdSense ko bank account se jodne ki bat karni hai. jisse aap apne bank account me direct payement hasil kar sako. to ab mai aapko iske kuch step btane ja raha hu. aap inhe dhyan se padiye. uske bad jab aapko puri tarah samajh aa jaye to follow kijiye. becoz money ka sawal hai so koi galati nahi honi chahiye.
Adsense account me bank account ko jodne ke liye aapko 2 important code ki jarurat padti hai. first IFSC or seconf SWIFT-BIC code. to chaliye mai aapko inke bare me bhi bta deta hu.
IFSC Code Kya Hota Hai & IFSC Code Kaha Se Milega
IFSC code aapki bank branch ka code hota hai. har bank ka apna IFSC code hota hai. aapka jis bank me account hai aap usse IFSC code pata kar sakte ho ya us bank ke costomer care no. par call kar ke IFSC code pata kar dakte ho. In my case mera bank account State bank of india me hai or meri bank passbook par meri branck ka IFSC code likha hua hai. ye lagbhag sabhi banko ki passbook me hota hai. aap apni bank passbook check kar sakte hai. ya fir customer care se pata kar sakte hai.
SWIFT – BIC Code Kya Hai & SWIFT – BIC Code Kaha Se Milta Hai
SWIFT – BIC code international money transfer karne ke kaam aata hai. iske liye aap apni bank ke custome care me call kare or unhe btaye ki meri international income jo ki dollar me hai aane wali hai. mujhe uske liye apni branch ka SWIFT code chahye. ya fir aap apni bank branch me ja kar bhi pata kar sakte ho. ya fir aap Ifsc Swift Codes website par ja kar bhi apni branch ka swift code pata kar sakte ho. agar aapki branch ka code available na ho to uske as-pass ki bank ka code use kar sakte ho.
Apni Branch Ka SWIFT – BIC Code Nahi Milne Par Kya Kare
SWIFT – BIC code local bank branch me available nahi hota hai. so aap apni bank branch ke najdeeki home branch jisme SWIFT – BIC code available ho use kar sakte hai. I mean agar aapki bank branch me SWIFT – BIC ki suvidha na ho to aap usi bank ke jo branch sabse jyada karib ho uska SWIFT – BIC code use kar sakte hai. iske liye aap bank customer care, bank branch or upar di gayi ifsc swift code wali site se pata kar sakte ho.
Aapko jaha se bhi SWIFT – BIC Code mile use ek bar apni bank ke customer care me call kar ke confirm jarur kar le.
Google Adsense Par Apna Bank Account Number Kaise Add Kare
Is post ko aage badhane se pahle mai man leta hu ki aap allready AdSense account rakhte ho or aapke AdSense account me 100 dollar se jyada kar balance hai. so ab aap AdSense se earn ki gayi apni income recieve karna chahate ho.
Option 1:
Sabse pahle aap Adsense par ja kar log in kar lijiye.
- Right side me settings ke gear icon par click kare.
- Payments par click kare.
Option 2:
Ab Transaction history ka new page khulega. usme aapki Payable earning yani aap jitna payemt recieve kar sakte ho wo balance hoga. or uske right me how you get paid ka optin hoga.
- How you get paid ke samne Manage par click kare.
Option 3:
Ab is tarah new page khulega usme Payment Settings ka option aayega.
- +Add a new payment method par click kare.
Option 4:
Ab jo page khulega usme aapko apne bank account ki details bharni hai. yad rahe is form ko dhyan se bharba hai. warna details galat hone par aapko payment recieve karne me problem ho sakti hai.
- Apna name add kare. (aapka bank account name or AdSense payee name same hona chahiye. warna aapko payment nahi milega.)
- aapka jis bank me account hai. us bank ka name add kare. jaise state bank of india.
- Apni bank ka IFSC code add kare.
- Apni bank ka SWIFT-BIC code enter kare. (Iske bare me adhik jankari ke liye ye post padhe SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare.)
- Apna bank account number add kare.
- agar aap chahate hai ki aapko aage bhi isi bank account me payment milta rahe to “Set this payment method as primary’ par tick kare.
- Sari setting ek bar check kar ke save par click kare.
Bas ab aapka bank account AdSense me add ho chuka hai. ab har mahine ki 21 to 30 tarikh ke beech aapko AdSense payment karta rahega. jo aapko 5-7 din me mil jayega. jab aapka payment aapke bank account me aayega to bank se aapko iske bare me calll aayega. wo aapse puchenge ki aap ne ye paise kaise kamaye hai to aap unhe AdSense ke bare me btaye. uske bad wo aapke bank account me payment add kar denge.
