Google AdSense pahle Electronic Funds Transfer (EFT) and Check ke throw payment karta tha. but ab AdSense par direct bank account me money trasfer karne ki service available hai. ab AdSense ‘Wire Transfer To Bank’ service se direct aapke bank account me paise send kartya hai. iske liye bas aapko AdSense ke kuch simplate step follow kar ke apna bank account google AdSense se connect karna hai.
In this post: is post me mai aapko google AdSense me apna bank account number add karne ke bare me guide kar raha hu. agar aap alleady AdSense se income kar rahe ho ya fir abhi aapne AdSense se payment recieve nahi kiya hai to aap AdSense par apna bank account add kar ke direct apne bank me payment recieve kar sakte ho. by the way agar aapko koi step samajh na aaye to niche commnet kar sakte ho.
Adsense se paise kamane ke liye website ya blog banani padti hai. fir us par AdSense ke ads lagane padte hai. agar aapke pas koi website nahi hai to aap humari Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padh kar agle 5 minute me apni free website bana sakte hai or use AdSense se connect kar sakte hai. AdSense account banane ke liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padh sakte hai.
Agar aap india se ho to AdSense ko india me approved karana aasan nahi hai. india me rahte huye AdSense approved karane ke liye aapko AdSense ke rules follow karne honge. maine AdSense approved ke bare me details se allready btaya hua hau. so mai yaha post ko lamba nahi karna chahata aap humari AdSense se related post padh sakte ho.
By the way is post me hume AdSense ko bank account se jodne ki bat karni hai. jisse aap apne bank account me direct payement hasil kar sako. to ab mai aapko iske kuch step btane ja raha hu. aap inhe dhyan se padiye. uske bad jab aapko puri tarah samajh aa jaye to follow kijiye. becoz money ka sawal hai so koi galati nahi honi chahiye.
Adsense account me bank account ko jodne ke liye aapko 2 important code ki jarurat padti hai. first IFSC or seconf SWIFT-BIC code. to chaliye mai aapko inke bare me bhi bta deta hu.
IFSC Code Kya Hota Hai & IFSC Code Kaha Se Milega
IFSC code aapki bank branch ka code hota hai. har bank ka apna IFSC code hota hai. aapka jis bank me account hai aap usse IFSC code pata kar sakte ho ya us bank ke costomer care no. par call kar ke IFSC code pata kar dakte ho. In my case mera bank account State bank of india me hai or meri bank passbook par meri branck ka IFSC code likha hua hai. ye lagbhag sabhi banko ki passbook me hota hai. aap apni bank passbook check kar sakte hai. ya fir customer care se pata kar sakte hai.
SWIFT – BIC Code Kya Hai & SWIFT – BIC Code Kaha Se Milta Hai
SWIFT – BIC code international money transfer karne ke kaam aata hai. iske liye aap apni bank ke custome care me call kare or unhe btaye ki meri international income jo ki dollar me hai aane wali hai. mujhe uske liye apni branch ka SWIFT code chahye. ya fir aap apni bank branch me ja kar bhi pata kar sakte ho. ya fir aap Ifsc Swift Codes website par ja kar bhi apni branch ka swift code pata kar sakte ho. agar aapki branch ka code available na ho to uske as-pass ki bank ka code use kar sakte ho.
Apni Branch Ka SWIFT – BIC Code Nahi Milne Par Kya Kare
SWIFT – BIC code local bank branch me available nahi hota hai. so aap apni bank branch ke najdeeki home branch jisme SWIFT – BIC code available ho use kar sakte hai. I mean agar aapki bank branch me SWIFT – BIC ki suvidha na ho to aap usi bank ke jo branch sabse jyada karib ho uska SWIFT – BIC code use kar sakte hai. iske liye aap bank customer care, bank branch or upar di gayi ifsc swift code wali site se pata kar sakte ho.
Aapko jaha se bhi SWIFT – BIC Code mile use ek bar apni bank ke customer care me call kar ke confirm jarur kar le.
Google Adsense Par Apna Bank Account Number Kaise Add Kare
Is post ko aage badhane se pahle mai man leta hu ki aap allready AdSense account rakhte ho or aapke AdSense account me 100 dollar se jyada kar balance hai. so ab aap AdSense se earn ki gayi apni income recieve karna chahate ho.
