Google ek se jyada AdSense account create karna allow nahi karta but hum ek AdSense account ko multiple gmail ID par par use kar sakte hai. Iska fayda ye hai ki agar humare pas difference gmail account se YouTube channel or blog hai to hum un sab par apne primary AdSense account se advertising show kar sakte hai. I mean hum ek hi AdSense account se apni all sites or YouTube channels par ads laga sakte hai.
Google hume one AdSense account se multiple website, blogs and YouTube channel par advertisement lagana allow karta hai. Bahut se log alag alag gmail ID se alag alag AdSense account bana kar use karte hai but google policy ke anusar ye galat or wrong way hai. Jab wo hume ek hi AdSense account se apni sari sites par ad lagana offer karta hai to hume uski terms ka violation nahi karna chahiye.
In this post, main aapko aesa tarika bta raha hu jisse aap 1 AdSense account se apni sabhi blog and YouTube channel par ads show kar ke earning kar sakte ho. Iske liye bas aapko apna another gmail address ko google AdSense me add karna hoga.
Aapko isse fayda ye hoga ki aapko bahut sare AdSense account ke liye alag alag information yaad rakhne ki jarurat nahi padegi or aapko bahut sare username or password yaad nahi rakhne honge. Suppose agar aap 5 different gmail account se alag alag AdSense account bana lete ho or un sab me aapki earning $50 to $70 hai to aapki total earning $60 ke hisab se 5 account me $300 ho jati hai.
But aap apna payment nahi le sakte because google AdSense minimum $100 pay karta hai jo ki aapke kisi bhi account me nahi hai. Agar aap ek hi khata use karte to aap $300 se pahle bhi payment receive kar sakte the. Is setting ko User Management kahte hai, I hope you understand.
Google Adsense Me Multiple User Management Setting Kaise Kare?
Step banane se pahle main man leta hu ki aapke pas 2 gmail account hai or dono par YouTube channel ya blog active hai or aapke pas ek gmail ID se approved AdSense account hai. Ab aap use dusri gmail ID se connect kar apne dusre YouTube channel se bhi earning karna chahate hai.
Step 1:
Sabse pahle aap apne approved AdSense account par ja kar log in kare.
- Adsense par log in hone ke bad right side top sidebar me setting icon par click kare.
- Ab settings par click are.
- Access and authorization par click kare.
- User management par click kare.
- Ab yaha par new gmail ID add kare, Jis par aapko AdSense use karna hai.
- Ab invite par click kare.
Step 2:
Aapne jis gmail ID user ko invite kiya hai us gmail account me ek message aayega. Usme ek invitation link hoga us par click karke aapko invitation accept karna hai. Gmail par aaya link kuch is tarah se hoga. Is link par click kare or invitation accept kare.
Step 3:
Invitation link par click karne ke bad invitation access AdSense ka page open hoga. Isme Sign in as example@gmail.com to access this AdSense account par click kare.
Step 4:
Ab ek “Thank you to joining AdSense” ka page open hoga. Yaha aapko niche google AdSense ke link par click karna hai.
Aap jaise hi google AdSense ke link par click karoge aap AdSense ke home page par pahuch jaoge. Dekhiye ye wohi google AdSense account hai jo aap apni dusri gmail ID par use kar rahe ho.
Is tarah se aap apne ek AdSense account me apni other gmail ID ko add karke apne sabhi YouTube channel or blog par ads laga sakte ho. Is process se aap apne friend ko bhi AdSense me partner bana kar earning kar sakte ho.
- Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye
- Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites
Yaad rahe user management setting me kabhi bhi kisi or ko Administrator na banaye. Kyuki uske bad usko aapke AdSense account ka full access mil jata hai or wo aapki hi tarah uska malik ban jata hai. Ho sakta hai is tarah se koi aapke sath dhoka kar ke aapko hi account se remove kar de. So carefully AdSense me multiple user add kare.