- Adsense Ki CPC Kaise Badhaye Top 6 Excellent Tips
- Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte – Full Guide
I hope aapko ye article pasand aayega. or AdSense account me bank account number add karne ki problem clear ho jayegi. but fir bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to comment ke throw apni problem mujhse puch sakte ho. comment ke sath post ke bare me 2 lines likhna na bhoole.
Arun kumar
Sir m aapse puchana chahta hu ki google AdSense me account kitne dino m banta hai
Jumedeen Khan
Aapke apply karne ke 2 to 3 day me approve ho jata hai.
Monu
Sir agar hum ek se jyada blog banay to Hume Sab blog k liye alag alag Adsense approved karwane honge ya ek Adsense account se kaam chal jaayega
Jumedeen Khan
Aap ek hi adsense se sabhi blog ka connect kar sakte ho.
Monu
Sir mughe Adsense account me apna Bank account change Karna he kese karu
Jumedeen Khan
Adsense payment detail me ja kar kar sakte ho.
Pawan Kumar
Mene Apna Youtube Chnle Adsense Se Jor Lia H
Or Mere Videos K Samne Dolor Ka Bhi Nishan Aa Rha H
Muje Pese Kb Milenge
Abhi tk Mere Account No. Bhi Adsense Ne Nhi Mange H
Main Sara Work Mobile Kr Rha Hu
Kbhi Kbhi Videos Pr Ads Bhi Chlti H
plz Btaye Muje Youtube se Pese Kb Milenge
Jumedeen Khan
Jab aapke AdSense account me apaki earnings $100 ho jayegi.
Mohd Amzad Malik
Sir Mai Apne Adsense account mai Payment Method bharne ki koshis kar rha hu but vaha per ek additional option aa rha hai (Beneficiary id) Please sir btaye ki vaha per kya bharna hai mai confuse ho rha hu my email id is amzadmalik00@gmail.com
Jumedeen Khan
Apni ID add karo.
Kunal pawar
Youtube se paise milne ke liye b ank acc.me kitni amount honi chahiye?
Jumedeen Khan
0 balance bhi ho to chalega.
Gulshan Kumar
maine 25 november ko apna channel banaya tha, jis se 31 december tak 121 doller bna hai. ye payment mere AdSense account me aa chuka hai aur uspe mai apna account detail bhi fill kar diya h. Payment kab tak receive hoga mere bank account me ?
Jumedeen Khan
Next month ki 21 tarikh ke bad.
ankit
sir mere revenue 280$ hai agr mai payment krwau to sb charges ( tax,verification) mila ke kitne rupey katege
Jumedeen Khan
Charge jarur lagta hai but maine kabhi check kanhi kiya. Aap payment le kar dekh sakte hai.
RAJAN
SIR,
MERA UTUBE ME 30,000 SE JAYDA VIEW HO GAYA PER ABHI TAK REVENUE 6 DOLLAR HI SHOW HO RAHA HAI JABKI 1000 VIEW PER 01 DOLLAR KE HISAB SE 30 DOLLAR KAM SE KAM HO JANA CHAHIYE (02) PAYMENT LENEY KE LIYE JAB ADSENSE SE BANK ACCOUNT JORNA CHAHA OR JAB ADSENSE KE PAYMENT OPTION ME JAKAR PAYMENT METHOD KO CLICK KARNA CHAHA TO WO HIDE HO RAKHA THA. SIR HUM KAB BANK ACCOUNT KO ADSENSE SE JOR SAKTEY HAI OR KAISE?
Jumedeen Khan
Rajan 1000 views par ek dollar tabhi milta hai jab user aapki videi ko 30 second se jyada time tak dekhe second earning video me show hone wale ads par click karne se hoti hai video dekhne se nahi. Aapki AdSense me earning $10 hone ke bad aap addpress verify kare uske bad bank account details add kar sakoge.
prabhat
Sir bussiness account select kiya hai to esme earning kese milenga help kre
Jumedeen Khan
Earning direct aapke bank account me aayegi. Aap huamri AdSense wali baki post padha karo sabkuch sikh jaoge.
mukesh kumar
sir mere 100$ pure ho gye hai .
abhi tak mera address verify nhi huva hai ;
or adsnse setting payment me Add payment opetion me ye show ho rha hai mere ko kya karna chahiye [ You don’t need a payment method until your earnings threshold has been reached]
please tell me
Jumedeen Khan
Aap mujhe mail karo main check karke dekhta hu.