Option 1:
Sabse pahle aap Adsense par ja kar log in kar lijiye.
- Right side me settings ke gear icon par click kare.
- Payments par click kare.
Option 2:
Ab Transaction history ka new page khulega. usme aapki Payable earning yani aap jitna payemt recieve kar sakte ho wo balance hoga. or uske right me how you get paid ka optin hoga.
- How you get paid ke samne Manage par click kare.
Option 3:
Ab is tarah new page khulega usme Payment Settings ka option aayega.
- +Add a new payment method par click kare.
Option 4:
Ab jo page khulega usme aapko apne bank account ki details bharni hai. yad rahe is form ko dhyan se bharba hai. warna details galat hone par aapko payment recieve karne me problem ho sakti hai.
- Apna name add kare. (aapka bank account name or AdSense payee name same hona chahiye. warna aapko payment nahi milega.)
- aapka jis bank me account hai. us bank ka name add kare. jaise state bank of india.
- Apni bank ka IFSC code add kare.
- Apni bank ka SWIFT-BIC code enter kare. (Iske bare me adhik jankari ke liye ye post padhe SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare.)
- Apna bank account number add kare.
- agar aap chahate hai ki aapko aage bhi isi bank account me payment milta rahe to “Set this payment method as primary’ par tick kare.
- Sari setting ek bar check kar ke save par click kare.
Bas ab aapka bank account AdSense me add ho chuka hai. ab har mahine ki 21 to 30 tarikh ke beech aapko AdSense payment karta rahega. jo aapko 5-7 din me mil jayega. jab aapka payment aapke bank account me aayega to bank se aapko iske bare me calll aayega. wo aapse puchenge ki aap ne ye paise kaise kamaye hai to aap unhe AdSense ke bare me btaye. uske bad wo aapke bank account me payment add kar denge.
- Adsense Ki CPC Kaise Badhaye Top 6 Excellent Tips
- Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte – Full Guide
I hope aapko ye article pasand aayega. or AdSense account me bank account number add karne ki problem clear ho jayegi. but fir bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to comment ke throw apni problem mujhse puch sakte ho. comment ke sath post ke bare me 2 lines likhna na bhoole.
Manjeet singh hhd
Sir.
Mene abhi 4 vedio upload ki h kya abhi se account number dena hoga
Jumedeen khan
Nahi jab payment lena ho tab.
ambika kumar
Sir
Maine apna youtube account khol liya hai par isme bank account no. Kaise dale.
Jumedeen Khan
Bank acocunt aapko youtube me nahi adsense me add karna hai.
tushar
Sir website or AdSense Alag alag hona chiye Kya ?
Sir website or blog dono ek hi he ya different he. ?
जुमेदीन खान
दोनों अलग हैं, वेबसाइट पर कंटेंट प्रदान किया जाता है, जबकि ऐडसेंस विज्ञापन देने का काम करता है
surend
Sir suru me kitna paisa jama Karna h
Jumedeen Khan
Iski jarurat nahi hai. Aapke acocunt me 0 balance hai to bhi chalega.
Shubham VERMA
Sir meri AdSense se payment issue ho chuki per mere bank account me nahi aayi kya karan ho sakta hai
Jumedeen Khan
Wait 3-5 business days.
Taufique zafar
sir mera adsense account mai 100 doller hogya hai.
aur maine pahle bank account bhar diya tha.
Jumedeen Khan
Ab aapko 21 tarikh ke bad payment mil jayega.
abhi sharma
sir mai ek achha singer hu
aur mai studio me gana gata hu jo ki 1 song banane me mujhe 2-3 hajar kharch karne padte hai uske badle me mujhe kuch paise nhi milte
mai apne song ko marketing karke kasise paise kamau
plese sir detail me batayiye
Jumedeen Khan
Aap iske liye youtube use karo ya fir dusri companies ko apne songs sell karo.