I hope aapko ye post pasand aayegi. Agar ha to ise social media par share jarur kare.
Alok Pandey
Jumedeen Ji Mera Blog sarkaripatra.in ki speed google pagespeed me 96/100 value aur user experience 99/100 de raha h aur maine sabhi important page bhi bana liye h, traffic per day 300 hote hain , kya mere liye AdSense me apply kane ke liye ye better time h, please suggest me soon.
Jumedeen khan
Yes kar sakte ho.
Sarfaraz
Sir firse or ek help karo iska matlab kya hai… http://prntscr.com/cjfvi4
ya araha hai AdSense dashboard par..
Jumedeen khan
Iska matlab ye hai ki last month ki YouTube se hone wali earning next month 15 day se pahle aapke account me add kar di jayegi.
suraj
Sir aap jisse hosting kar rhe he kya bho free he
Or muje WordPress ke function ko full detail sa jaanna he iske liye aapne koi post nhi dali kya
Jumedeen khan
Aap humari WordPress wali post padho. Nahi mujhe monthly 3,000 pay karne hote hai.
Ravindra
Bhai me address me state dalana bhul gaya hu to usko chenge kar sakta hu
Jumedeen khan
Haa kar sakte ho address setting me ja kar.
Md Saban
Sir mai ek badi problem hu. Aapko fb par msg kiya hai. Pls check karke reply dijiye
Jumedeen khan
Ok main aapko message check karke reply kar dunga.
Rohitash
Sir adnow ke ads Lagaye hai, agar main Adsense ke liye apply karu to koi Problem to nahi hogi
Jumedeen khan
Nahi koi problem nahi hai.
Deepak
sir mera blog blogger par hai. to aap mujhe pls ye bataye ki jab me apne post me koi coding share karta hu to bo code bda hone ki wajha se theek se post me show nhi hota or side me popular post widget tak aa jata hai. to mai uske liye kya karu?. jisse mere codung theek show ho.
or aap pls ye bataye ki aapki post ki side me jo social share widget hai bo aapne kaise lagaye hai?
Jumedeen khan
iske bare me is post me btaya hua hai Blog Post Me Code Box Kaise Use Kare
Ravi Kumar
bro plz meri help karo,
meri cpc 4-5 se kabhi badhti nahi hai pata nahi kyu agar badh jaye toh sirf by chance kabhi kabhi, Mujhe lag raha hai ki main jyada ad unit use karta hu isliye. Mere mostly post 500-700 words ke hote hai aise mein mujhe kaunse aur kitne ads post mein lagane chahiye ?
Jumedeen khan
First aap ad unit kam use karo or addsense otimizing sahi se karo follow this guide. Google Adsense Ads Ko Optimize Karne Ki Top 15 Effective Tips
Sarfaraz
Sir mera jo AdSense account hai wo mene mera ek english blog ko use karke liya hai, or usme mene ek hindi blog bhi add kiya hai, lkein abhi me jo YouTube channel ko jodne ja raha hu wo hindi channel hai to me “Content Language kya select karu hindi ya English plz sir bataye – screenshot dekhe
Jumedeen khan
Channel hindi me hai to hindi hi select karo.
Kuldeep Vishnoi
webmaster tool me se domain ke name ke aage se www kaise hataye mujhe hatana hai to kaise hatau…
Jumedeen khan
search console me se site remove karke fir se without www ke submit kar do.