Digeshwar Dewangan
Sir kya PayPal sbi bank ko accept nhi karta h kya
Jumedeen Khan
Check this post Paypal Account Kaise Banaye and Verify Kaise Kare Hindi Jankari
Vinod
Sir mene apne AdSense account me name vinod devrath likha hai or bank account me name vinod kumar hai.
or kya muje koi payment lete time koi problem to nhi hogi
or kya muje payee name alag se add krna pdega??
Jumedeen Khan
Aap AdSense wala name change karke bank wala name add kar sakte ho.
Vinod
Thanks sir
but me apna AdSense account name kse change kru ?kyu ki waha pr koi option nhi aa raha h .
plesae detail me btyee sir.
Jumedeen Khan
Abhi mat karo abhi earning badhao band me change kar sakte ho or agar change nahi bhi ho to koi bat nahi. Aapki baki details to sahi hai na to payment mil jayega.
Pawan Gautam
Dear respected sir mujhe sirf Itna Bataye ki IFSC and swift code Dal Ne Ke Baad Niche intermediary Bank and FFC and FBO details empty rakhni hai kya.
Jumedeen Khan
Oh i am sorry man. yes in dono ko aese hi chord do.
Bharat kumar purohit
Sir mere AdSense account me mera name bharat purohit lika hai aur mere bank account me name bharat kumar purohit hai aur ab mere ko kya karna padega btaiye sir my message reply.
Jumedeen Khan
Aap AdSense account me bank wala name add karo.
ROHIT KUMAR
SIR YOUTUBE CHANNEL PR ADSENSE APPLY KE LIYE KOI BLOG BNANA HOGA YA PHIR DIRECT AUR ADSENSE APPLY YOUTUBE SE HOGA YA PHIR KISI AUR SE
Jumedeen Khan
Blog ki jarurat nahi direct YouTube channel se kar sakte ho ye post check karo Youtube Videos Ko Monetize or Adsense Se Connect Kaise Kare
Golu
sir maine abhi AdSense me bank account add kiya tha or use primary me select kar diya hai to usme ek galti ho gai thi fir maine add payment method pe dobara click kiya or saari info sahi se bhardi to koi problem to nahi haina
matlab waha kahi 2 account add to ni ho jate jaise primary or temrory
1 hi account add hota hai na bus
Jumedeen Khan
Koi problem nahi hai. Nahi aesa kuch nahi hoga.
Rohit
sir magar adress agr chang kar dunga to unka adress verify karne ka kya faida hua¿¿¿
n jo letter nikal chuka hai wo to cancel kar denge na
& naya letter bhejenge new adress hone ke karan to ¿¿¿¿¿
Jumedeen Khan
Rohit google bas ye chahata hai ki aap ek bar address verify karo or right person ko pin code mile uske bad hum address change kar sakte hai. Aap pin verify karne se pahle address chagne nahi kar sakte.
rohit
Sir mere AdSense me 25 $ ho gaye hai & waha likha hai ki verify letter nikal chuka hai to kya is time me usme diya hua adress chang kar sakta hu
& verify hone ke baad bhi kya adress chang kar sakta hu
Jumedeen Khan
Haa kar sakte ho.
mukesh kumar
sir mere ko kya pta clega ki mera verification latter nikal chuka hai mere 100$ complite ho chuke hai
n mere ko kya karna prega ab
Jumedeen Khan
Google jab aapko pin send karega to AdSense me iski date show hogi.
abhijit
sir maine AdSense me jo naam diya hai wo abhijit hai or bank ki paasbook pe abhijeet hai
bus ek speeling ka fark hai to ab mai AdSense me apna bank account add karne ja raha hu to waha acconut holder name me kon sa naam add karu jo AdSense me diya hai wo ya paasbook wala plss help me
AdSense name-: abhijit
paasbook name-: abhijeet
Jumedeen Khan
Jo aapki bank account me hai wo name add karo. Dont worry spelling mistake chal jati hai but baki sab match hona chahiye.
Abhijit
Sir Adsense me bank kon sa add karna sahi rahega PNB ya SBI plss btaye
agr mai PNB ko add karta hu to koi problem to nahi hogi na plss btaye
Jumedeen Khan
Koi bhi kar lo no problem
Ranjeet singh
Sir, meri income YouTube per 220$bata rahi hai …..go mere account me kab aayegi…….Sir aur kya account me aane se pahle koi post me letter aata hai ya nhi……….halp me
Jumedeen Khan
next month 1 to 15 tarikh tak.
Ranjeet singh
Sir rupees bank me aane se pahle koi dak letter aata hai ya nhi
Jumedeen Khan
yes pin post aati hai.