VIVEK
SIR EK PROBLEM HOGAI HAI MERE ADSENSE MAI AJ 12 JULY KO HI ABHI 10.29 DOLLAR ADD HUWE HAI OR MENE APKI YE STEPS DEKHKAR BANK ACCOUNT ABHI LINK KARDIYA HAI
BUT KAHI BHI PIN SEND KRNE WALA OPTION NAHI AYA TO AB ISSE AB KYA PROBLEM HOGI KYUNKI MENE ADRESS VERIFICATION KA PIN NAHI ANE SE PAHLE HI BANK LINK KAR DIYA HAI
OR AB ADRESS PIN SEND KAB HOGA ISKA TO KOI OPTIN HI NAHI ARHA HAI
Jumedeen Khan
Wait kuch time bad aapke adsense account me pin verify ka alert show hone lag jayega.
Rabari Prakash
Apne bank a.c. ka koi international net banking ka option bank me chalu karvana padta he ya directly karenge to chalega
Jumedeen Khan
Nahi iski koi jarurat nahi padti.
Alam Khan
sir
me jab adsense ko apne you tube se jod ra hu to second option pr click krta hu likh kr ata he k go to adsense and add payment details but jab me waha jata hu to name & adress ata he jab waha click krta hu to something wrong batata he
or payment details ka koi aption ni hota
Pllzz help me
Jumedeen Khan
Aap youtube ke through adsense ke liye apply karo tab error nahi aayega check here Youtube Videos Ko Monetize or Adsense Se Connect Kaise Kare
Rakesh puri
hello sir, mere bank ka swift code nhi aur na hi mere district me swift code bhi available nhi h , to 200km dur dusri district ke bank branch ka swift code use kar sakta hu kya..
please help me sir please help me
Jumedeen Khan
yes but achhe se check kar lena ke usse najdeek koi or bank nahi hona chahiye. Sabse najdeek wali bank ka swift code use karna hai.
pooja mishra
thank you sir ji for information
Vikas Sahu
Sir Me Vikas Sahu Sahu4you.Com Se Mujhe Isse Related Kuch Puchna Hai Ki Mera Adsense Account Me SBBJ Bank Added Hai Now SBBJ To SBI Merge Ho Gya Kya Meri Payment Me Koi Problem To Nahi Aayegi?
Jumedeen Khan
Vikas local bank me adsense payment lene me problem ho sakti hai. Aap SBI, ICICI, HDFC jaisi banks istemal karo.
PANAKAJ KUMAR
google adsense se earning karne ke liye kon sa account jaruri hota hai current account ya saving account
Jumedeen Khan
Koi bhi chalega.
PANAKAJ KUMAR SONI
bhaiya kya google adsense ke alawa kisi company se EFT se payment liya ja saktah i hai
Jumedeen Khan
Bahut si aes icompany hai jo EFT ke through payment karti hai aap jis company par work karte ho uski payment method check kar lo.
PANAKAJ KUMAR
bhaiya mujhe captcha typing se earning karni hai iske liye payment EFT se milegi
ashok kumar gautam
sir
youtube par kis kis prkar ki video upload kar sakte hain
mere pass dance party , comedy , funny ,natural ,wonderful site ,bhut si video hain
jo mane badi hard work kar ke banai hai ! aur ek he chhanel pr kitne video upload kar
sakte hain !
plese bataneki kirpa kare
Jumedeen Khan
Apa jitni chaho videos upload kar sakte ho har type ki kar sakte ho bas illegal content nahi hona chahiye.
abhinathdhakad
sir,mere ‘center bank of India’ ka account hai.kya me adsense se earning payment kar sakte hu. please reply ….
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
Pawan Kumar
Sir Kya adsense Name aur Bank account Name same hona jaruri hai. man ligiye mera adsense account hai sushma aur mai bank name hai pawan.
Jumedeen Khan
Nahi chalega dono same hona jaruri hai tabhi payment milega.
Dhaval Gadhvi
Sir mere City ki SBI Bank ka Swift Code available nahi he to me kya karu?
Jumedeen Khan
Nearby branch ka swift code use karo check this post SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
naveen
sir mera Ak youtube per account Tha Njentertainment… vo kal suspend ho gya jis per koi strike nahi Thi .without email ..
35000 subscriber the.
or meri youtube me earning 450 $ Thi to kya mujhe WO earning milegi
abhi adsens me 49$ hi dikha raha hai
Jumedeen Khan
Aapko google ne jo mai lsend kiya hai wo dikhao.