जमशेद आज़मी
एडसेंस एकाउंट के लिए मल्टीपल विकल्प सुझाने के लिए आपका बहुत बहुत शुक्रिया। अच्छा आर्टिकल है।
Jumedeen khan
धन्यवाद् जमशेद जी।
suraj
Godaddy se domien name or WordPress se hosting
Mere kuch question he kya aap clear karege
Q,1. WordPress me aapki theme khon si chal rahi he aagar aap WordPress se hosting karte he
Q,2. Me aapne content us or privas polich ka page main home page par sabse niche nhi kar pa raha hu tho bo kese karu
Q,3. Menw mere domien name ko blogger par connect kar liya or bho ho bhi gya lekin usme jha edit site ka option aa rha he bha kuch bhi nhi khul rha kyu
Q,4. Aap kiski tool ki help se hosting karte ho
Q,5. Muje Google adsenc me kitni post ke baad apply karna chiye or kitne time ke baad
Or kitne visitors chiye iske liye
Q,6. Aga apni site me dealy 1000 visitors aa jye tho kitna pesa milega dealy
Q,7. Aap dealy kitne pese kamate he bloging me
Plz plz plz bataiye 7 q ka ans
Jumedeen khan
1. genesis framework.
2. Coding se css and html coding ko thoda achhe se samajho.
3. Agar aapki site par domain proper work kar raha hai to aapko or kuch karne ki jarurat nahi hai or aap konse edit option ki bat kar rahe ho likh dete to achha hota.
4. bluehost.
5. post se koi matlab nahi hai jab aapke blog par daily 500 traffic ho jaye to apply kar lena.
6. Koi nahi bta sakta. ye aapke reader par depend karta hai ki wo kitne ad par click karte hai.
7. aap humari income report check kar sakte ho.
kamlesh parihar
hello sir maine site map search map me add kar diya hai lekin phir bhi meri post search me nhi aa rahi hai.
kya karan ho skta ha sir
Jumedeen khan
Thoda wait karo aane lag jayegi.
Himanshu Grewal
aap ads placement k liye konc plugine use karte ho?
Jumedeen khan
ad injection
Ravindra
jume deen bhai ek problem he maine YouTube a/c se AdSense create kiya he or ab usme login karta hun to
Earning $10.41 he or YouTube me $15.51 he AdSense me logon karne par uper red color me ye msg he
Your payments are currently on hold because you have not verified your address.r
jab is address ko verify karta hu to ek pin code box hota usme konsa pin code dalana he.
jab ye process puri ho jayegi tab earning show hogi kya plz help me aap mujhe ye step complete kara do. bro.. plz..
Jumedeen khan
YouTube ki earning AdSense me mahine me ek bar show hoti hai. Second addpress verify karne ke liye google aapke address par ek post send karta hai. Usme diya code yaha add karna hai. Iski adhik jankari ke liye aap ye post read kare. Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai
Sarfaraz
Thanks sir bohut thanks,
Jumedeen khan
Welcom sarfraz and share this post.
pavan choudhary
me pahle blogger par tha aur maine AdSense accont banaya tha par vah fully aprove nahi hua ab maine apne family member ke naam se AdSense ke liye aply kiya jo 2 din me hi fully aprov ho gaya hai . ab me WordPress par hu aur adense plugin use karna chahta hu , par pahle site webmaster verify mang raha hai . meri site webmaster par pahle walli ID se verified hai.ab kya karna chahiye ?
Jumedeen khan
Aap AdSense plugin use mat karo AdSense ke liye other dusre plugin use karo like ad injection and other. Adsense plugin aapke AdSense account me bekar me bahut se ads bana dega. Its bad.
Harsha bhurani
Nice article. …thank u sir for this information
Asween
Sir,Adsense ke baareme me abhi jyada to nhi jaanta lekin yah jankaari muje future me aapki baaki saari post ki traah bhut kaamme aayegi
Jumedeen khan
Welcome asween and share this post.
Ankita Gupta
Sir mere blogger blog par duplicate title tags problem hain.
/2012/01/duplicate-title-tags.html
/2012/01/duplicate-title-tags.html?m=0
/2012/01/duplicate-title-tags.html?m=1
aur yeh url google par bhi index ho jate hain jisse duplicate content ki problem hoit hain. Please mujhe bataye ki isse kaise fix karu
Jumedeen khan
In url ko change karo.